Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Buchpan ki eid

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Buchpan ki eid

    Originally posted by sarah gemini View Post
    hmmmm..sher Ali pehlay tum apni signature pic ka size kam kro ja k....
    kia aap ko is picture mein Sher Ali cute nahi lag raha 372-shock
    :thmbup:

    Comment


    • Re: Buchpan ki eid

      Originally posted by sarah gemini View Post
      tazaad zindagi ka.kaynaat ka hussan b hai...isnt it???
      Aap keh rahi hein to Avashey ho ga :embarasse
      :thmbup:

      Comment


      • Re: Buchpan ki eid

        Originally posted by munda_sialkoty View Post
        kia aap ko is picture mein Sher Ali cute nahi lag raha 372-shock
        boaht cute lag raha hai:eye:..bs poora ane arha screen pr.....scroll krna prrta hai..
        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

        Comment


        • Re: Buchpan ki eid

          Originally posted by sarah gemini View Post
          boaht cute lag raha hai:eye:..bs poora ane arha screen pr.....scroll krna prrta hai..
          baray loog inni chooti si screen pe thoori puray aatay hein :D
          :thmbup:

          Comment


          • Re: Buchpan ki eid

            Originally posted by munda_sialkoty View Post
            Aap khud he itni seyaani hein, mein aur kia kahon :embarasse
            no shak.. seyani to me bohat hon:khi:

            Comment


            • Re: Buchpan ki eid

              Originally posted by senorita View Post
              no shak.. seyani to me bohat hon:khi:
              tum aa gaein senorita

              subha bakhair

              bulke

              pakhair raaglay :khi:
              :thmbup:

              Comment


              • Re: Buchpan ki eid

                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                tum aa gaein senorita

                subha bakhair

                bulke

                pakhair raaglay :khi:
                raghly raghly:khi:
                han me agai sawere sawere
                asal me ye subho hoti bari haseen he ya mujhe bohat achi lagti he,fresh fresh si:D:

                Comment


                • Re: Buchpan ki eid

                  Originally posted by senorita View Post
                  raghly raghly:khi:
                  han me agai sawere sawere
                  asal me ye subho hoti bari haseen he ya mujhe bohat achi lagti he,fresh fresh si:D:
                  Waah ji waah, aap ki subhu subhu baatein bhi fresh fresh si he lag rahi he :eye:
                  :thmbup:

                  Comment


                  • Re: Buchpan ki eid

                    Originally posted by munda_sialkoty View Post
                    Waah ji waah, aap ki subhu subhu baatein bhi fresh fresh si he lag rahi he :eye:
                    taza sabzi jesi na372-haha

                    Comment


                    • Re: Buchpan ki eid

                      Originally posted by munda_sialkoty View Post
                      Ahan, to Hala aap ne kabi bazar ja ke Rerhi pe kharay ho ke gool gupay to khaye he hoon ge na :D:
                      to be honest... hum ni ajj tak na rehi pe kharay ho ke, na bet ki gool gupay khaye hai... infact ajj tak 2 time gool gupay kahye hai wo be Uni time mein.. :)
                      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                      :pr:

                      Comment


                      • Re: Buchpan ki eid

                        Originally posted by munda_sialkoty View Post
                        Now it is my turn :salam:

                        Buchpan se he mere liye eid bohat maani rakhti thi, mein ne 9 saal ki age se he puray roozay rakhnay shuru kiye so mere liye yeh eid bohat special hoti thi. Yeh 5, 6 class se start karon ga, Eid pe shopping dad ke saath hoti thi aur jub wo UK mein hotay to Mom ke saath. Shopping days mein bara maza aata tha. Chand raat to mein almost jaag ke he guzaar deta. Doostiyaan to me ki buchpan se he vast extended thein to Eid ki namaz perh ke aa ke, ammi abu dono se eidi leta, I think 50, 50 rupay milti thi eidi mujay lekin mein un se baad mein aur einth leta tha. Mein ne apnay mom dad ke ilawa aaj tak kisi aur se eidi nahi li, na chacha se, na taya se, na khala se, na mamu se, kisi se bhi nahi. Khudaari buchpan mein he bari thi :bwink: Namaz perh ke aa ke kha pi ke dooston ke saath ground mein ja ke khoob cricket kheelta tha is din koi mana nahi kerta tha na is liye yeh aik feast thi me ke liye372-haha phir hum doost aapis mein plan ker ke koi na koi cheez mungwatay aur bahir ground mein beth ke khatay. Apnay relatives ke gharon ko visit kerte, wo eidi dete to eidi nai leni, wo kuch khanay ko kehtay to kehta ke mein abi kha ke aaya hoon, dil nahi ker raha 372-hahaEven though I was not shy but phir bhi kuch aisa he react kerta tha.

                        Ub ki eid, kafi different he. Eid ki namaz perhnay ke baad Eidiyaan dene ka silsila start ho jata he. Masjid se bahir nikaltay he eidi dena start hota hoon aur galiyoon se hotay huay jo buchay nazar aatay hein un ko eidi dete dete ghar aanay tak aik copy muk jati he :D: phir apni behnon ko eidi dena, bhaiyoon ko eidi dena, aur ammi ko eidi de ke phir un se eidi lena 372-haha (me bara hoon sub se na :embarasse) Me ke ghar jo bucha aata he eidi liye bagair nahi jata. Kafi saray relatives aatay hein milnay. Phir dooston ka aana jana lag jata he. Masroof eid hoti he bohat. 3, 4 din kese guzar jatay hein pata he nahi chalta :donno:
                        ha!! nice and interesting.... ka mein ni apki read kia tha.. reply deni waqat 2 bar light chali gye.
                        u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                        :pr:

                        Comment


                        • Re: Buchpan ki eid

                          Originally posted by senorita View Post
                          taza sabzi jesi na372-haha
                          Ji ji, bajaa fermaya aap ne :embarasse
                          :thmbup:

                          Comment


                          • Re: Buchpan ki eid

                            Originally posted by *Hala* View Post
                            to be honest... hum ni ajj tak na rehi pe kharay ho ke, na bet ki gool gupay khaye hai... infact ajj tak 2 time gool gupay kahye hai wo be Uni time mein.. :)
                            Oh Hala ji tusi Great ho ji :embarasse
                            :thmbup:

                            Comment


                            • Re: Buchpan ki eid

                              Originally posted by *Hala* View Post
                              ha!! nice and interesting.... ka mein ni apki read kia tha.. reply deni waqat 2 bar light chali gye.
                              Tum ne phir teesri baar risk le liya 372-haha
                              :thmbup:

                              Comment


                              • Re: Buchpan ki eid

                                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                                Tumhein tang kerne ka maza he apna he Lasooriyee 372-haha
                                yeh kon hay ?:mm:
                                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                                Chal jhooti
                                jhoot bolo to araam say samjhaty hain k jhoot nahi bolty awain nahi hr kisi ko dan'tny baith jaty

                                Comment

                                Working...
                                X