Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Buchpan ki eid

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: Buchpan ki eid

    lolz.......nae bs me ja rahi hun......ye "tamasha".phir sahi:)
    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

    Comment

    • #77
      Re: Buchpan ki eid

      Originally posted by sarah gemini View Post
      lolz.......nae bs me ja rahi hun......ye "tamasha".phir sahi:)

      jaiye ap plz aur ek neend so len to insha Allah apka mood bilkul chokha ho jayega :)

      Fall view from inside my car
      near my work place :)

      Comment

      • #78
        Re: Buchpan ki eid

        Originally posted by sarah gemini View Post
        • bachpan ki eid ab se shayd kafi behtar thi........ramzan me eid cards ka ambaar....along wid eid gifts.........sara ramzan gft packings me guzrta thaa,coz i always lov to present gfts 2 my kzns n frnds,bohat excitments hoti thi,.......gifts ka silsila tou khair abhi b thma nahi.......aur cards...ab me khud banati hun,........
        • eidi abu se hi milti rahi hai,ami muje paisay nae detin,aj tak nae detin,...baqi idhar udhr se b shayd mil jati thi,means chachoo n maamoo n khala log se,....aur eidi ka krna kya hai,...i think ye gfts pe hi kharch hotay han ...
        • sb se attractive cheez sahee tor pe yaad nahi,bt shayd "qatlamma"....thats a special dish of eid,wo pehli fursat me khaya krti thi....
        • mere liye jo frq hai wo yeh hai k uss wqt me bohat shy thi,lacked confidence...so kahin milnay nahi jaya krti thi,...koi aata thaa tou km hi milti thi so eid kafi bore guzrti thi,...ab yeh hai k i hv a circle of frnds.......n kzns k sath b achay rawabat han.....so i prefer a gathering, n we do...
        Jahan tak mujay idea hua he aap ki ub ki eid buchpan ki eid se behtar honi chahiye. Pehlay aap shy thein milti julti nahi thein jub ke ub aap confident ho aur doost akhbaab hein aap ke kafi saray to mere khyaal mein eid ka charm to ziada milnay milanay mein he he....eid cards and gifts go parallel, wo to aap ub bhi kerti hein.

        Waise aik baat bataiye aap ki ammi aap ko paisay kyoon nahi detein
        :thmbup:

        Comment

        • #79
          Re: Buchpan ki eid

          Originally posted by sarah gemini View Post
          koi pta nae.....aj subah se khraab hai sehri se
          Relax, soo ke uthein gi to mood sahi ho jaye ga
          :thmbup:

          Comment

          • #80
            Re: Buchpan ki eid

            Originally posted by munda_sialkoty View Post
            Salam deviyo aur sajnoo,

            Aap sub ko yahan yeh batana he ke.

            Ke buchpan mein aap ki eid kesi guzarti thi?

            Aap kis kis se kitni kitni eidi lete thay aur kahan kharch kerte thay?

            Eid ke din sub se ziada attractive cheez kia hoti thi aap ke nazdeek?

            Us waqt ki eid mein aur aaj ki eid mein kia faraq he, nez ub aap eid kese guzartay hein

            Ho jaoo shuru :bwink:
            bachpan ki eid bohat achi guzarti thi
            sab se zeada eidi apne father se milti thi or story books lia karti thi me
            mera dress or frnds k ghar jana
            ab bare ho gaey hen bohat sari baton ka idraak hone k baad ab eid bas aik routine ki baat lagti he jo saal k saal chali ati he or guzar jati he bas:)

            Comment

            • #81

              w.salam
              bachpan ki eid zindagi ki sab sy behtreen eido mein sy hoti thi.... teddy
              apni sisoo ki sath mazi karti ... or haa hum buht shareef thi ... bachpan mein be .:D:. jahaa'n jana hota tha.. apni parentz ki sath chali jati... kabi akeli nahi gye yeaha ya waha.... jaisy ki ajj kal ki bachi hai.. meri lil couzinz.... subha ghar sy nikalti hai rat ko ati hai.. jab onsy pocha jayee kaha gye thi.. to maloom hota hai .. ka kaha kaha kais ki gharoo tak gye eidi leni ki lyee... :khi:
              or humein eidi apni baba jan or moor jan sy zayda milti thi ..or ajj tak MASHALLAH milti hai.. or haa abi to humari bro or siso be humein eidi bejti hai.... :dance2:
              sb sy attractive jab Baba jan and bro masjid sy ati thi or hum sab mil kar eid mubarak baad kehti thi.. :)
              ajj or os waqat ki eid mein .. buht farq hai.. ajj kal itna maza nahi ata .. jo phely how karta tha...:embarasse
              u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

              :pr:

              Comment

              • #82
                Re: Buchpan ki eid

                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                Jahan tak mujay idea hua he aap ki ub ki eid buchpan ki eid se behtar honi chahiye. Pehlay aap shy thein milti julti nahi thein jub ke ub aap confident ho aur doost akhbaab hein aap ke kafi saray to mere khyaal mein eid ka charm to ziada milnay milanay mein he he....eid cards and gifts go parallel, wo to aap ub bhi kerti hein.

                Waise aik baat bataiye aap ki ammi aap ko paisay kyoon nahi detein
                bchpan ki iss liye behtar lgti hai k smjh boojh ek bchay jitni hi thi...so khushi k chances zyada thya..ab wohi senorita wali baat k routine ki cheez lgti ha...infact im the only sis,bhai is younger than me......so mere liye boriat ka imkan zayda hota hai...choon k eid pe chuttiyan hoti han...studnt activities almost freezes......ghar pe me akeli bore hoajti hun...kuch saal tou bohat boriat walay tahy....bt phir me ne eid ko islamic point of view se dekhna shuru kiya aur lga k me na shukri ki murtakib tou nae ho rahi....phir....compromise hi krna prra..k muslim k liye eid reward hai ramzan k baad....
                شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                Comment

                • #83

                  :)well ami kehti han me paisay zaya krti hun.....waqi mera haath zra khula hi hai..aur ye aadat me ne apne abu se inherit ki hai...ami kuch na kuch market se le ati han,so wo ye b kehti han k ab tumko paison ki kya zaroorat:embarasse
                  شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                  Comment

                  • #84
                    Re: Buchpan ki eid

                    Originally posted by senorita View Post
                    bachpan ki eid bohat achi guzarti thi
                    sab se zeada eidi apne father se milti thi or story books lia karti thi me
                    mera dress or frnds k ghar jana
                    ab bare ho gaey hen bohat sari baton ka idraak hone k baad ab eid bas aik routine ki baat lagti he jo saal k saal chali ati he or guzar jati he bas:)
                    Yani tum buchpan se he story books perhti aai ho, mujay lagta he ke tum ziada stories UNCLE BUSH ki he perhti ho gi :khi:

                    Tum kabraoo na, is eid pe mein K2 pe aaon ga aur phir khoob Hallagulla karein ge :dance:
                    :thmbup:

                    Comment

                    • #85
                      Re: Buchpan ki eid

                      Originally posted by *Hala* View Post
                      w.salam
                      bachpan ki eid zindagi ki sab sy behtreen eido mein sy hoti thi.... teddy
                      apni sisoo ki sath mazi karti ... or haa hum buht shareef thi ... bachpan mein be .:D:. jahaa'n jana hota tha.. apni parentz ki sath chali jati... kabi akeli nahi gye yeaha ya waha.... jaisy ki ajj kal ki bachi hai.. meri lil couzinz.... subha ghar sy nikalti hai rat ko ati hai.. jab onsy pocha jayee kaha gye thi.. to maloom hota hai .. ka kaha kaha kais ki gharoo tak gye eidi leni ki lyee... :khi:
                      or humein eidi apni baba jan or moor jan sy zayda milti thi ..or ajj tak MASHALLAH milti hai.. or haa abi to humari bro or siso be humein eidi bejti hai.... :dance2:
                      sb sy attractive jab Baba jan and bro masjid sy ati thi or hum sab mil kar eid mubarak baad kehti thi.. :)
                      ajj or os waqat ki eid mein .. buht farq hai.. ajj kal itna maza nahi ata .. jo phely how karta tha...:embarasse

                      Your Sharafat is beyond any doubt Hala dear, is ki to mein guarantee deta hoon :salam: acha laga tumharay baray mein jaan ker, tumharay khyaal jaan ker, tumhari aadatein jaan ker aur tumhari eid se related activities jaan ker. Aur sub se achi baat ke tumhary bro, sis, baba, moor jani sabi tum ko eidi dete hein, itni eidi ka kerti kia ho :khi:
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #86
                        Re: Buchpan ki eid

                        Originally posted by sarah gemini View Post
                        bchpan ki iss liye behtar lgti hai k smjh boojh ek bchay jitni hi thi...so khushi k chances zyada thya..ab wohi senorita wali baat k routine ki cheez lgti ha...infact im the only sis,bhai is younger than me......so mere liye boriat ka imkan zayda hota hai...choon k eid pe chuttiyan hoti han...studnt activities almost freezes......ghar pe me akeli bore hoajti hun...kuch saal tou bohat boriat walay tahy....bt phir me ne eid ko islamic point of view se dekhna shuru kiya aur lga k me na shukri ki murtakib tou nae ho rahi....phir....compromise hi krna prra..k muslim k liye eid reward hai ramzan k baad....
                        [FONT=verdana,geneva,lucida,'lucida grande',arial,helvetica,sans-serif]Mujay aap ki boriyat ki waja nazar aa gai. We are four brothers aur hum ikathay jatay hein Eid ki namaz perhnay aur jub wapis aatay hein to hamari 3 behnein wait ker rahi hoti hein hamein welcome kerne ke liye aur eid lene ke liye, ammi se pyaar milta he aur is dooran jo hallagulla aur chitchat hoti he wo eid ko colourful bana deti he. hamaray ghar mein koi aik bhi out of city ho to ghar ki ronak khatam ho jati he, aur aap ke ghar to loog bohat kum hein :)

                        Ok worry not, aap apni cousins aur doostniyoon se GTG kia karein aur apnay relatives ko visit kia karein to eid ka maza zaroor aaye ga :thmbup:
                        [/FONT]
                        :thmbup:

                        Comment

                        • #87
                          Re: Buchpan ki eid

                          Originally posted by sarah gemini View Post
                          :)well ami kehti han me paisay zaya krti hun.....waqi mera haath zra khula hi hai..aur ye aadat me ne apne abu se inherit ki hai...ami kuch na kuch market se le ati han,so wo ye b kehti han k ab tumko paison ki kya zaroorat:embarasse
                          Aap itnay paisay kahan kharch ker deti hein? By the way aap khareed'ti kia hein???

                          Apart, aap ki ammi jo bhi kerti hein kuch sooch ke he kerti hoon gi :khi:
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #88
                            Re: Buchpan ki eid

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            Aap itnay paisay kahan kharch ker deti hein? By the way aap khareed'ti kia hein???

                            Apart, aap ki ammi jo bhi kerti hein kuch sooch ke he kerti hoon gi :khi:
                            me achi achi cheezon pe hi paisay khrch krti hun.....batati zaroor bt load shedding,tim coming nearer......so nxt tim sahee....
                            شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                            Comment

                            • #89
                              Re: Buchpan ki eid

                              Now it is my turn :salam:

                              Buchpan se he mere liye eid bohat maani rakhti thi, mein ne 9 saal ki age se he puray roozay rakhnay shuru kiye so mere liye yeh eid bohat special hoti thi. Yeh 5, 6 class se start karon ga, Eid pe shopping dad ke saath hoti thi aur jub wo UK mein hotay to Mom ke saath. Shopping days mein bara maza aata tha. Chand raat to mein almost jaag ke he guzaar deta. Doostiyaan to me ki buchpan se he vast extended thein to Eid ki namaz perh ke aa ke, ammi abu dono se eidi leta, I think 50, 50 rupay milti thi eidi mujay lekin mein un se baad mein aur einth leta tha. Mein ne apnay mom dad ke ilawa aaj tak kisi aur se eidi nahi li, na chacha se, na taya se, na khala se, na mamu se, kisi se bhi nahi. Khudaari buchpan mein he bari thi :bwink: Namaz perh ke aa ke kha pi ke dooston ke saath ground mein ja ke khoob cricket kheelta tha is din koi mana nahi kerta tha na is liye yeh aik feast thi me ke liye372-haha phir hum doost aapis mein plan ker ke koi na koi cheez mungwatay aur bahir ground mein beth ke khatay. Apnay relatives ke gharon ko visit kerte, wo eidi dete to eidi nai leni, wo kuch khanay ko kehtay to kehta ke mein abi kha ke aaya hoon, dil nahi ker raha 372-hahaEven though I was not shy but phir bhi kuch aisa he react kerta tha.

                              Ub ki eid, kafi different he. Eid ki namaz perhnay ke baad Eidiyaan dene ka silsila start ho jata he. Masjid se bahir nikaltay he eidi dena start hota hoon aur galiyoon se hotay huay jo buchay nazar aatay hein un ko eidi dete dete ghar aanay tak aik copy muk jati he :D: phir apni behnon ko eidi dena, bhaiyoon ko eidi dena, aur ammi ko eidi de ke phir un se eidi lena 372-haha (me bara hoon sub se na :embarasse) Me ke ghar jo bucha aata he eidi liye bagair nahi jata. Kafi saray relatives aatay hein milnay. Phir dooston ka aana jana lag jata he. Masroof eid hoti he bohat. 3, 4 din kese guzar jatay hein pata he nahi chalta :donno:
                              :thmbup:

                              Comment

                              • #90
                                Re: Buchpan ki eid

                                aur haan ub me ke 2nd aur 3rd day almost dooston ke saath he guzarta he, aik doosray ko lunch dinner ki partiyaan dete huay :p
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X