Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Buchpan ki eid

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Buchpan ki eid

    Originally posted by Sanam_khan1 View Post
    pachpan ki eid tu bhout achi hoti hai

    baron ki ki tu koi eid ka maza he nahi hota

    mujhay aj bee woh bachpan ki eid yaad ati hai
    :D:

    or mujhay kuch yaad nahi hay :donno:
    bohat achi baat he, aap avatar mein apnay kapray change ker lijiye phir aur ziada maza aaye ga :)
    :thmbup:

    Comment


    • #17
      Re: Buchpan ki eid

      jia itni explain kay sath 372-shock

      Comment


      • #18
        Re: Buchpan ki eid

        Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
        n u knw me amma ko Eidi dilwatee hun Baba se teddy


        baqol my mom wazeer e khazana zara hum per bhi nazr e kram kerwa dijiey badhsha hazoor ki taraf se 372-shock372-haha
        Waah yani eid walay din tum CHEETI lagti ho :khi:
        :thmbup:

        Comment


        • #19
          Re: Buchpan ki eid

          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          Salam deviyo aur sajnoo,

          Aap sub ko yahan yeh batana he ke.

          Ke buchpan mein aap ki eid kesi guzarti thi?

          Aap kis kis se kitni kitni eidi lete thay aur kahan kharch kerte thay?

          Eid ke din sub se ziada attractive cheez kia hoti thi aap ke nazdeek?

          Us waqt ki eid mein aur aaj ki eid mein kia faraq he, nez ub aap eid kese guzartay hein

          Ho jaoo shuru :bwink:
          Itna us waqt hoshmand naheen thi main kay itna yaad rehay.

          Itna zaroor yaad hai maching ki cheezain khareedti thi jubkay us waqt maching ka riwaj naheen tha aur na hi jaldi matching ki choorian milti theen. Choorian bohat sari jama karti thi per pehanti shayad hi kabhi thi.

          Hamaray abbu kapray bohat achchay achchay laya ya silwaya kartay thay jub wo pehnti thi to sub bohat tareef kartay thay.

          Main bohat kumgo aur shy thi aur aaj tuk zindagi main kabhi kuch kisi aur say manga naheen siwaay Allah kay. So jo mil jata wo khamoshi say lay leti eidi kay tor pay.

          Sirf jub kafi bari ho gai to abbu ki ladli honay ki wajah say ziada eidi ki demand ki thi jo abbu nain kaha jitna sub ko deta hoon wo us waqt milay ga baqi alag say. He He He. us waqt kay lihaz say wo kafi paisay hotay thay. Waisay walid say bhi kabhi kuch naheen manga siwaay eid pay kapray, jewlry, chapal, makeup kay saman ya kitabon kay paison kay ilawa.

          Kisi say kuch manga naheen jata dil main yay khiaal baar baar ata hai main koi faqeer naheen hoon jo kisi say mangoon. Albutta koi kuch mujh say zaroorat ka saman mangta hai to ussay hargiz faqeer naheen samajhti forun faraham kar deti hoon aur wapis naheen leti. Per khud mangnay main buchpun say bohat shirm ati hai.

          Apni tankhuwah bhi naheen mangti jo day deta hai to day deta hai, naheen deta to naheen mangti. Udhar bhi kabhi naheen mangti yay soch kar jissay dena hoga wo bin mangay day ga.

          Eid bus acchay kapray pehn kar aub parkon ya, hill park ya Cliffton kay sahilon waghaira ghoomnay ki jaghon main abbu hum sub buchchay, abbu kay dost aur chacha waghaira football khela kartay thay. Sub bachchay party aur abbu kay friend aur chacha aik taraf hotay thay main aur meray walid aik taraf aur muqabla huwa karta tha. Hum do sirf is liaay hotay thay abbu football kay achchay khilari thay is liay baqi lullu punjoo sub aik taraf hotay thay. Per match hamaisha hum hi jeetay thay. Bohat maza ata tha.

          Ub to eid eid hi naheen lugti.
          Subhan Allah

          Comment


          • #20
            Re: Buchpan ki eid

            Originally posted by jia View Post
            us wqt ki or ajj ki Eid main bohat farq hay ...tab hum sab bachy hoty thay humain kisi k gher hony na hony ka ahsaas nahi hota tha:(
            or ajj ki Eid ka to poocho he kuch mt...itni bore hoti hay k bssssssssss372-shed......mery Father,or 3 bro woh to abroad main hain isliay hum log eid pr bohat udas ho jaty hain:(
            jab abu g aa'ay hoon tab sab log humary gher aaty hain or jab woh UAE hoty hain to koi bhi nahi ata is wajaah say eid ziyada bore lagti hay:(
            Oh fiker na ker kuriye, is eid pe hum aaein ge tumharay ghar mehmaan ban ke, paka laaaein sheer khoorma :khi:
            :thmbup:

            Comment


            • #21
              Re: Buchpan ki eid

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              bohat achi baat he, aap avatar mein apnay kapray change ker lijiye phir aur ziada maza aaye ga :)
              mery avater ko na kuch bhi kaha karo nahi toooo..............aaaahhhooooooo..main isay kabhi bhi change nahi krny wali

              Originally posted by Sanam_khan1 View Post
              jia itni explain kay sath 372-shock
              haan ji abhi to kuch bhi nahi hay jahan bachpan ki baat ati hay whaan to batain khatam he nahi hoteenteddy

              Comment


              • #22
                Re: Buchpan ki eid

                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                Oh fiker na ker kuriye, is eid pe hum aaein ge tumharay ghar mehmaan ban ke, paka laaaein sheer khoorma :khi:
                khud he keh rhay ho fikr na karo or khud he fikar main daal rhay ho:yy: yeh btaa kr k Eid pay humary gher aa rhay ho.....
                Mashallah itna sara khana kon bna'ay ga 372-haha

                Comment


                • #23
                  Re: Buchpan ki eid

                  Originally posted by jia View Post
                  khud he keh rhay ho fikr na karo or khud he fikar main daal rhay ho:yy: yeh btaa kr k Eid pay humary gher aa rhay ho.....
                  Mashallah itna sara khana kon bna'ay ga 372-haha

                  Jia ji paka rahi hon gi aur ga rahi hon gi

                  Jia jalay jaan jalay
                  Nainon talay dhuwaan uthay
                  Dhuwaaaan uthaaaaaaaaaay372-haha
                  Subhan Allah

                  Comment


                  • #24
                    Re: Buchpan ki eid

                    wah ji bahot umda yadon ke pitare khul rahe hen or sab doston ke bachpane ki sunehri yaden padhne ko mil rahi hen. bakhuda ham bahot mahzuz ho rahe hen. shukria ap sabhi ka jinhon ne apni zindagi ke ek jharoke men hamen jhankne ka moqa diya. thank you

                    abhi tak filhal to ladies ne hi tafeeli rudad sunai he. gentlemen to khamosh hi hen. kia vo story gadh rahe hen? huzur jo bhi yad he vo likh kar suna den. thank you

                    men ap logon ko apne eid ke kia qisse sunaun, ap log shahron ke rahnewaale/wali hen to meri gaon wali magar dilchasp kahani sun kar kia lutf uthayenge ku k ap men se shayad hi kisi ne apni zindagi ka ek bada hissa gaon men bitaya ho. mujhe har har baat choti/badi sab yad he. agar ap log ijazat denge to men bhi arze hal kar dunga jo bhi hasb e hal tha us waqt. :)

                    but you got to promise me that, if do write, you will read! will you? :) well, if i spend so much of my time and energy and no one reads it coz its a lengthy one then its a futule exercise on my part and a sheer waste. :( i pronise one thing and that is you will enjoy my narrations and that you will have a chance to peek into a rural life style and see for you self how they celebrate eid :) thank you :)

                    sorry if i said something which ishouldn't have said. i really am. thanks
                    Last edited by SherAli; 15 September 2008, 17:32.

                    Fall view from inside my car
                    near my work place :)

                    Comment


                    • #25
                      Re: Buchpan ki eid

                      Originally posted by munda_sialkoty View Post
                      Waah yani eid walay din tum CHEETI lagti ho :khi:
                      372-shockteddy
                      sigpic

                      Comment


                      • #26
                        Re: Buchpan ki eid

                        Originally posted by SherAli View Post
                        wah ji bahot umda yadon ke pitare khul rahe hen or sab doston ke bachpane ki sunehri yaden padhne ko mil rahi hen. bakhuda ham bahot mahzuz ho rahe hen. shukria ap sabhi ka jinhon ne apni zindagi ke ek jharoke men hamen jhankne ka moqa diya. thank you

                        abhi tak filhal to ladies ne hi tafeeli rudad sunai he. gentlemen to khamosh hi hen. kia vo story gadh rahe hen? huzur jo bhi yad he vo likh kar suna den. thank you

                        men ap logon ko apne eid ke kia qisse sunaun, ap log shahron ke rahnewaale/wali hen to meri gaon wali magar dilchasp kahani sun kar kia lutf uthayenge ku k ap men se shayad hi kisi ne apni zindagi ka ek bada hissa gaon men bitaya ho. mujhe har har baat choti/badi sab yad he. agar ap log ijazat denge to men bhi arze hal kar dunga jo bhi hasb e hal tha us waqt. :)

                        but you got to promise me that, if do write, you will read! will you? :) well, if i spend so much of my time and energy and no one reads it coz its a lengthy one then its a futule exercise on my part and a sheer waste. :( i pronise one thing and that is you will enjoy my narrations and that you will have a chance to peek into a rural life style and see for you self how they celebrate eid :) thank you :)

                        sorry if i said something which ishouldn't have said. i really am. thanks
                        Don't ever think like that ...
                        yahan MashaALLAH sab hee members aik doosray k liey bht respect rakhtay hain ..aap share kijiey apni yaadei'N hum sab ko bht achha lagay ga unhein perh k
                        sigpic

                        Comment


                        • #27
                          Re: Buchpan ki eid

                          I would love to read story of your village. I'm a big fan of village life. Spent only few months in village and I loved the simple life.

                          I don't mind reading long stories. Thats why we come here to waste our time I mean our spare time to enjoy.
                          Subhan Allah

                          Comment


                          • #28
                            Re: Buchpan ki eid

                            Originally posted by MorningGlory View Post
                            Itna us waqt hoshmand naheen thi main kay itna yaad rehay.

                            Itna zaroor yaad hai maching ki cheezain khareedti thi jubkay us waqt maching ka riwaj naheen tha aur na hi jaldi matching ki choorian milti theen. Choorian bohat sari jama karti thi per pehanti shayad hi kabhi thi.

                            Hamaray abbu kapray bohat achchay achchay laya ya silwaya kartay thay jub wo pehnti thi to sub bohat tareef kartay thay.

                            Main bohat kumgo aur shy thi aur aaj tuk zindagi main kabhi kuch kisi aur say manga naheen siwaay Allah kay. So jo mil jata wo khamoshi say lay leti eidi kay tor pay.

                            Sirf jub kafi bari ho gai to abbu ki ladli honay ki wajah say ziada eidi ki demand ki thi jo abbu nain kaha jitna sub ko deta hoon wo us waqt milay ga baqi alag say. He He He. us waqt kay lihaz say wo kafi paisay hotay thay. Waisay walid say bhi kabhi kuch naheen manga siwaay eid pay kapray, jewlry, chapal, makeup kay saman ya kitabon kay paison kay ilawa.

                            Kisi say kuch manga naheen jata dil main yay khiaal baar baar ata hai main koi faqeer naheen hoon jo kisi say mangoon. Albutta koi kuch mujh say zaroorat ka saman mangta hai to ussay hargiz faqeer naheen samajhti forun faraham kar deti hoon aur wapis naheen leti. Per khud mangnay main buchpun say bohat shirm ati hai.

                            Apni tankhuwah bhi naheen mangti jo day deta hai to day deta hai, naheen deta to naheen mangti. Udhar bhi kabhi naheen mangti yay soch kar jissay dena hoga wo bin mangay day ga.

                            Eid bus acchay kapray pehn kar aub parkon ya, hill park ya Cliffton kay sahilon waghaira ghoomnay ki jaghon main abbu hum sub buchchay, abbu kay dost aur chacha waghaira football khela kartay thay. Sub bachchay party aur abbu kay friend aur chacha aik taraf hotay thay main aur meray walid aik taraf aur muqabla huwa karta tha. Hum do sirf is liaay hotay thay abbu football kay achchay khilari thay is liay baqi lullu punjoo sub aik taraf hotay thay. Per match hamaisha hum hi jeetay thay. Bohat maza ata tha.

                            Ub to eid eid hi naheen lugti.

                            Aap ko welcome to PG :phool:

                            Bari decent kuri lagti hein aap. Khair bohat acha laga aap ke baray mein jaan ker, aur aap ki guzashta eids ki activities ke baray mein jaan ker. Be blessed :rose
                            :thmbup:

                            Comment


                            • #29
                              Re: Buchpan ki eid

                              Originally posted by jia View Post
                              Wa Alikum Asalam:)
                              kia Eid yaad krwai hay app nay qasam say Eid to wohi thi jo bachpan main guzar gai:( or jo wapis nahi aa sakti:(
                              hum log bachpan main Eid ko bohat enjoy krty thay pata hay jab ammi Eid ki shoping kr k aati theen to humain humari cheezain nahi dikhati theen kion k hum log khraab kr daity thay ...humain woh shoping bhi Eid waly din he daikhny ko millti thi istrhaan say sony pay suhagy wali baat ho jati thi.....
                              hum log subhoo subhoo uth jaty thay ghr k gents Eid ki nmaaz ada krny jaty or un logoon k aany tk hum log ready baithy hoty thay k woh log aa kr humain Eidi dain gay:lpop:...chacha g,abu g,ammi, or DadiAllah Tala unhain jannat-u-firdos main buland muqam ata farma'ain(Ameen)...hum log in sab say Eidi laity thay un dinoo itny ziyada paisy nahi diay jaty thay kion k bachy paisy bohat khraab krty hain:hehe:
                              yeh charoo log aik line main baith jaty thay or hum sab ko Eidi daity thay...hum log naye kapry pehn k gher say bahir nikalty thay....yeh topy topy surmaaa or woh taiz colour wwali lipstick:kr::kr:or hand bag jo k humary liay bohat impoetant hota tha Eid waly din:hehe:hum log us wqt tk gher nahi aaty thay jab tk paissy khatam na ho ja'ain........

                              Yeh batao paison kharch kahan kerti thi koon si "HUTTI" pe ja ke paisay "WATAATI" thi :khi:
                              :thmbup:

                              Comment


                              • #30
                                Re: Buchpan ki eid

                                Originally posted by jia View Post
                                mery avater ko na kuch bhi kaha karo nahi toooo..............aaaahhhooooooo..main isay kabhi bhi change nahi krny wali


                                haan ji abhi to kuch bhi nahi hay jahan bachpan ki baat ati hay whaan to batain khatam he nahi hoteenteddy
                                mein ne tumhein nahi kaha, sanam ko kaha he :slap:
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X