Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Rainbow

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Rainbow

    Originally posted by musaddaq View Post
    woh insaano ki doctor ho gi na, ab tu to samjhta hia keh jo tera ilaaj na ker saka woh acha doctor hi nahi hai khote, teri kuch beemarian la-ilaj ho chuki hian, bulkeh un ki treatment date bhi expire ho chuki hia, :lpop:
    pus sabit hua ke tu la'ilaaj he :donno:
    :thmbup:

    Comment


    • Re: Rainbow

      Khayal Ata hai Khoobsurti Baqi hai Abhi Kahin :)
      Zindagi Thak Gaye ..!!

      Comment


      • Re: Rainbow

        Har rang juda hokar itna pyaara nahin lagta jitne sab saath hokar lagte hai, waise mujhe rainbow bahut pasand hai, dekhne ke baad Khuda ki Kudrat par yakeen aur bhi bad jata hai
        :insha:Saari Duniya Main Aman Ho

        Comment


        • Re: Rainbow

          Originally posted by astrofreak1234 View Post
          Har rang juda hokar itna pyaara nahin lagta jitne sab saath hokar lagte hai, waise mujhe rainbow bahut pasand hai, dekhne ke baad Khud ki Kudrat par yakeen aur bhi bad jata hai
          KHUDA ki qudrat tu hai hi nirali
          mashallah bahut sweet jawab diya app ne
          :)

          Comment


          • Re: Rainbow

            Originally posted by La'hasil View Post
            Khayal Ata hai Khoobsurti Baqi hai Abhi Kahin :)
            haan ajj kal zindagi ki khobsoorti ko dekhney ke lein ankhin tars jati hain

            Comment


            • Re: Rainbow

              Originally posted by Pakiza View Post
              Assalam alikum
              kesey hain sab
              app sab ko qos-e-qazah ka tu pata hi hoga arey wohi RAINBOW
              tu me ko ye pata karna hai ke jab app qos-e-qazah dekhtey/dekhti hain tu kia khayal aata hai
              :)

              chalin sab se pehley main hi batati hoon
              mujhey ye khayal aata hai ke muskurahat serf phoolon aur insaano main hi nahi khud ki qudrat main bhi hai :eye:


              chalin ab app batain sab jaldi jaldi
              Wa salaam

              Yehi keh kisi ney itni colorful line marney key liyey kitney markers istimaal kiyey hongey :khi:
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • Re: Rainbow

                Originally posted by Masood View Post
                Wa salaam

                Yehi keh kisi ney itni colorful line marney key liyey kitney markers istimaal kiyey hongey :khi:
                ALLAH ji ke karkhaney main kisi cheez ki kami nahi hai janab
                jo sochin aur chahin
                haqeeqt na sahi khawab main zarour mil jata hia
                :_

                Comment


                • Re: Rainbow

                  Originally posted by Pakiza View Post
                  ALLAH ji ke karkhaney main kisi cheez ki kami nahi hai janab
                  jo sochin aur chahin
                  haqeeqt na sahi khawab main zarour mil jata hia
                  :_
                  haaaa kya baat kar di PakDaman sahiba...

                  Allah key karkhaney mein kami to nahin per duniya ney na'insafiyaan aisi pedah kar di hain keh Allah key diyey per saanp ban ker baith gaey hain...
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • Re: Rainbow

                    Originally posted by Masood View Post
                    haaaa kya baat kar di PakDaman sahiba...

                    Allah key karkhaney mein kami to nahin per duniya ney na'insafiyaan aisi pedah kar di hain keh Allah key diyey per saanp ban ker baith gaey hain...
                    hmm tu iss ka solution bhi tu ALLAH ke hi paas hai
                    app mang kar tu dekhin
                    kabhi na kabhi tu mil hi jaey ga(jo chahtey hian)


                    aur main ney issi lein kaha ke khawab main tu mil hi jata hai sab kuch:_

                    Comment


                    • Re: Rainbow

                      Originally posted by Pakiza View Post
                      hmm tu iss ka solution bhi tu ALLAH ke hi paas hai
                      app mang kar tu dekhin
                      kabhi na kabhi tu mil hi jaey ga(jo chahtey hian)


                      aur main ney issi lein kaha ke khawab main tu mil hi jata hai sab kuch:_

                      Lo jo khawab mein to main ney duniya ko kaii baar fatah kar key wapis kar diya hai :lol aur khawab mein kaii aik Taj Mahal banwaa diyey hain (ab yeh na samajh lena keh meri itniiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii Mumtazein hain :lol :lol)
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • Re: Rainbow

                        Originally posted by Masood View Post
                        Lo jo khawab mein to main ney duniya ko kaii baar fatah kar key wapis kar diya hai :lol aur khawab mein kaii aik Taj Mahal banwaa diyey hain (ab yeh na samajh lena keh meri itniiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii Mumtazein hain :lol :lol)
                        :hehe:
                        main tu nahi poch rahi
                        albata app ki beghm zaror pochin gi ke itney TAJ kis kis ke lein banway hain


                        rahi baat khawabon ki tu meri tarhan ke log iss main bhi bahut khush hojatey hain...ke atleast khawab tu merey hi hian na

                        app ka main kia keh sakti hoon:)

                        Comment


                        • Re: Rainbow

                          Originally posted by Pakiza View Post
                          :hehe:
                          main tu nahi poch rahi
                          albata app ki beghm zaror pochin gi ke itney TAJ kis kis ke lein banway hain


                          rahi baat khawabon ki tu meri tarhan ke log iss main bhi bahut khush hojatey hain...ke atleast khawab tu merey hi hian na

                          app ka main kia keh sakti hoon:)
                          Khawab aap key hain? Khawab bhi kabhi kisi key huwey hain? Khawab to sirf us aik lamhey ki be'khudi hoti hai jab insaan nahin uski rooh parwaz karti hai :)
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • Re: Rainbow

                            Originally posted by Masood View Post
                            Khawab aap key hain? Khawab bhi kabhi kisi key huwey hain? Khawab to sirf us aik lamhey ki be'khudi hoti hai jab insaan nahin uski rooh parwaz karti hai :)
                            rooh parwaz karti hai

                            matlab:donno:

                            Comment


                            • Re: Rainbow

                              Originally posted by Pakiza View Post
                              rooh parwaz karti hai

                              matlab:donno:
                              Dekho bacha... Khawabon per jo research ki gaii hai uskey mutabiq insaani rooh badan key qafas sey nikal ker aazad ghoomna chahti hai. Khawab rooh key isi safar ka naam hai. Aap ney kabhi ghaur farmaya hai keh khawabon mein aap ajeeb ajeeb jaghon per hotey hain, aisi jaggon per jahan aap kabhi nahin jaa saktey/sakey? To woh rooh safar per hoti hai, magar is parwaz mein rooh ka dimagh sey interlink rehta hai, apney safar mein ajeeb ajeeb mushahidey karti hai, aur un mushahidon ka Pegham dimagh ko deti hai, jo hamein khawab ban ker nazar aata hai.
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • Re: Rainbow

                                Originally posted by Masood View Post
                                Dekho bacha... Khawabon per jo research ki gaii hai uskey mutabiq insaani rooh badan key qafas sey nikal ker aazad ghoomna chahti hai. Khawab rooh key isi safar ka naam hai. Aap ney kabhi ghaur farmaya hai keh khawabon mein aap ajeeb ajeeb jaghon per hotey hain, aisi jaggon per jahan aap kabhi nahin jaa saktey/sakey? To woh rooh safar per hoti hai, magar is parwaz mein rooh ka dimagh sey interlink rehta hai, apney safar mein ajeeb ajeeb mushahidey karti hai, aur un mushahidon ka Pegham dimagh ko deti hai, jo hamein khawab ban ker nazar aata hai.
                                hmmmmmmmmmm
                                magar kabhi kabhi asa bhi tu hota hai ke hum future dekhtey hain
                                asa kesey ho sakta hai:donno:

                                Comment

                                Working...
                                X