Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mohabat , Doalt..Izat , Shorat

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Mohabat , Doalt..Izat , Shorat

    Originally posted by Afroze View Post
    To 21 century main ham or ap hi to rahty hain ya koi or basta ha...
    kabhi socha ha k barish ka ager phla katra hi barsny sy enkar ker dy to kia ho ga.......
    Baat kisee aoor topic parr hoo arhee theee yehh Barish kaa Pehlaa Qatraa kahann see darmian main aa giaaaaaaaaaaaaaaa:cc:...........
    sabb aissayy hee kehh rahhay hain izzat chahieyy jabkehh haqeeqat yehh haii kehh aaj hamm sabb Doolat kayy peechhay andhaa dhund bhagg rahhay hainnnn,,,,lihazaa Dollt hee sab see impt hoii naa
    "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

    Comment


    • #17
      Re: Mohabat , Doalt..Izat , Shorat

      Originally posted by SANA NAZ View Post
      hmm yea izat hai to sab khuch hai izat k bagair muhabbat nahi milti ! aur izat k bagair doulat ka bhi koi faida nahi ! soo i prefer Izzat :)

      hmm 0k let c or member kia khaty hain

      Comment


      • #18
        Re: Mohabat , Doalt..Izat , Shorat

        aap ko serious jawab chahiyey ja gupshup wala?
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #19
          Re: Mohabat , Doalt..Izat , Shorat

          Originally posted by sarfraz_qamar View Post
          aaj kay Door main Mohhabt bhee Doolatt see miltee haii:lpop:....aoor Badqismatee see Izzatt kaa Miaar bhee Doolatt hee haiiiiiii :lpop:...................so
          jee jee bilkul dolat izzat se milti hai but wo dolat local hoti hai :D khalis nahi :D khalis muhabbat khushnaseeb logon ko naseeb hoti hai jo haqeeqi muhabbat sai wakif hote hain :) . jee bilkul izzat ka miaar dolat hai but wo izzat srif Naam ki izzat hoti hai jo mun par ki jati hai but peet pichai .......! just burayaan ! so kiya faida aisi naam ki izzat ka. aisi doulat sai to hum dur hi ache :)

          Comment


          • #20
            Re: Mohabat , Doalt..Izat , Shorat

            Originally posted by Silent.Tears View Post
            Aslamualekum

            Mohobbat Ke Peeche Bohot Bhaag Ke Dekh Liya

            Mohobbat Sirf Jhoot Aur Faraib Ki Dunya Hai

            Maana Is Main Rang Ache Hote Hain Lekin Wafa Ke Rang Nahin Hote

            Ek Na Ek Din Mohobbat Insan Ko Chor Hi Jaati Hai

            Is Liye Ye Berang Mohobbat Nahin Chahiye

            Aashiqon Se Muaazrat Lekin Main Apne Maazi Ke Haalaat Bayaan Kar Ke

            Keh Raha Hoon

            Dolat To Aane Jaane Waali Cheez Hai Aaj Hai To Kal Nahin Is Liye

            Dolat Bhi Itni Chahiye Jis Se Bus Guzaara Ho Sake

            Kyun Ke Fazool Kharchi ALLAH TAALA Ko Pasand Nahin


            Izzat Ek Baar Chali Jaaye Phir Nahin Aati Is Liye ( Izzat ) Chahiye

            Agar Insan Ki Izzat Ho To Shohrat Usay Khud Ba Khud Mill Jaati Hai

            Aur Sub Ki Chahat Bhi
            thnx...etna acha jawab dyny ka

            ap k jwab sy lagtak ap izat or dolat chay gy ..sawal kuch es terha ha k koi ak cheez apny ley passand karin

            Comment


            • #21
              Re: Mohabat , Doalt..Izat , Shorat

              Originally posted by Masood View Post
              aap ko serious jawab chahiyey ja gupshup wala?
              Aik Dum Serious Ho kar Jawaab Dena hai
              Zindagi Thak Gaye ..!!

              Comment


              • #22
                Re: Mohabat , Doalt..Izat , Shorat

                Originally posted by Masood View Post
                aap ko serious jawab chahiyey ja gupshup wala?

                thnx k ap yaha tashreef lay sir je

                Gupshup k liy or thread laga do gi per yaha ak dam serious or haqeqat sy qareeb jwab dain

                Comment


                • #23
                  Re: Mohabat , Doalt..Izat , Shorat

                  Originally posted by sarfraz_qamar View Post
                  Baat kisee aoor topic parr hoo arhee theee yehh Barish kaa Pehlaa Qatraa kahann see darmian main aa giaaaaaaaaaaaaaaa:cc:...........
                  sabb aissayy hee kehh rahhay hain izzat chahieyy jabkehh haqeeqat yehh haii kehh aaj hamm sabb Doolat kayy peechhay andhaa dhund bhagg rahhay hainnnn,,,,lihazaa Dollt hee sab see impt hoii naa
                  bat samjhy wali ha jo ap ko samjh ni ay gi :khi:

                  ap aj or logo ki bat na kary ..ap apni bat kary...ager log buri ki tarf ja rahin hain to kia ap bhi un k pechy jain gy........
                  yaha pa serf apni bat karin ap

                  Comment


                  • #24
                    Re: Mohabat , Doalt..Izat , Shorat

                    Originally posted by Afroze View Post
                    thnx k ap yaha tashreef lay sir je

                    Gupshup k liy or thread laga do gi per yaha ak dam serious or haqeqat sy qareeb jwab dain

                    Chalein ji aap ka bhi shukriyah keh aap ney bardasht kiya... to serious jawab yeh hai keh....

                    Duniya mein sab sey ziyada ahmiyat dolat ki hai. Dolat aik titli ki maanind hai, jo kabhi is phool per beth'ti hai to kabhi us phool per. Magar dolat hai to log aap ki izzat karein gey, dolat hai to muhabbat bhi mil jati hai, dolat hai to shohraat zaroor milti hai... yeh danist kehti hai.

                    Jazbaat yeh kehtey hain keh izzat ki zindagi ka aik pal, beghairati ki so sala dolat sey behtar hai :)
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #25
                      Re: Mohabat , Doalt..Izat , Shorat

                      Originally posted by SANA NAZ View Post
                      jee jee bilkul dolat izzat se milti hai but wo dolat local hoti hai :D khalis nahi :D khalis muhabbat khushnaseeb logon ko naseeb hoti hai jo haqeeqi muhabbat sai wakif hote hain :) . jee bilkul izzat ka miaar dolat hai but wo izzat srif Naam ki izzat hoti hai jo mun par ki jati hai but peet pichai .......! just burayaan ! so kiya faida aisi naam ki izzat ka. aisi doulat sai to hum dur hi ache :)
                      Khaliss Mohabbatt mujhaa too yehh Isstallahh parhh karr hansee aa rahee haiiiiii....najannay kiss Utopia main rehteee haii app...aaj jabb insann sanss lenneay kay lieyy Khalis Oxygen nahee miltee wahann aap Khalis mohabbat kee baat kar rahee hooo.............
                      hamaraa Musharaa sirf aoor sirf Dollat kee base parr izzat detaa haii soo ots reality Doolatt sab see zarooree haiiiiiiiiiii :lpop:
                      "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                      Comment


                      • #26
                        Re: Mohabat , Doalt..Izat , Shorat

                        Originally posted by Masood View Post
                        Chalein ji aap ka bhi shukriyah keh aap ney bardasht kiya... to serious jawab yeh hai keh....

                        Duniya mein sab sey ziyada ahmiyat dolat ki hai. Dolat aik titli ki maanind hai, jo kabhi is phool per beth'ti hai to kabhi us phool per. Magar dolat hai to log aap ki izzat karein gey, dolat hai to muhabbat bhi mil jati hai, dolat hai to shohraat zaroor milti hai... yeh danist kehti hai.

                        Jazbaat yeh kehtey hain keh izzat ki zindagi ka aik pal, beghairati ki so sala dolat sey behtar hai :)
                        :)
                        Zindagi Thak Gaye ..!!

                        Comment


                        • #27
                          Re: Mohabat , Doalt..Izat , Shorat

                          Originally posted by Afroze View Post
                          bat samjhy wali ha jo ap ko samjh ni ay gi :khi:

                          ap aj or logo ki bat na kary ..ap apni bat kary...ager log buri ki tarf ja rahin hain to kia ap bhi un k pechy jain gy........
                          yaha pa serf apni bat karin ap
                          iss main samjhnnayy aoor naa samjhnnay walee baat koii bhee naheee haiiii.........
                          simple see baat haii agar Doolat Zarooree nahee to aaj sabb Doolat kay peechayy kuun bhagg rahhay hainnnn....kunkehh aaj kayy door main jeenay kay lieyy doolat sab see important haiii jabkehh Baqee saree cheezain Sanwii haisiet rakhtee haiiiiii...........
                          joo aap Izzat yaa mohhabbat kee batt kar rahee hainn yehh sabb sirf kitaboon main kahanion main yaa pherr afsanoo kee hadd takk to sahee haii jabkehh haqeeqat iss see mukhtalff aoor talkhh haii
                          "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                          Comment


                          • #28
                            Re: Mohabat , Doalt..Izat , Shorat

                            Originally posted by Masood View Post
                            Chalein ji aap ka bhi shukriyah keh aap ney bardasht kiya... to serious jawab yeh hai keh....

                            Duniya mein sab sey ziyada ahmiyat dolat ki hai. Dolat aik titli ki maanind hai, jo kabhi is phool per beth'ti hai to kabhi us phool per. Magar dolat hai to log aap ki izzat karein gey, dolat hai to muhabbat bhi mil jati hai, dolat hai to shohraat zaroor milti hai... yeh danist kehti hai.

                            Jazbaat yeh kehtey hain keh izzat ki zindagi ka aik pal, beghairati ki so sala dolat sey behtar hai :)
                            Dunya ki nazar main kia cheez aham ha sab janty hain ..per ap khud kia passand karin gy...........ya jan k khusi hoi

                            wasy socha jay to Actor. Actress..Cricketers.en sab ka pass bhi bhot ha to kia ap ya kahna chay gy k en sab ka pass izat bhi ha

                            Comment


                            • #29
                              Re: Mohabat , Doalt..Izat , Shorat

                              Originally posted by Afroze View Post
                              ku ........zindagi guzarny k liy to mohabat ,dolat shorat zarori ha
                              hmmm beshak zindgai guzarne ke liye dollat ki or muhabbat ki bhi zaorat hoti hai..perrr

                              per ap yeh sochain..ager ap ki izat nahi hogi..tu ap ki shohrat kaise hogi...ager ap ki izat nahi hogi..tu log ap se muhabbat keiase kerain gay..ager ap ki izat nahi hogii tu ap ko dollat tu miljay gi perrr wohi baat hai jo barra logo ne kahi..dollat ati hai jatii haiii...
                              log yeh bhi kehte hain ke...dollat hai tu ap ki izat hai..per aisi izaat ka kiya faidaa ke jab ap ke pass dolat na ho tu wo izat bhi chali jay...

                              Meri nazaer main izaat sab se bher ker haiii....:)




                              Comment


                              • #30
                                Re: Mohabat , Doalt..Izat , Shorat

                                Originally posted by sarfraz_qamar View Post
                                Khaliss Mohabbatt mujhaa too yehh Isstallahh parhh karr hansee aa rahee haiiiiii....najannay kiss Utopia main rehteee haii app...aaj jabb insann sanss lenneay kay lieyy Khalis Oxygen nahee miltee wahann aap Khalis mohabbat kee baat kar rahee hooo.............
                                hamaraa Musharaa sirf aoor sirf Dollat kee base parr izzat detaa haii soo ots reality Doolatt sab see zarooree haiiiiiiiiiii :lpop:
                                lol aap ki baat fact hai but 100 % nahi aaj bhi khalis muhabbat ka apna wajood kayem hai dunya me aap real muhabbat dekh saktai ho maa ki aankhon me apne bachon k liye.behen ki aankhon me apne bhai k liye :) and nanhe munne bachon ki ankhon me apne ane wale kal k liye.actually sachi muhabbat har kisi ko nahi milti kyun nhi milti wo isliye k wo Haqeeqi muhabbat ko jaan nahi paye abhi tak aur Haqeeqi Muhabbat hai Apne Allah aur Hazrat Muhammad (S.W.T) sai Muhabbat karna !

                                wo shair tha naa

                                Ki Muhabbat S.W.T sai wafa tunay to hum tere hain
                                Ye Jahan Cheez kia ye Luhe kalam tere hain !

                                ye hoti hai haqeeqi muhababt jis se aaj hum buhat dur hain :) aur dolat ki muhabbat ki piche bhagte hain jis ka koi wajood nhi sab be mayine hain

                                well its my thinking ..........

                                and sab ki apni apni thinking hoti hai :) me kisi ki soch ko nahi
                                badal sakti :) and yea koi baat buri lagi ho to us k liye sorry dear :) but mare thinking to kal bhi ye thi aaj bhi ye hai aur INSHA ALLAH hamesha ye hi rahegi :)

                                Comment

                                Working...
                                X