Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

kia kare koi?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #91
    Re: kia kare koi?

    Originally posted by La'hasil View Post
    LoLZ Ithni Qurbaniyan Nahin Dein :p

    :slap: Nahin Kis Khushi Main Terjma karna hai :@
    Dekho mein tumharay liye kurbaniyaan nahi doon ga to kis ke liye doon ga :donno: batao batao
    :thmbup:

    Comment


    • #92
      Re: kia kare koi?

      Originally posted by BUS U HE View Post
      agar app haq per ho aur apke pass jhoot khalaf larnay ki taqat be ho tou phir khamosh nahi baithna chahiye ,otherwise sabar karna he best option hai warna fasaad paida ho sakta hai
      takat hi to nahi he:donno:

      Comment


      • #93
        Re: kia kare koi?

        Originally posted by MSA View Post
        sabr....aur Allah se dua
        wo to bohat ki he:)

        Comment


        • #94
          Re: kia kare koi?

          Originally posted by Masood View Post
          Qasas-ul-Ambiaa mein likha hai keh har Nabi key dor mein insaaf filfor ho jaya karta tha, magar Nabi Kareem SAW key dor sey insaaf Allah Tala ney aakhrat per rakh diya hai, keh usi din haq aur sach ka asal faisla ho ga. Zindagi na'insafiyon sey bhari parri hai. Aksar wohi log maar khatey hain jo sachey hotey hain - yehi duniya hai, jiski buniyad jhoot hai.

          Aisey halaat mein siraf Allah Allah karney key siwa koi chara nahin, sabar kijiyey keh ik din aisa insaaf zaroor hoga, jo final aur endless hoga!
          ji bilkul yehi sab se behter baat lagti he:)

          Comment


          • #95
            Re: kia kare koi?

            Originally posted by naveed iqbal View Post
            legta hay tumari shadi kehain aur ki ja rehi hay:kr:
            kabhi shadi ke elawa bhi kuch baat soch lia karen:slap:

            Comment


            • #96
              Re: kia kare koi?

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              Mein nahi maanta aisay faislon ko, aap bhi ehtajaaj karo aur na maano :donno:
              ye sab kar chukne ke baad bhi kuch na ho to???:donno:

              Comment


              • #97
                Re: kia kare koi?

                Originally posted by Pakiza View Post
                khamoshi koi solution nahi......agar app ko lagta hai ke khamosh rehney se app ke masail hal ho jain gey tu theek hai nahi tu speak up..say ur heart out....least of all apna point of view tu bata ho do faisla karney walon ko .... aur in sab ke saath saath Allah ke darbar main apna masla bayan karo...ab u kaho gi ke Allah ko tu sab pata hota hai....but dear Allah se apni marzi maongo gi tabhi tu miley gi na....jo kuch ben mangey nahi milta wo mangney se mil jata hai....Allah Pak sab ki sunta hai Wo nainsafi nahi karta apney bandon ke saath....Allah Pak app ki bhi suney ga...AMEEN....good luck:)
                Allah ko to bata dia he or kabhi kabhi lagta he k bolne ka bhi koi faeda nahi:)

                Comment


                • #98
                  Re: kia kare koi?

                  Originally posted by La'hasil View Post
                  :) hmmm Bolne Ki Jagah paey Insaan Bol bhi Parta hai Maghar Kabhi Jahaan Na Bol Sakhta ho tu Apna Mamla Allah paey Chor do kay Be'shak wo Behtar Insaaf karney wala hia :)
                  haan jab hamari kuch nahi chatli to ham yehi to karte hen lekin asal me insan ke ander aik ghusa sa bhar jata he aik insult ki feeling hoti he k kuch log kese ham se game karte hen.

                  Comment


                  • #99
                    Re: kia kare koi?

                    Originally posted by Shakh-e-Tamana View Post
                    agree wid La hasil sis.....:eye:.....koi or nahi sun raha tu Allah talah tu sun or dekh rahay hain na....tu wo ap k saath galat nahi honay daien gaye.....InshaAllah....
                    inshAllah

                    Comment


                    • Re: kia kare koi?

                      Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                      agar banda haq par ho to khamoshi kufr hai... mery khayal maiN :lpop:,

                      insaaf kay leay laRna chaheay chahay woh aap ko phir bhi na millay, par jo banda tension day raha hai usay bhi to tension ho, kay yeh maiN nay kisay chaiR dia :kr:

                      aur reh gai Allah par choRnay wali baat, ba'haisiyat-e-musalman bohot khobsorat baat hai, par Iqbal farma gaiy hain.....

                      amal say farigh howa musalmaN, kar kay taqdeer ka bahana....!!

                      taqdeer maiN likha jaan kar har zulm sehna bhi zaalim ki madad karnay kay barabar hai...
                      sab kuch kar ke bhi jab natija wohi nikle to sabar hi acha na:khi:

                      Comment


                      • Re: kia kare koi?

                        Originally posted by Xenya View Post
                        walaikum salam

                        Mmm akser khamoshi bohot kuch keh jati hai to agar aap ko lagey key your silence is stronger than your words ..phir khamosh raheiN aur agar nahi to phir himmat ker key bol leiN ... :d
                        haan kabhi kabhi khamoshi bohat behter hoti he:)

                        Comment


                        • Re: kia kare koi?

                          Originally posted by musaddaq View Post
                          Khamoshi hamesha hi best policy nahi hoti, but it all depends time to time, dekhain ager aisa mauqa aa jae or hamesha hi chup hi rahain hum to kaii baar yeh samjha jata hai keh hum shaid tha hi ghalat, iss liye apne haq keh liya hamesha hi larna chahia:)
                          ager ham hamesha hi apne haq ke leay karte rahen to laraka mashahoor ho jaen ge:khi:kabhi kabhi bari herat hoti he k insan kese apne faede ke elay dusron ki sadgi se khel jate hen lekin khamoshi se ager ham hat jaen to sharmindagi bhi ese hi logon ke hise me ati he ager sharam rakhte hon to:tauba

                          Comment


                          • Re: kia kare koi?

                            Originally posted by hamzad View Post
                            ye sab kar chukne ke baad bhi kuch na ho to???:donno:
                            To jo dil mein aaye karo :khi:
                            :thmbup:

                            Comment


                            • Re: kia kare koi?

                              Originally posted by hamzad View Post
                              haan jab hamari kuch nahi chatli to ham yehi to karte hen lekin asal me insan ke ander aik ghusa sa bhar jata he aik insult ki feeling hoti he k kuch log kese ham se game karte hen.
                              Hmm Sahi kehti ho Maghar Hamari Be'Basi Hamari Khilaf aa jati hai :)
                              Zindagi Thak Gaye ..!!

                              Comment


                              • Re: kia kare koi?

                                Originally posted by La'hasil View Post
                                Hmm Sahi kehti ho Maghar Hamari Be'Basi Hamari Khilaf aa jati hai :)
                                Itni serious baatein to na karo, me ka mood bhi off ho sakta he :khi:
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X