Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

khubsurati??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: khubsurati??

    Originally posted by hamzad View Post
    aik bohat serious baat poochna he ap sab se plzz is ka serious jawab hi dijeay ga:blush:shadi ke leay larki ka khubsurat hona kitna zaruri he?:mm:akher kia mayar he khubsurti ka?jo larke 1st demand hi ye rakhen k larki khubsurat honi chaey kia wo theek soch rakhte hen??:cc:
    maine soacha shayaid khoobsurat larkioo ki pic hoo ghee is thread may :kr::kr:
    :tauba:tauba

    Comment

    • #62

      yaa Khoob soort honaa zaroree haii naa kehh Khoof soorat hooooo........
      bczz aaj kayy door main Khhoob soorat kee joo harkatt ADA kehlate haii agar ussayy koii Kabool sooratt karray too uss kaa shummar Baatameezee main hootaa haiiiii....
      "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

      Comment

      • #63
        Re: khubsurati??

        Originally posted by BUS U HE View Post
        maine soacha shayaid khoobsurat larkioo ki pic hoo ghee is thread may :kr::kr:
        :tauba:tauba
        loo Biillayy koo CheeChrroon kayy khawabbb :kr:
        "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

        Comment

        • #64
          Re: khubsurati??

          Originally posted by hamzad View Post
          chalo g me to aik khubsurat bivi ki talash me larke ki baat kar rahi thi ap to char char ki baat kar rahe hen:a stick:
          Theek he ager aap kehti hein to mein aik kum ker deta hoon, per is se kum nahi karon ga :na:
          :thmbup:

          Comment

          • #65
            Re: khubsurati??

            Originally posted by GumShuda View Post
            lols koi mayar nai hota khoobsurti ka....

            khoobsoorti daikhnay wali ki ankh mein hoti hai. Ho sakta hai ek larki apko khoobsurat lagay aur mujhe badoosrat tu eska matlab ap ki ankh mein khobsurti hai :d

            samajh lagi ?

            Kisi ne Majnoo'N se Kaha;
            Oye Majnoo'N Teri Laila Kaali.

            Majnoo'N Ne Kaha;
            Teri Akh (Aankh) nai waikhan Wali.
            Matlab tumhari ankh hi daikhnay wali nahi hai :d
            I agree, mein is baat per bohat believe kerti hoon ke khubsurti dekhney walay ki ankh mein hoti hai!

            hamzad's question:
            You are right, boy and also his family demand for a beautiful girl---no doubt khubsurti ankhon ko bhati hai:)
            Kahien aqwal hein ke yeh chaar din ki khubsurti, jawani dhal jayey gi.
            Kuch logon ko chand say bhi tashbi di jati hai, lekin chand mein bhi to daag hota hai!
            Aur Islam mein bhi inner beauty ko prefer kiya gaya hai not outer!
            Lekin jab yeh aik system sailab ki sourat aa chuka hai tou do, teen log isey nahi badal saktey.
            Aur bay-shak aap kise ko samjha bhi lein, log phir bhi outer beauty ko he dekhtey hein:)
            Last edited by *Hijab*; 16 February 2008, 02:27.

            Comment

            • #66
              Re: khubsurati??

              Originally posted by GumShuda View Post
              lols koi mayar nai hota khoobsurti ka....

              khoobsoorti daikhnay wali ki ankh mein hoti hai. Ho sakta hai ek larki apko khoobsurat lagay aur mujhe badoosrat tu eska matlab ap ki ankh mein khobsurti hai :d

              samajh lagi ?

              Kisi ne Majnoo'N se Kaha;
              Oye Majnoo'N Teri Laila Kaali.

              Majnoo'N Ne Kaha;
              Teri Akh (Aankh) nai waikhan Wali.
              Matlab tumhari ankh hi daikhnay wali nahi hai :d
              Teri Akh nai waikhan wali.
              Quraaan de harf vi kalay - aisa hi kuch kaha tha us ne
              Allah

              Comment

              • #67
                Re: khubsurati??

                Yeh humarey logoN ki reet hay ke khoobsurat na ho koi to aisay hi betha rhey - barhaal yeh insaan ki fitrat hay ke usay khoob se khoob tar ki talash rehti hay.
                Allah

                Comment

                • #68
                  Re: khubsurati??

                  Originally posted by Yaaram View Post
                  Yeh humarey logoN ki reet hay ke khoobsurat na ho koi to aisay hi betha rhey - barhaal yeh insaan ki fitrat hay ke usay khoob se khoob tar ki talash rehti hay.
                  :cc:

                  Comment

                  • #69
                    Re: khubsurati??

                    Originally posted by hamzad View Post
                    aik bohat serious baat poochna he ap sab se plzz is ka serious jawab hi dijeay ga:blush:shadi ke leay larki ka khubsurat hona kitna zaruri he?:mm:akher kia mayar he khubsurti ka?jo larke 1st demand hi ye rakhen k larki khubsurat honi chaey kia wo theek soch rakhte hen??:cc:
                    larki ka khoobsoorat hona sirf itna hi zaroori hai keh woh aap keh sath chalti achi laga, bcoz husband or wife mian physical khoobsoorti thora time keh liya important ho sakti hai but long term amin nahi ,bcoz phir woh ek doosre ki inner khoobsoorti ki wajah se pyar kerta hian ek doosre se, aap practical life mian bhi dekh lain keh before marriage bhi if someone have gf or bf to start main to shaid khoobsoorti matter kerti hai but waqt guzerne keh sath sath yeh sab feeling khatam ho jati hia, phir sirf aap uss keh inner ki wajah se hi uss se pyar kerta hian

                    Comment

                    • #70
                      Re: khubsurati??

                      Originally posted by musaddaq View Post

                      u nay bhi kaafi sahi dassa hai,..:khi:

                      Comment

                      • #71
                        Re: khubsurati??

                        Originally posted by sher ali View Post
                        u nay bhi kaafi sahi dassa hai,..:khi:
                        waqi yeh sach ahi,koi bhi khud apne aap se iss ko soch sakta hai keh yeh sach hi hai

                        Comment

                        • #72
                          Re: khubsurati??

                          Originally posted by musaddaq View Post
                          waqi yeh sach ahi,koi bhi khud apne aap se iss ko soch sakta hai keh yeh sach hi hai
                          hmm..lakin agar thora sa deep socha jaaye tu ..yay sach thora sa kerwa bhi hai...
                          am i right..??:cc:

                          Comment

                          • #73
                            Re: khubsurati??

                            Originally posted by hamzad View Post
                            aik bohat serious baat poochna he ap sab se plzz is ka serious jawab hi dijeay ga:blush:shadi ke leay larki ka khubsurat hona kitna zaruri he?:mm:akher kia mayar he khubsurti ka?jo larke 1st demand hi ye rakhen k larki khubsurat honi chaey kia wo theek soch rakhte hen??:cc:
                            Hamzad jee !

                            aik buhat achi baat point ki hai aap nay
                            hum female honay k naatay se tu naturally yehi kahein gay k
                            larkay waloun ki yeh demand inte-hai fazool hai kion k larki koi
                            market mein milnay wala decoration piece tu hai nahi k jo wo apnay ghar
                            mein saja kar saray irdgird k logouN ko ya relatives mein SHOW off karein
                            aur chaaan phatak k chose karein ....yehi kaam tu larki walay b kar saktay
                            hein ....k wo b larkay k handsome honay ko prefer karein aur koi b seerat
                            ko nahi deykhein

                            But yeh hamari society mein kuch aisa behavior ban chuka hai na k
                            Mothers of girls khud apni daughters ko khoobsoorat ban-nay aur rehnay k ways bata-tii hein , onn ko be hijab rehnay se mana`a nahi kartein k kahin backward honay ki wajh se wo reject na kar dee ja-ay ...deykha ja-ay tu larkay ki mothers aur sisters jo khud females hein
                            wo hii iss behavior ki wajh b hein , larka cha-hay yeh demand rakhay ya
                            nahi , oss k rishtay daar khawateen HOOR dhoondhnay nikalti hein
                            cha-hay khud onn ka beyta Allah Moaf karay jesa b ho...
                            yeh waqi aisa nahi hona chahiyay ....magar yeh hamari society ka buhat
                            almiya hai , larki mein sab se bara husan COMPROMISE ka hona chahiyay , haalat k sath khud ko MOLD karna aur
                            sab k sath khoobseerti se pesh anay wali larki Khoobsoorat hoti hai

                            issi silsilay mein ek bohat pehlay ki parhi hoi baat yaad aa gai
                            jo monthly urdu digest jo pakistan se nikalta tha mein nay college
                            library mein parha ..waqia kuch yun hai k

                            do dost thay ...ek ki shadi hoti hai magar wo apni B V ko apnay dost k
                            samnay nahi lata , yani parda karwata hai , dost oss ko kehta hai k yaar
                            kia bhabhi itni khoobsoorat hai k aap nazar lagnay k dar se nahi milwana chahtay , chalein khana hee khilwa dein apni begum k hath kaa! shadi shuda dost oss ko apnay ghar invite karta hai ,
                            begum jo waqi haseen

                            hai oss ko samnay aanay se Rok deyta hai ...
                            jab khana la k table rakhta hai tu ...oss ka Mehman dost oss ko kehta hai aaj tu mein nay apni bhabhi ko deykh hee liya..
                            shadi shuda dost ko ghussa aa jata hai ...K itni bey hiyaai k oss ki
                            B V oss k dost k samnay aa ga`i ..wo chup rehta hai kion k ab dost khana kah ley tu ja k B V ki khabar ley gaa...
                            **yar waqi tumhari BV buhat bad- soorat hai ..**
                            oss k Yun kehnay per married dost oss ka grebaan pakar

                            leyta hai, tumhari yeh himmat tum meri B V ko kesay deykh saktay ho
                            jab k mein nay oss ko manaa kia tha samnay aanay se .....Mehmaan
                            dost baray halkay se oss se greban churaatey howay kehta hai
                            mein nay tu tumhari Begum ko deykha b nahi ....magar yeh deykho
                            jiss tarah k bartanouN mein tum khana la-ay ho wo itnay ganday hein
                            k pata chal jaata hai k wo kitni saleeqa sho-ar hai .....agar wo waqi khoobsoorat hoti tu wo apnay ghar k zeb o zeenat per tawajuh b deyti
                            wo beyshak zahir tur per khoobsoorat ho gee magar aurat ka asal husan
                            oss ka saleeqa hai oss ka Sughar punn hai ....
                            bass itni c baat :)

                            Larki ko mangnay aanay waloun ko apni beytiyun ka b khiyal karna
                            chahiyay k kal ko koi inn k ghar b ossi NIYAT k sath aa sakta hai jis niyat se
                            wo aaj kisi aur ki beyti k ghar gay hein
                            kafi lambi baat ho gaii ..warna abhi mein kafi kuch likh sakti thee :)

                            DIL K KHOOBSOORT LOAG kabh bahir husan ko nahi deykhtay
                            yaad rakhiyay ga

                            Comment

                            • #74
                              Re: khubsurati??

                              Originally posted by musaddaq View Post
                              larki ka khoobsoorat hona sirf itna hi zaroori hai keh woh aap keh sath chalti achi laga, bcoz husband or wife mian physical khoobsoorti thora time keh liya important ho sakti hai but long term amin nahi ,bcoz phir woh ek doosre ki inner khoobsoorti ki wajah se pyar kerta hian ek doosre se, aap practical life mian bhi dekh lain keh before marriage bhi if someone have gf or bf to start main to shaid khoobsoorti matter kerti hai but waqt guzerne keh sath sath yeh sab feeling khatam ho jati hia, phir sirf aap uss keh inner ki wajah se hi uss se pyar kerta hian
                              aap ki baat sahi hai magar ek khoobsoorat larki k sath
                              chalnay k liyay ek larkay ko b khoobsoorat hona chiyay na
                              phir ......k WO OS K SATH CHALTA HOWA ACHA LAGAY
                              na k Hoor aur langoor wala moamla ho ja-ay :khi:

                              Comment

                              • #75
                                Re: khubsurati??

                                Originally posted by Yaaram View Post
                                Yeh humarey logoN ki reet hay ke khoobsurat na ho koi to aisay hi betha rhey - barhaal yeh insaan ki fitrat hay ke usay khoob se khoob tar ki talash rehti hay.
                                Magar chehra tu Allah ki bana-ii hoi cheez hai na
                                oss ko sirf plastic surgery se hee theek kia ja saky ga na
                                kioN yeh ekhtiyar larki walouN ko haasil nahi bass sirf larkay walouN
                                ko Haasil hai ?

                                Comment

                                Working...
                                X