Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

khubsurati??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: khubsurati??

    Originally posted by GumShuda View Post
    lols koi mayar nai hota khoobsurti ka....

    khoobsoorti daikhnay wali ki ankh mein hoti hai. Ho sakta hai ek larki apko khoobsurat lagay aur mujhe badoosrat tu eska matlab ap ki ankh mein khobsurti hai :d

    samajh lagi ?

    Kisi ne Majnoo'N se Kaha;
    Oye Majnoo'N Teri Laila Kaali.

    Majnoo'N Ne Kaha;
    Teri Akh (Aankh) nai waikhan Wali.
    Matlab tumhari ankh hi daikhnay wali nahi hai :d

    u r right Brother !


    beyshak Husan aap ki apni nazar meiN hai KaRoR rupees k baat ki
    wesay deyna nahi meinnay aap ko :) wo kaRoR rupiya ::na::khi:

    aur laila majnoN ka qissa
    isi baat ka saboot hai ........

    laikin aik baat mein iss mein mazeed bhar-haOn gee k
    aaj kal tu wesay larkouN k b beauty saloon
    ban chukay hein , wo kioN khoobsoorat dikhna chahtay hein
    naturally Khoobsoort dikhna sabhi ka haq hai , magar

    Kai larkiyan kis saloon etc mein nahi b jaein wo ek
    munasib see shakal soorat ki b hoon tu HIYA onn ka
    Husan ban jaati hai bass AANKH deykhnay wali hoo
    Jab wo sab husan k andhay hon aur seerat se na balad houn
    Tu wo kia janein .....NAR KALI DIYA BAHAARAAN :)
    Last edited by Gul; 16 February 2008, 07:43.

    Comment


    • #77
      Re: khubsurati??

      @Yaaram
      sab kuch nai batatay :d , bas jo sab ki samajh mein aa jaye utni baat hi sahi hai. :d

      @Sadia
      agree karnay per thanks ,
      Islam mein Seerat ko hi prefrence di gaye hai , esi lye kah yeh masla hota rahay ga :d . Ek survey kia gaya Tha pata hai kia tha ??

      Kah Zayada Marad, Aurat ki shakal daikh kar hi payar kartay hain aur Aurtain aisa nahi kartain wo shakal par nahi wo yeh daikhti hain wo karta kia hai yeh wo... .. khair yeh gorooN ki batain hain :d, waisay pakistan mein bi aisa hi hota hai mostly.
      Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
      Sadly, common sense is not very common..!!

      Comment


      • #78
        Re: khubsurati??

        Originally posted by Gul View Post
        u r right Brother !

        beyshak Husan aap ki apni nazar meiN hai KaRoR rupees k baat ki
        wesay deyna nahi meinnay aap ko :) wo kaRoR rupiya ::na::khi:

        aur laila majnoN ka qissa
        isi baat ka saboot hai ........

        laikin aik baat mein iss mein mazeed bhar-haOn gee k
        aaj kal tu wesay larkouN k b beauty saloon
        ban chukay hein , wo kioN khoobsoorat dikhna chahtay hein
        naturally Khoobsoort dikhna sabhi ka haq hai , magar

        Kai larkiyan kis saloon etc mein nahi b jaein wo ek
        munasib see shakal soorat ki b hoon tu HIYA onn ka
        Husan ban jaati hai bass AANKH deykhnay wali hoo
        Jab wo sab husan k andhay hon aur seerat se na balad houn
        Tu wo kia janein .....NAR KALI DIYA BAHAARAAN :)
        thankooz
        lols chalo phir paisay kadoo cheethi cheethi :d
        ab ap par ek karoor ka udhar hai mei'N ne le kar chorna hai :kr:
        Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
        Sadly, common sense is not very common..!!

        Comment


        • #79
          Re: khubsurati??

          Originally posted by Sadia View Post
          I agree, mein is baat per bohat believe kerti hoon ke khubsurti dekhney walay ki ankh mein hoti hai!

          hamzad's question:
          You are right, boy and also his family demand for a beautiful girl---no doubt khubsurti ankhon ko bhati hai:)
          Kahien aqwal hein ke yeh chaar din ki khubsurti, jawani dhal jayey gi.
          Kuch logon ko chand say bhi tashbi di jati hai, lekin chand mein bhi to daag hota hai!
          Aur Islam mein bhi inner beauty ko prefer kiya gaya hai not outer!
          Lekin jab yeh aik system sailab ki sourat aa chuka hai tou do, teen log isey nahi badal saktey.
          Aur bay-shak aap kise ko samjha bhi lein, log phir bhi outer beauty ko he dekhtey hein:)
          haan ab kisi ko samjh na aey to kia karen:tauba

          Comment


          • #80
            Re: khubsurati??

            Originally posted by Gul View Post
            Hamzad jee !


            aik buhat achi baat point ki hai aap nay
            hum female honay k naatay se tu naturally yehi kahein gay k
            larkay waloun ki yeh demand inte-hai fazool hai kion k larki koi
            market mein milnay wala decoration piece tu hai nahi k jo wo apnay ghar
            mein saja kar saray irdgird k logouN ko ya relatives mein SHOW off karein
            aur chaaan phatak k chose karein ....yehi kaam tu larki walay b kar saktay
            hein ....k wo b larkay k handsome honay ko prefer karein aur koi b seerat
            ko nahi deykhein

            But yeh hamari society mein kuch aisa behavior ban chuka hai na k
            Mothers of girls khud apni daughters ko khoobsoorat ban-nay aur rehnay k ways bata-tii hein , onn ko be hijab rehnay se mana`a nahi kartein k kahin backward honay ki wajh se wo reject na kar dee ja-ay ...deykha ja-ay tu larkay ki mothers aur sisters jo khud females hein
            wo hii iss behavior ki wajh b hein , larka cha-hay yeh demand rakhay ya
            nahi , oss k rishtay daar khawateen HOOR dhoondhnay nikalti hein
            cha-hay khud onn ka beyta Allah Moaf karay jesa b ho...
            yeh waqi aisa nahi hona chahiyay ....magar yeh hamari society ka buhat
            almiya hai , larki mein sab se bara husan COMPROMISE ka hona chahiyay , haalat k sath khud ko MOLD karna aur
            sab k sath khoobseerti se pesh anay wali larki Khoobsoorat hoti hai

            issi silsilay mein ek bohat pehlay ki parhi hoi baat yaad aa gai
            jo monthly urdu digest jo pakistan se nikalta tha mein nay college
            library mein parha ..waqia kuch yun hai k

            do dost thay ...ek ki shadi hoti hai magar wo apni B V ko apnay dost k
            samnay nahi lata , yani parda karwata hai , dost oss ko kehta hai k yaar
            kia bhabhi itni khoobsoorat hai k aap nazar lagnay k dar se nahi milwana chahtay , chalein khana hee khilwa dein apni begum k hath kaa! shadi shuda dost oss ko apnay ghar invite karta hai ,
            begum jo waqi haseen
            hai oss ko samnay aanay se Rok deyta hai ...
            jab khana la k table rakhta hai tu ...oss ka Mehman dost oss ko kehta hai aaj tu mein nay apni bhabhi ko deykh hee liya..
            shadi shuda dost ko ghussa aa jata hai ...K itni bey hiyaai k oss ki
            B V oss k dost k samnay aa ga`i ..wo chup rehta hai kion k ab dost khana kah ley tu ja k B V ki khabar ley gaa...
            **yar waqi tumhari BV buhat bad- soorat hai ..**
            oss k Yun kehnay per married dost oss ka grebaan pakar
            leyta hai, tumhari yeh himmat tum meri B V ko kesay deykh saktay ho
            jab k mein nay oss ko manaa kia tha samnay aanay se .....Mehmaan
            dost baray halkay se oss se greban churaatey howay kehta hai
            mein nay tu tumhari Begum ko deykha b nahi ....magar yeh deykho
            jiss tarah k bartanouN mein tum khana la-ay ho wo itnay ganday hein
            k pata chal jaata hai k wo kitni saleeqa sho-ar hai .....agar wo waqi khoobsoorat hoti tu wo apnay ghar k zeb o zeenat per tawajuh b deyti
            wo beyshak zahir tur per khoobsoorat ho gee magar aurat ka asal husan
            oss ka saleeqa hai oss ka Sughar punn hai ....
            bass itni c baat :)

            Larki ko mangnay aanay waloun ko apni beytiyun ka b khiyal karna
            chahiyay k kal ko koi inn k ghar b ossi NIYAT k sath aa sakta hai jis niyat se
            wo aaj kisi aur ki beyti k ghar gay hein
            kafi lambi baat ho gaii ..warna abhi mein kafi kuch likh sakti thee :)

            DIL K KHOOBSOORT LOAG kabh bahir husan ko nahi deykhtay
            yaad rakhiyay ga
            beshak u ki sab baten theek hen or me ne dekha he yahan sabhi ne kaha k inner beauty zeada ehem he lekin kia karen is dunya me ehmak tareen insan bhi baste hen jin ke dimagh me ye baat nahi beth rahi:tauba

            Comment


            • #81
              Re: khubsurati??

              Originally posted by musaddaq View Post
              larki ka khoobsoorat hona sirf itna hi zaroori hai keh woh aap keh sath chalti achi laga, bcoz husband or wife mian physical khoobsoorti thora time keh liya important ho sakti hai but long term amin nahi ,bcoz phir woh ek doosre ki inner khoobsoorti ki wajah se pyar kerta hian ek doosre se, aap practical life mian bhi dekh lain keh before marriage bhi if someone have gf or bf to start main to shaid khoobsoorti matter kerti hai but waqt guzerne keh sath sath yeh sab feeling khatam ho jati hia, phir sirf aap uss keh inner ki wajah se hi uss se pyar kerta hian
              achi soch he ap ki:thmbup:

              Comment


              • #82
                Re: khubsurati??

                Originally posted by hamzad View Post
                aik bohat serious baat poochna he ap sab se plzz is ka serious jawab hi dijeay ga:blush:shadi ke leay larki ka khubsurat hona kitna zaruri he?:mm:akher kia mayar he khubsurti ka?jo larke 1st demand hi ye rakhen k larki khubsurat honi chaey kia wo theek soch rakhte hen??:cc:
                khubsoorat hona bhi kissi hadd tak zaroori hai
                khubsoorati ka mayar har insaan apni soch ke hissab se set karta hai
                par shaadi ke liye larki ki khubsoorti se ziyada uss ka aqalmand aur salikamand hona zaroori hai
                par aaj kal ke nafsa nafsi ke dour mein iss cheez ko shaid kamm hi dekha jaa raha hai
                aur bohat martaba ye bhi dekhney mein aaya hai ke
                larka khud tou biklul bhi khubsoorat nahi hota
                par sharik-e-hayat ussey chand-e-mahtaab hi chahiye hoti hai

                insaan saath chalta hua acha lagey
                i think that's enough

                Comment


                • #83
                  Re: khubsurati??

                  Originally posted by cold_wind View Post
                  khubsoorat hona bhi kissi hadd tak zaroori hai
                  khubsoorati ka mayar har insaan apni soch ke hissab se set karta hai
                  par shaadi ke liye larki ki khubsoorti se ziyada uss ka aqalmand aur salikamand hona zaroori hai
                  par aaj kal ke nafsa nafsi ke dour mein iss cheez ko shaid kamm hi dekha jaa raha hai
                  aur bohat martaba ye bhi dekhney mein aaya hai ke
                  larka khud tou biklul bhi khubsoorat nahi hota
                  par sharik-e-hayat ussey chand-e-mahtaab hi chahiye hoti hai
                  insaan saath chalta hua acha lagey
                  i think that's enough
                  bikul theek kaha ji:thmbup:

                  Comment


                  • #84
                    Re: khubsurati??

                    Originally posted by hamzad View Post
                    beshak u ki sab baten theek hen or me ne dekha he yahan sabhi ne kaha k inner beauty zeada ehem he lekin kia karen is dunya me ehmak tareen insan bhi baste hen jin ke dimagh me ye baat nahi beth rahi:tauba

                    Aap nay tu jaani hamari choice poochi na
                    ab aap aik meeting rakhein onn baqol aap k
                    ahmeq logouN ki hamaaray sath ,,,
                    hum try kartay hein ohnouN ko samjhnay ki
                    sahyd kuch ahmaqana punn kum ho ja-ay :comfort:
                    aur aap ka prob. b solve ho ja-y hein naa!!!!!!

                    Comment


                    • #85
                      Re: khubsurati??

                      Originally posted by GumShuda View Post
                      thankooz
                      lols chalo phir paisay kadoo cheethi cheethi :d
                      ab ap par ek karoor ka udhar hai mei'N ne le kar chorna hai :kr:

                      Oye PAAH jee

                      gal kaROOR dee see
                      huN tussi tay lafz ganwa ditay naa
                      Huma kaaday paisay
                      agli waari gal ...thiyaan nal karnaa !!
                      nai tay bank ich jamam kara deyna
                      kal kum aaway gee :):):eye:

                      Comment


                      • #86
                        Re: khubsurati??

                        Originally posted by hamzad View Post
                        bikul theek kaha ji:thmbup:

                        hamzad sis hum ney tou thik kaha hai
                        par ye bataye aap ko solution milla ke nahi
                        aap ki problem solve hui ke nahi?

                        Comment


                        • #87
                          Re: khubsurati??

                          Originally posted by Gul View Post
                          Aap nay tu jaani hamari choice poochi na
                          ab aap aik meeting rakhein onn baqol aap k
                          ahmeq logouN ki hamaaray sath ,,,
                          hum try kartay hein ohnouN ko samjhnay ki
                          sahyd kuch ahmaqana punn kum ho ja-ay :comfort:
                          aur aap ka prob. b solve ho ja-y hein naa!!!!!!
                          mere khiyal me kuch log apne zati tajurbe se hi seekhan chahte hen:)to seekhne dena chaey:D

                          Comment


                          • #88
                            Re: khubsurati??

                            Originally posted by cold_wind View Post
                            hamzad sis hum ney tou thik kaha hai
                            par ye bataye aap ko solution milla ke nahi
                            aap ki problem solve hui ke nahi?
                            ese problem kese solve ho sakti he:donno:

                            Comment


                            • #89
                              Re: khubsurati??

                              Originally posted by cold_wind View Post
                              khubsoorat hona bhi kissi hadd tak zaroori hai
                              khubsoorati ka mayar har insaan apni soch ke hissab se set karta hai
                              par shaadi ke liye larki ki khubsoorti se ziyada uss ka aqalmand aur salikamand hona zaroori hai
                              par aaj kal ke nafsa nafsi ke dour mein iss cheez ko shaid kamm hi dekha jaa raha hai
                              aur bohat martaba ye bhi dekhney mein aaya hai ke
                              larka khud tou biklul bhi khubsoorat nahi hota
                              par sharik-e-hayat ussey chand-e-mahtaab hi chahiye hoti hai

                              insaan saath chalta hua acha lagey
                              i think that's enough
                              Dono khoobsoorat thay jammima aur imraan..
                              magar nahi na banii

                              Diana aur charls ki khanai b abhi tak taza hai

                              khoobsoorti nahi baham saoch ka milaap ..
                              ek doojay ko kamyabi aur security ka ehsass
                              dilata hai na k khoobsoorti ..........

                              self grooming b tabhi kaam aati hai jab
                              rooh khoobsoorat ho ..warna plastic surgery tu hai naa :lpop:

                              Comment


                              • #90
                                Re: khubsurati??

                                Originally posted by Gul View Post
                                Dono khoobsoorat thay jammima aur imraan..
                                magar nahi na banii

                                Diana aur charls ki khanai b abhi tak taza hai

                                khoobsoorti nahi baham saoch ka milaap ..
                                ek doojay ko kamyabi aur security ka ehsass
                                dilata hai na k khoobsoorti ..........

                                self grooming b tabhi kaam aati hai jab
                                rooh khoobsoorat ho ..warna plastic surgery tu hai naa :lpop:

                                gul meine bhi yehi farmaya hai ke khubsoorati ek hadd tak zaroori hai
                                aur baham soch ko milaney ke liye bhi tou aap ka aqalmand hona zaroori hai.:lpop:

                                Comment

                                Working...
                                X