Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Deep Freezer mein zindagi
Collapse
X
-
Re: Deep Freezer mein zindagi
Originally posted by Almas View Posthehe..again ye loag woh kartay hain jo abroad jana aur wahan settle karnay ko show off kar k sakoon mehsoos kartay hain...aisay loago'n ki shayad majboori ho' pata nahi but aap khud sochain...agar koi insaan kafi arsa bahir rahay, i dont think woh Pak main ussi tarah say phir say settle kar sakta hay...ok fine Pak's awesome...apna mulk etc etc, but considering some social aspects...its hard for a non Pak resident to settle back in Pak...aur ye bohat afsoas ki baat hay k iss ki reason Pak k haalat hain aur wahan k loag jo bahir rehnay walay Pakis ko *accept* nahi kartay:(
then again, kuch Pakis main inferiority complex hota hay..samjhtay hain Blue passport kia mill gaya...unkay ander akarh a'jaati hay aur apnay apko pata nahi kia samjhtay hain...jerks:thmbup:
Comment
-
Re: Deep Freezer mein zindagi
Originally posted by munda_sialkoty View PostGul aap ne bohat khoobsurati se apnay khyalaat ko derj kia, aap ke replies se aik to yeh pata chala ke aap married hein, aur doosra Mashallah se aap kafi ba'shaoor hein, aur is ke ilawa ke aap ki sooch kafi had tak hakeekat pasandana he.
chal gaiii...iss thread se koi tu aap ki info mein izafaa howa :D: jo mein nay quote mein highlight ki hein mein specially oss ki baat kar rahi hoon :blush:
Originally posted by munda_sialkoty View PostJahan tak Pakistan mein nazam'e'taleem ka taaluq he to us baray mein yeh kehna chahoon ga ke pakistan mein talent bohat he lekin us talent ko cash kerne ke liye institutes kum hein. Yahan pe aik he asool ke tehat kaam hota he "survival of the fittest".
magar jab sifaarish se loagouN ka haq cheeN liya jata ho tu...Koi b aagay nahi bhar
Sakta, Nizaam-e taleem kia hai pak mein...! mein Convents ki baat nahi karti
aaam public school ki baat karti hooN....Jo Pick me uP mein nay school mein
parhi thee wahi aaj meri bhateeji parh rahi hai :) wahi Post man ki khaki wardi..
aur wahi My school k samany graden, wahi ratti ratttA-iii application...
To,
The Principal ..........ya principle :)
Grant me leave for an urgent piece of work..:P
wahi letter....
wahi chacha ko thanx k oss nay birthday per wrist watch ka gift send kia..
yani kitnay baras se wahi text wahi RATTA system...anyway ..issi nizam k tehat parh k ...Loag kafi tarraqqi b kar gay hein ...hamary ministers :eye: banay hein :)
and advocates hein jo jhoot mein se sach ...doodh mein se makhi ki tarah nikal
bahir kartey hein....!
tu Fittest koan hai jis ko survival mil raha hai ? yeh bata dijay :)
Originally posted by munda_sialkoty View Post
Is liye bohat se talented buchay aala adaaron mein taleem hasil nahi ker patay. Lekin is ka yeh matlab nahi ke jo students un adaron mein taleem hasil kerte hein wo kum talented hotay hein. Mein jahan job kerta tha, wahan pe mere boss ki 2 betiyaan Dentistry mein gaein. Dono mashallah se kafi intelligent thein, aik ko to mein ne A level mein teach bhi kia. Achay marks liye but couldn't get through. Un ke dad ne achi rakam bhi offer ki lekin unhein admission nahi mila. Lekin baad mein mere boss ne he kaha ke acha hua, jo student ziada mehnat ker ke aur ziada achay grades le ke aaye hein un ka pehla haq he...
hay ....magar deykhein oss nay try tu kiya na kioN k ...aisa hota hai apnay
watan mein ! ....Jiss ki laathi oss ki bhens ...:donno:
Originally posted by munda_sialkoty View Postto aap yeh keh saktay hein ke Canada mein merit wo nahi jo pakistan mein he. Pakistan mein to cream ki he selection hoti he. Mera bhai jo ke ub CA ker raha he, kabi Medical mein janay ka sooch raha tha, us ne hameesha se A+ aur A grade liye, lekin wo kuch marks se aik achay medical college se miss hua phir us ne khud he yeh line change kerne ka faisla ker diya aur CA ko choose ker lia. Safarish chalti ho gi, rishwat bhi chalti ho gi lekin her department mein nahi.
mil sakta tha....tu Canada mein tu sifarish kisi Local yani origin ki b
nahi chalti hamarai aap ki kahan chalay gee Mundaaa jeee!?..
Pakistan mein ratta system hai jab k britian standerd meiN Concept hee different
hai ...bachouN k mind ko creative kia jata hai,,,...koi essay yaad nahi karta ya
karwaya jata bulkeh bachouN mein yeh ability create ki jaati hein k wo khud
likhein..yeh tu aap jantay hee HouN gay kioN k aap nay A level ki students ko
parha-ya b hai ....! tabhi wo bachiyaaN aggay nahi bahr sakien kioN k onn nay jo
seekha wo pakistan ki professional education mein valid nahi hota ....! iss mein
yeh kehna k CANADA mein parhaai ka standard kum ho gaa paKistaan se tu...
Kia yeh sahi kaha aap nay ?:cc:
Originally posted by munda_sialkoty View PostLekin aap ke khyalat ko jananay ke baad mein is nateejay pe pohancha hoon ke waqee kuch panay ke liye kuch khoona to perta he, lekin it doesn't mean ke aap eventually apnay mulk ko he khoo dein...apna watan apni pehchan he, hum aaj bhi isi se pehchanay jatay hein aur kul bhi isi se he pehchanay jaein ge.
na hee aqdaar chorri hein na hee apni Pehchaan chupaai hai ...
Hum ab b proud pakistani hein aur jab iss duniya se jaein gay tu b
As a muslim aur pakistani hee jaein gay..inshaAllah...
aap kia janein ...K pakistaan se bahir rehnay walay Pakistan ko
kitna miss kartay hein ..Cha-hey ..pakistan mein rehnay walay
pakistan ko bad-naam kartay rehaty hein apni kartoo-touN ki wajh se ,,
aur oss ka khamiyaza hum beyroon Mulk rehnay waloUn ko Bhugat-na
parta hai ,,,! as k
U R from Pakistan... You are this is for u that U ! mein nay kaha kioN bhaiii
Sahib bolay kioN k pakistaN mein jo halaat chal rahay hein tu oss mein tu jaan
maal ka koi hifazat hee nahi hai, mein nay kaha jee nahi ....! corruption ya
security k probs...barhaa charhaaa k tum loagouN ka media bata-taa hai
wahan halaat itnay buray nahi.....! yeh kehtay howay kitni sharmindgii thee
k aap saoch nahi saktay...!
bass ki kari-yay jee aap jesay MUNDDOUN :khi:k hawalay kar aa-ay hein pakistan:tauba
Allah hee kehr karay !!!!!!!!!!:dua
Originally posted by munda_sialkoty View PostAllah aap ko aur aap ki family ko her wo khuhi de jis ke liye aap apnay watan ko choor ke deyaar'e'gair mein aanay per majboor huay...Be happy and blessed
Thanx for a Very concerned Dua ,,,May Allah Bless Our Pakistan and our people
ameen Sum ameen ..!:dua
Comment
-
Re: Deep Freezer mein zindagi
Originally posted by Gul View PostChalein aik baat so saaaaaaaaaarOun ko pata thee ..wo aaj aap ko b pata
chal gaiii...iss thread se koi tu aap ki info mein izafaa howa :D: jo mein nay quote mein highlight ki hein mein specially oss ki baat kar rahi hoon :blush:
:) Actually baat yehi hai k institutes ki koi kami nahi aur na heee talent ki ...
magar jab sifaarish se loagouN ka haq cheeN liya jata ho tu...Koi b aagay nahi bhar
Sakta, Nizaam-e taleem kia hai pak mein...! mein Convents ki baat nahi karti
aaam public school ki baat karti hooN....Jo Pick me uP mein nay school mein
parhi thee wahi aaj meri bhateeji parh rahi hai :) wahi Post man ki khaki wardi..
aur wahi My school k samany graden, wahi ratti ratttA-iii application...
To,
The Principal ..........ya principle :)
Grant me leave for an urgent piece of work..:P
wahi letter....
wahi chacha ko thanx k oss nay birthday per wrist watch ka gift send kia..
yani kitnay baras se wahi text wahi RATTA system...anyway ..issi nizam k tehat parh k ...Loag kafi tarraqqi b kar gay hein ...hamary ministers :eye: banay hein :)
and advocates hein jo jhoot mein se sach ...doodh mein se makhi ki tarah nikal
bahir kartey hein....!
tu Fittest koan hai jis ko survival mil raha hai ? yeh bata dijay :)
:thmbup:
Comment
-
Re: Deep Freezer mein zindagi
Originally posted by Gul View Post
Aap apni baat khud hee kar k khud hee nafi kar rahay hein k ..sifarish per dakhila
mil sakta tha....tu Canada mein tu sifarish kisi Local yani origin ki b
nahi chalti hamarai aap ki kahan chalay gee Mundaaa jeee!?..
Pakistan mein ratta system hai jab k britian standerd meiN Concept hee different
hai ...bachouN k mind ko creative kia jata hai,,,...koi essay yaad nahi karta ya
karwaya jata bulkeh bachouN mein yeh ability create ki jaati hein k wo khud
likhein..yeh tu aap jantay hee HouN gay kioN k aap nay A level ki students ko
parha-ya b hai ....! tabhi wo bachiyaaN aggay nahi bahr sakien kioN k onn nay jo
seekha wo pakistan ki professional education mein valid nahi hota ....! iss mein
yeh kehna k CANADA mein parhaai ka standard kum ho gaa paKistaan se tu...
Kia yeh sahi kaha aap nay ?:cc:
Dekhiye ub Rutta System gradually khatam ho raha he, aur Education sector mein kafi reforms ho rahay hein. Kuch well-known school British standard per he education de rahay hein. Un ke staff ko training dene ke liye doosray mamalak se experts ko bulaya jata he aur teachers ko training workshops attend kerna perti hein. I think jo loog canada mein ja ke apnay buchon ko taleem dilwa saktay hein wo in institutes mein bhi dilwanay ki sakat rakhtay hein.:thmbup:
Comment
-
Re: Deep Freezer mein zindagi
Originally posted by Gul View Post
Allah k fazal se hum nay apan mulk khoya nahi ..hai Mundaaa jee ..
na hee aqdaar chorri hein na hee apni Pehchaan chupaai hai ...
Hum ab b proud pakistani hein aur jab iss duniya se jaein gay tu b
As a muslim aur pakistani hee jaein gay..inshaAllah...
aap kia janein ...K pakistaan se bahir rehnay walay Pakistan ko
kitna miss kartay hein ..Cha-hey ..pakistan mein rehnay walay
pakistan ko bad-naam kartay rehaty hein apni kartoo-touN ki wajh se ,,
aur oss ka khamiyaza hum beyroon Mulk rehnay waloUn ko Bhugat-na
parta hai ,,,! as k
U R from Pakistan... You are this is for u that U ! mein nay kaha kioN bhaiii
Sahib bolay kioN k pakistaN mein jo halaat chal rahay hein tu oss mein tu jaan
maal ka koi hifazat hee nahi hai, mein nay kaha jee nahi ....! corruption ya
security k probs...barhaa charhaaa k tum loagouN ka media bata-taa hai
wahan halaat itnay buray nahi.....! yeh kehtay howay kitni sharmindgii thee
k aap saoch nahi saktay...!
bass ki kari-yay jee aap jesay MUNDDOUN :khi:k hawalay kar aa-ay hein pakistan:tauba
Allah hee kehr karay !!!!!!!!!!:dua
Thanx for a Very concerned Dua ,,,May Allah Bless Our Pakistan and our people
ameen Sum ameen ..!:dua
Do good and Have good :eye::thmbup:
Comment
-
Re: Deep Freezer mein zindagi
[quote]
Originally posted by munda_sialkoty View PostBuri baat, topic serious he :na:[/list][/list]Yahan pe ujrat zaroomr kum milti he, lekin halaat itnay bhi nahi bigray jitnay tum beyaan ker rahay ho. Mujay pakistan mein rehtay huay kabi adm'e'tahafuz ka ehsaas nahi hua. Sar'e'aam loot maar bhi nahi hui. Rishwat chalti he, lekin her koi rishwat khoor bhi nahi...nazam hamara bigra hua he, lekin itna nahi bigra hua ke insaan is mulk mein reh na sakay :donno:
Business start kerne ke bhi moaakey hein lekin un loogon ke liye jo business minded hoon :donno:
1.tum ne kaha yaha ujrat kam milti hai laikin halat itne bhi nahien bigray
aik admi sara din mazdoori kerta hai us ki dhiyari hai 200 RS. Sham ko wo 200 main mujhe btaow wo kia lay ker jaey ga apne ghar?? Ghee aur cheeni k qeemtain tumhain pata hain,,,,Gosht ki qeemat mere khyal main tum ne daikhi hooon gee,,,,Chawal aur daal ki qeeemtain bhi yahan sab ko malooom hain
aik month ki salary banti hai us ki 6000RS..
6000 main wo apne bachon k kapre khareeday ga??
un ki school ki fee day ga?
un k medical ka kharcha bardasht kere ga?
ghar ki dal roti chalaey ga?
gas, bijli aur pani ka bill day ga??
ya apni ghami aur khushi k moqay per karch keray ????
aur tum jante ho k yahan her banday ko mazdoori bhi nahien milti
2. tum ne kaha k PK me rehte hooway tumhain adam tuhafuz ki shikayat nahien hai...achi baat hai k tum se kabhi mobile chennay ki koshish nahien ki gaee...aur tum jante ho k main ne pichle dino aik farz poora kiya tha laikin phir mujhe apni family ki fikar per gaee...police ki madad ki aur wo mera hi pata poochne baith gay:donno:
3. tum ne kaha Sar e Aam loot mar nahien hoee
Lagta hai tum News paper nahie perthay
4. tum ne kaha Rishwat chalti he, lekin her koi rishwat khoor bhi nahi
main ne 4 years mulk se bahir guzaray aur wahan Pakistan Pakistan kerta raha..yahan vacation per aaya aur wahan ki half say bhi kam salary per job ker leee...yeh soch ker k apne mulk main kaaam keroon ga ... apne mulk k liey kaam kerooon ga...laikin ab main after one month pachta raha hooon...jahan jata hooon her banda monh khol ker baitha hooowa hai...her aadmi crupt hai...aik labour se lay ker aik 18 aur 19 Grad k officer tak her banday ka aik fix rate hai....khud tu cruption kerte hain agle bande ko bhi majboor kerte hain....ab main jis mehkmay main apni file le ker jata hooon tu pehle wo paisay mangtay hain....paisay daiti tu meri company hai laikin deal tu mujhe kerna perta hai....neechay se lay ker ooper tak her kisi ko khush kerna perta hai....aur nikamay itne hain aik poll laganay main aik poora din lagatay hain 4 banday mil ker
aur tum kehte ho nizam bigra hai laikin itna bhi nahien k aadmi mulk hi chor day.....yaar koi tum se poooche k jahan insaf na ho jahan rishwat k baghair koi kaam na hota ho wahan aik eemandar aadmi kitni dair khara reh sakta hai...aik banda agar diyanatdari se kaam kerna chahay tu us ki rah 100 banday roray atkane khray ho jatay hain.....tu wo banda bahir ja ker kiun kam na kere ... jahan us ko apni mehnat ka poora poora muawiza mile .... jahan wo eemandari se safai ker k halal ki roti kama sakaysigpic
Comment
Comment