Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Deep Freezer mein zindagi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: Deep Freezer mein zindagi

    Originally posted by GumShuda View Post
    Kia insaan duniya mein khushiyaaN Hasil Karnay aya hai ??
    Kaun si khushi ? Kitni dair ki Khushi ?
    I think wo khushi nahi Hadd harami hai :d
    Wasalam
    miyaan aap loog khushiyaan hasil kerne he doosray mamalik mein jaatay tableeg kerne nahi :donno:

    Jub hum doosray country mein job ki baat kerte hein then it simply implies to our financial concern not religious values and else. So don't be hypocrite, accept the reality and try not to direct the topic to somewhere else which we are least interested in
    :thmbup:

    Comment


    • #47
      Re: Deep Freezer mein zindagi

      Originally posted by munda_sialkoty View Post
      Mein bhi aisa he soochta hoon jesa aap soochti hein. Zinda rehnay ke liye paisay ke ilawa kuch aur bhi takaazay hein, hum un takaazon ko sirf paisay ki khatir kyoon framoosh ker dete hein :donno: ager paisa kamana he maksood he to kyoon na aik limit tak. Paisay ke laalach ki koi had honi chahiye, banda 2, 4 saal kama ke wapis aa jaye aur phir pakistan mein settle ho jaye. Hum La'mehdood hawas ka shikaar kyoon ho jatay hein. Jitna ziada paisa aata he hum utna he aur hasil kerne ki faraak mein kyoon lag jatay hein...Laalach ki bhi to koi had honi chahiye na :donno:
      haan bilkul

      Comment


      • #48
        Re: Deep Freezer mein zindagi

        Originally posted by hamzad View Post
        haan bilkul
        :)
        :thmbup:

        Comment


        • #49
          Re: Deep Freezer mein zindagi

          Canda waley log bhi beycharey ... waqai pata nahi kaisey jeetey heiN ...
          @ Paissey kamaana

          meyrey khayal mey jahaN insaan rizq likha hota hai wo waheeN hota hai..... baki ham sab jaantey heiN key paissa paana hi khushiyaN nahi hoti heiN magar its its a necessity....
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #50
            Re: Deep Freezer mein zindagi

            Originally posted by munda_sialkoty View Post
            miyaan aap loog khushiyaan hasil kerne he doosray mamalik mein jaatay tableeg kerne nahi :donno:

            Jub hum doosray country mein job ki baat kerte hein then it simply implies to our financial concern not religious values and else. So don't be hypocrite, accept the reality and try not to direct the topic to somewhere else which we are least interested in
            Ek Muslmaan ka islami tareeqay se zindagi Guzarna hi Tablegh hai laazmi nahi tableegh mounh se bool kar ki jaye,

            unkay beech rahna aur apnay ap ko muslmaan sabat karna hi sab se bari baat hai.

            Agar khushiyaaN hasil karnay jatay hain tu phir ap kuyn kahtay ho kah , loog paisoon kay lye khushiyoon se compromise karta hai ?? :kr:

            lols financial concerns , bi ek sense mein relegious hi hain , agar koi halaal rizaq na kamayee tu wo relgious bi nahi hai . aur Agar koi halaal kama laita hai tu wo bi relgious hi hai aur jahan marzi kama laye .
            Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
            Sadly, common sense is not very common..!!

            Comment


            • #51
              Re: Deep Freezer mein zindagi

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              Aaj mein tumhein yeh nahi kahoon ga ke yahan se gumshuda ho jao :khi:

              Apni sooch ko to mein kisi had tak aap loogon ke saamnay mukhtalif jawaabaat ki soorat mein byaan ker chuka. Ub baat kuch mukhtasir karon ga.

              Discussion mein hamein kooshish yeh kerni he ke sub se pehlay hum is discussion ke theme ko catch karein aur is ke origin per he rahein. Anwaan tha "Deep Freezer mein Life", yaani aisay ilaaqon ko typically point out kia tha jahan ka environment human tolerance level se bohat hut ke he. Jahan pe aap ki life stuck ho jati he. Aisay ilaqay mein koi insaan kyoon ker zindagi guzaaray. Kuch loog is ki wajoohat beyaan kerte huay dalail dein ge ke pakistan mein justice nahi he, pakistan mein terrorism he, pakistan ka political structure stable nahi he. Mein aisi logics ko "beating about the bushes" se ziada aur kuch nahi kahon ga.

              Ager yahan pe justice kum he to is ka yeh matlab to nahi he ke aap pakistan mein aaein ge to kaid ho jaein ge :donno: tareekay se rahiye, shayad he koi aisa chance ho ke aap ko injustice ka samna kerna paray, once in a blue moon.

              Baaki sub cheezein secondary hein. baat to paisay pe he aa ke khatam hoti he :donno: Mein paisay ki khaatir kabi bhi aisay country mein rehna pasand nahi karon ga jahan jaan ko azab he azab mein ho :tauba
              Aur jahan tak Canada main life guzarnay ka taulaq hai tu ,
              Wahan kia baqi loog nahi rahtay ???

              Pakistan mein agar baghair bijli ky garmyaa'N guzarna possible hai tu sab sahooltooN mein Canada mein SardiyaaN guzarna koi bari baat nahi hai.
              Yeh apnay ap per zulam nahi hai, Mana wahan sardiyaaN zayada hoti hain lekin Loog sardi se Mar rahay hain kia Pakistani whan per ??? :kr:
              Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
              Sadly, common sense is not very common..!!

              Comment


              • #52
                Re: Deep Freezer mein zindagi

                Originally posted by GumShuda View Post
                Ek Muslmaan ka islami tareeqay se zindagi Guzarna hi Tablegh hai laazmi nahi tableegh mounh se bool kar ki jaye,

                unkay beech rahna aur apnay ap ko muslmaan sabat karna hi sab se bari baat hai.

                Agar khushiyaaN hasil karnay jatay hain tu phir ap kuyn kahtay ho kah , loog paisoon kay lye khushiyoon se compromise karta hai ?? :kr:

                lols financial concerns , bi ek sense mein relegious hi hain , agar koi halaal rizaq na kamayee tu wo relgious bi nahi hai . aur Agar koi halaal kama laita hai tu wo bi relgious hi hai aur jahan marzi kama laye .

                Originally posted by GumShuda View Post
                Aur jahan tak Canada main life guzarnay ka taulaq hai tu ,
                Wahan kia baqi loog nahi rahtay ???

                Pakistan mein agar baghair bijli ky garmyaa'N guzarna possible hai tu sab sahooltooN mein Canada mein SardiyaaN guzarna koi bari baat nahi hai.
                Yeh apnay ap per zulam nahi hai, Mana wahan sardiyaaN zayada hoti hain lekin Loog sardi se Mar rahay hain kia Pakistani whan per ??? :kr:
                Tum pehlay achi tarah se apnay daant nikaal lo, mein baad mein jawaab deta hoon :khi:
                :thmbup:

                Comment


                • #53
                  Re: Deep Freezer mein zindagi

                  Originally posted by Xenya View Post
                  Canda waley log bhi beycharey ... waqai pata nahi kaisey jeetey heiN ...
                  @ Paissey kamaana

                  meyrey khayal mey jahaN insaan rizq likha hota hai wo waheeN hota hai
                  ..... baki ham sab jaantey heiN key paissa paana hi khushiyaN nahi hoti heiN magar its its a necessity....
                  Yeh bhi bari ajeeb si logic hoti he...ke insaan jo kuch apni merzi se kerta he baad mein yeh keh deta he ke wo us ki kismat mein likha he. Aik baat soochnay wali he ke ager koi banda kisi ko katal ker deta he to maktool ke wursaa us ka badla lene ke liye kyoon taraptay hein, wo yeh kyoon nahi sooch lete ke un ke pyaray ka katal bhi falan he haathon likha tha...ajeeb si baatein hein na yeh sub :donno:
                  :thmbup:

                  Comment


                  • #54
                    Re: Deep Freezer mein zindagi

                    Originally posted by munda_sialkoty View Post
                    Murgi ke andoo aur meri meri bakriyooo

                    Salam Hukam kerta hoon

                    To aaj mein jis critical mudday per baat kerne ja raha hoon mujay ummid he ke aap ko topic se kuch bhi idea nahi hua ho ga Chalo me eggs-plain kerta hoon :tauba

                    Hum loog paisa kamanay ke liye aur apni khushiyaan khareednay ke liye apni khushiyaan daao per laga dete hein (yeh bhala kia baat hui :donno:)

                    PG ke bohat se members jo doosray mulkon mein waqoo pazeer :khi:hein, wahan per rehnay ke bawajood satisfied nahi hein. Wahan ka mahool pasand nahi aata, environment pasand nahi aata. Wo sirf paisa kamanay ke liye wahan per hein. Aur baaz loog apni saari zindagi Deep Freezer yani canada jese countries mein guzaar dete hein...banda poochay ke deep freezer mein reh ke kooi kia khushi haasil karay ga, life jammed, roads blocked, frostbite, aur pata nahi kia kia :donno:

                    Kia aisay paisay se khushiyaan haasil ki ja sakti hein jo paisa deep freezer mein beth ke kamaya gaya hoo :donno:Kia khushiyoon ka meyaar sirf paisa he hay :donno:

                    Ap k iss Topic ko deykh kar yaqeeN maniyay .....k aap ki zehan ko dadd
                    deyna pari k kitnay caring hein aap hai na ..nahi sachi this is true...
                    jo point aap nay rais kia hai wo aap hee ka kamaal hai ...............!

                    bass abhi filhal ek baat he kahooN gee k ...CANADA jesay country mein loag pesa kamanay har giz har giz nahi ja saktay ....jiN nay pesa kamana hai naa
                    wo Middle east jaatay hein aap pichlay dinouN Dubaai mein thay ...ab aap
                    ko wahan ka pata laga ho ga k kitnay mazay hein , na koi tax , na haram hala ka khadsha ,,,,..aur mahol b aik dum acha .. canada mein hum jo frostbite ko sehtay hein tu sirf chnad ek wajooh ....jiss mein dollar har giz count nahi karta ..jab aap ki pay 10,000 $ hai kitni khuhsi hoti hai sun k magar jab income tax cut kataa k aap ko pay milti hai tu 7,600 hai .. hosh urr jaatay hein ....oss k baad bijli ka bill aya 200 Dollar ..kion k heatre sara waqt On rakhna parta hai , pani ka bill aap haisarn houn gay ....k jitna use kia oss k sewerage k pesay b deyna hotay hein ....aisay mein koi yehan kisi majboori k hathoun hee tikk sakta hai na k ...paisa kamanay
                    k liyay , i mean pence kamanay k liyay kabhi nahi abhi raat hai baqi baat phir :)

                    aur jo aap samjh rahay hein na sarkein jaamid ..tu jnaba yehan life rukti nhai ..
                    kion k har kaam hamein waqt-e Muqarra per kar k deyna hota hai , pakistan mein
                    ( I REALLY MISS MY PAKISTAN:rose) agar zaar see barish ho ja-ay tu flights cancel
                    ho jaati hein kashmir ki ya kisi b area ki, yehan snowfall ho thuder ho sab flights b
                    time per rehti hein, life har giz nahi rukti...
                    wesay aik baat hai pakistan phir b buhat yaad ata ahai sachi .......!
                    Last edited by Gul; 16 February 2008, 12:30.

                    Comment


                    • #55
                      Re: Deep Freezer mein zindagi

                      Originally posted by munda_sialkoty View Post
                      Yeh bhi bari ajeeb si logic hoti he...ke insaan jo kuch apni merzi se kerta he baad mein yeh keh deta he ke wo us ki kismat mein likha he. Aik baat soochnay wali he ke ager koi banda kisi ko katal ker deta he to maktool ke wursaa us ka badla lene ke liye kyoon taraptay hein, wo yeh kyoon nahi sooch lete ke un ke pyaray ka katal bhi falan he haathon likha tha...ajeeb si baatein hein na yeh sub :donno:
                      aap ki baat kitni sachi hai
                      agar aisa ho ja-ay tu duniya aman ka
                      gehwara ban ja-ay naa ..magar aisa hota nahi
                      kion insaan k andar jhgralOO pun hai ...wo har waqt larnay
                      marnay .maarney per tulla hai ....wo yeh nahi sochta k jiss tarah meray
                      apnay ki judaai mujhey takeelf de rahi hai issi tarah se mein kisi ko oss trah ki takleef kioN deyna chahta hoon ....! kash yeh loag aqal-e sawaleh ko ap-
                      naa lein ...........!

                      Comment


                      • #56
                        Re: Deep Freezer mein zindagi

                        Originally posted by munda_sialkoty View Post
                        Mam yahan politics ki baat nahi ho rahi, yahan baat hamaray apni social life aur social structure ki ho rahi he. Mudda yeh he ke kia paisay ke liye apni zindagi aik aisay mulk mein guzaarna jahan pe na koi jananay wala ho na pehchananay wala....sirf machine ki tarah insaan kaam karay, note banaye. Kia zindagi ka yahi maksad he. Apna mulk jesa bhi he, hay to apna, yahan pe loog aap se pyaar bhi karain ge, dukh derd mein bhi shareek hoon ge. Aap ka apna bucha ager thoora sa biger jaye to kia aap usay kisi aur ko de ker koi sulja hua bucha adopt ker lein ge kia :donno:
                        Meri Baat Ka Matlab bhi Wohi Tha Jab Appney Mulk Main Hamain Rizq Asani Say Farham Ho Jay Tu Hamain Zaroorat hi kia hai kisi Doosre Mulk Kay Teesay Darjey Ka Shehri Banein Aur JahaaN Taj Sudhar ki Baat Aap Mujhay Yeh Baatein Aap Nay Kitni Koshish Ki Sudhar ki Mulk ko ? Koi nahin Is APPNEY MULK main Rehna Hi Kafi Nahin Hota Us Kay Sudhaar kay liye Khuch karna parhta hai Hamare JahaaN No'Jawano'n Ko Nokri Nahin Mil Rahi Parhey Likhe Log Be'Rozgar Ghooom Rahay haiN Aap Baqi Logo'n ko Chorein Main Apney Cousion ki baat batati hooN MSC kar kay Usay koi Nokri nahin Mil Rahi Aur Jo Mili hai Wohi Dosre Shehr Ja Kar 7000 paey Salery Aap Baatein 7000 Se Aap Apna Ghar Chala Sakhta hai Jab ithna parh kar 7000 Hi Kama kar lana tu Faida kia Use Parhne ka ? Aur End main Us kay Sath Yeh hona hai kay Us Nay Kisi Dosre Mulk Chale Jana hai Jab Hamare Appney Hi Hamain Nokri Na Dein Tu Hum KIA KAREIN ? Akhir Khuch Karna tu hai na Appney Mulk Main Ya Kisi Dosre Mulk Main Phir JahaaN Hamain ACHA mil raha ho ga Hum Wahaan Jein Gay Kay Yahein Baithein Appney Ghar Walo'n Ko Bhookey Dekhte rahein

                        Baatein Karna Asan hota hai Larka APPNE MULK Sey Mohabbat Tu hoti hai Maghar MULK ko kyun Qasoor War Tehrein YAHAAN LOG Qasoor War Hain :) Har Koi Khud Agey Janey KI khatir Aik Dosre Ki Jarein Kat Raha hai :)
                        Zindagi Thak Gaye ..!!

                        Comment


                        • #57
                          Re: Deep Freezer mein zindagi

                          Originally posted by Gul View Post
                          Ap k iss Topic ko deykh kar yaqeeN maniyay .....k aap ki zehan ko dadd
                          deyna pari k kitnay caring hein aap hai na ..nahi sachi this is true...
                          jo point aap nay rais kia hai wo aap hee ka kamaal hai ...............!

                          Aap ko thank you kehna to ub muj per faraz ho gaya he. Thank you so much

                          Originally posted by Gul View Post
                          bass abhi filhal ek baat he kahooN gee k ...CANADA jesay country mein loag pesa kamanay har giz har giz nahi ja saktay ....jiN nay pesa kamana hai naa
                          wo Middle east jaatay hein aap pichlay dinouN Dubaai mein thay ...ab aap
                          ko wahan ka pata laga ho ga k kitnay mazay hein , na koi tax , na haram hala ka khadsha ,,,,..aur mahol b aik dum acha .. canada mein hum jo frostbite ko sehtay hein tu sirf chnad ek wajooh ....jiss mein dollar har giz count nahi karta ..jab aap ki pay 10,000 $ hai kitni khuhsi hoti hai sun k magar jab income tax cut kataa k aap ko pay milti hai tu 7,600 hai .. hosh urr jaatay hein ....oss k baad bijli ka bill aya 200 Dollar ..kion k heatre sara waqt On rakhna parta hai , pani ka bill aap haisarn houn gay ....k jitna use kia oss k sewerage k pesay b deyna hotay hein ....aisay mein koi yehan kisi majboori k hathoun hee tikk sakta hai na k ...paisa kamanay
                          k liyay , i mean pence kamanay k liyay kabhi nahi abhi raat hai baqi baat phir :)

                          aur jo aap samjh rahay hein na sarkein jaamid ..tu jnaba yehan life rukti nhai ..
                          kion k har kaam hamein waqt-e Muqarra per kar k deyna hota hai , pakistan mein
                          ( I REALLY MISS MY PAKISTAN:rose) agar zaar see barish ho ja-ay tu flights cancel
                          ho jaati hein kashmir ki ya kisi b area ki, yehan snowfall ho thuder ho sab flights b
                          time per rehti hein, life har giz nahi rukti...
                          wesay aik baat hai pakistan phir b buhat yaad ata ahai sachi .......!
                          Aap ki aik baat per mein aik objection raise kerna chahta hoon, aap ne kaha ke canada mein loog paisa kamanay nahi aatay, phir itni thund kyoon bardasht kerte hein loog, paisay ke ilawa wahan pe aur kia charm he???

                          Middle east mein bhi loog paisa kama rahay hein, mere apnay dooston ke paas thehra jo engineer hein, lekin paisa bachanay ke liye wo below to their standard life guzaar rahay hein. Phir kia hota he ke yeh aik habbit ban jati he, loog routein ke ghulaam ho jatay hein, un ka life cycle paisa kamana, aur phir saal mein 40 din ki chuti pakistan mein aa ke guzrana reh jata he. Mere nazdeek to yeh aisa he hay ke aik banda jail kaat'ta he aur baki loog us ki kamai se faida lete hein.

                          mein 8 din ke liye gaya tha aur 6 din baad wapis aa gaya, itne dinon mein mein ne wahan pe khoob enjoy bhi kia, dooston ke saath gooma, parties kesaath meetings kein, aur sub kuch, lekin phir bhi mujay wo baat nahi mili jo pakistan mein he, wo baat jo lafzoon mein bhi beyaan nahi ki ja sakti.

                          Maanta hoon ke canada mein her kaam system ke tehat hota ho ga, lekin is se bhi berh ke bohat kuch he, jo sirf apnay pyaaray mulk mein he hay :)
                          :thmbup:

                          Comment


                          • #58
                            Re: Deep Freezer mein zindagi

                            Originally posted by Gul View Post
                            aap ki baat kitni sachi hai
                            agar aisa ho ja-ay tu duniya aman ka
                            gehwara ban ja-ay naa ..magar aisa hota nahi
                            kion insaan k andar jhgralOO pun hai ...wo har waqt larnay
                            marnay .maarney per tulla hai ....wo yeh nahi sochta k jiss tarah meray
                            apnay ki judaai mujhey takeelf de rahi hai issi tarah se mein kisi ko oss trah ki takleef kioN deyna chahta hoon ....! kash yeh loag aqal-e sawaleh ko ap-
                            naa lein ...........!
                            :)
                            :thmbup:

                            Comment


                            • #59
                              Re: Deep Freezer mein zindagi

                              Originally posted by munda_sialkoty View Post
                              Aap ke points kafi had tak samaj aa gaye.

                              Aap canada mein rehti hein. Wahan pe serdi bohat he, temp even -40 tak bhi chala jata he. Aisay mulk mein aisay temp mei aap loog kese guzara ker lete ho...kitna boring envi ho ga na. Paisa kamanay ke liye deep freezer se bhi thunday mulk mein rehna kitna ajeeb lagta he na. Aap wahan pe paisa kamaoo, aur apnay mulk mein aa ke koi kaarobaar start karo. Aur apnay mulk ko us ki tamaam tar khaamiyoon ke bawajood usay accept karo, aur us ke nazam mein behtari laanay ke liye apna infraadi kardaar ada karo. This is what i think

                              Okay, ab sardi ki wajh say mein chali jayon. Bhai jaan, yahan per sardi ko mitanay ka pora intizam hota hai...porey house mein wall heaters hein, jo din raat chaltey hein, snow saaf karnay waley din raat saaf kartey rehtey hein..snow say koi jobs bhi mutasir nahi hoti..sardi yahan koi problem create nahi kerti:)

                              Bay-shak hamein apney mulk ke liye kam kerna chaiye, aur koi kam bara chota nahi hota..apney mulk mein apney hamsayey ki madad kerna bhi aik acha kam hai..so is taran kay hum hazaron kam ker saktey hein.

                              Comment


                              • #60
                                Re: Deep Freezer mein zindagi

                                Originally posted by Sadia View Post
                                Okay, ab sardi ki wajh say mein chali jayon. Bhai jaan, yahan per sardi ko mitanay ka pora intizam hota hai...porey house mein wall heaters hein, jo din raat chaltey hein, snow saaf karnay waley din raat saaf kartey rehtey hein..snow say koi jobs bhi mutasir nahi hoti..sardi yahan koi problem create nahi kerti:)

                                Bay-shak hamein apney mulk ke liye kam kerna chaiye, aur koi kam bara chota nahi hota..apney mulk mein apney hamsayey ki madad kerna bhi aik acha kam hai..so is taran kay hum hazaron kam ker saktey hein.
                                Ager aap canada mein satisfied ho, then it is fine.

                                Waise bhi jo mein ne beyaan kia wo sirf meri apni sooch he, her kisi ka meri sooch se mutfik hona bhi zaroori nahi. Aakhir aap wahan rehtay hein aap ki apni bhi koi assessment ho gi :)
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X