Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Deep Freezer mein zindagi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Deep Freezer mein zindagi

    Originally posted by ummid View Post
    waalaikumasalam....:rose
    Ab hum kya bolein... hum tu apna mulk chor ke kabhi kahein gaye hi nahi... :blush:
    Waise... aik baat kahein... jo log apna mulk chor ke dosre mulk mein jate hain paisa kamane ke liye humare hisab se who log waqai qabil-e-tareef log hai jo apna mulk chor ker apna gher bar chor ker apne gher waalo ko aik pur-asaish zindagi dene ke liye khawar hote hain... :rose
    Per waise jin ko apne hi mulk mein sahi salary per job mil rahi ho aur un ka family background bhi accha ho aise logon ki hume waqai sumjh nahi aati.. infact humara second bhai jub kaihta hai ke yahan kya rakha hai main US jaonga.:tauba. tu hum kaihte hain ke accha hai dafa hojao.. jub wahan khud sub kaam akrne pareinge tu lag pata jayega yahan tu ammi sub haath mein dete hain wahan koi poochega bhi nahi.. .. yeh aur is se bhi kai zyadah khofnaak nqsha khinchte hain hum aksr so bechara her baar hi irdah badal leta hai... :D
    Jub ke humara sub se chota bhai khud wahan study ke liye gaya hai.. per woh sirf parhne gaya hai... aur professionally who yahan hi settle hoga.. InshAllah... :)
    aur aap ki last baat ka jawab.. ke khushiyo ka mayar sirf paisa nahi self-satisfaction hai.. jo log apne mulk se door baste hain woh shaid satisfy ho aise... woh kis condition mein wahan gaye.. kyun gaye... yeh wahi behter jante hain... so dont be judgmental...:D
    Aap ki soochein meri soochon se kitni milti julti hein
    :thmbup:

    Comment


    • #17
      Re: Deep Freezer mein zindagi

      i agree with masood bhai....becoz i also live in Denmark

      Comment


      • #18
        Re: Deep Freezer mein zindagi

        Originally posted by Masood View Post
        Kuchh batein Khoton ki samajh sey bahir hain, so wohi haal tumhara hai :a stick:
        Buri baat, topic serious he :na:

        Originally posted by Masood View Post
        Sab sey pehli baat to yeh hai keh jo log bahir key mumalik mein jaa ker apni rozi talash kartey hain us ki wajoohat per nazar daalni chahiyey keh woh aisa kyun kartey hain?
        • hamarey mulk mein woh environment muhayya nahin jahan per aik insaan safaidposhi sey apni zindagi basar kar sakey - yeh environment hamein bahir milta hai.
        • Ham apney mulk mein jaan torr mehnat kartey hain magar iskey bawajood hamein us mehnat ka ajjar nahin milta - yani ujrat woh nahin milti jo kaam hota hai.
        • Parhey likhey log rozgaar na honey ki wajah sey ghalt kamo mein lag jatey hain aur jab woh yeh dekhtey hain keh bahir phir bhi - chahey safaii hi kyun na ki jaey - ujrat to aisi mil jati hai keh aap apna aur apney khaandan ka pet paal sakein - to woh bahir ka rukh kartey hain.
        • Hamarey mulk mein apna business karney ka bhi environment muyahha nahin - agar main aaj wahan jaa ker settle honey ki koshish karoon to mujhey la'tadaad mushkilaat ka samna karna ho ga:
          • Adam'tahaffuz
          • Sarey aam loot maar
          • Sarkaari kamon mein bhi rishwat
          • har kaam late hona
          • Pakistani logon mein la'parwaii had sey ziyada hai
          • had'harami
          • etc
        Yahan pe ujrat zaroomr kum milti he, lekin halaat itnay bhi nahi bigray jitnay tum beyaan ker rahay ho. Mujay pakistan mein rehtay huay kabi adm'e'tahafuz ka ehsaas nahi hua. Sar'e'aam loot maar bhi nahi hui. Rishwat chalti he, lekin her koi rishwat khoor bhi nahi...nazam hamara bigra hua he, lekin itna nahi bigra hua ke insaan is mulk mein reh na sakay :donno:

        Business start kerne ke bhi moaakey hein lekin un loogon ke liye jo business minded hoon :donno:


        Originally posted by Masood View Post
        Kehney sey muraad yeh hai keh hamarey haan jahan nizaam hi chopta huwa hai, wahan per aik aust tabqey sey ta'aluq rakhney wala kam kam hi kamyaab hota hai.....

        Main yeh ghaltfehmi bhi door kar doon keh log bahir siraf paisey kamaney key liyey rehtey hain - aisa nahin, bahir log is liyey bhi rehtey hain keh idher - jaisa bhi sahi - nizaam to mojood hai - har kaam aik system key tehat hota hai (yeh nahin kaha keh idher ghalt kaam nahin hotey - magar iski misaal yun keh keh idher koi ghalt kaam ho to khabron mein aa jata hai keh fulaan jaggah ghalt kaam huwa hai - hamarey haan agar sahih kaam ho to ussey wajah-e-hairangi jana jata hai)...

        Aamir aaj kal key Pakistan sey Europe bohat behtar hai!
        (Aik chhoti si misaal in Elections key hawaley sey dena chahoon ga, Aabid, jo merey nazdeek ilm ka aik sar'chashma hain, jab un jaisa insaan Nawaz Shareef jaisey luterey ko apna leader maan ker ussey vote dey saktey hain to mujhey Pakistaniyo ki hub-ul-watni per yaqin nahin raha, sorry Aabid bhai!

        Misaal yeh dena thi keh Denmark mein aik Prime Minister tha, 1984 mein Sri Lanka sey kuchh muhaajreen idher aaey aur us case ka scandal bana, jissey Prime Minister ney dabaney ki koshish ki. Woh zahir ho geya aur us Prime Minister ki hakoomat ka takhta ult geya siraf us aik case ki bina per aur phir sari umer woh bandah siyasat mein nahin aaya - Nawaz Shareef jaisa watan'farosh aur lutera aaj bhi hamara leader baneney ka dawa kar raha hai - isi liye merey nazdeek Pakistan sey Denmark hazaar darjey behtar hai).
        Theek he maanta hoon Europe mein paisa ziada he, lekin aap paisay ke khaatir bohat si cheezon ko daoo pe laga rahay hotay hein.

        Europe mein paida honay walay akser buchay ki perwarish materialistic environment mein hoti he, us ke nazdeek ethical values, religion, respect for elders sub saanvi hesiyat rakhti hein. Insaan is dunia mein akeela zindagi nahi guzaar sakta, usay bohat se sahaaron, rishtaydaaron ki zaroorat hoti he, jo aap ko doosron mulkon mein nahi miltay. Skin-colour factor aik reality he. Aap kabi gooron mein bhi nahi ruch bus saktay, koi aap ke dukh dard mein shareek honay wala nahi hota, aap isolate ho jatay ho. aap ki wahan pe social life limited ho jati he. Angreezi ka aik mahawra pesh karon ga yahan

        Birds of a Feather flock together
        :thmbup:

        Comment


        • #19
          Re: Deep Freezer mein zindagi

          Originally posted by farri View Post
          i agree with masood bhai....becoz i also live in Denmark
          You agree to Masood just because you live in Denmark :donno:
          :thmbup:

          Comment


          • #20
            Re: Deep Freezer mein zindagi

            Originally posted by La'hasil View Post
            Masood Se Agree Karti HooN "Baat Tu Such Hai Maghar Baat Hai Ruswaye Ki"

            Aur Mazey ki Baat Tu Yeh Hai kay Aaj Mulk Is Jagah karha hai tu Yeh Hamara Appna hi Qasoor Hai Hum Leader Un Logo'N Ko Banatey HaiN Jo Sirf Apna Mufad Jantey Hain MULK Ka nahin :)
            Mam yahan politics ki baat nahi ho rahi, yahan baat hamaray apni social life aur social structure ki ho rahi he. Mudda yeh he ke kia paisay ke liye apni zindagi aik aisay mulk mein guzaarna jahan pe na koi jananay wala ho na pehchananay wala....sirf machine ki tarah insaan kaam karay, note banaye. Kia zindagi ka yahi maksad he. Apna mulk jesa bhi he, hay to apna, yahan pe loog aap se pyaar bhi karain ge, dukh derd mein bhi shareek hoon ge. Aap ka apna bucha ager thoora sa biger jaye to kia aap usay kisi aur ko de ker koi sulja hua bucha adopt ker lein ge kia :donno:
            :thmbup:

            Comment


            • #21
              Re: Deep Freezer mein zindagi

              Originally posted by musaddaq View Post
              No comments right now, bcoz it all depends on person to person
              ok
              :thmbup:

              Comment


              • #22
                Re: Deep Freezer mein zindagi

                Originally posted by Shakh-e-Tamana View Post
                agree wid masood uncle..:eye:


                me tu khud UK main reh ker khush nahi hoon...but her insaan ki kuch majbooriyan hoti hain..jin ki waja say un ko sab kuch bardasht kerna hai perta hai motuuuuu...u ko samhjani perti hai her baat...:slap:

                kasmay u b na aqal say padal insaan he ho..:kr: :kr:
                Tum jitni seyaani ho, aabda perveen bhi utni he seyani he
                :thmbup:

                Comment


                • #23
                  Re: Deep Freezer mein zindagi

                  Originally posted by hamzad View Post
                  har kisi ki alag alag situation hoti he wese serf pesa kamane bahir chale jana or apni family ko intezar me chor jana bhi munasib anhi:donno:insan kam me guzara kare lekin sab sath mil kar rahen
                  Mein bhi aisa he soochta hoon jesa aap soochti hein. Zinda rehnay ke liye paisay ke ilawa kuch aur bhi takaazay hein, hum un takaazon ko sirf paisay ki khatir kyoon framoosh ker dete hein :donno: ager paisa kamana he maksood he to kyoon na aik limit tak. Paisay ke laalach ki koi had honi chahiye, banda 2, 4 saal kama ke wapis aa jaye aur phir pakistan mein settle ho jaye. Hum La'mehdood hawas ka shikaar kyoon ho jatay hein. Jitna ziada paisa aata he hum utna he aur hasil kerne ki faraak mein kyoon lag jatay hein...Laalach ki bhi to koi had honi chahiye na :donno:
                  :thmbup:

                  Comment


                  • #24
                    Re: Deep Freezer mein zindagi

                    Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
                    I think Itnay saray replies se aapko samjh aa gaey hogi baat....:slap:

                    aur phir bhi nahin aaey to aapni aqal ko bech k sawa rupay ki sheerni banat dena mohallay may (for sure u k dimagh sawa rupay mein to bikk hee jaey ga:kr: )
                    Yeh kia chawlein hein :donno:
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #25
                      Re: Deep Freezer mein zindagi

                      Originally posted by munda_sialkoty View Post
                      Murgi ke andoo aur meri meri bakriyooo

                      Salam Hukam kerta hoon

                      To aaj mein jis critical mudday per baat kerne ja raha hoon mujay ummid he ke aap ko topic se kuch bhi idea nahi hua ho ga Chalo me eggs-plain kerta hoon :tauba

                      Hum loog paisa kamanay ke liye aur apni khushiyaan khareednay ke liye apni khushiyaan daao per laga dete hein (yeh bhala kia baat hui :donno:)

                      PG ke bohat se members jo doosray mulkon mein waqoo pazeer :khi:hein, wahan per rehnay ke bawajood satisfied nahi hein. Wahan ka mahool pasand nahi aata, environment pasand nahi aata. Wo sirf paisa kamanay ke liye wahan per hein. Aur baaz loog apni saari zindagi Deep Freezer yani canada jese countries mein guzaar dete hein...banda poochay ke deep freezer mein reh ke kooi kia khushi haasil karay ga, life jammed, roads blocked, frostbite, aur pata nahi kia kia :donno:

                      Kia aisay paisay se khushiyaan haasil ki ja sakti hein jo paisa deep freezer mein beth ke kamaya gaya hoo :donno:Kia khushiyoon ka meyaar sirf paisa he hay :donno:

                      Walikumas salam baja lati hoon

                      jiss deep freezer ki app baat kar rahey hain uska tu me ko pata nahi coz kabhi wahan gai nahi aur na koi aziz wahan hai
                      albata jiss hot ovan (yanee saudia main) main rehti hoon yahan ki life bahut pursakoon hai....bahut se cheezin missing bhi hain but still life is peaceful...khushiya really mand par jati hain jab kisi dosrey country main raha jata hai...na apney watan ki azadi aur na relatives ka aana jana...bas chup chap nanni nanni khushyan hoti hain....
                      masla sara money ka hai agar yehi paisa hum ko apney watan mian mil jaey tu kia zarorat hai watan se bahar janey ki....paisa hasil karney ke lein aur zindagi ko khush hali se jiney ke lein log watan se bahar janey par majbur hain...paisa zindagi ki bahut bari zarorat hai....aur hamari tarhan ke middle class log hi watan se bahr ja kar struggle kartey hain ....coz humari struggle ka watan main koi result nahi milta....main ye nahi kehti ke hum yahan bahut aesh aur araam ki zindagi guzar rahey hain....likin kam se kam future ki koi tension nahi hai...bahut behtar hain haalat..yahan reh kar money save hojata hai.........khushyon ka sacrifice tu hai but zindagi ki behtiri ke lein karna parta hai
                      Last edited by Pakiza; 15 February 2008, 23:54.

                      Comment


                      • #26
                        Re: Deep Freezer mein zindagi

                        Originally posted by munda_sialkoty View Post
                        Tum jitni seyaani ho, aabda perveen bhi utni he seyani he


                        or tum utnay siyanay ho jitna khoota hota hai:kr::kr::kr:

                        Comment


                        • #27
                          Re: Deep Freezer mein zindagi

                          Originally posted by Pakiza View Post
                          Walikumas salam baja lati hoon

                          jiss deep freezer ki app baat kar rahey hain uska tu me ko pata nahi coz kabhi wahan gai nahi aur na koi aziz wahan hai
                          albata jiss hot ovan (yanee saudia main) main rehti hoon yahan ki life bahut pursakoon hai....bahut se cheezin missing bhi hain but still life is peaceful...khushiya really mand par jati hain jab kisi dosrey country main raha jata hai...na apney watan ki azadi aur na relatives ka aana jana...bas chup chap nanni nanni khushyan hoti hain....
                          masla sara money ka hai agar yehi paisa hum ko apney watan mian mil jaey tu kia zarorat hai watan se bahar janey ki....paisa hasil karney ke lein aur zindagi ko khush hali se jiney ke lein log watan se bahar janey par majbur hain...paisa zindagi ki bahut bari zarorat hai....aur hamari tarhan ke middle class log hi watan se bahr ja kar struggle kartey hain ....coz humari struggle ka watan main koi result nahi milta....main ye nahi kehti ke hum yahan bahut aesh aur araam ki zindagi guzar rahey hain....likin kam se kam future ki koi tension nahi hai...bahut behtar hain haalat..yahan reh kar money save hojata hai.........khushyon ka sacrifice tu hai but zindagi ki behtiri ke lein karna parta hai
                          Go ke tumhara jawaab meri sooch se kuch differ bhi kerta he, but still I would say Good Reply.

                          mein ne Hamzad ko kuch points quote kiye, unhein bhi zaroor perh lena...i understand ke paisa bohat zaroori he, lekin paisay ki aik khaas mikdaar kama ker insaan ko apnay mulk mein aa ke wahan pe kuch kaam kerna chahiye. This is what I think
                          :thmbup:

                          Comment


                          • #28
                            Re: Deep Freezer mein zindagi

                            Originally posted by Shakh-e-Tamana View Post
                            or tum utnay siyanay ho jitna khoota hota hai:kr::kr::kr:
                            yahan pe ager reply kerna he to serious reply karo
                            :thmbup:

                            Comment


                            • #29
                              Re: Deep Freezer mein zindagi




                              kio ais post ki yeh shert rakhi hai keh yahan serious reply kernay hain..nahi tu nahi kernay..:cc:

                              Comment


                              • #30
                                Re: Deep Freezer mein zindagi

                                Originally posted by Shakh-e-Tamana View Post



                                kio ais post ki yeh shert rakhi hai keh yahan serious reply kernay hain..nahi tu nahi kernay..:cc:
                                Yahan pe mein serious replies chah raha hoon, chawlein maarni hein to doosray threads mein aa jaoo :khi:
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X