Mulk ki mashoor o maroof journalist ko aap logon nay aik martaba phir zahmat di hay, ab main kiya karon main boht rahm dil type ki bandi hon :wk, is liye aik martaba apna qeemti waqt muft main is interview ki nazar kar rahi hon, :eye: ab ye muft ki bhi aap logon ko kiya bataon, pegham news paper walon nay meri payment hazam karli hay . kahtay hain kay hamari mashoori kar do phir baad main interviews ki payment krdain gay .(ye raaz ki baat hay kisi ko batani nahi hay nokri ka sawal hay) :shh:
pichli martaba yaram sahb ka iterview kiya to wo itnay mashoor hogaiy kay usa president bush nay bhi yaram ko call ki :hehe:, or mujh say bhi bushi ji ne iterview ki darkhast ki, magar aap ko to pata hi hay kay meray pas time kahan hota hay, saaf chitta inkar krdiya bushi ko (dushmano ko mashoor nahi karna na ji!) :na:

daikha aap nay kay main nay aap ka bilkul bhi waqt zaya nahi kiya or ab Eshaa chaudhry ka interview (aiwain hi bongiyan) aap bhi parh lain (kiya yaad karain gay)...:lpop:
Eshaa chaudhry ka naam sun kar hi mujhay andaza hogaya tha kay koi paindo hi hogi....or kisi pind jana paray ga dhondhtay dhondhtay kapaas ki fasal kay beech aik kunwain par paani bharti hoi Eshaa chaudhry mujhay mil hi gae main nay interview ka bola to jhat say matka sar say utara or waheen paon pasaar kar mohtarma baith gaeen..(mujhay bhi majbooran kunwain pas baithna par gaya) :pagal:

jo sawal jawab hoaiy wo aap ki nazar hain :tumain:
Comment