Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

larkoun say sawaal....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: larkoun say sawaal....

    Originally posted by Aanchal View Post
    Assalamalikum
    yeh sawaal saray larkoo say hia ..sab nay is ka jawaab deena hai
    sawal to buhat hain aik aik kar kay pouchoun gee

    mere aik jannay wali ki shadi the kuch din pehlay ...woh apni shopping say zaida apnay susraal waloo ki shopping main busy the...saas ko soonay kay kangan(omer hai yeh sonna pehnay ki :tauba) , susar ko qeemti ghari ..or jitnay bhi dewaar, nanand or un kay bachay or peda honay walye hian un ki bhi cheezian in ko deeni parti hian RASM hai:tauba

    sawal yeh kay kay aisay moukay pay dulhay sahab koi chup hotay hian ?
    woh mana nahi kar saktay kay yeh fazool rasmian ab khutem honi chaian ?

    kuch familes main aisa nahi hota ...aisa is leye nahi kay woh is cheez ko acha nahi samjhtay balkay is leye nahi kartay kay un kay baap, dada aisa nahi kartay they....
    kafi sari families main aisa hota hai ...
    yeh kab khutem hoo ga sab?
    jawaab doo saray larkoun serious hoo kay.....

    jwab simple hai

    k humari b family man aysa nai hota so kabi socha hi nai is bare man :khi:

    next swaal :comfort:

    Comment

    • #17
      Re: larkoun say sawaal....

      Originally posted by musaddaq View Post
      Aanchal,
      larke goonge nahi bante lakin jo mian ne baat ki hai uss ki tasdeeq tum en khud hi ker di hai, or jahan tak yeh saas, susar nand waghaira ko dena ki baat hai,to iss keh baare mian bhi yehi jawab milta hai jo keh mian ne apni first post main diya hia,or demand means keh larke wale koi demand nahi kerta keh unhian yeh yeh cheez chahia...
      larki walye woh demand kartay hain jin say un ki beeti ghar main kush reh sakian ...dulha dulhan donoo ka future acha guzar sakye ...
      or larkay walye apni pooray khandan ki cheezian mangtay hian woh sahi hai ?
      larkay kabhi is moukay pay nahi boltay kay yeh sahi hai :)
      Last edited by .; 7 January 2008, 09:49.
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment

      • #18
        Re: larkoun say sawaal....

        Originally posted by Kh@w@r View Post
        jwab simple hai

        k humari b family man aysa nai hota so kabi socha hi nai is bare man :khi:

        next swaal :comfort:
        achi baat hai agar nahi hota to ....agar hota bhi to aap larkay is cheez ko agay barh kay khutem kar saktay hian :thmbup:

        pehlay is sawal ka sab say jawaab lay loun pher next sawaal pouchoun gee :lpop: abhi sab ki post pay reply karna hai mujhay
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment

        • #19
          Re: larkoun say sawaal....

          Originally posted by Aanchal View Post
          larki walye woh demand kartay hain jin say un ki beeti ghar main kush reh sakian ...dulha dulhan donoo ka future acha guzar sakye ...
          or larkay walye apni pooray khandan ki cheezian mangtay hian woh sahi hai ?
          larkay kabhi is moukay pay nahi boltay kay yeh sahi hai :)
          nahi Aanchal koi larka wale nahi maagte kissi keh liya kuch bhi,mian ne atleast aisa koi log nahi dekha,ager larki kuch na bhi laee to bhi i think it doesn't matter,bcoz khushian in cheezoon se nahi aatin gharoon main

          Comment

          • #20
            Re: larkoun say sawaal....

            w/salam
            ye dolat ki rail pail jab say hoi hay logo kay mezaj change ho gae hain ameer dekhaway kay liye zeyada say zeyada apni betiyon ko detay hain aur ghareeb becharay is resam say pis rehay hain
            aap nay theek keha lerkon ko mena kerna chahiya keh in fazuliyal say perhaiz kea jae
            hamaray Nabi kareem (PBUM) nay jitni sadgi say apni beti ki shadi ki thi us mesal ki perwi kerni chahiya
            kea aap(PBUM)kay pas serf wo hi dolat thi jo unhon hay apni beti ko di yaqeenan nahain wo do jehan kay malik thay aur bahut kuch day saktay thay laken unhon nay serf wo hi kea jis ka khuda nay un ko hukam deya tha

            Comment

            • #21
              Re: larkoun say sawaal....

              Originally posted by GumShuda View Post
              Walaykumsalam

              lolsss Dulhay ki kaun sunta hai ???
              Bas osko kaha jata hai tum apnay kaam se kaam rakho.
              Yeh achi baat nahi hai lekin Karna parta hai :d , Cities mein tu itna nahi hota , kabhi ap kisi village mein jaa kar daikhna larki walay larkay kay susral kay jitnay loog hotay hain sab kuch hi banatay hain, kah banda paraishaan ho jata hai , Lekin Humari aurtein hi hain wohi sab kuch karti hain koi banda apni ghar ki aurtoon se larayee tu moo'l nai lai sakta na jab oski shadi ho rahi ho :kr::kr::kr:
              AP ka apna experience tu nhi bol raha uncle jee:kr::kr::kr::kr:

              Comment

              • #22
                Re: larkoun say sawaal....

                Originally posted by Fari View Post
                AP ka apna experience tu nhi bol raha uncle jee:kr::kr::kr::kr:
                haha
                chup karo shetan ki khala .....
                kia meray koi cousion waghaira nai ho sakta ???
                lazmi nai jo baat kahon wo meray se hi related ho , experience aur bi kafi ways mein ho sakta hai , aur parha nai Aanchal ne kaha hai only serious batain , bongiyaan nai maro apni yahan per :d :kr:
                Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
                Sadly, common sense is not very common..!!

                Comment

                • #23
                  Re: larkoun say sawaal....

                  app aurtain agar sudhar jao tou yakeenan yeh rasmain khatam ho sakti hain.simple is that..............................:)

                  Comment

                  • #24
                    Re: larkoun say sawaal....

                    Originally posted by GumShuda View Post
                    haha
                    chup karo shetan ki khala .....
                    kia meray koi cousion waghaira nai ho sakta ???
                    lazmi nai jo baat kahon wo meray se hi related ho , experience aur bi kafi ways mein ho sakta hai , aur parha nai Aanchal ne kaha hai only serious batain , bongiyaan nai maro apni yahan per :d :kr:

                    mai ap(shitan) ki khala nahi ho:tomato:

                    mujha masoom bachi ko kiya pata kah ap ka cousin bhi hota ha jes ki shadi bhi hoti ha:kr:wasay hi ap nay baat hi asay ki kah laga kah ap ka khud ka experience bol raha ha:kr:

                    ap ki baat jahan ki jay gi woh bongi hi hogi:kr:so Aanchal de bhi mujh se agree karay gi aur ya wali bongi allowed kar dian gikiun kah fari khabi ghalt nahi kahti:blush:

                    Comment

                    • #25
                      Re: larkoun say sawaal....

                      Originally posted by BUS U HE View Post
                      app aurtain agar sudhar jao tou yakeenan yeh rasmain khatam ho sakti hain.simple is that..............................:)

                      ki na typical mardo wali khabi apni ghalti na man na hamesha aurto ko ghalt kah kar sudharnay ka mashqara daina ...khud bhi apnay mashwaray per amal karna chaiya ap mardo ko:zuban:

                      Comment

                      • #26
                        Re: larkoun say sawaal....

                        Originally posted by Fari View Post
                        ki na typical mardo wali khabi apni ghalti na man na hamesha aurto ko ghalt kah kar sudharnay ka mashqara daina ...khud bhi apnay mashwaray per amal karna chaiya ap mardo ko:zuban:
                        bhi yeh tou haqeeqat hai na:tauba
                        aurtain he tou aik doosray per dehan rakhay hue hoti hain k oosne kitna sona dia:tauba kitney joray diye:taubasaas susar ko kya diya :taubaaur mazay ki baat dekho k yeh thread be aik aurat ne he lagaya:kr:zahir hai aurtoo ko koi aur kaam jo nahi hai sirf yehi soachti rehti hai k mard ko kis tarha halal kia jaye:kr:

                        Comment

                        • #27
                          Re: larkoun say sawaal....

                          Assalam o Alikum Aanchal sis! :)

                          Mery khyal mai jin Families mai is tarah k trends hain wahaan awareness nahi hai...Parents hi apny bacchon ki tarbiyat krty hain or ik lerky/lerki mai off course apni Family ka aks chalak'ta hai

                          jab unki Family ki soch aisy ho to mumkin hai k unky bety/beti ki bhi soch wasii hi hogi

                          Well Dowry k lihaaz sy itna kahoon gi k mainy aj tak wo log nahi dekhy jo Dowry demand krty hoon........bus yahi dekha or suna hai k lerki waly apni marzi sy hi jo bhi dety hain wahi.....

                          ALLAH TAALA sab ko hidayat dain AMEEN! :)

                          Comment

                          • #28
                            Re: larkoun say sawaal....

                            Originally posted by Shaim View Post

                            Aisa hi hai , I think :)
                            Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
                            Sadly, common sense is not very common..!!

                            Comment

                            • #29
                              Re: larkoun say sawaal....

                              Originally posted by Shaim View Post
                              Assalam o Alikum Aanchal sis! :)

                              Mery khyal mai jin Families mai is tarah k trends hain wahaan awareness nahi hai...Parents hi apny bacchon ki tarbiyat krty hain or ik lerky/lerki mai off course apni Family ka aks chalak'ta hai

                              jab unki Family ki soch aisy ho to mumkin hai k unky bety/beti ki bhi soch wasii hi hogi

                              ji un ki soouch aisi hai tab hi to yeh sab chal raha hai :)...or isay dulhay sahab hi khutem kar saktay hian ....dulhay sahab start to laian ..
                              jo loog aisay system ko acha samjhtay hain agay chal kar jab un ki beeteoun ki shadi hoti hai tab pata chala hai jab yeh cheezian double triple deeni parti hian :)

                              thread ka maqsad yehi hai is pay souchian or isay khutem karian :thmbup:

                              Well Dowry k lihaaz sy itna kahoon gi k mainy aj tak wo log nahi dekhy jo Dowry demand krty hoon........bus yahi dekha or suna hai k lerki waly apni marzi sy hi jo bhi dety hain wahi.....

                              ALLAH TAALA sab ko hidayat dain AMEEN! :)
                              main nay deekha hai or isi leye thread shuru kia hai ...main larki waloo ko janti houn woh yeh sab cheezian khareed rehye they ...un ka dil pooray khandan ko deenay ko nahi tha woh sirf apni beeti ko deena chahtay they ...lekan bas majbooran deena parta hai unhay .....larkay walye un ki beeti ko sunian gay pher...............
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment

                              • #30
                                Re: larkoun say sawaal....

                                Originally posted by BUS U HE View Post
                                app aurtain agar sudhar jao tou yakeenan yeh rasmain khatam ho sakti hain.simple is that..............................:)
                                sara ilzaam aurtoun pay dalnay say baat khutem hoo jati hai ?:)

                                agar aap logoo ko lagta hai aurtian hi ghalat kar rahi hain to aap agay barh kar usay theek kar doo ..khutem karoo yeh sab
                                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                                Comment

                                Working...
                                X