mera eik dost hai jis nay kuch maah pehli engament (mangni) ki lakin jab larki ko pata chala k larkay ki sunnah kay mutabik daarhi(beard) hai tu uss nay yeh kah kar mangni tor di k larkay ko daarhi hai...... jab yeh khabar meinay sunni tu mein hairaan rah gaya...... wese girls ko iss tarah nahi karna chahiye....
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
mangni
Collapse
X
-
Re: mangni
Kitna Galt hua - Yakeenan us larki ke seene main iman naam ki koi chez nahi ho gi - Mujhey Bohat dukh hua yeh sun kar.
Jahan tak darhi ki baat hay to log bohat haqaarat ki nazar se dekhte haiN darhi wale ko - Agar darhi katwany main koi maslihat hoti to ALLAH taala mardo k munh pe baal ugata hi na - aur OrtoN ke mu per Uga deta - Us ne mard aur orat ko fitri taqazoN ke mutabiq peda kya hay - Us ne NABI SAW ki sunnat ko haqarat ki nazar se dekhte hoe mangni tor di - Yakeen Janien bohat dukha hua.Allah
-
Re: mangni
Originally posted by Yaaram View PostKitna Galt hua - Yakeenan us larki ke seene main iman naam ki koi chez nahi ho gi - Mujhey Bohat dukh hua yeh sun kar.
Jahan tak darhi ki baat hay to log bohat haqaarat ki nazar se dekhte haiN darhi wale ko - Agar darhi katwany main koi maslihat hoti to ALLAH taala mardo k munh pe baal ugata hi na - aur OrtoN ke mu per Uga deta - Us ne mard aur orat ko fitri taqazoN ke mutabiq peda kya hay - Us ne NABI SAW ki sunnat ko haqarat ki nazar se dekhte hoe mangni tor di - Yakeen Janien bohat dukha hua.
Comment
-
Re: mangni
heyrat say ziada to afsoss ka muqam hay
beard rakhna to Rasool Allah [ s.a.w.w] ki sunnat ko zinda karnay ka naam hay aur jis nay Rasool ki aik sunnat ko zinda karna 100 shuhda ko miklnay walay sawab k baraber hota hay
maloom nahi log mazhabi rujhaan say itny mutanaffir kiun hainAao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!
Comment
-
Re: mangni
haaaawww..Allah mafi day...
ais main aisi kaya baat thi....balkeh kuch logon per tu darhi or monchien itni suit kerti hai....
me k apnay fiance ki monchien hain..or un per ini suit b kerti hain:blush::blush:.......aisa thori na kertay hain.....buhat he galat baat hai:na:
waisay sari lerkiyan ik jesi nahi hoti.....:na:...ap girlzzz na kahien:na:
Comment
-
Re: mangni
sach mai buhaat ghalt baat hai....aj kal ki generation apni tehzeeb n Relegion sy door hain ishi lye ye sab ab mayoob samjha jany lga hai!
balky humin to buhat accha feel krna chahye k ik Acchy Muslim se shaadi ho rahi hai q k honestly saying ik baat kahon.......young age mai boys n gals sabko hi fashions follow krny ka...shook hota hai or jo log is mai SUNNAT ko prefer karin wo log sach mai buhat ziada khoobsoorat hooty hain internally :)
i also feel very nice n proud k mere Fiance ki Darhi hai chooti c hai per hai to :blush: :lpop: :blush:
Comment
-
Re: mangni
Originally posted by Yaaram View PostKitna Galt hua - Yakeenan us larki ke seene main iman naam ki koi chez nahi ho gi - Mujhey Bohat dukh hua yeh sun kar.
Jahan tak darhi ki baat hay to log bohat haqaarat ki nazar se dekhte haiN darhi wale ko - Agar darhi katwany main koi maslihat hoti to ALLAH taala mardo k munh pe baal ugata hi na - aur OrtoN ke mu per Uga deta - Us ne mard aur orat ko fitri taqazoN ke mutabiq peda kya hay - Us ne NABI SAW ki sunnat ko haqarat ki nazar se dekhte hoe mangni tor di - Yakeen Janien bohat dukha hua.
Comment
-
Re: mangni
main samjhta hoon kay ham sab ko us lerki kay baray main ray denay ka koi haq nahi. jis ko app jantay na hoon. yah sab say bori baat hain...
Raha sawal kay us nay mangni tor di... to janab jab app kay dost ka rishta gaya tha to kiya lerki nay lerkay ko nahi dekha tha. aur i think kay har kisi ko apni zindagi guzarnay ka haq hain.. ager wo is main khush nahi to acha kiya us nay saaf saaf khay diya. koi galat bayani to nahi ki... mind ko thora khola kar kay socha karay... aur PLS har baat main yah relagion ko maat laya karay.
kon hain jo ajj is kay mutabik chalta hain.. ager relagion ki baat kartay hain to app sab bhi galat kar rahay hain aur Islam say door hain yah jo forum par lerka lerki postay kartay hain.. yah bhi to discation hoya. also not allowed:cc:
so be fair aur be happy.
jo jo karta hain ALLHA RABULL KArem sab dekh raha hain.
ham sab nay apni apni kabroon main jana hain. so kisi par ungliaa mat uthay.Last edited by D@y W@lk3r; 24 November 2007, 05:55.ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh
Comment
-
Re: mangni
Day walker aap ne sahe kaha per aik galat kaam hua - acha chalein aap yahi soch leiN ke ALLAH ne mard ke munh per darhi ugai hay to akhir koi maslihat hi hay na - Darhi to sikh bhi rakhte haiN. Hum to phir muslim haiN -Allah
Comment
-
Re: mangni
:) kafi ajeeb se kahani ban chuki hai ab ..tak yani waqi jitnay munh otni batein wali misal samnay aati hai....:donno:.
Sab se pehlay tu yeh waqea-tan baat sahi hai k larki jo b thee oss nay jo b kia wo GHALAT THA ......hai aur islamic nuqta-e nigah se ek dum ..ghalat hai..
laikin yeh b aik had tak sahi hai k ...yeh oss larki ka apna kirdar hai oss ka apna emaan.. .. aur rahi yeh baat k kia larki nay larkay ko pehlay deykha tha ya nahi ...kion k ho sakta hai jab engagement hoi ho tab wo larka (aap ka dost) clean shaved ho ..ya kuch b ho.. laikin ....ab baat yeh hai k ..Hona kia chahiyay...
beyshak AGar hum muslims hein tu hamein deen mein poora ka pora daakhil ho janay ka hukam hai ..aur deen hum tak beyshak RAsoool Allah SAW k zariyay Allah k hukam se puhncha....tu jo sunat-e Rasool SAW hai ..oss k muatabiq tu males ko beard rakhni chhaiyay ..bilkul shave nahi karna chhaiyay ya iss mein kai scholars ki mukhtalif ra-ay hein ...but yeh fact hai k Beard rakhna sunat-e Rasool SAW hai ... so we have to follow.....aur yeh hukam mard O aurat dono k liyay hein ...! sahi na...!
ab yeh k ...Bassa Oqaat ...larki parda karti hai like burqa ya koi b veil etc ....magar shadi k baad husband oss ko sar bhi dhanpnay se manaa kar deytay hein tu larki ko wo chaar o naa chaar karna hee parta hai until k wo yani larki ( bivi) apnay husband ko convince karay k mujhay hijab ya parda karna hai .....
Tu aisay haalat mein tu ghalati har do janib se ho sakti hai na? yani ek larki ka shadi se inkar Beard ki wajh se ..aur ek larkay ka Manaa karna Shadi k baad apni BIVI ko parda karnay se .DONO hee apni jagah sahi nahi hein magar aisa hota hai .....
Hamein khud apnay aap per nigah rakhni chahiyay k hamein yeh sab karna haiya nahi... aur hum sab jantay hein k ...Jiss nay sunaah k man-nay se inkaar kia ya ..Naoozo Billah ...Sunnah per amal karnay walay ko na pasand kia ...tu wo .....umm..oss k liya hum NAIKI KI hadayat k liya dua kar saktay hein ..aur bass..
MAY ALAAAH BLESS US ALL ameen Sum ameen
Comment
-
Re: mangni
Originally posted by Yaaram View PostDay walker aap ne sahe kaha per aik galat kaam hua - acha chalein aap yahi soch leiN ke ALLAH ne mard ke munh per darhi ugai hay to akhir koi maslihat hi hay na - Darhi to sikh bhi rakhte haiN. Hum to phir muslim haiN -
ham sab hamesha islam ko bich main le aatay hain jab hamay wo baat achi na lagay.
ab app dekhay kiya jor in dono ka... acha hi kiya na kay start karnay say phalay aik dafa aur soch liyah.. ager shadi kar kay guzara na hota to....:donno:
so she have absolutly right too choose how to live and with :donno:
app islam ki baat kartay hain to us lerki say kiyun pocha na gaya aur us lerkay ko dikhya na gaya..... to aisay halat paida na hotay...:cc:
so jeo aur jinay do...:comfort:ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh
Comment
Comment