Re: Aap Kya Kartey Hain?
Yahan mein ap se thora ikhtilaaf karta hoon.
Insaan kabhi bhi akaila nahi hota :)
atleast mein nahi hoon, kuynkah mera taulaq Sufism se hai. Roohaniyat mein Aisa nahi hota, Manzil tu Allah hay lekin beech mein bohat saray loog aa jatay hain jo apko pakar kay Allah kay paas lay janay ka saman kartay hain.
Apko ek misaal sunata hoon Ashfaq Ahmad ( Writer thay Bohat Baray Allah unko Jannat Naseeb Karay Ameen ), unka ek Prgrm ata tha PTV pe "Zaviya" ( Angle). Tu Os mein Unhoon ne Ek misaal di thi. Kuch Aisay hai..
Agar Insaan ko Zindagi Mein ek Rehnuma Mil Jay tu Bohat Acha Rahta hai warna Naikiyoon kay lye ya Jannat kay lye tu Sabhi ibadat kartay hain, Lekin Mohabbat mein aisa nahi hota aur na hi insaan Tanha Rahta hay.
Jazak'Allah
I hope apko mera point samajh aa jai ga inshAllah :)
Originally posted by ummid
View Post

Ek Guru Hota hai aur ek Cheela ( Naukar ) wo kisi Jungle mein rahtay hain. Ek Saath rahtay howay unko kafi waqat ho jata hai. Ek din aisa hota hay kah Chelay ko pata nai kia Sojti hai Guru ki Changli ungli ( choothi finger ) jisko Cheechi bhi kahtay hain wo Kha jata hay, Guru ko Chelay se Payar hota hay tu wo Kuch nahi kahta. Doosray din Chelay Haath Khaa jata hay apnay Guru ka aur Aisa Kartay Kartay Chela Guru ko Mukamal taur pe Kha jata hay. Guru tu bohat Pakbaaz hota hay aur Achay Kaam Karta tha. Tu Ab Guru Ka Khoon Chelay Ki Ragoo'N mein Daurnay laga, tu Chelay ne Wohi Karna Shero Kar diya Jo Guru Karta tha. Es lye Zindagi mein Ek Roohani Teacher Ki Zaroorat Hoti hai Jo Dhondnay Se Milta hay jo apko Allah tak Pohnchnay mein Madad karta hay kuynkah wo Loog Allah tak Pohanch Chukay Hotay hain.

Comment