Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Lamha-e-Fikriyah: Duniya Kahan Kharri Hai?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Lamha-e-Fikriyah: Duniya Kahan Kharri Hai?

    Assalamo allaikum :rose

    Kal TV per aik program dekh raha tha, us mein Qayamat ki nishaniyan jo Nabi Kareem SAW ney batlaii hain, un per behas thi...

    Sab sey pehley to aik baat aap sab zehan'nasheen kar lijiye keh agar koi Nabi Kareem SAW ki batlaii hui qayamat sey mutaliq in baton ko PASHEEN'GOI ka naam dey to ussey rok dein - kyun keh PASHEEN'GOI jhooti bhi ho sakti hai aur Nabi Kareem SAW ki koi baat jhooti nahin ho sakti - in baton ko aap siraf aur siraf QAYAMAT KI NISHANIYAAN kaha karein - kyun keh in mein sey har baat sachi hai aur waqoo'pazeer ho rahi hai :SubhanAllhaa:

    Aik doosri baat bhi yaad rakhein keh yeh nishaniyaan kisi aik qom, mazhab, firqey, elaqey sey ta'aluq nahin rakhtin, yeh sari duniya sey related hain...

    to aatey hain un mein sey chand nishaniyon per....
    • zinna aam ho ga
      • Zara ghaur kijiye keh West to West hai, hamarey mulkon mein kya ho raha hai? Basanton per kya kuchh nahin hota? Basantein to aik taraf, gharon ki chardeewariyon mein kya kuchh nahin ho raha?
    • na'jaiiz bachon ki kasrat ho gi
      • Welcome to todays Europe and America! Jahan per sab sey pehley na'jaiiz bachon ko pedah kiya jata hai, is doran biological waldein aik doosrey ko "samajhney ki koshish" mein rehtey hain almost 5 mein sey 4 bachey na'jaiiz hotey hain. Ab is taraqi yafta mumalik ko dekh ker hamarey haan bhi aisey bachey pedah honey lagey hain - kyun keh jahan zinna ki kasrat honey lagey gi wahan aisey bachon ki pedaish aik na'guzeer amar hai
    • gaaney bjaney ki kasrat
      • Ham musalman apni anna ko taskeen deney key liyey har kaam ko jaiiz kar letey hain ya uskey liyey fatwey dilwa letey hain, Mosiqi ko bhi rooh ki ghiza bna letey hain, jab keh mosiqi jis mein nafs be'qabo ho woh haram ho jati hai - lekin aaj key dor ko zara dekhiyey - koi ghar, koi mehfil koi jaggah aisi nahin jahan mosiqi na ho...
    • sharab ki kasrat
      • West mein to hamesha sharab chali hai, aap musalmano ka haal dekh lijiye - jab sey Saudi Arab mein tail per amarton ki buniyadein rakhi gaii hain, hamarey haan bhi sharabein aam ho gaii hain - Kahin Arab shehzadey America mein ayyashi key addey aabad kartey hain to kahin Monaco ki haseenao ki bahon mein jhoom ker sharabein chalti hain, aur kahin hamarey haan basant key pardey mein sharabon key permit aisey khatam hotey hain keh bghair permiton key sharabein chalti hain - kaun hai jo rok sakey?
    • Kaafir kehney ki aksariyat
      • :) - hamarey haan aik musalman kitni aasani sey doosrey musalman ko kaafir tak keh fatwon sey nawaz deta hai - aap naam'nehad maulviyon key khutbaat sun lijiye - kaisey yeh log aik doosrey ko kaafir kehney sey bhi daregh nahin kar rahey - jab keh agar kisi ko kaafir kaha jaey aur woh uska eeman kafirana na ho woh haq per ho to kehney waley key liyey kya saza hai, yeh Allah Rab-ul-Izzat hi janta hai - to hamein soch kyun nahin aati?
    In baton ki roshni mein chand lamhaat key liyey sochiyey, keh duniya kahan kharri hai?????
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Lamha-e-Fikriyah: Duniya Kahan Kharri Hai?

    Meri toh Allah se yahi dua hai k humain Qayamat se pehle hi is duniya se uthale Aameen :dua

    :blush:

    Comment

    • #3
      Re: Lamha-e-Fikriyah: Duniya Kahan Kharri Hai?

      :) Maloom Nahin Hum Kis Taraf Ja Raha hai Kaun Sa Rashta A'apna Rahay haiN

      Aaj Westerns Ki AAndhi Taqleed Hamain Kahin ka Nahin Chor Rahi Par Afsoos TU is Baat ka hai Hum Jaan Bojh kar Un'jaaN Ban Rahay hain :)

      Oh hoo Kia Keh Sakhti Hoon :) Allah Hidayat Dey Hum Sab ko :)
      Zindagi Thak Gaye ..!!

      Comment

      • #4
        Re: Lamha-e-Fikriyah: Duniya Kahan Kharri Hai?

        Allah ham par rehem kare.ameen.ham aik bohat mushkil doar me is dunya me aey hen or pata nahi kia kia dekhen ge:(

        Comment

        • #5
          Re: Lamha-e-Fikriyah: Duniya Kahan Kharri Hai?

          Hum barbadii k daha'ney pr kharey hainn...!
          jitni bhi nishaniya batlaii gai hain un main sey chand hi reh gainn baqi tamam such hochuki hia nahi tu jald hi honey walii hian...
          Kisi pr kya ungli uthani pehley apna geraban jhank lena behter haii.
          Dua hai us Rab sey k woh humain baksh dey or mazed buraa waqt aney sey pehely utha lain

          Comment

          • #6
            Re: Lamha-e-Fikriyah: Duniya Kahan Kharri Hai?

            Waqi hum aise rayhon py jaan bojh k chal rahy hain jin k bary ma humay pata hai ky wo rasty tabahi ki taraf jaaty hain..
            Allah hum ko seedhy resty per chalny ki tofeeq ata fermay .. Aaameen
            Originally posted by Lahasil
            Aaj Westerns Ki AAndhi Taqleed Hamain Kahin ka Nahin Chor Rahi Par Afsoos TU is Baat ka hai Hum Jaan Bojh kar Un'jaaN Ban Rahay hain :)
            Um right
            mager pata hai western ma jo musalmaan hain on mai sy moslty muslims mazhab per bohat sakhti sy amal kerty hain..
            last year kuch families sy mile the mai UK main.. on ma sy akser females pory hijaab ma bahar jate hain.. aur deen k faraiz ,arkaan per strickly amal kerte hain.. aur mujhy sach much ma bohat hairat hoe the ye sab dekh ker aur ma bohat impress hoe the aur shermindigi bhe hoe the ky yaha pakistan main musulmaan mulk hony k bawajood hum loog kese zindagi guzaar rahy hain .. kesy hulyon ma bahar jaty hain.... kitny dour hain apny deen sy.. Allah hum sab ko hidaayat day.. Aaameen
            Originally posted by aquari
            Kisi pr kya ungli uthani pehley apna geraban jhank lena behter haii.
            Dua hai us Rab sey k woh humain baksh dey or mazed buraa waqt aney sey pehely utha lain
            Aaameen
            Last edited by aik_lerki; 10 October 2007, 13:20.

            Comment

            • #7
              Re: Lamha-e-Fikriyah: Duniya Kahan Kharri Hai?

              walaikum salam wr,

              Jo naqsha aap ney khencha hai uss hisaab sey to aap key sawal ka jawab ham ba khoobi jaantey hein key "dunya kahan khari hai?"

              Mey sirf aik cheez kahun gi ........ get back to Quran and Sunnah!!!

              by getting back to Quran n Sunnah mean ... read them with understanding....

              baki Allah T'ala hamarey liye asaaniyaN paida kareiN ameen.....
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment

              • #8
                Re: Lamha-e-Fikriyah: Duniya Kahan Kharri Hai?

                Originally posted by Xenya View Post
                walaikum salam wr,

                Jo naqsha aap ney khencha hai uss hisaab sey to aap key sawal ka jawab ham ba khoobi jaantey hein key "dunya kahan khari hai?"

                Mey sirf aik cheez kahun gi ........ get back to Quran and Sunnah!!!

                by getting back to Quran n Sunnah mean ... read them with understanding....

                baki Allah T'ala hamarey liye asaaniyaN paida kareiN ameen.....
                :thmbup:

                Comment

                • #9

                  Bacha kya ham is baat ko yun nahin ley saktey keh Allah Tala ki mansha poori ho rahi hai? Aur jis din ka usney wadah kiya hai keh aaey ga aur badi aab-o-taab key saath aaey ga, yeh nishaniyan us din ki qurbat ka ehsaas dila rahi hain???
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  • #10
                    Re: Lamha-e-Fikriyah: Duniya Kahan Kharri Hai?

                    Mery Khiyal main jab yeh batian pehly sy hee batla dee gai hian to pher es sy preshan huny kee kia zarorat hay?
                    ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
                    372-haha372-haha372-haha

                    Comment

                    • #11
                      Re: Lamha-e-Fikriyah: Duniya Kahan Kharri Hai?

                      Originally posted by La'hasil View Post
                      :) Maloom Nahin Hum Kis Taraf Ja Raha hai Kaun Sa Rashta A'apna Rahay haiN

                      Aaj Westerns Ki AAndhi Taqleed Hamain Kahin ka Nahin Chor Rahi Par Afsoos TU is Baat ka hai Hum Jaan Bojh kar Un'jaaN Ban Rahay hain :)

                      Oh hoo Kia Keh Sakhti Hoon :) Allah Hidayat Dey Hum Sab ko :)
                      Humain takleed karni chayee mager un batoon kee jo insaniyat k liy buhat achi hian..

                      kia wo kiun nahi karty?
                      ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
                      372-haha372-haha372-haha

                      Comment

                      • #12
                        Re: Lamha-e-Fikriyah: Duniya Kahan Kharri Hai?

                        Originally posted by hamzad View Post
                        Allah ham par rehem kare.ameen.ham aik bohat mushkil doar me is dunya me aey hen or pata nahi kia kia dekhen ge:(
                        Dont wory dear yehan darny sy kuch nahi hota humain Mukabala karna chayee Halat ka....
                        ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
                        372-haha372-haha372-haha

                        Comment

                        • #13
                          Re: Lamha-e-Fikriyah: Duniya Kahan Kharri Hai?

                          Originally posted by aquari View Post
                          Hum barbadii k daha'ney pr kharey hainn...!
                          jitni bhi nishaniya batlaii gai hain un main sey chand hi reh gainn baqi tamam such hochuki hia nahi tu jald hi honey walii hian...
                          Kisi pr kya ungli uthani pehley apna geraban jhank lena behter haii.
                          Dua hai us Rab sey k woh humain baksh dey or mazed buraa waqt aney sey pehely utha lain
                          Nice..............Lakin kia hum kabooter kee taraha Ankhain band ker daini chayee..
                          kiun nahi hum himmat ker k yeh manzar dekh sakty?
                          ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
                          372-haha372-haha372-haha

                          Comment

                          • #14
                            Re: Lamha-e-Fikriyah: Duniya Kahan Kharri Hai?

                            Originally posted by Masood View Post
                            Bacha kya ham is baat ko yun nahin ley saktey keh Allah Tala ki mansha poori ho rahi hai? Aur jis din ka usney wadah kiya hai keh aaey ga aur badi aab-o-taab key saath aaey ga, yeh nishaniyan us din ki qurbat ka ehsaas dila rahi hain???
                            Right Masood sahib...
                            ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
                            372-haha372-haha372-haha

                            Comment

                            • #15
                              Re: Lamha-e-Fikriyah: Duniya Kahan Kharri Hai?

                              Originally posted by KurriPunjaban View Post
                              Mery Khiyal main jab yeh batian pehly sy hee batla dee gai hian to pher es sy preshan huny kee kia zarorat hay?
                              Bilkul yehi baat main kehna chahta hoon keh yeh nishaniyaan biyaan ho chuki hain, yeh atal haqeeqat hain aur jab tak yeh halaat ru'numaa nahin hongey, qayamat nahin aaey gi, aur qayamat bhi ATAL hai :)
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              Working...
                              X