Re: Preparation for Jannah!
bhai... aur aamir... aap dono mein se koi bhi ghalat nahi... dono hi sahi hain... bus nazriye ka farq hai... yeh criticize karna sahi nahi hai... aamir jo sochte hain woh apne tajrube aur nazriye ke buniyad per sochte hain... aur bhai aap bhi... aap dono ki baaton se aik waqiyah yaad aya... hazrat mosa (AS) ke zamane mein aik shakhs howa karta tha jo Allah(SWT) ko kuch yun mukhatib karta tha ke "aye Allah aa main tere baal banao... tujhe lori gaa ker solao'n.... tujhe khana khilo'n.. tere sir se joein nikalo'n.." wagairah wagairah... woh jangal mein rehta tha... aik dafa Mosa (AS) ka guzar wahan se howa.. us shakhs ko is tarah mukhatib karta dekh mosa(AS) ne usey tanbih ki.. ke Aye nadan shakhs to janta bhi hai ke tu kis se mukhatib hai??" aur phir hazart mosa(AS) ne usey Allah ke baare mein bataya... yeh sub sun ker woh hairaan howa aur phir apna girbaan chaak karte hoye chinkhta howa janaglon mein door nikal gaya.... jub hazrat mosa (AS) Allah se khitab karne pohanche.. tu Allah (SWT) ne mosa (AS) se kaha ke "Aye mosa hum ne tumhe zameen per bando ko khud (Allah) se qareb karne ke liye bhaija hai na ke door karne ke liye..." woh shakhs Allah ko apni soch ke mutabiq praise karta tha...:)
tu baat yahi hai ke her koi apni soch ke hissab se Allah ko mukhatib karta hai.. haan hume ibadat ka tareeqa bata diya gaya hai... akser Allah in mamlo mein bhi kaafi choot de deta hai.. jaise aap baith ker namaz parho.. late ker bhi parhi jaa sakti hai.. isharon mein parho.. bus sir usi ke aage jhokao...aur us ke Rasool (PBUH) ki baaton ki pairwi karo....bus.........
kash hum yeh batein sumjh jaayen... tu itni behas ki zaroorat ho hi na...:)

Comment