Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Preparation for Jannah!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: Preparation for Jannah!

    bhai... aur aamir... aap dono mein se koi bhi ghalat nahi... dono hi sahi hain... bus nazriye ka farq hai... yeh criticize karna sahi nahi hai... aamir jo sochte hain woh apne tajrube aur nazriye ke buniyad per sochte hain... aur bhai aap bhi... aap dono ki baaton se aik waqiyah yaad aya... hazrat mosa (AS) ke zamane mein aik shakhs howa karta tha jo Allah(SWT) ko kuch yun mukhatib karta tha ke "aye Allah aa main tere baal banao... tujhe lori gaa ker solao'n.... tujhe khana khilo'n.. tere sir se joein nikalo'n.." wagairah wagairah... woh jangal mein rehta tha... aik dafa Mosa (AS) ka guzar wahan se howa.. us shakhs ko is tarah mukhatib karta dekh mosa(AS) ne usey tanbih ki.. ke Aye nadan shakhs to janta bhi hai ke tu kis se mukhatib hai??" aur phir hazart mosa(AS) ne usey Allah ke baare mein bataya... yeh sub sun ker woh hairaan howa aur phir apna girbaan chaak karte hoye chinkhta howa janaglon mein door nikal gaya.... jub hazrat mosa (AS) Allah se khitab karne pohanche.. tu Allah (SWT) ne mosa (AS) se kaha ke "Aye mosa hum ne tumhe zameen per bando ko khud (Allah) se qareb karne ke liye bhaija hai na ke door karne ke liye..." woh shakhs Allah ko apni soch ke mutabiq praise karta tha...:)
    tu baat yahi hai ke her koi apni soch ke hissab se Allah ko mukhatib karta hai.. haan hume ibadat ka tareeqa bata diya gaya hai... akser Allah in mamlo mein bhi kaafi choot de deta hai.. jaise aap baith ker namaz parho.. late ker bhi parhi jaa sakti hai.. isharon mein parho.. bus sir usi ke aage jhokao...aur us ke Rasool (PBUH) ki baaton ki pairwi karo....bus.........
    kash hum yeh batein sumjh jaayen... tu itni behas ki zaroorat ho hi na...:)
    Last edited by ummid; 20 August 2007, 13:29.

    Comment

    • #62
      Re: Preparation for Jannah!

      Originally posted by ummid View Post
      bhai... aur aamir... aap dono mein se koi bhi ghalat nahi... dono hi sahi hain... bus nazriye ka farq hai... yeh criticize karna sahi nahi hai... aamir jo sochte hain woh apne tajrube aur nazriye ke buniyad per sochte hain... aur bhai aap bhi... aap dono ki baaton se aik waqiyah yaad aya...
      kash hum yeh batein sumjh jaayen... tu itni behas ki zaroorat ho hi na...:)
      Ummi beta - ham log bohat bikhrey huwey hain, shayid is liyey bhi keh ham logon ney khud ko apni apni mazhabi ana ki bhent charha diya hai aur yeh kah ker keh tumhari soch bhi theek hai aur main bhi ghalat nahin - baat khatam kar detey hain...Ab agar har kisi ki soch drust honey lagey to tafarqaat to pedah hongey hi.... Aik platform per kharrey honey key liye constructive behas ka hona bohat zaroori hai jiska koi hal nikley
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment

      • #63
        Re: Preparation for Jannah!

        Originally posted by Masood View Post
        Ummi beta - ham log bohat bikhrey huwey hain, shayid is liyey bhi keh ham logon ney khud ko apni apni mazhabi ana ki bhent charha diya hai aur yeh kah ker keh tumhari soch bhi theek hai aur main bhi ghalat nahin - baat khatam kar detey hain...Ab agar har kisi ki soch drust honey lagey to tafarqaat to pedah hongey hi.... Aik platform per kharrey honey key liye constructive behas ka hona bohat zaroori hai jiska koi hal nikley
        bhai.... hum ne jo example di... woh isi liye ke aik the Hazrat mosa (AS) woh Allah se mukhatib hote the adab ke saath.. ke woh Allah ke nabi the.. un ka uhda ala tha... jub ke woh jangal mein rehne wala shakhs.. woh mamoli sa Insaan tha.. jis ki soch bauht aam si thi... ghalat dono bhi nahi the... apni soch ke mutabiq dono hi Allah (SWT) se mukhatib the...
        Deen asaan hai... bauaht aasan.. Alalh se qoorb ke tareeqe bhi kuch itne mushkil nahi... phir baaton ko uljhana... aur nazriye ko beech mein lana... yeh hume aaj tak sumjh nahi aaya....:donno:

        Comment

        • #64
          Re: Preparation for Jannah!

          Originally posted by ummid View Post
          bhai... aur aamir... aap dono mein se koi bhi ghalat nahi... dono hi sahi hain... bus nazriye ka farq hai... yeh criticize karna sahi nahi hai... aamir jo sochte hain woh apne tajrube aur nazriye ke buniyad per sochte hain... aur bhai aap bhi... aap dono ki baaton se aik waqiyah yaad aya... hazrat mosa (AS) ke zamane mein aik shakhs howa karta tha jo Allah(SWT) ko kuch yun mukhatib karta tha ke "aye Allah aa main tere baal banao... tujhe lori gaa ker solao'n.... tujhe khana khilo'n.. tere sir se joein nikalo'n.." wagairah wagairah... woh jangal mein rehta tha... aik dafa Mosa (AS) ka guzar wahan se howa.. us shakhs ko is tarah mukhatib karta dekh mosa(AS) ne usey tanbih ki.. ke Aye nadan shakhs to janta bhi hai ke tu kis se mukhatib hai??" aur phir hazart mosa(AS) ne usey Allah ke baare mein bataya... yeh sub sun ker woh hairaan howa aur phir apna girbaan chaak karte hoye chinkhta howa janaglon mein door nikal gaya.... jub hazrat mosa (AS) Allah se khitab karne pohanche.. tu Allah (SWT) ne mosa (AS) se kaha ke "Aye mosa hum ne tumhe zameen per bando ko khud (Allah) se qareb karne ke liye bhaija hai na ke door karne ke liye..." woh shakhs Allah ko apni soch ke mutabiq praise karta tha...:)
          tu baat yahi hai ke her koi apni soch ke hissab se Allah ko mukhatib karta hai.. haan hume ibadat ka tareeqa bata diya gaya hai... akser Allah in mamlo mein bhi kaafi choot de deta hai.. jaise aap baith ker namaz parho.. late ker bhi parhi jaa sakti hai.. isharon mein parho.. bus sir usi ke aage jhokao...aur us ke Rasool (PBUH) ki baaton ki pairwi karo....bus.........
          kash hum yeh batein sumjh jaayen... tu itni behas ki zaroorat ho hi na...:)
          Ummid mujay nahi pata ke Hazrat Moosa AS ke zamanay ka waqeya he, sahi he ke nahi sahi, kis source se aap ne liya he, lekin mein itna jaanta hoon ke ager hum muslman sirf aik Quran ko paker lein to hamari soochein ziada na bikhrein. Islam koi be-rabat aur gair meyaari mazhab nahi, is ki mehsoos taaleemaat hein, jin se inharaaf tabahi he. Hum apni apni merzi se apnay mutabik islam ko nahi dhaal saktay, hamein apnay aap ko islam ke mutabik dhaalna he :)
          :thmbup:

          Comment

          • #65
            Re: Preparation for Jannah!

            Originally posted by Masood View Post
            Ummi beta - ham log bohat bikhrey huwey hain, shayid is liyey bhi keh ham logon ney khud ko apni apni mazhabi ana ki bhent charha diya hai aur yeh kah ker keh tumhari soch bhi theek hai aur main bhi ghalat nahin - baat khatam kar detey hain...Ab agar har kisi ki soch drust honey lagey to tafarqaat to pedah hongey hi.... Aik platform per kharrey honey key liye constructive behas ka hona bohat zaroori hai jiska koi hal nikley
            Yaar tum na meri maano na apni, tum is tarah karo ke Quran ko terjma aur tafseer ke saath thoora thoora perhna shuru ho jaye ga, once you are done,tumhein sahi direction mil jaye gi, mein bhi yahi ker raha hoon, tum bhi yahi karo
            Last edited by Mr. Sialkoty; 21 August 2007, 05:39.
            :thmbup:

            Comment

            • #66
              Re: Preparation for Jannah!

              :salam:Kal sey is thread ko parh rahi hoo,khasii helathy si discussion jari thi ,baat shayed 1 hi haii mager 2 diiferent andaz main paish ki jarahi haii.kuch main bhi 1-2baatoo pr kehna chahoongii..!

              @Masood
              App ney kaha k Qurran ko samjhna mushkil hai ,hum jaisey naqis aql k loog aksar is ki gehraii main jaker bhatak jatey hainn jis k lya app ney 2 logo ki misal bhi dii (sorry exact words copy nahi kr rahi just mafhoom likh rahi app ki baat ka)...ha yeh baat such hai k bauht sari hikmatain humari samjh sey balata tar haii ,mager yeh cheez tu Qurran main hi hai k insan ko kaha gaya hai k kainat ko taskheer karoo,us k raaz janey ki justujoo karoo ya koshish karoo isi k nateeja main app dekh saktey hain k Science ney kitni taraqii ki hai jo baatain Nazool k waqt kahi gaii thi aaj science proof kr raha hai ,ager hum is ko janain gey nahi tu yeh sub kaisey mumkin hosakta hai ,Qurran ko parhaingey ,us ko smajhney ki koshish karaingey mazeed or sahi janey ki arzoo karaingey tu hi kisi Aalim sey faiz bhi hasil kr saktey hain mager us k lya base yehi hia k hum sub sey pehley tu is ko parhney ,or samhney ki adat dalain,apney shab-o-rooz ka mammol banain or kuch baatain tu bauht wazeh bayan ki gai hain un pr tu aisey hi aml mumkin haii jin main Haqooq ul Allah or Haqooq Ul ibad dono shamil haii..rahi baat k bauht zayda janey ki koshish main kuch loog bhatak gayee tu is ki misal tu app aisey samjh lain k koi tairak hai ,woh tairakii seekhney k baad bhi gehrey pani main janey sey ghabrata hai k kahi main doob hi na jaoo sirf munasib had tak k pani main jata hai...woh jub tak gehrey samunder main jaye ga nahi ussey kaisey andaza hogaa k apni qabliyat kaa..?ager woh gehrey pani main jaker doob jata hai tu is main ghalti gehrey pani ya sekhaney waley ki nahi bulk uski apni hogii k us ney hi seekhtney main koi kasar choordi hogii,Aisey hi Qurran haii gehraii bauht ahi sirf is sey ghabraa kr ya yeh sooch kr k koi Aalim nahi raha is ko samjnaa humarey bus sey bahir haii I think is sooch ko badlna chahyea..!

              Comment

              • #67
                Re: Preparation for Jannah!

                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                Yaar tum na meri maano na apni, tum is tarah karo ke Quran ko terjma aur tafseer ke saath thoora thoora perhna shuru ho jaye ga, once you are done,tumhein sahi direction mil jaye gi, mein bhi yahi ker raha hoon, tum bhi yahi karo

                :thmbup:
                yeh baat bilkul durst haii.
                Hum aksar zindagi main bhataktey rehtey hainn,mager yehbhool jatey hian US Parwardigar ney rassta ki direction tu bata rakhi haii bus is ko samjhney ki zaroorat haii .

                Comment

                • #68
                  Re: Preparation for Jannah!

                  Originally posted by aquari View Post

                  Thank you dear
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #69
                    Re: Preparation for Jannah!

                    Originally posted by munda_sialkoty View Post
                    Thank you dear

                    @Topic
                    baat thi k hum jannat ko paney ki arzoo tu kr rahey hain mager kya is k lya tayar hain..Rida,Umiid,Bloo ney bauht achi baatain ,kuch amliyat share ki main khud bauht si is qsim ki baatoo pr aml krti hoo ...!
                    Isk elawa jo cheez mujhey lagta hia humarey under honey chahyea woh yeh k jitna hosakey huma pni zaban ko Allah k zikr sey tar rakhain ,jitna mumkin hoo Darood parhain or is k elawa amli zindagi main apney zehn ko pak saaf rakhain hr qsim ki ghalzat sey,ager just hum chand batoo ka bhi khayal kr lain tu bauht kuch saman bana skatey hain janaat klyaa
                    Meri ammi aksar kehti haiin k woh bauht bara Raheem hai us ki rehmat k ageyy humarey gunah kuch bhi nahi ,bareygunah tu shayed woh humarey maaf bhi krdain mager kisi chooti si baat pr pakr hoskati hai jaisey k kisi ka dil dukhaya hoo,koi jhoot,kisi ki tooh rakhi hoo etc etc koshihs karain in chezoo sey bachain being a muslim hum Sharab,Zina in sub baatoo sye tu bachtey hain Haram nahi khateyy mager ager just apney 24hrs pr nigah dalain tu hum choti choti bauht si buraiya kr rahey hotey hian,jhoot jis k baghair guzara mumkin nahi ,gheebat ya thoora or agey barhain tu TV khasii bari burai haii yeh ,haa yeh bhi fact hia k aaj kal loog is k baghair nahi reh saktey mager thora soochna chahyeaa k hum is pr kya dekh rahey hain,newschannal ya kuch or ,chooti chooti si baatain haiin mager koshish ki jayee tu humari zindagi ko achi taraf ley ja sakti hain

                    Comment

                    • #70

                      • #71
                        Re: Preparation for Jannah!

                        Continuation:-

                        Azkaar:-

                        Ziker key liye sirf aik shart hai aur wo hai iss ko ziada sey ziada kerna ...yahan ham wo sabhi ziker add kareiN gey jo ham khud time to time perhtey heiN.

                        Kalma Tayyiba

                        Ya hayyu ya Qayyumu bi-rahmatiki astagheesu

                        tasbeeh (:SubhanAllhaa:,:alhamd:, Allahu akbar)

                        n otherz

                        Taking time for Azkaar:-

                        you dont have to do much as you have enough time in the morning from your way to the office,uni,school likewise in the evning way back to home ... this time you can do any zik'r....similalry while doing household activities like cooking etc......If you are into Morning/evening walk you can do zik'r at this time also

                        Next step:- Salat (share with us your own experience...)
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment

                        • #72
                          Re: Preparation for Jannah!

                          Originally posted by Xenya View Post
                          Continuation:-

                          Azkaar:-

                          Ziker key liye sirf aik shart hai aur wo hai iss ko ziada sey ziada kerna ...yahan ham wo sabhi ziker add kareiN gey jo ham khud time to time perhtey heiN.

                          Kalma Tayyiba

                          Ya hayyu ya Qayyumu bi-rahmatiki astagheesu

                          tasbeeh (:SubhanAllhaa:,:alhamd:, Allahu akbar)

                          n otherz

                          Taking time for Azkaar:-

                          you dont have to do much as you have enough time in the morning from your way to the office,uni,school likewise in the evning way back to home ... this time you can do any zik'r....similalry while doing household activities like cooking etc......If you are into Morning/evening walk you can do zik'r at this time also

                          Next step:- Salat (share with us your own experience...)

                          JAZAKALLAHU KHAIRA Xeni Nimaz.....perhnay kay liyee.....aksar yaksoo honay mein prblem hoti hai loagoon ko...... main nay kahin perha tha keh Nimaaz say pehlay thori dair beth kar...Durood Shareef ya Ya Hayyu Ya Qayyumu ka wird kia jai...is kay bad Nimaaz perhi jai......tu concentrate karnay mein aasani hoti hai.... is kay ilawa Pegham per Aania (ALLAH TALAA Aania ko Jaza e Khair ata karay) nay aik thread post kia thaa......Nimaaz perhtay waqt yeh tasawwar kia jai keh ALLAH TALA humain dekh raha hai...... Nimazi kay DaaieN taraf tamam Anbiyaa A.S Nimaaz perh rahay hain...baieN taraf tamam farishtay..... samnay ki taraf Jannat kay khushnuma nazzary hain..... pechay Dozakh apni holnakiyooN kay sath moujood hai.... sath hi malak-ul-Maut bhi moujoud hain.....means Nimaaz yeh samajh kar perhi jai keh yeh Aakhri nimaaz hai...... is mein say kuch tu main taswwor kar laiti hoon...kuch nahin kar paati......aap loag kar sakain tu yahan share kijiye ga apna experience.....:) main kuch Nimaaz mein perhay janay walay kuch kalmaat ka translation share kar rahi hooon.....agar yeh kalmaat ada kartay waqt in kay tarjumay ko zehen mein rakha jai....tu buht hi piyaari feelings hoti hain........:)

                          Kalma-e- Tayyaba ...Nimaz kay bad 10 martaba perhnay say 20 , hazar naikiyaaN milti hain......aur 100 martba perhnay walay aur Jannat kay darmiyaaN...Maut kay siwa koi rukawat nhin rehti.........
                          For New Designers
                          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                          Comment

                          • #73
                            Re: Preparation for Jannah!

                            Fajr mein jagnay kay liyee....
                            apnay aap say wada kar kay soieN ...jis waqt jagna ho us waqt ka.....
                            agar Sardi hai tu blaket say jaan churaaien aur garmi mein fan off kar dain....
                            aur agar Alarm say jagtay hain tu usay bed say thora dour rakhain......attached bath hai tu us kay door kay nazdeek......
                            agar aankh khul jai tu...foran bed say uth jaieN.....no laziness.....yeh nahin sochain keh aaj nahin kal Fajr perh lain gay....kiun keh kal kis nay dekhi hai.....aur is sorat mein agar aik din susti dika di jai tu aglay roz aankh bhi nahin khulay gi........
                            For New Designers
                            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                            Comment

                            • #74
                              Re: Preparation for Jannah!

                              aaj Juma tul mubarak hai.....aur aaj kay din zyada say zyada Duroord Shreef perhnay ki koshish kijiye...
                              SHABAAN ko HAZRAT MUHAMMAD SAW nay apna mahina qarar diya hai.....
                              HAZRAT MUHAMMAD SAW nay fermaya hai keh ""jo shakhs SHABAN kay maah mein mujh per 3 hazaar martaba Duroord Shareef perh kar bakhshay ga....Qayamat kay din us ki shafa-at mujh per wajib ho jai gi.."
                              Wama Alaiena Illal Balagh
                              For New Designers
                              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                              Comment

                              • #75
                                Re: Preparation for Jannah!

                                Originally posted by *Rida* View Post
                                aaj Juma tul mubarak hai.....aur aaj kay din zyada say zyada Duroord Shreef perhnay ki koshish kijiye...
                                SHABAAN ko HAZRAT MUHAMMAD SAW nay apna mahina qarar diya hai.....
                                HAZRAT MUHAMMAD SAW nay fermaya hai keh ""jo shakhs SHABAN kay maah mein mujh per 3 hazaar martaba Duroord Shareef perh kar bakhshay ga....Qayamat kay din us ki shafa-at mujh per wajib ho jai gi.."
                                Wama Alaiena Illal Balagh
                                Is Tarah ki baaton se behtar he ke aap koi hadith reference ke saath pesh karein...bunda ager is tarha ki suni sunai baaton per janay lagay to saara din yahi kerta rahay :donno:
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X