Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Preparation for Jannah!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: Preparation for Jannah!

    Originally posted by *Rida* View Post
    is say pehlay jo main nay kaha tha woh aik simple si baat samajh kar kaha tha.....main nahin janti thi keh itni simple baat mein firqa wariyat kay pehlo bhi nikal saktay hain....
    yeh batain kisi firqay /maslka kay against ya favour mein ja sakti hain main nay aisa kuch nahin socha tha.......is liye main edit kar don gi....
    jo loag Islam ko peicheeda kar rahay hain aap un say kehain...hum say nahin......hum nay na kabhi koi waaz suna hi nahin....jis say huamin yeh batain mehsoos hooN jo aap keh rahay hain....
    main nay sirf aap ki tawajoo criticism say hata kar kuch achi baatain batanay ki taraf mabzol karwani chahi thi ........
    main nay koi hit karnay ki koshish nahin ki..yeh itni bay zarar si baat aap ko hitting lag rahi hai .....mujhay hairat bhi hoi aur afsoos bhi....
    apni yeh soch bhi aap apnay paas rakhain....yeh aam si baat hai .....is tarah tu koi yahan post hi nahin karay gaa...keh humara mamla hai ..hum akelay akelay hi naikiyyaaaN kamatay rehtay hain ....kiun kisi ko bataieN.....
    ab aap zra ghaor karain....
    baqoul Aabid bhai...
    aap hi apni adaaoon per zara ghour karain
    hum kuch arz karain gay tu shikaayat hogi
    aap itni dair say jo seena dar seena,,, riwayat .,,,kahaniyaan aur janay kia kia keh rahay hain....aur jis firqay ki baat ki aap nay....yeh sab kia hai......aap nay bhi perha hoga keh Dilazzari gunah-e-kabeera hai....tu kia jin loagoon ko aap bar bar point out kar rahay hian un ki dil azari nahin hogi in sab batoon say.......
    aur jis tarah say aap ka aur ALLAH TALAA ka mamla hai naa isi tarah purely dosray loagoon ka aur ALLAH TALAA ka mamla hai aap ko bhi beech mein aanay ka koi haqq nahin.....

    @ Topic
    things to follow
    Achi Niyat.....
    aik hadees sab nay perhi hogi keh "Amaal ka daro madar niyaatooN per hai" yani sab say pehlay niyaat ko saaf rakhna chahiyee.....
    agar achi niyaat kay saath koi aaam sa roz marra ka kaam bhi sir anjaaam diya jaye tu yeh bhi baais-e-sawaaab hogaaa......

    jaisay agar hum ghar kay kaam karnay mein apni yehsoch rakhain...keh ALLAH TALAA nay aurat kay liye Ghar ko sanbhalna makhsoos fermaya hai aur is tarah yeh aik farz ada kar rahay hain hain...tu chotay chotay ghar kay kaam bhi ajar ka baais banain gay.....
    agar yahan pegham per koi member tutorial post karta hai is liye keh loag us say impress hoon....keh usay itna kaam aata hai ......tu is niyat kay saath usay tareef tu mil jai gi swaab nahin milay gaa...jab keh agar yeh soch kar TUT likha jaye...keh TUT aur loagoon kay kaam aye gaa.....aur loag us say faida uthaien gay un ko khushi milay gi...tu TUT likhnay say bhi swab mil sakta hai :rose

    ZIKR-e-ALLAH

    is kay baray mein pehlay bhi Bloo bata chuki hain........

    sab say aassan....zaban per halkay aur meezan mein bhari kalmaat hain
    "SUBHANALLAHI WA BI HAMDIHI SUBHANALLAHIL AZEEMI

    Tum ne almost mera dimaag kharaab ker he diya he, A little knowledge is dangerous, aur wohi mein dekh raha hoon. Aik baat to mein for sure keh sakta hoon ke ager mein tum se baat karon ga ke baat ziada kharaab ho gi...sumun, bukmun, umyun yeh alfaaz Quran mein kuch loogon ke liye istamaal huay hein, aur waqee aisay loog hein, jinhein baat samjana aur maatha peet lena aik he baat he. mere paas bolnay ko bohat kuch he Alhamdullilah lekin tumharay case mein mein apna mazeed dimaag kharaab nahi kerna chahta

    Tum sara-sar larnay ke mood mein aai ho, shayad mujay bhi taish aa jaye... so you better follow your own philosophy.

    Aur aik baat tumhein samjata chalon, tum ne mere amaal ki wazahat talab ki to mein ne kaha ke yeh Mere aur Allah ka moaamla he, is means mein tum se behas nahi kerna chahta tha, aur waise bhi apnay amaal ka hisaab mein tumhein kyoon doon...finally you have proven urself to be a pea brain girl, so no more arguments.
    :thmbup:

    Comment

    • #47
      Re: Preparation for Jannah!

      Originally posted by munda_sialkoty View Post

      aray aap tu bura hi maaan gaye......
      pehlay believes per baat karrahay they ....ab personallsss per aa gaye....main nay tu aisi koi baat nahin ki...:).....apni marzi say jo chahay baat ko rang dai rahay hain......
      any ways....be happy with ur giant size brain....

      ALLAH TALAA say Husn-e-Zann

      Click image for larger version

Name:	husn-ezann.gif
Views:	2
Size:	27.2 KB
ID:	2377896
      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment

      • #48
        Re: Preparation for Jannah!

        Closing until I have read it all :)
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #49
          Re: Preparation for Jannah!

          @ aamir:

          Aap ney bar bar aik baat per zor diya hai: SIMPILICITY. Kya aap is per roshni daal saktey hain keh SIMPLICITY kya hoti hai? Agar aap ka ishara is taraf hai keh Quran ko parh ker samajh ker apney ooper tari kar lena simplicity hai to merey bhaii yehi to Islam mein sab sey badi complixity hai! Kyun keh Quran ko samajhney key liye aap ko aik peshwaa ki zaroorat hai, aik ustaad ki jo aap ko Quran ki asal roohaniyat sey aashkar kar sakey - ab aisey ustaad kitney hain? yeh aap khud jantey hain! Apney aap sey Quran ko parh ker samajhna namumkin nahin to intihaii mushkil baat hai aur yehi per insaan ghaafil bhi ho sakta hai - Salman Rushdi ki misaal hamarey samney hai jis ney Quran ko parha aur phir us mein ghafil ho geya! Ghulam Ahmed Qadiyani bhi aisi hi aik zindah javed misaal hai keh insaan ki Quran ko aik pal ki samajhney mein ghalti ussey Musalman sey Kafir bnaa sakti hai - to simplicity kahan hui? Aaj jitney firqey aur masalak baney hain isi samajh ki bina per hi to baney hain - to aap yeh hargiz kisi ko dars nahin dey saktey keh Quran ko parho aur samajho - iskey liye aik ustaad, aik aalam ka hona zaroori hai kyun keh Quran ki kuchh aayat agar kuchh kah rahi hai to kuchh aur kah rahi hain, iska matlab hargiz hargiz yeh nahin keh Qurani aayat apni tardeed karti hain, balkeh Nazool key waqt tarteeb kuchh thi - is tarteeb ko samajhna aam-feham (huma-shuma) logon ki baat nahin, issey samajhney key liye madaris hotey hain - agar woh apney faraiz poorey karein.

          Hamarey muashrey ki sab sey badi problem yeh hai keh ISLAM naam rah geya hai - na madaris apna farz poora kar rahey hain na school - hamari tarbiyat mein bohat sakht kotahiyaan ho rahi hain jiski zimmedari ham sab per hai - I do agree with you keh Islam intihaii aasan mazhab hai - kyun keh Nabi Kareem SAW apney bandon ko jab tableegh key liye bheja kartey to farmaya kartey they keh Mazhab ko logon key liye aasan bnana issey mushkil na kar dena!

          Aamir aap ka yeh kehna keh aemaal insaan aur Allah ka muamla hai, yeh bilkul drust nahin. Aemaal Allah key liye kiyey jatey hain aur un mein Insaan shamil hota hai - kyun keh insaan aik muashrey mein rehta hai, jahan doosrey insaan bastey hain, jab tak aap insaan ka haq poora nahin karo gey Allah ka haq poora nahin ho ga, Haqooq Allah ka koi wajood nahin jab tak Haqooq-ul-ebaad poorey na kiyey jaein to phir aemaal siraf Allah aur bandey ki baat to nahin rah jati! Yaad rakhein keh Islami mein ghalat kamo key karney per karri sazaein tajveez ki jati hain, Zinna ki saza rajjam hai, ab is dor key aazad-khiyaal logon key liye yeh zulm hai - magar aik muashrey sey gunah ko khatam karney key liye is ka kitna bada impact hai - yeh to saza sey andaza ho jata hai! Insaan ko hidayat per laaney keyliye nabi bhejey gaey - kya insaan unhein yeh keh ker peechhey kar key mera eeman mera aur Allah ka muamla hai? Nahin na, insaan sey insaan seekhta hai - yeh Nabi, Rasool, Olyaa, Aalim, peer, faqeer, maulvi yeh sab insaan ko seekhaney key liyey aatey hain takeh insaan ki behtari ho sakey!
          Last edited by Masood; 20 August 2007, 11:25.
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #50
            Re: Preparation for Jannah!

            Originally posted by Masood View Post

            Let me clear you first, you totally misinterpreted my statements.

            Ub aatay hein aagay ki baaton per. Jese ke islami taaleemaat ka bhi aik criteria he, islamic education kafi had tak Allah Taalah ne he standardized ker di he, wo yeh ke Hidayat lene ke liye aap ko sub se pehlay Quran ki taraf ruju kerna kerna chahiye. Ager duniya ke saaray musalman islami taleemaat Quran se lene lagein to sub aik jesi taleem hasil karein ge, aur hatal-amkaan is se firka-wariyat mein kami aaye gi aur loog aik plate form pe kharay ho sakein ge. Simplicity yeh he ke Allah ke hukam ke mutabik aap Allah ke pegham (Quran) perhein jo ke puri insaaniyat ke liye he...Allah hidayat talab kerne walon ko hidayat zaroor deta he.

            Jahan tak Ghulam Ahmad Qadyaani aur Salueman Rushdi ki baat he to mein yeh kahon ga ke wo bhatkay huay loog hein, Sulman Rushdi ne pehlay social issues per akhbaraat ke liye mukalma-nigaari kerta tha, wo koi religious scholor nahi tha, he found it a cheap way to earn the fame, us ne eman kharaab ker liya.

            Ghulam Ahmad Qadyaani kay baray mein yeh kahon ga ke us ne koon sa Quran sahi perha...jub Islam ki baat hoti he to yeh dekho ke Quran kia kehta he, yeh mut dekho ke Muslaman kia kerta he, warna bhatak jao gay. Musalman budkaari kerta he to Quran is ka ders nahi deta, so apna yeh concept sahi karo ke Quran se loog bhataktay hein, aaj ki tareekh mein tumhein zinda Misaal Dr. Zakir Naik ki doon ga, jis ne Quran samaj ker parha aur wo loogon ko bohat achi tarah faiz-yaab ker raha he.

            Aur by the way tum ne kahan se perha he ke Hakook-Allah hotay he nahi hein :mm:Kalma, Namaz, Rooza, Hajj, Zakat islam ke paanch satoon hein, aur yeh hakook-Allah mein he aatay hein. You need to revive ur knowledge.

            In the End, Hazrat Muhammad (SA) ne Hajat-ul-Wida ke mooka per kaha tha ke aaj aap per deen mukamal ker diya gaya he, pehlay jo anbiyaa aaye wo sirf apnay waqt ke loogon ke liye thay, jub ke Hazrat Muhammad (SA) puri umat ke nabi he...un ka her kool atal he...pehlay hum Islam ki basics Quran - o - Ahadees to perh lein baad mein Ooliya Akraam aur doosray Ahbaab ki baari aati he...move stepwise
            :thmbup:

            Comment

            • #51
              Re: Preparation for Jannah!

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              Let me clear you first, you totally misinterpreted my statements.
              Aamir mujhey aisey logon sey bohat chirr hai jo adhoori batein kartey hain. Agar yeh misinterpretion hai to iski wazahat karo - itna kah ker aagey barh janey sey tumhari baat ki ahmiyat khatam ho jati hai!

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              Ub aatay hein aagay ki baaton per. Jese ke islami taaleemaat ka bhi aik criteria he, islamic education kafi had tak Allah Taalah ne he standardized ker di he, wo yeh ke Hidayat lene ke liye aap ko sub se pehlay Quran ki taraf ruju kerna kerna chahiye. Ager duniya ke saaray musalman islami taleemaat Quran se lene lagein to sub aik jesi taleem hasil karein ge, aur hatal-amkaan is se firka-wariyat mein kami aaye gi aur loog aik plate form pe kharay ho sakein ge. Simplicity yeh he ke Allah ke hukam ke mutabik aap Allah ke pegham (Quran) perhein jo ke puri insaaniyat ke liye he...Allah hidayat talab kerne walon ko hidayat zaroor deta he.
              Mera khiyaal hai keh duniya ka har musalman jo mazhab mein dilchuspi rakhta hai yeh dawa karey ga keh woh apni taleemat ka manbaa Quran ko rakhta hai - Aur yehi ham logon ki bad'bakhti hai keh ham Quran ko apni apni soch key mutabiq dhaalney key aadi hotey jaa rahey hain - yeh firqey khatam nahin hongey kyun keh jitni sochein hain utni Quran ki tashree hain. Allah ka hukum kya hai? Main phir sey kehta hoon keh Quran ko samajhney key liye tafseer ka hona bohat zaroori - Quran aisi arabic mein likha geya hai keh aam arabic bolney waley ki samajh mein bhi kam kam hi aata hai, uskey liye - phir sey kahoon ga - aik peshwaa ki zaroorat hai! Baghair malaah key kashti darya key paar nahin jaa sakti!!!

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              Ghulam Ahmad Qadyaani kay baray mein yeh kahon ga ke us ne koon sa Quran sahi perha...jub Islam ki baat hoti he to yeh dekho ke Quran kia kehta he, yeh mut dekho ke Muslaman kia kerta he, warna bhatak jao gay. Musalman budkaari kerta he to Quran is ka ders nahi deta, so apna yeh concept sahi karo ke Quran se loog bhataktay hein, aaj ki tareekh mein tumhein zinda Misaal Dr. Zakir Naik ki doon ga, jis ne Quran samaj ker parha aur wo loogon ko bohat achi tarah faiz-yaab ker raha he.
              Aamir Ghulam Ahmed aik aalim tha is mein koi shak nahin, magar uski bad'bakhtgi yeh hai keh uska ilm ussey gumrahi ki taraf ley geya, yahan per mujhey Hazra Ali RA ki aik baat yaad aati hai keh Aap RA farmatey hain insaan key liye utna hi ilm kaafi hota hai jis sey woh apni pehchan kar sakey! Mazhab key barey mein khojhein laganey waley aksar ghaflat ka shikar ho jatey hain, mazhab ka formula yeh hai keh jo kahan jaey ussey maan lo aur kehney waali zaat Allah ki hai aur Nabi uska peghambar hai!

              Aap ney Dr. Zakir ki baat ki hai - main bhi un key ilm sey bohat mustafeed hota hoon - lekin kya unhein yeh ilm KHUD sey aa geya tha? Hargiz nahin, unka bhi koi peshwaa tha - khud woh kehtey hain keh main Dr. Israr Ahmad sey kaafi mutasir hoon - to har insaan ka koi na koi rehnumaa hota hai jo ussey seedhey raastey per daalta hai - chaley woh wali ho ya aalim!

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              Aur by the way tum ne kahan se perha he ke Hakook-Allah hotay he nahi hein Kalma, Namaz, Rooza, Hajj, Zakat islam ke paanch satoon hein, aur yeh hakook-Allah mein he aatay hein. You need to revive ur knowledge.
              Aap ney apni is baat mein aur jo meri baat ko highlight kiya hai is sey woh problem cheekh cheekh ker pukar rahi hai keh ham log kahan per ghalti kar rahey hain: Aaj kal key musalman Quran sey apni apni matlab ki aayat chun letey hain aur uskey madd-e-muqabil aayat ko nazar-andaaz kar detey hain. Aap ney meri baat ko aadha parha hai aur jawab dey diya jo is baat ka saboot hai keh aap wohi kuchh parhna chahtey ho jo aap key mann ko lagti hai... Meri baat ko ail baar phir bghaor parho main ney likha hai:
              Haqooq Allah ka koi wajood nahin jab tak Haqooq-ul-ebaad poorey na kiyey jaein
              mazeed kuchh kehna fazool hai!

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              pehlay hum Islam ki basics Quran - o - Ahadees to perh lein baad mein Ooliya Akraam aur doosray Ahbaab ki baari aati he...move stepwise
              phir kahoon ga bghair malaah key kashti darya paar nahin lagti! Aik annarri ko agar kashti ka na'khuda bnaa diya jaey to kashti bhatak jati hai!
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #52
                Re: Preparation for Jannah!

                Originally posted by ummid View Post

                Allah hume... aap ko... hum sub ko aur aane waali naslon ko amal-e-sulah karne ki behtreen tofeeq de... aameen... aur be-shak Allah bahtreen tofeeq dene wala hai...:SubhanAllhaa:

                khush rahiye...
                Allah haafiz..
                :jazak:khair ummid ..... itni payari baateiN hamarey sath share kerney ka ..kuch to maloom thieN ..kuch mazeed pata chal gayieN :rose...aur inshAllah step by step in ko apni routine mey dalna hai :insha:

                aap bhi khush baash raheiN :d

                was salam alaikum n hope to learn more from you inshAllah
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment

                • #53
                  Re: Preparation for Jannah!

                  Originally posted by Masood View Post
                  Aamir mujhey aisey logon sey bohat chirr hai jo adhoori batein kartey hain. Agar yeh misinterpretion hai to iski wazahat karo - itna kah ker aagey barh janey sey tumhari baat ki ahmiyat khatam ho jati hai!

                  Aisi baat he to chalo mein tum se aik counter-question kerta hon, mujay yeh batao ke islami taaleemaat kis criteria per base kerti hein aur mazhab mein simplicity kese lai ja sakti he, tumharay jawaab se mein tumhein tumhara jawaab lootaon ga, lehaza is baat ka jawaab zaroor dena

                  Originally posted by Masood View Post
                  Mera khiyaal hai keh duniya ka har musalman jo mazhab mein dilchuspi rakhta hai yeh dawa karey ga keh woh apni taleemat ka manbaa Quran ko rakhta hai - Aur yehi ham logon ki bad'bakhti hai keh ham Quran ko apni apni soch key mutabiq dhaalney key aadi hotey jaa rahey hain - yeh firqey khatam nahin hongey kyun keh jitni sochein hain utni Quran ki tashree hain. Allah ka hukum kya hai? Main phir sey kehta hoon keh Quran ko samajhney key liye tafseer ka hona bohat zaroori - Quran aisi arabic mein likha geya hai keh aam arabic bolney waley ki samajh mein bhi kam kam hi aata hai, uskey liye - phir sey kahoon ga - aik peshwaa ki zaroorat hai! Baghair malaah key kashti darya key paar nahin jaa sakti!!!

                  Miyaan mein ne kub rooka ke Quran ko tafseer se na parho, Quran ko samaj ker perho, ager aap is kabil nahi ke usay samaj sako to kisi achay moaalam se raju karo, mein is hakeekat se kub inkaar ker raha hoon :donno:

                  Originally posted by Masood View Post
                  Aamir Ghulam Ahmed aik aalim tha is mein koi shak nahin, magar uski bad'bakhtgi yeh hai keh uska ilm ussey gumrahi ki taraf ley geya, yahan per mujhey Hazra Ali RA ki aik baat yaad aati hai keh Aap RA farmatey hain insaan key liye utna hi ilm kaafi hota hai jis sey woh apni pehchan kar sakey! Mazhab key barey mein khojhein laganey waley aksar ghaflat ka shikar ho jatey hain, mazhab ka formula yeh hai keh jo kahan jaey ussey maan lo aur kehney waali zaat Allah ki hai aur Nabi uska peghambar hai!

                  Ghulam Ahmad Qadyaani koon tha kia tha hamara yeh concern nahi he, mein yeh jaanta hoon ke wo munkar tha, bhatka hua tha, to aap bhatkay huay banday ko Quran se nahi joor saktay, yeh mut dekho ke Insaan kia kerta he yeh dekho ke Quran kia kehta he. Aur mazhab ka formula bara ajeeb sa banaya he tum ne...kis baat ko maan lo, aur kyoon maan lo, kis kasooti per rakh ker us baat ko perkha jaye...meri nazar mein kasooti to Quran aur us ke baad Ahadees hein. Mazhab ke moaamlat bohat delicate hein, phoonk phoonk ker kadam rakhna perta he, ke kahin janay anjanay mein ghalati serzad honay ka ehtamaal na ho

                  Originally posted by Masood View Post
                  Aap ney Dr. Zakir ki baat ki hai - main bhi un key ilm sey bohat mustafeed hota hoon - lekin kya unhein yeh ilm KHUD sey aa geya tha? Hargiz nahin, unka bhi koi peshwaa tha - khud woh kehtey hain keh main Dr. Israr Ahmad sey kaafi mutasir hoon - to har insaan ka koi na koi rehnumaa hota hai jo ussey seedhey raastey per daalta hai - chaley woh wali ho ya aalim!

                  Chalo yeh baat bhi mananay wali he, ke Dr. Zakir Naik ne Dr. Asraar Ahmad se mutasir tha, kuch loog kehtay hein ke wo Ahmad Deedad ko copy kerta he jo ke waqee lagta bhi he. whatever this is not the origon of our discussion. Zaroor us ka bhi koi ustaad ho ga...aur mein is baat se kub inkaari ho, ager aap Quran ko khud Tarjma-o-tafseer se perhtay ho aur ager aap ke kuch concepts clear nahi hotay to aap ko zaroor kisi aisay shaks se raju kerna chahiye jo Quran ko achi tarah samajta ho.

                  Originally posted by Masood View Post
                  Aap ney apni is baat mein aur jo meri baat ko highlight kiya hai is sey woh problem cheekh cheekh ker pukar rahi hai keh ham log kahan per ghalti kar rahey hain: Aaj kal key musalman Quran sey apni apni matlab ki aayat chun letey hain aur uskey madd-e-muqabil aayat ko nazar-andaaz kar detey hain. Aap ney meri baat ko aadha parha hai aur jawab dey diya jo is baat ka saboot hai keh aap wohi kuchh parhna chahtey ho jo aap key mann ko lagti hai... Meri baat ko ail baar phir bghaor parho main ney likha hai:
                  mazeed kuchh kehna fazool hai!

                  Tumhari baat thoori si ambiguous lagi, ager tumharay kehnay ka yeh matlab nahi tha jo mujay laga then its ok and clear

                  Originally posted by Masood View Post
                  phir kahoon ga bghair malaah key kashti darya paar nahin lagti! Aik annarri ko agar kashti ka na'khuda bnaa diya jaey to kashti bhatak jati hai!

                  Moaalam Quran tak rahay to bohat acha he, jo moalam Quran aur us ke baad Hadees se hut ker aap ko taleem de, to mere khyaal mein wo moaalam bhi aap ko gumrah ker raha he. So keep your eyes wide opened, yeh tajziya baherhaal aap ko khud he kerna he
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #54
                    Re: Preparation for Jannah!

                    Originally posted by *Rida* View Post

                    ALLAH TALAA say Husn-e-Zann

                    [ATTACH]41423[/ATTACH]
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment

                    • #55
                      Re: Preparation for Jannah!

                      @Masood bro. n Sialkoty

                      jahan islam ki baat ati hai wahan aik na khatam honey wali behass kyun shuru ho jati hai :mm:

                      • #56
                        Re: Preparation for Jannah!

                        Originally posted by bloo View Post

                        aap thori der key liye is behas sey door rahein sis :) Aamir ko main jis taraf lana chahta hoon woh usi taraf aa chuka hai - so please don't intercept :D
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment

                        • #57
                          Re: Preparation for Jannah!

                          Originally posted by bloo View Post
                          @Masood bro. n Sialkoty

                          jahan islam ki baat ati hai wahan aik na khatam honey wali behass kyun shuru ho jati hai :mm:
                          Kia aap is behas ko perh rahi hein?

                          We are exchanging our views, aur kuch points per contradiction he.

                          Maybe arguments ke baad hum aik nuktay mein mutfik ho jaein.

                          Aap perhiye, aur ho sakay to apni raye bhi deejiye
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #58
                            Re: Preparation for Jannah!

                            Originally posted by Masood View Post
                            aap thori der key liye is behas sey door rahein sis :) Aamir ko main jis taraf lana chahta hoon woh usi taraf aa chuka hai - so please don't intercept :D

                            Come on Masood

                            Mein din mein ager ziada nahi to atleast 2 hrs. Islam per kuch na kuch zaroor perhta hoon ya mukhtalif moozuaat per takareer zaroor sunta hoon, is waqt bhi mere PC mein koi 500 se ziada takareer mukhtalif topics pe downloaded hein. My concepts are quite mature Alhamdullilah
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #59
                              Re: Preparation for Jannah!

                              Originally posted by Masood View Post
                              aap thori der key liye is behas sey door rahein sis :) Aamir ko main jis taraf lana chahta hoon woh usi taraf aa chuka hai - so please don't intercept :D
                              Originally posted by munda_sialkoty View Post
                              Kia aap is behas ko perh rahi hein?

                              We are exchanging our views, aur kuch points per contradiction he.

                              Maybe arguments ke baad hum aik nuktay mein mutfik ho jaein.

                              Aap perhiye, aur ho sakay to apni raye bhi deejiye
                              yep .... i have read everything ....

                              carry on with your peaceful discussion :P
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment

                              • #60
                                Re: Preparation for Jannah!

                                Originally posted by bloo View Post
                                yep .... i have read everything ....

                                carry on with your peaceful discussion :P
                                keep watching
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X