Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Preparation for Jannah!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Preparation for Jannah!

    :rose
    Attached Files
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment

    • #32
      Re: Preparation for Jannah!

      Al-Quran
      Attached Files
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment

      • #33
        Re: Preparation for Jannah!

        Al-Quran.
        Attached Files
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • #34
          Re: Preparation for Jannah!

          ..

          • #35
            Re: Preparation for Jannah!

            Importance of Zikr
            Attached Files
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment

            • #36
              Re: Preparation for Jannah!

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              Aik baat ke kai kai pehlu nikaltay hein aur hum loog akser apni matlab ka pehlu le ker aagay berhtay hein, acha analysis tub hota he jub saaray pehluon ko mad-e-nazar rakh ker kuch conclude kia jaye.

              Aap sub se pehlay topic dekhiye ke topic kia demand kerta he...phir aap apni theroy dekhiye jis mein aap ne kaha ke computer seekhnay ke liye sub se pehlay MS Office, windows wagaira ko seekha jata he phir complexity ki taraf aaya jata he...ub aap dekhiye mein ne kia kaha, mein ne bhi yahi kaha, ke pehlay aap basics to seekho phir complexity ki taraf aao.

              Mein ne kub kaha ke namaz na perho, shab-e-kadar mein ibadat na karo...zaroor karo,
              lekin aik cheez dehaan rahay hamaray moaashray mein islam se relate ker ke bohat si bidaat paida ker di gai hein, yaani wo cheezein jin ka siray se islam se koi taaluq nahi he.

              Islam aik simple sa mazhab he, aap dekhiye jese bloo ne waqeya beyaan kia, yahi hota he, loog apni mantak ko support kerne ke liye aisay waqeyaat ghar lete hein aur phir yeh waqeyaat zubaan zubaan per aam ho jatay hein. Deen-e-islam aik practicle mazhab he koi jaadu-nagri nahi.

              Aap ne kaha ke sub kuch Allah Taalah he kerta he...aap mujay yeh baat bataiye ke ager sub kuch Allah he kerta he to Insaan saza-o-jaza ka kese murtakib hua :mm:kia aap yeh nahi samajti ho ke Allah Taalah ne insaan ko ehteyaaraat diye hein insaan apni merzi se sub kuch kerta he :mm:

              Zara soochiye thunday dimaag se...aur aap lo chahiye tha ke bloo ko kehtein ke pehlay terjmay se Quran Paak khatam karein aur phir us ke baad kisi aur taraf dekhein, jub tak hamari basic mukamal nahi hoti hum kyoon ker kisi aur taraf ki soochein....i have a lot to say..lekin mein jaanta hon ke mein baat karon ga to wo tawaalat paker le gi...so itna he soochiye fil-waqt ke liye.

              in baatoon ka yahan kia Zikr......

              infact hum is age say agay berh gaye hain...is liye usi baat ka khayal aaya jo recently follow ki hai......

              hum bhi Muslim hain ..aur yeh baat achi tarah say jantay hain....bloo aik zimmedar larki hain.....unhoon nay kahin perha aur woh sourse bhol gaieen tu is ka matlab yeh nahin keh apni taraf say bataya hai....
              aisa tu kisi kay bhi saath ho sakta hai......
              jadu nagri bhala kiun keh rahay hain....
              aap bataiye .....kia aap nay aisa koi waqea kabhi nahin perhaa.......
              kia SHAQQ-ul-QAMAR kay waqiye ko aap jadu qarar daitay hain....
              yaqeenan aik Nabi aur aik aam aadmi mein farq hai.... tu aisay hi in waqiaat mein bhi buht farq hai.....

              jee haaan jo kuch karta hai ALLAH TALAA karta hai ....aur hamesha behtreen karta hai.....

              yeh main nay jis book say lia hai ....us mein her maah ,....SAHAH-E-SATTA say AHADEES publish ki jati hain.......

              aap bhi thanday dimaagh say sochain.....jo kaam hum prehlay say hi kar rahay hain....us kay liye hum kia kahain........
              yeh aik idea dainay wali baat thi......behes-o-mubahisay wali koi baat nahin....jo is raastay mein aagay barh chuka hai woh aagay walay step follow kar lai...jo yeh safar shro karna chah raha hai woh shro say follow karay........

              Last edited by *Rida*; 17 August 2007, 08:31.
              For New Designers
              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

              Comment

              • #37
                Re: Preparation for Jannah!

                JAZAKALLAHU KHAIRA bloo sisoo:phool:
                For New Designers
                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                Comment

                • #38
                  Re: Preparation for Jannah!

                  Bohat khoob Bloo...

                  lekin mein saath mein aik cheez ka ziker kerta chaloon ke Allah Taalah ne Ibadat mein bhi Aitdaal ka hukam diya he, aur aik jagah per yeh kaha gaya he ke itni ibadat na karon ke tum Hakook-e-zoojiyat ada na ker sako.

                  Islam Aitdaal pasandi ka mazhab he, is mein be-tahasha ibadat se bhi mana kia gaya he.

                  Aap Islaami wazaif ki kitabein perh lein, aap ko Laakhon ki taadad mein wazaif milein ge, kia aik insaan ke liye possible he ke wo in wazaif ko perh sakay.

                  Isi liye deen ko aasan rakhnay ka bhi hukam diya gaya he...aap loog 5 waqt ki namaz perho, Hasb-e-toofeek Quran perho terjmay ke saath, Islam ke 5 satoonon ko thaamay rakho...Hakook-ul-Ibaad ka khyaal rakho to mere khyaal se aap ka imaan kamil ho jata he. Baki Allah behtar janta he aur behtar hidayat dene wala he
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #39
                    Re: Preparation for Jannah!

                    Originally posted by *Rida* View Post
                    in baatoon ka yahan kia Zikr......

                    infact hum is age say agay berh gaye hain...is liye usi baat ka khayal aaya jo recently follow ki hai......

                    hum bhi Muslim hain ..aur yeh baat achi tarah say jantay hain....bloo aik zimmedar larki hain.....unhoon nay kahin perha aur woh sourse bhol gaieen tu is ka matlab yeh nahin keh apni taraf say bataya hai....
                    aisa tu kisi kay bhi saath ho sakta hai......
                    jadu nagri bhala kiun keh rahay hain....
                    aap bataiye .....kia aap nay aisa koi waqea kabhi nahin perhaa.......
                    kia SHAQQ-ul-QAMAR kay waqiye ko aap jadu qarar daitay hain....
                    yaqeenan aik Nabi aur aik aam aadmi mein farq hai.... tu aisay hi in waqiaat mein bhi buht farq hai.....

                    jee haaan jo kuch karta hai ALLAH TALAA karta hai ....aur hamesha behtreen karta hai.....

                    [ATTACH]41036[/ATTACH]

                    yeh main nay jis book say lia hai ....us mein her maah ,....SAHAH-E-SATTA say AHADEES publish ki jati hain.......

                    aap bhi thanday dimaagh say sochain.....jo kaam hum prehlay say hi kar rahay hain....us kay liye hum kia kahain........
                    yeh aik idea dainay wali baat thi......behes-o-mubahisay wali koi baat nahin....jo is raastay mein aagay barh chuka hai woh aagay walay step follow kar lai...jo yeh safar shro karna chah raha hai woh shro say follow karay........
                    Rida tum ne jo Urdu mein Quote kia he...sub se pehlay kia tum mujay bata sakti ho ke is quotation ka source kia he :mm:

                    Kia tum Naoozbillah samajti ho ke Allah Taalah zalim he aur us ne pehlay se he loogon ke hisay mein Jahanum likh ker zameen per baij diya he, ta ke wo ghalat aamal he karein aur phir Jahanum mein dhakeel diye jaein? Does your statement make any sense :mm:

                    Tumhari baaton se mein itna samaj gaya hoon ke tum kis maslak se belong kerti ho, yeh wo loog hein jinhon ne Islam mein bohat se nai cheezein add kein...Aik Formula zehan mein rakho, ke Ahadees se pehlay Quran aata he...Ahadees ki kitaabon mein bhi kuch ahaadees ko Sahi aur kuch ko Zaeef karaar de diya gaya he...Lehaza aap ko pure cheezein sirf Quran mein he milein gi aur Quran perhnay ke baad aap Ahadees ki taraf rajoo karo.

                    Aur Ahadees to aik taraf, hamaray mulk mein Barehalwiyat ka bhool bhaala he, na to inhein Quran ki taraf janay ki zaroorat perti he aur na Ahadees ki taraf, yeh seena-baseena kahawaton per chaltay hein...Mein bhi Barehalwi gharanay se taaluq rakhta hoon, lekin thoora sa ilm hasil kerne se mujay Haq baat mein aur Ghalat baat mein tameez aa gai...ager Barehlviyon ke masjid mein chala jumma ki namaz ke liye chala jaon to Molvi hazraat ke waaz se aisa lagta he jese Islam aik practicle mazhab nahi bulke Naoozbillah koi Jaadu-gari ka mazhab he.

                    Mein itna jaanta hoon ke Islam ko bohat peecheeda banaya ja raha he aur yeh aik aam insaan ki dastaras se bhi bahir hota ja raha he...deen mein aasaniyaan paida karo, ta ke loog deen ki taraf aa sakein...

                    Ager jaanay anjanay mein main ne kuch ghalat keh diya ho to mein apnay Allah se moaafi maangta hoon, beshak wo bohat Raheem he
                    :thmbup:

                    Comment

                    • #40
                      Re: Preparation for Jannah!

                      baat faqat itni hai keh aap apni aadat say majboor hain...aap nay kis firqay ka zikr kia hai..mujhay nahin maloom......main kia samjhti hoon kia nahin...woh kam say kaam yeh nahin jo aap nay baghir sochay samjhay keh diya hai.........aap bhi is per pehlay Quraan ki aayaat aur phir ahaadees perhiye...is kay baad baat kijiye ga......
                      btw...aap nay yeh nahin bataya keh aap nay kia seekha Quran say.......kon si aadaaat tark kieN...aur kon si khobiyaaN ikhtiyaar karnay ki koshish ki....takay aur loag bhi kuch mustafeed ho sakain....
                      For New Designers
                      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                      Comment

                      • #41
                        Re: Preparation for Jannah!

                        waalaikumaslam...

                        itne saare replies hai per hum properly perh nahi paaye... it will take time to read each reply..:(.. so InshAllah later....ya phir kul...:khi:lolz...

                        any wayzz... apna view dete hain...(detail mein...)

                        sur-e-nisa mein hai... "aur jo koi naik kaam karega.. khwah mard ho ya aurat bashart yeh keh momin ho, tu aise log janat mein daakhil honge.. aur un per zara bhi zulm na hoga..."

                        yeh Allah ka wada hai.. ke aap acche kaam karo.. aur acche kaamon ke liye mard aur aurat ki qaid nahi rakhi gai... ab "acche kaam" arbi mein amal-e-sulahe.... aise kaam jin se kisi ko faiz pohanche... na ke aziyat...

                        daikha jaaye tu Islam mein hooqo-ul-Ibaadh awal aate hain....
                        hooqo-ul-Allah us ke baad...

                        so paihle koshish tu yahi karni chahiye ke aap ki zaat aur zubaan kisi ke liye bais-takleef na bane.. second thing... aasaniyaan paidah karna... apne ird gird ke logon ke liye... yeh bhi amal-e-sulahe hai.. for eg.. raste se kisi pathar ka hata dena ke kisi aur musafir ko thoker na lag jaaye...
                        sub se important apne parents (maa baba) ki nafarmaani se bachna... Alllah hum sub ko apni aman mein rakhe is se ke hum apne maa baap ki naframani kare...
                        is ke illawah bhi bauaht si choti choti baatein hain.. jo bazahir tu bauaht mamoli lagti hai per ajar mein bauaht zyadah hai..

                        hume nahi lagta ke jannah ke liye kisi wazife ki koi zarorat hogi... ager hum hooqo-ul-ibad ke baad... hooqo-ul-Allah ko follow karein properly tu...

                        hooqo-ul-Allah ki baat karein tu...
                        five vasic pillars of Islam..
                        1. Shahadah (La ilaha il Allah, Muhammad -ur-Rasool-Allah)
                        2. salat (namaz)
                        3. zakat
                        4. saum (roza)
                        5. hajj
                        in paanchu ko properly follow kiya jaaye... kalam tu her lamhe koshish karni chahiye ke wird karte rahe.. ya kum az kum kisi particular time per 100 se 500 times perh lein.. ya yeh bhi nahi tu raat mein sote waqt.. ya any time...

                        ** salat.. namaz ke liye bhi... khud ko aadi bana lena chahiye ke bagair kisi sharaiy uzr ke qaza na karein... (Allah'huma'hafizna) duniya ke kisi bhi kone mein ho.. namaz ka waqt ho tu namaz qaza hone se paihle usey ada kar lein... chahe public place ho ya sunsaan veerana...

                        ** zakat.. zakat faraz hai tu ada karein... koi kotahi nahi karni chahiye is mein...

                        ** saum (roza).. farz roze bhi bagair kisi sharai uzr ke tarak na ho (Allah'hum'hafizna)

                        ** aur hajj... sahe-b-istetat ho tu karein... akser daikha gaya hai ke log do se teen hajj ker lete hain... yeh kuch ajeeb lagta hai... hajj sirf "aik" faraz hai... aur aap jub faraz ada ker dein tu Allah beshak qabool karne wala hai... humare hissab se ager koi sahe-b-isteat hai aur hajj ke faraz se subkdosh ho chuka hai tu shab-e-hasiyat shakhs nifl hajj karne ki bajaye kisi aise shaks ko hajj per rawana kare jis per hajj farz hai lakeen woh istetat nahi rakhta...

                        ** is ke illawah.. most important... haram se bachein... chahe woh rizq ho ya kaam...

                        ** reading quraan.. is ke liye surah-e-muzamil mein hai.. "yeh quraan tu aik naseehat hai tu jo shaksh chahe apne Rub ki taraf rasta ikhtyar kare..".. phir agli aayat mein hai... "beshak tumhara Rub khoob janta hai ke tum aur tumhare saath ke log (kabhi tu) do tihai raat ke qareeb aur (kabhi) adhi raat aur (kabhi) aik tihai raat qayam karte hain... Aur Allah tu raat aur din ka andaza rakhta hai..IS ne maloom ker liya ke tum isko nibha na sakoge.. tu IS ne tum per mehrbaani ki..pus jitna aasani se ho sake utna Quraan perh liya karo.. IS ne jaan liya ke baaz tum mein beemar hain, aur baaz maash(rozi) ki talash mein mulk mein safar karte hain.. aur baaz Allah ki raah mein larte hain... Jitna aasani se ho sake utna parh liya karo aur namaz ki pabandi rakho.. aur zakat ada akrte raho.. aur Allah ko qarz-e-hasna dete raho.. aur jo naik amal tum apne liye aage bhaij doge tu is ke sileh mein Allah ke yahan behter aur buzrg-tar silah paaoge.. aur Allah se bakshish mangte raho.. aur Allah bara bakhshne wala aur reham karne wala hai..."

                        so Quraan ke liye bhi mamol bana lena chahiye ke zyadah nahi tu aik roko hi sahi...

                        ** is ke illawah paaki... pak w saaf rehna bawadhu rehna yeh bhi aik naik amal hai....

                        ** sabar.. taqwa.. most important...

                        ** sadaqa... behtreen amal... kisi ko muslmaan ka dosre muslmaan ko muskura ker daikh lena bhi sadqa hai.. aik chota amal.. balke adna sa... per ajar..behtreen.. :masha

                        ** specailly.. hooq-ul-Ibadh mein... aik hai qarz-e-hasna... behtreen qaraz... yeh bhi aik bauaht accha concept hai Islam ka... aur sawab-e-jariya ki tarah hai yeh tu...

                        Naik amal.. ya amal-e-saulah.. bauaht se hain ager gor karein tu...

                        jitni baaton ka hum ne upper ziker kiya yeh likhne mein kaafi lambi lambi hai per amal mein bauaht kam waqt leti hai aur phir ajar mein behtreen hai... zaroorat hai tu rozana ka mamol bana lene ki.. aur in sub ko apna ne ke liye khud ko bus thora sa force karna perta hai... for eg namaz... aap 40 days.. sirf 40 din tak regularly parhein.. is ke baad aap ke liye yeh aisi hojayegi jaise humare liye khana hota hai ke bhook lagi tu khana khana hai.. waise hi azan hoi tu namaz perhna hai... rooh ki gizah hai yeh...

                        aur last mein sirf itna ke amal-e-sulah jannah ke raston mein se aik hai...
                        Allah hume... aap ko... hum sub ko aur aane waali naslon ko amal-e-sulah karne ki behtreen tofeeq de... aameen... aur be-shak Allah bahtreen tofeeq dene wala hai...:SubhanAllhaa:

                        khush rahiye...
                        Allah haafiz..

                        Comment

                        • #42

                          Mein kis aadat se majboor hoon, is per zara rooshni daaliye ga :mm:

                          I think mein ne bohat wazeh aur saaf baatein kein, in baaton se bhataknay ka ehtamaal nahi, deen-e-islam ko practical mazhab bananay ki baat ki jo ke yeh hay, aur ham loogon ne he isay itna peecheeda aur khamdaar bana diya he ke insaan aik lari ko pakerta he to aagay ka raasta he bhool jata he.

                          aur jahan per tum ne mujay hit kerne ki kooshish ki us per bhi mein thoori si wazahat kerta chalon, ke Islam aur Islam ki taleemaat aur islam ki taleemaat per amal do alag muday hein, hum yahan islam ki taleemaat per baat ker rahay hein, aur koon kia aamal kerta he yeh WO PERWARDIGAAR ki zaat achi tarah jaanti he...yeh Purly Allah aur us ke banday ke dermeyaan ka moaamla he tum is ke beech mein mut paro....aur haan mein tumhain tumharay sawaal ka jawaab kuch youn doon ga ke Quran Islam ka Origion he, try to be sticky around It. Jitna aap is se door hotay jao gay, utni he peecheedgiyaan berhti jaein gi. Kool, kahawatein, seena-baseena baatein, bidaat, in se hatal-amkaan door rehnay ki kooshish karein, aur yeh tub he mumkin he ke jub aap Quran ko sahi samaj ker perhein ge. Aap ki baaton se mujay thoori si immaturity feel hui
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #43
                            Re: Preparation for Jannah!

                            Originally posted by ummid View Post

                            Bohat khoob ummid, bohat achay aur relevant references quote ker ke aap ne bohat acha ahata kia.

                            weldone :thmbup:
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #44

                              :jazak: :Ummid :phool:
                              For New Designers
                              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                              Comment

                              • #45
                                Re: Preparation for Jannah!

                                is say pehlay jo main nay kaha tha woh aik simple si baat samajh kar kaha tha.....main nahin janti thi keh itni simple baat mein firqa wariyat kay pehlo bhi nikal saktay hain....
                                yeh batain kisi firqay /maslka kay against ya favour mein ja sakti hain main nay aisa kuch nahin socha tha.......is liye main edit kar don gi....

                                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                                Mein kis aadat se majboor hoon, is per zara rooshni daaliye ga

                                I think mein ne bohat wazeh aur saaf baatein kein, in baaton se bhataknay ka ehtamaal nahi, deen-e-islam ko practical mazhab bananay ki baat ki jo ke yeh hay, aur ham loogon ne he isay itna peecheeda aur khamdaar bana diya he ke insaan aik lari ko pakerta he to aagay ka raasta he bhool jata he.

                                aur jahan per tum ne mujay hit kerne ki kooshish ki us per bhi mein thoori si wazahat kerta chalon, ke Islam aur Islam ki taleemaat aur islam ki taleemaat per amal do alag muday hein, hum yahan islam ki taleemaat per baat ker rahay hein, aur koon kia aamal kerta he yeh WO PERWARDIGAAR ki zaat achi tarah jaanti he...yeh Purly Allah aur us ke banday ke dermeyaan ka moaamla he tum is ke beech mein mut paro....aur haan mein tumhain tumharay sawaal ka jawaab kuch youn doon ga ke Quran Islam ka Origion he, try to be sticky around It. Jitna aap is se door hotay jao gay, utni he peecheedgiyaan berhti jaein gi. Kool, kahawatein, seena-baseena baatein, bidaat, in se hatal-amkaan door rehnay ki kooshish karein, aur yeh tub he mumkin he ke jub aap Quran ko sahi samaj ker perhein ge. Aap ki baaton se mujay thoori si immaturity feel hui

                                jo loag Islam ko peicheeda kar rahay hain aap un say kehain...hum say nahin......hum nay na kabhi koi waaz suna hi nahin....jis say huamin yeh batain mehsoos hooN jo aap keh rahay hain....
                                main nay sirf aap ki tawajoo criticism say hata kar kuch achi baatain batanay ki taraf mabzol karwani chahi thi ........
                                main nay koi hit karnay ki koshish nahin ki..yeh itni bay zarar si baat aap ko hitting lag rahi hai .....mujhay hairat bhi hoi aur afsoos bhi....
                                apni yeh soch bhi aap apnay paas rakhain....yeh aam si baat hai .....is tarah tu koi yahan post hi nahin karay gaa...keh humara mamla hai ..hum akelay akelay hi naikiyyaaaN kamatay rehtay hain ....kiun kisi ko bataieN.....
                                ab aap zra ghaor karain....
                                baqoul Aabid bhai...
                                aap hi apni adaaoon per zara ghour karain
                                hum kuch arz karain gay tu shikaayat hogi
                                aap itni dair say jo seena dar seena,,, riwayat .,,,kahaniyaan aur janay kia kia keh rahay hain....aur jis firqay ki baat ki aap nay....yeh sab kia hai......aap nay bhi perha hoga keh Dilazzari gunah-e-kabeera hai....tu kia jin loagoon ko aap bar bar point out kar rahay hian un ki dil azari nahin hogi in sab batoon say.......
                                aur jis tarah say aap ka aur ALLAH TALAA ka mamla hai naa isi tarah purely dosray loagoon ka aur ALLAH TALAA ka mamla hai aap ko bhi beech mein aanay ka koi haqq nahin.....

                                @ Topic
                                things to follow
                                Achi Niyat.....
                                aik hadees sab nay perhi hogi keh "Amaal ka daro madar niyaatooN per hai" yani sab say pehlay niyaat ko saaf rakhna chahiyee.....
                                agar achi niyaat kay saath koi aaam sa roz marra ka kaam bhi sir anjaaam diya jaye tu yeh bhi baais-e-sawaaab hogaaa......

                                jaisay agar hum ghar kay kaam karnay mein apni yehsoch rakhain...keh ALLAH TALAA nay aurat kay liye Ghar ko sanbhalna makhsoos fermaya hai aur is tarah yeh aik farz ada kar rahay hain hain...tu chotay chotay ghar kay kaam bhi ajar ka baais banain gay.....
                                agar yahan pegham per koi member tutorial post karta hai is liye keh loag us say impress hoon....keh usay itna kaam aata hai ......tu is niyat kay saath usay tareef tu mil jai gi swaab nahin milay gaa...jab keh agar yeh soch kar TUT likha jaye...keh TUT aur loagoon kay kaam aye gaa.....aur loag us say faida uthaien gay un ko khushi milay gi...tu TUT likhnay say bhi swab mil sakta hai :rose

                                ZIKR-e-ALLAH

                                is kay baray mein pehlay bhi Bloo bata chuki hain........

                                sab say aassan....zaban per halkay aur meezan mein bhari kalmaat hain
                                "SUBHANALLAHI WA BI HAMDIHI SUBHANALLAHIL AZEEMI
                                Last edited by *Rida*; 17 August 2007, 19:42.
                                For New Designers
                                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                                Comment

                                Working...
                                X