Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Preparation for Jannah!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Preparation for Jannah!

    hhmmm....sahih kaha aap nay.....hpir kiun na Stickey hi kar wa diya thread.........acha hai important hai ...is liyee.....
    Lahol wala Quwat Illa Billa ..kay baray mein kaha jata hai keh yeh jannat kay khazanooN mein say aik hai......
    Dorrod Shareef ki ahmiyat tu sab hi ko maloom hai...is ka aik point yeh hai keh jis tarah dosray aamal meinniyyat dekhi jati hai.....Dorrod Shareef ki taddad dekhi jati hai......:)

    Sura Ikhlaaas.......ALLAH TALA ki pasandeeda tareen surat hai......

    thanks nahin kehian plzz.....:phool:



    Originally posted by aquari View Post
    NIce Rida..

    main khud in main sey bauht si baatoo pr aml krti hoo

    makhsoos namazoo k ilawa naflii roozey hotey hain,woh ager app rakh sakoo tu

    is k elawa sub sey bunyadi baat sirf 5 time ki namaz qayim ki jayee or Qurran parha jayeaa ,mainey khud notice kya haii ager hum just is pr bhi aml kr lain tu khud hi hum main inferdaii tabdeeli ana start hojati haii,hum khud hi jhoot sey bachtey hain,khud hi kisi ko kuch bhi kehteyhowey soochtey hainn k us ka dil tunahi dukheyy gaa ,koi bhi aml k waqt 1 bar soochtey hain k Allah dekh raha haii..main khud bauht gunahgar hoo..banta tu nahi k kiis ko mashwarey doo ya nasihat karoo wiasey bhi Ahadees main hai k "Dossrey ko nasihat woh karoo jis pr khud aml krtey hoo "..main koshish krti hoo is pr aml krney ki ,is k elawa naflii rooza or daily hr waqt zaban pr kalmaa ya Darood sharif jari rakhna chahyea is k elawa daily baat cheet main Bismillah,Astaghfarullah,,, in alfaz ko shamil rakhna chayea..kya pata kub kon sa lafz qabool hokerhumain bakhshwa deyy..
    dear kuch cheezain aisi honi chhaiye jinhain hum apni zindgi ka lazmi juzw bana lain.......
    aaap nay sahih kaha.....5 waqt ki nimaaz aur Quran sab say pehlay hain......aur Azkaar mein doroord shareef aur Astaghfaar....buht zyada ajar kay hamil hain.........


    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Hum loogon ka yahi masla he, ke hum simple cheezein choor ker complexity ki taraf baag rahay hein...I think Quran ko samaj ker perhnay mein her cheez ka hal moojood he...pehlay hamein apni basics mukamal kerni chahiyein, aur phir in cheezon ki taraf aana chahiye...do not mind

    mind karnay wali baat nahin......coz i have already done wid it.......aur sirf Quran hi nahin Sunnat bhi buht impt. hai........

    @ toipic
    humari woh umer hai hi nahin keh humain koi ungli pakar kar chalaye...humain khud ko change karnay kay liye khud hi mehnat karnay paray gi.......
    main samajhti hoon keh sirf lagi bandhi Nimaaz perhnay kay bajaye us kay sahih tareeqay say aur samajh kar perha jaye.......aur Quran Paak bhi sirf Arbi main nahin perha jaye....kiun keh Arbi her kisi ki samajh nahin aati........main tarjumay kay saath Quran perhti hoon...ALHAMDOLILLAH......aur main nay khud tabdeeli mehsoos ki hai.........waja sab jantay hain keh Quran Paak humari zindgi kay her mamlay mein hamari rehnumai karta hai........

    main khud jo achi baat dekhti hoon.....jo sunnat/hadees perhti hoon....us ko implement karnay ki koshish foran shro kar daiti hoon...........
    yahan pegham per Islamic section say bhi buht sari batain maloom hoti hain......main is say pehlay Quran paak perhti thi ..lakin daily nahin perhti thi....main nay Pegham per aik post dekhi tu Quran rozana perhnay ki ahmiyat ka ahsaas howa aur ab rozana hi Quran paak perhti hoon...
    un ko aahista aahista follow karain .....INSHALLAH jald hi change mehsoos hoga......

    main aik aur baat kahon gi....some times aisa hota hai keh Nimaaz perhnay ko dil nahin chahta........is kay liye Wasif Ali Wasif nay kaha hai keh Nimaz zuroor perhain kiun keh Nimaaz farz hai aur kaifiyat farz nahin hai....
    dosri baat nimaaz ko apni aadat nahin banaieN..............is ko Ibadat hi ki tarah anjaaam dain......Addat bannay say Nimaaz say sahih tarah faizyaab nahin howa ja sakta........balkay kabhi kabhar yeh addat banna nuqsaan deh sabit ho sakta hai.........jaisay banda apnay aap ko buht parhaizgar samjhay .......aur dosorron per apni foqiyat jataye.......jab keh ALLAH TALAA nay fermaya hai keh tum apni paki na jatao......ALLAH TALAA mutaqiyoon ko khob janta hai.....
    Last edited by *Rida*; 13 August 2007, 17:51.
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

    Comment


    • #17
      Re: Preparation for Jannah!

      aur kuch batain follow karnay kay liyeee..........jin cheezon say bacha jaye......
      Dil Azzari
      Hasad.....
      Jald bazi.......
      Bay sabri.......
      Na shukri......
      bad gumani.......

      aur aap kuch bataien bloo.....phir aur baat hogi...INSHALLAH TALA :rose
      Last edited by *Rida*; 13 August 2007, 10:58.
      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment


      • #18
        Re: Preparation for Jannah!

        Originally posted by munda_sialkoty View Post
        Your question is not clear enough to understand for common ppl :khi:

        I give you tip, follow Quran...so simple so working :lpop:
        chalein ab to clear ho gaya warna aap apni tip kaisey deytey.....

        how you follow Quran??
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #19
          Re: Preparation for Jannah!

          Originally posted by chalakie View Post
          w/salam bloo g

          its an ongoing process,every min., every sec.

          the only key is to keep ur conscience alive...that'll become a radar whenever u're doing something wrong!

          always be in Wudhu...helps u as well.

          and finally, daily recitation of the Quran with meaning..softens ur heart and makes u God-fearing...

          other than that Wa'Allahu Alam.

          every1 might be trying to do their best...fulfill the 5 pillars of Islam...constant struggle...constant Jihad..(Jihad'un Nafs)
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #20
            Re: Preparation for Jannah!

            Originally posted by aquari View Post
            NIce Rida..

            main khud in main sey bauht si baatoo pr aml krti hoo

            makhsoos namazoo k ilawa naflii roozey hotey hain,woh ager app rakh sakoo tu

            is k elawa sub sey bunyadi baat sirf 5 time ki namaz qayim ki jayee or Qurran parha jayeaa ,mainey khud notice kya haii ager hum just is pr bhi aml kr lain tu khud hi hum main inferdaii tabdeeli ana start hojati haii,hum khud hi jhoot sey bachtey hain,khud hi kisi ko kuch bhi kehteyhowey soochtey hainn k us ka dil tunahi dukheyy gaa ,koi bhi aml k waqt 1 bar soochtey hain k Allah dekh raha haii..main khud bauht gunahgar hoo..banta tu nahi k kiis ko mashwarey doo ya nasihat karoo wiasey bhi Ahadees main hai k "Dossrey ko nasihat woh karoo jis pr khud aml krtey hoo "..main koshish krti hoo is pr aml krney ki ,is k elawa naflii rooza or daily hr waqt zaban pr kalmaa ya Darood sharif jari rakhna chahyea is k elawa daily baat cheet main Bismillah,Astaghfarullah,,, in alfaz ko shamil rakhna chayea..kya pata kub kon sa lafz qabool hokerhumain bakhshwa deyy..
            JazakAllah khair Aquari :rose

            Importance of BismillahRegarding the hadithImportance of kalmaat, jo aap ney kahey like AstaghfiruAllah and bismillah....

            teen aur bohot payarey kalmaat hain jo hamein apni conversation mey add kerney chahiyeiN

            Alhumdulillah
            inshAllah
            MashAllah
            ye sab kalmaat hamein Allah T'ala ki maujoodgi ka ehsaas delatey hein...
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #21
              Re: Preparation for Jannah!

              JazakAllah khair Rida:rose

              Jahan tak baat meyri hai, mey tab tak theek rehti hun jab tak apney islamic lectures(at mosque) attend kerti rahuN, her haftey mey bas aik lecture hota hai, general topics pey aur sabhi maqsad ye hota hai key how we can bring islam into our life ...... wo aik lecture mujhey poora week motivate rakhta hai .... Alhumdulilllah.....

              leykin ab summer vacations ki waja sey k oi class nahi hai to ye jo poora aik maheena mey ney guzara hai ...... abhi kertey hein abhi kertey hein......aur iss mey sara time zaya ....

              aur ab to bas seriously dar lagney ga tha key kya baney ga......

              do baatoN sey mey ney bohot seekha hai

              Quran with translation:-Ahadees:-

              aik hadees hamesha bohot saari cheezoN aur confusions sey bacha deyti hai

              "The beauty of a person's islam is to leave those things which do not concern him/her"

              Zikr:-

              la ilaha ilallah ... jab kabhi lagta hai key Eemaan is getting down....to ye perhti hun .....

              ya phir namaz ja ker (akser maghrib ki) masjid mey ja key perhti hun ....iss tarhan jab kabhi bohot saari mushkilaat hoti hein ya phir aeysey hi kha makha dil udass ho to masjid ja ker do rakah perh ker araam sey Allah T'ala sey dua kerti hun ......

              aur iss summer mey bas aik naik kaam kiya hai key meyri aik choti si friend hai uss ko mushkil thi Quran tajweed key sath perhney mey ..... so i helped her ....week mey sirf do lessons us key sath kerti ayi hun and MashAllah she has improved alot......
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • #22
                Re: Preparation for Jannah!

                Originally posted by bloo View Post
                JazakAllah khair Aquari :rose

                Importance of BismillahRegarding the hadithImportance of kalmaat, jo aap ney kahey like AstaghfiruAllah and bismillah....

                teen aur bohot payarey kalmaat hain jo hamein apni conversation mey add kerney chahiyeiN

                Alhumdulillah
                inshAllah
                MashAllah
                ye sab kalmaat hamein Allah T'ala ki maujoodgi ka ehsaas delatey hein...
                ji bilkul main just jaldi main type kr rahi thi tu ye reh gaye jub k it is fact k hum just apni daily routine main yeh alfaaz..jaisey koi bhi kaam krney jarahey hoo tu :insha: khayain k Allah k hukum sye woh kaam poora hojaye gaa,...koi bhi achi cheez dekh kr :masha zaroor kehni chahyeaa tak us cheez ko nazar na lageyy ..:alhamd: tu jitna kahoo tu kum hia kunk wohi k hum apney RUB ki kon kon si naimato ka shukar ada kr saktey hain woh sub tu la mehdood haii...!
                Bismillah k lya u r right dear hum jub is ko routine bana laingey tu khud hi ghalat kaam sey haath rookain gey kunk adat hogi hr kaam start krtey howey kehney ki tu khud hi khayal aye gaa k hum kuch ghalat kr rahey hainn...is ki apney tur bauht fazeelat haii
                is k elawa Darood sharif k lya aya hai k din main ager sirf 10bar bhi hum parh lain tu bauht sawab hai...!
                yeh sub apni jaga mager sub sey pehla tu namaz hii haii or doosraa apni zaban sey kisi ko dukh na poohnchayain...!koshish poori karoo k kabhi koi bara bol na boloo ,kabhi kisi pr ilzam tarashi na karoo ..kehney ko chooti chooti baatain hia mager in ka ajr bauht haii

                Comment


                • #23
                  Re: Preparation for Jannah!

                  JAZAKALLAHU KHAIRA bloo n aqauri sisooo
                  For New Designers
                  وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                  Comment


                  • #24
                    Re: Preparation for Jannah!

                    Originally posted by *Rida* View Post
                    hhmmm....sahih kaha aap nay.....hpir kiun na Stickey hi kar wa diya thread.........acha hai important hai ...is liyee.....
                    Lahol wala Quwat Illa Billa ..kay baray mein kaha jata hai keh yeh jannat kay khazanooN mein say aik hai......
                    Dorrod Shareef ki ahmiyat tu sab hi ko maloom hai...is ka aik point yeh hai keh jis tarah dosray aamal meinniyyat dekhi jati hai.....Dorrod Shareef ki taddad dekhi jati hai......:)

                    Sura Ikhlaaas.......ALLAH TALA ki pasandeeda tareen surat hai......

                    thanks nahin kehian plzz.....:phool:




                    dear kuch cheezain aisi honi chhaiye jinhain hum apni zindgi ka lazmi juzw bana lain.......
                    aaap nay sahih kaha.....5 waqt ki nimaaz aur Quran sab say pehlay hain......aur Azkaar mein doroord shareef aur Astaghfaar....buht zyada ajar kay hamil hain.........




                    mind karnay wali baat nahin......coz i have already done wid it.......aur sirf Quran hi nahin Sunnat bhi buht impt. hai........

                    @ toipic
                    humari woh umer hai hi nahin keh humain koi ungli pakar kar chalaye...humain khud ko change karnay kay liye khud hi mehnat karnay paray gi.......
                    main samajhti hoon keh sirf lagi bandhi Nimaaz perhnay kay bajaye us kay sahih tareeqay say aur samajh kar perha jaye.......aur Quran Paak bhi sirf Arbi main nahin perha jaye....kiun keh Arbi her kisi ki samajh nahin aati........main tarjumay kay saath Quran perhti hoon...ALHAMDOLILLAH......aur main nay khud tabdeeli mehsoos ki hai.........waja sab jantay hain keh Quran Paak humari zindgi kay her mamlay mein hamari rehnumai karta hai........

                    main khud jo achi baat dekhti hoon.....jo sunnat/hadees perhti hoon....us ko implement karnay ki koshish foran shro kar daiti hoon...........
                    yahan pegham per Islamic section say bhi buht sari batain maloom hoti hain......main is say pehlay Quran paak perhti thi ..lakin daily nahin perhti thi....main nay Pegham per aik post dekhi tu Quran rozana perhnay ki ahmiyat ka ahsaas howa aur ab rozana hi Quran paak perhti hoon...
                    un ko aahista aahista follow karain .....INSHALLAH jald hi change mehsoos hoga......

                    main aik aur baat kahon gi....some times aisa hota hai keh Nimaaz perhnay ko dil nahin chahta........is kay liye Wasif Ali Wasif nay kaha hai keh Nimaz zuroor perhain kiun keh Nimaaz farz hai aur kaifiyat farz nahin hai....
                    dosri baat nimaaz ko apni aadat nahin banaieN..............is ko Ibadat hi ki tarah anjaaam dain......Addat bannay say Nimaaz say sahih tarah faizyaab nahin howa ja sakta........balkay kabhi kabhar yeh addat banna nuqsaan deh sabit ho sakta hai.........jaisay banda apnay aap ko buht parhaizgar samjhay .......aur dosorron per apni foqiyat jataye.......jab keh ALLAH TALAA nay fermaya hai keh tum apni paki na jatao......ALLAH TALAA mutaqiyoon ko khob janta hai.....
                    Aap ki baaton se itna idea ho raha he mujay ke aap behtari ki taraf kadam berhanay ki kooshish kerti hein.

                    Lekin mein aik baar phir is cheez per zoor dena chahon ga ke humein simplicity ki taraf ziada jub ke complexity ki taraf kum jana chahiye...Aap 10 molvi hazrat ki taraf rajoo karein wo aap ko 100 wazaif de dein ge, yeh wazaif kahan se aaye, in ki hakeekat kia he, koon jaanta he. Deen-e-Islam aik aasan mazhab he, aik aisa mazhab jisay aik insaan follow ker sakay. Allah Taalah ne yeh deen banatay waqt insaan ki capacity ka pura khyaal rakha ke aik aam insaan bhi is deen per amal ker sakay...lekin aaj kul jo deen present kia jata he, mujay nahi lagta ke koi bhi insaan is per amal ker sakta ho.

                    Jitnay moun utni baatein, jitnay Mullah utnay wazaif, lehaza mein aap ko bhi yehi kahon ga ke ager aap kisi ko koi acha mashwara do to wo sirf aur sirf Quran ko samaj ker perhnay ka, baki insaan khud jaan jaye ga ke acha kia he aur ghalat kia he. hope u get me
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #25
                      Re: Preparation for Jannah!

                      Originally posted by bloo View Post
                      chalein ab to clear ho gaya warna aap apni tip kaisey deytey.....

                      how you follow Quran??
                      Bohat acha sawaal kia he how to follow Quran.

                      Sub se pehlay yeh samjiye ke Quran kia he aur is ki hakeekat kia he.

                      Quran Allah Taalah ka peegham he jo puri insaaniyat ke liye he. Quran ager arabic mein he aap ko arabic nahi aati to aap Urdu mein perhiye, kyoon ke yeh Allah ka pegham he, aap isay apni zubaan mein perhiye ta ke aap ko Allah ke pegham ki samaj aa sakay, us zuban mein perhnay se aap ko khatir khawa faida nahi ho ga jis zubaan mein aap Quran ko samaj he na sakein.

                      Quran aik mukamal zabta-heyaat he, is mein zindagi ke her moozon per taleemaat de gai hein...aap isay aik baar terjmay se perh lijiye, phir aap ko zindagi ke beshtar masail ka hal mil jaye ga.

                      Quran Islam ka Origin he...hamein is ke ird-gird rehna chahiye na ke seena-ba-seena aur sunai sunai baaton ki taraf. Isi mein hum musalmano ke liye hadayat he aur behtari he.
                      :thmbup:

                      Comment


                      • #26
                        Re: Preparation for Jannah!

                        Originally posted by bloo View Post
                        JazakAllah khair Aquari :rose

                        Importance of Bismillah

                        hamein kaha jata hai key ham ker kaam shuru kerney sey pehley bismillah perheiN ...... ab agar waqai InshALlah ham ye kerney lag jayein to iss ka matlab hai key sabhi achey ker rahey hein kyun key ghalt kaam kerney sey pehley to ham bismillah nahi perh saktey???

                        plus iss per yaqeen, key jab ham bismilllah perh ker apna kaam shuru kerein gey to Allah T'ala uss mey barkat daal dein gey aur wo kaam haamrey liye assaan ker dein gey inshAllah

                        jahan baat yaqeen ki hai wahan aik choti si aik aur baat ....



                        Regarding the hadithImportance of kalmaat, jo aap ney kahey like AstaghfiruAllah and bismillah....

                        teen aur bohot payarey kalmaat hain jo hamein apni conversation mey add kerney chahiyeiN

                        Alhumdulillah
                        inshAllah
                        MashAllah
                        ye sab kalmaat hamein Allah T'ala ki maujoodgi ka ehsaas delatey hein...
                        Yeh waqeya jo aap ne tehreer kia he yeh aap ko kahan se mila :mm:Aap is waqee ka koi authentic source quote karein gi mujay...i hope aap nahi ker paein gi...cuz, hamaray loogon ne Aqeedatun bohat si jhooti kahawatein bana li hein apnay views ko support kerne ke liye.

                        No doubt, Allah ke kalam mein berkat he, lekin Akeedat mein aa ke hum kitnay jhoot boool jatay hein, kia aap ne soocha ke hamari is baat per bhi paker ho sakti he :mm:

                        Aik baat zehan naseen ker lijiye, ke Islam jaadu-garon ka mazhab nahi, yeh insaanon ka mazhab he, aam insaanon ka
                        :thmbup:

                        Comment


                        • #27
                          Re: Preparation for Jannah!

                          main nay yeh kisi molvi ya mufti say nahin seekha.........
                          na hi mujhay un mein say kisi kay paas janay ka shouq hai .....even main in naam nihaad molviyoon aur Muftiyoon kay baray mein baat bhi nahin karna chahti.....
                          mujhay motivate karnay walay Quran aur sunnat/ hadees hain.......internet ki kuch sites aur kitaabouN say seekha hai.......jaisay keh main pehlay bata chuki hoon keh main nay baghir samjhay nimaaz /Quran aur samajh kar nimaz aur Quran perhnay mein khud diffrence feel kia hai................
                          agar koi computer ki taleem hasil kar raha ho ....tu woh basic windows say Ms Office tak aaye gaa...phir mazeed advance software...like photoshop... inpage... paintshop tak aaye gaa....phir mazeed advance like Maya, dreamewaver...........tak pohanch jai gaaa....... kia zuroori hai..... banda MS OFFICE per hi atka rehay........
                          (agar Complexity say aap ka ishara NimaazouN ki traf hai.....kiun keh Azkaar mein aisi koi complexity nahin hai).....maira Quran Paak tarjumay kay saath bilkul complete nahin howa hai abhi......lakin mujhay maloom hai keh Shab-e-Qadar mein Ibadat ka sawab kis qadar barha diya jata hai........tu kia jo ALLAH TALAA mujhay aik Shab-e-Qadar mein Ibadat ki toufeeq dai raha hai aur mujhay qismat say yeh raaat mil gai hai....tu main isay zayaa kar doon....keh abhi tu main nay poora tajuma bhi nahin perha ...aabhi mairay liye is raat mein ibadat karna zuroori nahin....yeh tu baat sahih nahin naaaa........kia gaurantee hai keh agli Shab-e-Qadar dekhnay kay liye main zinda hi rahon gi....
                          ALLAH TALAA mujhay moqa dai raha hai tu main kiun nahin avail karon....

                          @ topic agar main aur bhi basic ki baat karon.........sab say pehlay ALLAH TALAA per yaqeen ka marhala hai........
                          main nay pegham per hi kahin is say pehlay bhi kaha thaa...keh sirf kehnay aur karnay mein buht farq hai......
                          mairi kisi writing mein bhi is baat ka zikr hai ....keh jab koi preshani aati hai tu hum preshan ho jatay hain.......zubaan say keh tu rahay hotay hain keh ALLAH TALAA malik hai.....lakin dil is baat ki gawahi nahin dai raha hotaa........sab say pehlay is dil ko yeh samjhana hai...
                          ALLAH TALAA say dua hai keh woh humain razi baraza rehnay ki toufeeq dai ....Ameen

                          follow karnay wali baat.....
                          shukar guzari....
                          khnay kay bad shukar ada karna.......main nay ISlamic images mein yeh share ki hai hadees jis mein khnay kay bad shukar ada karnay ki ahmiyat kay baray mein bataya gaya hai......
                          Last edited by *Rida*; 17 August 2007, 08:30.
                          For New Designers
                          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                          Comment


                          • #28
                            Re: Preparation for Jannah!

                            Originally posted by *Rida* View Post
                            main nay yeh kisi molvi ya mufti say nahin seekha.........
                            na hi mujhay un mein say kisi kay paas janay ka shouq hai .....even main in naam nihaad molviyoon aur Muftiyoon kay baray mein baat bhi nahin karna chahti.....
                            mujhay motivate karnay walay Quran aur sunnat/ hadees hain.......internet ki kuch sites aur kitaabouN say seekha hai.......jaisay keh main pehlay bata chuki hoon keh main nay baghir samjhay nimaaz /Quran aur samajh kar nimaz aur Quran perhnay mein khud diffrence feel kia hai................
                            agar koi computer ki taleem hasil kar raha ho ....tu woh basic windows say Ms Office tak aaye gaa...phir mazeed advance software...like photoshop... inpage... paintshop tak aaye gaa....phir mazeed advance like Maya, dreamewaver...........tak pohanch jai gaaa....... kia zuroori hai..... banda MS OFFICE per hi atka rehay........
                            (agar Complexity say aap ka ishara NimaazouN ki traf hai.....kiun keh Azkaar mein aisi koi complexity nahin hai).....maira Quran Paak tarjumay kay saath bilkul complete nahin howa hai abhi......lakin mujhay maloom hai keh Shab-e-Qadar mein Ibadat ka sawab kis qadar barha diya jata hai........tu kia jo ALLAH TALAA mujhay aik Shab-e-Qadar mein Ibadat ki toufeeq dai raha hai aur mujhay qismat say yeh raaat mil gai hai....tu main isay zayaa kar doon....keh abhi tu main nay poora tajuma bhi nahin perha ...aabhi mairay liye is raat mein ibadat karna zuroori nahin....yeh tu baat sahih nahin naaaa........kia gaurantee hai keh agli Shab-e-Qadar dekhnay kay liye main zinda hi rahon gi....
                            ALLAH TALAA mujhay moqa dai raha hai tu main kiun nahin avail karon....

                            @ topic agar main aur bhi basic ki baat karon.........sab say pehlay ALLAH TALAA per yaqeen ka marhala hai........
                            main nay pegham per hi kahin is say pehlay bhi kaha thaa...keh sirf kehnay aur karnay mein buht farq hai......
                            mairi kisi writing mein bhi is baat ka zikr hai ....keh jab koi preshani aati hai tu hum preshan ho jatay hain.......zubaan say keh tu rahay hotay hain keh ALLAH TALAA malik hai.....lakin dil is baat ki gawahi nahin dai raha hotaa........sab say pehlay is dil ko yeh samjhana hai....keh jo kuch karta hai ALLAH TALAA karta hai.......aur ALLAH TALAA jo karta hai behter karta hai.......(Wasif Ali Wasif)
                            sirf is yaqeen say humari buht sari preshaniyooN ka hal nikal aata hai.......
                            ALLAH TALAA say dua hai keh woh humain razi baraza rehnay ki toufeeq dai ....Ameen

                            follow karnay wali baat.....
                            shukar guzari....
                            khnay kay bad shukar ada karna.......main nay ISlamic images mein yeh share ki hai hadees jis mein khnay kay bad shukar ada karnay ki ahmiyat kay baray mein bataya gaya hai......
                            Aik baat ke kai kai pehlu nikaltay hein aur hum loog akser apni matlab ka pehlu le ker aagay berhtay hein, acha analysis tub hota he jub saaray pehluon ko mad-e-nazar rakh ker kuch conclude kia jaye.

                            Aap sub se pehlay topic dekhiye ke topic kia demand kerta he...phir aap apni theroy dekhiye jis mein aap ne kaha ke computer seekhnay ke liye sub se pehlay MS Office, windows wagaira ko seekha jata he phir complexity ki taraf aaya jata he...ub aap dekhiye mein ne kia kaha, mein ne bhi yahi kaha, ke pehlay aap basics to seekho phir complexity ki taraf aao.

                            Mein ne kub kaha ke namaz na perho, shab-e-kadar mein ibadat na karo...zaroor karo, lekin aik cheez dehaan rahay hamaray moaashray mein islam se relate ker ke bohat si bidaat paida ker di gai hein, yaani wo cheezein jin ka siray se islam se koi taaluq nahi he.

                            Islam aik simple sa mazhab he, aap dekhiye jese bloo ne waqeya beyaan kia, yahi hota he, loog apni mantak ko support kerne ke liye aisay waqeyaat ghar lete hein aur phir yeh waqeyaat zubaan zubaan per aam ho jatay hein. Deen-e-islam aik practicle mazhab he koi jaadu-nagri nahi.

                            Aap ne kaha ke sub kuch Allah Taalah he kerta he...aap mujay yeh baat bataiye ke ager sub kuch Allah he kerta he to Insaan saza-o-jaza ka kese murtakib hua :mm:kia aap yeh nahi samajti ho ke Allah Taalah ne insaan ko ehteyaaraat diye hein insaan apni merzi se sub kuch kerta he :mm:

                            Zara soochiye thunday dimaag se...aur aap lo chahiye tha ke bloo ko kehtein ke pehlay terjmay se Quran Paak khatam karein aur phir us ke baad kisi aur taraf dekhein, jub tak hamari basic mukamal nahi hoti hum kyoon ker kisi aur taraf ki soochein....i have a lot to say..lekin mein jaanta hon ke mein baat karon ga to wo tawaalat paker le gi...so itna he soochiye fil-waqt ke liye.
                            :thmbup:

                            Comment


                            • #29
                              Re: Preparation for Jannah!

                              good points aquari and Rida :rose

                              in sab ki ham aik list bana ker inshAllah yahan bhi post kertey hein aur apni routine mey bhi inhein add up ker leytey hein inshAllah...

                              Originally posted by sialkoty
                              Bohat acha sawaal kia he how to follow Quran.

                              Sub se pehlay yeh samjiye ke Quran kia he aur is ki hakeekat kia he.

                              Quran Allah Taalah ka peegham he jo puri insaaniyat ke liye he. Quran ager arabic mein he aap ko arabic nahi aati to aap Urdu mein perhiye, kyoon ke yeh Allah ka pegham he, aap isay apni zubaan mein perhiye ta ke aap ko Allah ke pegham ki samaj aa sakay, us zuban mein perhnay se aap ko khatir khawa faida nahi ho ga jis zubaan mein aap Quran ko samaj he na sakein.

                              Quran aik mukamal zabta-heyaat he, is mein zindagi ke her moozon per taleemaat de gai hein...aap isay aik baar terjmay se perh lijiye, phir aap ko zindagi ke beshtar masail ka hal mil jaye ga.

                              Quran Islam ka Origin he...hamein is ke ird-gird rehna chahiye na ke seena-ba-seena aur sunai sunai baaton ki taraf. Isi mein hum musalmano ke liye hadayat he aur behtari he.
                              :jazak: khair
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment


                              • #30
                                Re: Preparation for Jannah!

                                shuru kertey hein dil sey, yani shuru kertey hein Taubah aur Astaghfaar sey

                                Tawbah:
                                1. Knowledge: to know about something which is a sin
                                2. feeling of regret: to be honest with oneself
                                3. there should be strong feeling that the sin must not be repeated
                                Tawbah is genuine only if one realises and admit to one's sin followed by deep regret and determination not to repeat the same sin, Allah forgives always when invocation is made inshAllah.

                                It is important that one seeks the company of the good and 'God fearing' people for encouragement in doing and increasing good deeds.One is called upon to occupy free time constructively and towards positive ends.


                                Tawbah and Astaghfaar go together.Tawbah is stopping bad things/deeds and Astaghfaar is the strong feeling that helps not to reapeat such deed again inshAllah.

                                sochein agar aap kuch kha rahey hein aur khatey khatey aap key shirt per wo gir jaye jo aap kha rahein hein ... wat you will do ....
                                first stop eating and then clean your shirt?

                                stop eating is Tawbah and cleaning shirt is Astaghfaar.
                                Attached Files
                                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                                Comment

                                Working...
                                X