Agar aap ADMIN hotey:
Aik kaamyab organisation ko chalaney key liye bohat si baton ka khiyaal rakhna parta hai. Achha aur kaamyab adara wohi hota hai jahan key log us adarey sey muhabbat karein aur wahan kaam karna pasand karein. Wahan per kaam karney apney liye aik MUST (must english mein) na samjhein balkeh unhein wahan kaam karney mein mazzah aaey aur woh apna rehna enjoy karein.
Agar aik adara apney employees sey aisi umeed rakhta hai to sath hi saath us adarey ko unkey liye kuchh karna parrta hai. Agar adara apni man-mani karta jaey aur apney employees ka khiyaal na karey to wahan koi rehna pasand nahin karta. Isi liye duniya ki badi badi companiyaan apney employees key liye kuchh na kuchh karti hain.
Aik FORUM aik aisa adara hai jahan per aaney waley members iskey un-paid employees hain, woh jo kuchh Forums per kartey hain apni khushi aur apna shoq key liye kartey hain. Magar members key liye kisi forum per rehna aisa hi hai jaisey woh apney doosrey ghar mein hain, kyun keh woh jahan apney waqt ka aik aham hissah guzartey hain. Aur kuchh achha time guzarney aatey hain.
Ab yeh forum ki intizamiyah per hai keh woh apney members key saath kaisa behave rakhti hai aur unhein kaisey deal karti hai. Intizamiyah ka kaam hai aik achha aur khoobsurat mahol provide karna, jahan rah ker members khud ko na siraf secure feel karein (is tarha secure keh unhein yaqin ho keh koi aisi behoodgi nahin ho gi jiska woh soch nahin saktey), balkey unhein enjoyment bhi miley gi.
Hamari yeh koshish hai keh Pegham aap key liye woh ghar sabit ho. Sab sey pehley to main yeh kehna chahta hoon aur yeh baat tmaam members apney dil mein bitha lein:
PEGHAM KABHI KISI DOOSREY FORUM KEY MUQABLEY PER NAHIN BNAYA GEYA. We hate this way of thinking, and we hate those peoples, who think so about Pegham.
Wapis aatey hain aap ki taraf: Yeh aap ka ghar hai, issey khoobsurat bnana aap ka kaam hai. We are prepared to listen to ALL the suggestions, which can improve the quality of Pegham. So the question is:
Q: AGAR AAP KO PEGHAM KA ADMIN BNAA DIYA JAEY TO AAP PEGHAM MEIN KYA KYA TABDEELIYAAN KAREIN GE? KYA DEKHNA CHAHTEY HAIN AUR KYA NAHIN?
You are absolutly FREE to say whatever you like (but keep the GOOD MANNER in mind).
Let me have ALL the thoughts you may have.....
Wa salaam
Masood

Comment