Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Debate...............................>

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: Debate...............................>

    Very good Jia and lucky
    :thmbup:

    Comment


    • #62
      Re: Debate...............................>

      [quote=champion_pakistani;472753]cartoon say bachoon ko kuch nahi milta...
      app ko chahiye k apnay bachoo ko outdoor games and kaam main hisa leynay ka kahoo.
      park main jaeen .....[/quote]
      theek ahy amin app ki baat manti hoon k bachon ko outdoor games main hissa lainy ka btana chahiay. lakin woh bhi hum log unhain sekhain gay eh na k yeh game aisy nahi aisy khaili jati hay. agr nahi sekhain gay to usay nahi pta chally ga k kis trhaan say yeh us k liay behtr hay.
      ab app khud he daikho app yeh to nahi na keh skty k bachy jab bahir jaa kr khailain gay to woh gir bhi skty hain un k chot bhi lag skti hay to is ka mtlab yeh to nahi ho ga k hum log unhain khailny bhi nahi dain gay kion k un k chot lagti hay .isi trhaan jab hum Bachon ko sekhain gay btain gay smjhain gay k aisa nahi nahi akro is chez ka istimal aisy nahi aisy karo to kia woh nahi samjhay ga?

      Comment


      • #63
        Re: Debate...............................>

        Originally posted by munda_sialkoty View Post
        Very good Jia and lucky
        shukria janab

        Comment


        • #64
          Re: Debate...............................>

          in the 2nd post bahi say deeni Taleem TV say aati ha.par humray deen ma Tv lazmi naheen kiya islam tv say aaya hay.par hum lod tu
          kitaboon say islam kay baree ma parteen ha.islam ppaar or taleem say aman say aaya ha.



          jaya he,jaya he.jaya he.

          Comment


          • #65
            Re: Debate...............................>

            Salam Again!

            Meyra khayal hai key mey ney apni baat bohot mukhtasir aur tafseelan dono tareekey sey bayaan ker di hai leykin aik baar phir mey wazeh kerna chahun gi apna mauqaf :insha:







            Ab aatey hein apni baat ki taraf!

            Meyri mukhalif team ka kehna hai key bachon ko tv zarooor deykhna chahiye aur inhoN ney iss ki ye reasons di hein

            1- bacha cartoon deykhney sey aur un key naam yaad kerney sey intelligent ban jata hai

            2- bachey ki zehni salahiyat mazboot hoti hai

            3- uss ki observation skill improve hoti hai

            4- tv aik behtareen tafreeh hai

            in key yahi teen- chaar points hein jin ko inhoN ney baar baar ghooma phira key bayaan kiya hai


            ab aati hun apney mauqaf ki taraf...bachon ko tv nahi deykhna chahiye kyun key

            1- bohot mumkin hai key bachoN ko ADD ho sakta hai (iss ka mey tafseeli ziker apni pehli post mey ker chuki hun)

            2- tv aik sastey babysitter key taur pey isteymaal hota hai

            3- ye seedha seedha waqt ka zaya hai, iss ka asar bachoN key school prerformance aur school result pey perhta hai

            4- studies ye btati hein key bachey jab issey wahid tareef key taur pey isteymaal kerney lagtey hein to un mey motapa ka baiss banta hai

            5- Motapey key sath sath bachey susti aur kahili ka shikar hotey hein







            9- Ziada tv advertisement junk food ki hoti hai, aur bacha jab junk food addicted ho jaye to end result obesity

            10- tv jo hai key aik faasla create ker deyta hai bachoN aur parents mey......wo sirf apney aap ko tv shows tak mahdood rakhna shuru ker deytey hein aur family members key sath interaction mey kami aati hai

            11- Tv bachoN ki healthy activities ko bhi mutassir kerta hai

            ye hein wo saarey negative effects jo iss key waqt mey ney bayaan kiye hein iss key ilawa bhi beyshumaar manfi assraat hein tv key iss liye meyra mauqaf bohot mazboot hai key bachoN ko tv nahi deykhna chahiye!

            was salam alaikum
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #66
              Re: Debate...............................>

              bachon ko tv naheen dekhna chaiye kionk hamary han ziyada tar tv par aysay program dekhay jaty hian jo k bachon ki zehni tarbiyat kiliye nuqsaan day hain
              aur jab koi koi bhi tv channal lagao us main ziyada tar haya bakhta program hoty hian aur agar koi kaam ka program hobhi to us ki ressue bohat kam hoti hy is k ilawa comercial to har waqat har channale par chalty rehty hain aur aajkal k comercial toba ALLAH KI PANAH BACHY TO KAYA BARY BHI APNI FAMILY K SATH BETH KAR NAHEEN DEKH SAKTY...

              Last edited by rena_satyal; 16 July 2007, 15:53.



              jaya he,jaya he.jaya he.

              Comment


              • #67
                Re: Debate...............................>

                bachay ka zehan bara hi nazuk hota hy agar shuru main hi us ki tarbiyat main tv jaysi cheez ko dakhil kardiya jay to us ki zehni aur ikhlaqi nashrunoma k bigarny k kafi chance hain bajay sudharnay k.
                bachay ka zehan aik kory kaghaz ki manid hota hy us par jo akas pehly tehreer hojay ga wo agay chal kar us ki zindgi ka numayan pehlo ban jay ga aur ye baat bilkul badehi hy k tv par ziyada tar ikhlaq se giray huy prograam chalty hain jo k yaqeenan bachon ki ikhalqi nashrunuma kiliye zehre qatil hain




                jaya he,jaya he.jaya he.

                Comment


                • #68
                  Re: Debate...............................>


                  Deeni tarbiyat TV se ziyada Masjid se milta hai.Duneyavi Tarbiyat TV say nahi apnay dost say mil kar milti hai.achai achi bateen karnay se.Ehlaaqi tarbiyat baroo k sath mil batnay say hasal hoti haitv say nahi
                  kiya jab TV nahi thi us time lod main Duneyavi, Ehlaaqi or Shaoori tarbiyat jesi koi chiz nahi thi.
                  Qaid Azam jesay azeem log kaha se peda howay.Dr M.A Iqbal jesay shaher kaha say peda howay?
                  or bohat se azeem log...............................
                  kiya ye sub kuch TV say hasal hota hai,Shaoor TV se nahi achi books se hasal hota hai!achay mind se aata hai.wo hum tab milay ga jab hum kis se mileen ge baateen kareen ge.
                  ab 9:00 ko hai kuch time baqi hai.................Judges hum ne tu bus itna khana tha bachoon k liye TV se ziyada Tarbiyat.Books,apnay dadi dad maam bab,Dostoon main hai.
                  TV bachoo k liye nahi.TV dakna chahiye par bachoon ko nahi un k walden ko...
                  judes muje bus itna khana hai k bachoo ko TV ki nahi apnay walden ki,dada dadi,or dost ki ziyada zarorat hai...............umeed hai ab app samaj geen ho gay.ab time 9 honay ko hain ye na ho k time over ho jaaa......
                  ab faslaa app k hath main hai..............................

                  I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani


                  Comment


                  • #69
                    Re: Debate...............................>

                    Originally posted by rena_satyal View Post
                    in the 2nd post bahi say deeni Taleem TV say aati ha.par humray deen ma Tv lazmi naheen kiya islam tv say aaya hay.par hum lod tu
                    kitaboon say islam kay baree ma parteen ha.islam ppaar or taleem say aman say aaya ha.
                    humary kisi dost nay nahi kaha k deen TV say phaila hay .
                    deen TV say nahi phaila lakin ajj kal hum logoon ko deen say motaliq kafi kuch milta hay TV pr jis say hum log faizyaab ho kr apni taleemat main izafa kr skty hain.

                    Comment


                    • #70
                      Re: Debate...............................>

                      Originally posted by rena_satyal View Post
                      bachon ko tv naheen dekhna chaiye kionk hamary han ziyada tar tv par aysay program dekhay jaty hian jo k bachon ki zehni tarbiyat kiliye nuqsaan day hain
                      aur jab koi koi bhi tv channal lagao us main ziyada tar haya bakhta program hoty hian aur agar koi kaam ka program hobhi to us ki ressue bohat kam hoti hy is k ilawa comercial to har waqat har channale par chalty rehty hain aur aajkal k comercial toba ALLAH KI PANAH BACHY TO KAYA BARY BHI APNI FAMILY K SATH BETH KAR NAHEEN DEKH SAKTY...
                      lakin kai chanel aisy bhi hoty hain jo bachon k liay achy hoty hain or woh un main dilchaspi rakhty hain...........agr TV chanel achy nahi hain to is k zimadaar waldain hain TV nahi.
                      waldain ko chahiay k agr bachy TV adikh rahy hain to un ko aisy chanel set kr k dain jo k woh khud bhi un k saath baith kr daikh skain.
                      TV kabhi bhi ghalat nahi ho skta
                      is ka istimaal ghalat kai jaa rha hay

                      Comment

                      Working...
                      X