Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Debate...............................>

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Debate...............................>

    bachoo ko TV nahiin watch kurana chahiye ..un ko ziyada time apnaay mother papa nana amni.dada dadi kay sath hona chahiya.
    bachoon ko tv say kuch nai hasail ho hay.
    kuch time bachay tv par jo kuch watch kutaeen haiyn.wohi kuch boltayin hayin.
    school main wesay hi kaurtay haiy.calss may apnai classgirl kay sath piyar piyar kartayn hainy

    jaya he,jaya he.jaya he.

    Comment

    • #17
      Re: Debate...............................>

      ziyada tar looog indians chanals watch kartay hain.
      jan par bachay movies watch kartay hain.movies main kiya milta hai.fighting hoti hai ya pher piyar..
      chotay chotay bachay b wesay hi kartaeen hain jesay wo tv par watch kartay hain...

      I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani

      Comment

      • #18
        Re: Debate...............................>

        Originally posted by rena_satyal View Post
        bachoo ko TV nahiin watch kurana chahiye ..un ko ziyada time apnaay mother papa nana amni.dada dadi kay sath hona chahiya.
        bachoon ko tv say kuch nai hasail ho hay.
        kuch time bachay tv par jo kuch watch kutaeen haiyn.wohi kuch boltayin hayin.
        school main wesay hi kaurtay haiy.calss may apnai classgirl kay sath piyar piyar kartayn hainy
        meri dost aik trf keh rahi hain k TV say kuch hasil nahi hota or dossri trf keh rahi hain k Bachy jo TV pr daikhty hain wohi kuch baad main sab k samny rakh daity hain.mainy to aajjj tak koi char saal ka bacha nahi daikha jo k piyar piyar krty hoon.Tv pr jo kuch dikhty ahin wohi bolty ahin to kai khiyal hay k agr hum log unhain achy chanels jo k un k liay hr lihaz say munasib hoon set kr k dain gay or un k pass or koi falto chanel nahi ho ga to woh log kahan say ulti polti batain seekhain gay.
        TV say Bachy sab kuch hasil kr skty hain agr un ki zimadari ka poora daro midaar us k walidain pr ho to koi preshani ki baat nahi hay agr Bachy TV daikh bhi lain .

        Comment

        • #19
          Re: Debate...............................>

          Originally posted by champion_pakistani View Post
          ziyada tar looog indians chanals watch kartay hain.
          jan par bachay movies watch kartay hain.movies main kiya milta hai.fighting hoti hai ya pher piyar..
          chotay chotay bachay b wesay hi kartaeen hain jesay wo tv par watch kartay hain...
          to app log woh chanels he lock kr dain jin say woh log burai ki trf jaty hain.TV nay to nahi kaha k mujh pr yehi chanel set karo jo k indian hoon yaan bachoon k liay achy na hoon.

          Comment

          • #20
            Re: Debate...............................>

            Originally posted by jia View Post
            to app log woh chanels he lock kr dain jin say woh log burai ki trf jaty hain.TV nay to nahi kaha k mujh pr yehi chanel set karo jo k indian hoon yaan bachoon k liay achy na hoon.
            acha app hi batoo kon kon se chanals lock karoo ge?

            I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani

            Comment

            • #21
              Re: Debate...............................>

              aaj mujhy jis muddy par behas krny ka moqa mila hai us ka unwaan hai"bachon ko TV dekhna chahiye ya nahi"
              main yahi kahoon gi k bachon ko TV zaroor dekhna chahiye.kion k TV mallomaat or tafreeh ka ahm or behtreen zareea hai.TV say bachy bohat kuch seekhty hain.mujhy ye smjh nahi aati k mery mukalif dost baar baar ye baat kion duhraty hain k bachon ko TV nahi dekhna chahiye:tauba .kia ye nahi chahty k in k bachy kuch acha seekhian?TV ki ejaad kisi maqsad k liye hi hoo ethi.koi b cheez bay maqsad nahi hoti.
              bachon ko TV zaroor dekhna chahiye.:)
              Gham To Likha So Likha Taqdeer ny Meri Zindagi Main

              Ye Raton Ko Der Tk Neend Na Ana Kis Gunaah Ki Saza Hai

              Comment

              • #22
                Re: Debate...............................>

                yaar mujay aaj tak pata nahi chala tv say small bachoon ko kiya milta hai?

                I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani

                Comment

                • #23
                  Re: Debate...............................>

                  Originally posted by champion_pakistani View Post
                  TV par ko kon say islami chanel hain hume b tu pata chalay :tauba
                  or wo kon sa bacha hai hai jo in ko watch karta hai....:khi:
                  4 saal kay bachay k liye q TV main kiyaaa hai?
                  kabhi islamic channels main dilchaspi lain khud ba khud pata chal jaye ga k kon kon say islamic channels hain.
                  aap kisi b bachy ko islamic channels dikha skty hain.chaar saal k bachy islamic channels say naaten seekhty hain.un main naaten perny ka shoq peda hota hai
                  or is ki misaal mery ghar main hai kion k meri bhateeji:masha naaten sunti hai.aap 4 saal k bachon ki baat krty hain meri bhateeji:masha 3 saal ki hai.
                  or main usy naaten perhaati b hoon or TV per snwaati b hoon.
                  naaton k ilawa bachy Quraan Paak ki taaleem b hasil kr skty hain.to ab btayen TV dekhna chahiye ya nahi?
                  Gham To Likha So Likha Taqdeer ny Meri Zindagi Main

                  Ye Raton Ko Der Tk Neend Na Ana Kis Gunaah Ki Saza Hai

                  Comment

                  • #24
                    Re: Debate...............................>

                    QTV par 4 saal kay bachay kay liye kiya hoita hai?

                    I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani

                    Comment

                    • #25
                      Re: Debate...............................>

                      Shuru Allah key Naam sey jo barha meharbaan neyhayat reham wala hai!
                      Muhtaram Judges aur Muazaz Sathiyo Asalam alaikum!

                      Hamari takreer ka unwaan hai "KYa BachoN ko TV deykhna chahiye?"

                      aur Hamari team ka Mauqaf hai key "nahi, bachon ko tv nahi deykhna

                      cahhiye" --Hamarey sathiyoN ney yahaN apna mauqaf ye bayaan kiya

                      hai key tv na deykhney sey bachoN key zeyhan zang alood ho jayein

                      gey aur ye bhi key tv na deykhney sey un ki zeyhni salahiyateiN

                      mehdood ho ker rah jati hein. Ab mey aap ko btati hun key zehni nash-

                      o-numa key liye pehley 4 saal bohot ehmiyat rakhtey hein aur in mey

                      bhi khasoosan pehley 2 saal- American academy of pediatrics (AAP) ki

                      Iss tehqeeq key mutabiq 2 saal aur 2 saal sey kam umar key bachoN ko

                      agar tv deykhney diya jaye to iss ka assar un ki zehni nash-o-numa

                      (brain development) per hota hai . Aik bachey ki zehni nash-o-numa key

                      liye behtareen saal uss ki zindgi key pehley do sey 4 saal hotey hein

                      jiss mey wo doosrey bachoN aur barhoN key sath interaction sey kafi

                      kuch seekhta hai. APP ye tehqeeq bhi ker rahi hai key aya tv sey

                      bachoN ko ADD (attention deficit disorder) hota hai key nahi.

                      Jahan baat ham attention problems ki ker rahey hein wahan mey aap ko

                      ye bhi btati chalun key Dr Dimitri Christaki ney children medical

                      hospital seatlle mey aik survey kiya jis key mutabiq jab sath sala

                      bachoN key behaviour ko rate kiya gaya to ye baat wazeh taur per

                      deykhney mey ayi key jo bachey bohot ziada tv deykhtey aye heiN

                      unhein concentration, impulsive behaviour or restlessness ki sheykayat

                      thein. Iss key ilawa jo bachey din mey 3-4 ghantey tv deykhtey aye

                      heiN unhein 30 % attention difficulties thein ba nisbat un key jo bilkul

                      bhi tv nahi deykhtey rahey heiN.

                      Ab baat kertey hein 4-8 saal key bachoN ki. ye wo umar hoti hai jiss

                      dauran bachey wo sab cheezeiN apney ander jazb ker leytey hein jo

                      unhein nazar ata hai, iss umar key bachoN ko doosrey lafzoN mey ham

                      visualize spongers kehtey hein. meyry mauqaf ka kehna hai key tv

                      channels mehdood ho saktey hein aur mey kahun gi key tv per kahbi bhi

                      aik shield nahi rakhi ja sakti hai. Chalein sirf cartoon network ko ley

                      leiN jo key khalis bachoN ka channel hai to tab bhi uss channel mey

                      ziada tar cartoon larhai jhagroN per mabni hotey hein. Aeysa koi

                      cartoon character nahi hai jissey bachey as ideal leiN jaisey hamarey

                      aik sathi ka kehna hai to mey un sey kahun gi key jab aap aaj key daur

                      ki baat kr rahey hein to aap aaj ki hi daur aur aaj jo cartoon

                      na kareiN.

                      continue....:insha:
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment

                      • #26
                        Re: Debate...............................>

                        Tv ka bachoo par bohat bora aasir parta hai....
                        bat kuch porahi nahen kuch maan ki hay. jab sadar sadam ko panci di gi thi...us ko tv pasr online dikhaya geya tha.
                        jis kay bat bohat say bachoon nay apnay app ko wesay hi pancii daydeen.aaj kal lal masjid ka shor haybachoo ko kuch pata naheen j
                        mari ik banji hay jo kay 9 saal ki hay us nay news may sona tha kay lal masjib par foj fairing kur rahi hay tu us nay kaha kay may masjid naheen jaoon gi kayoon kay foji wahan bhi aajaeen gay.us kay dil may bohat haf hay..
                        last year jab wo saven saal ki thi tv par zalzelay kay baray sonti thi tuu bohat khof zada hoti thi...

                        :donno:BYE :donno:

                        Comment

                        • #27
                          Re: Debate...............................>

                          Originally posted by bloo View Post

                          Bei hum kub keh rahay hein ke 4 saal se chootay buchon ko cartoons dikhao. Mein to khud is ke haq mein nahi hoon ke itnay chootay buchay TV dekhein...baat 5 saal se ziada umer ke buchon ki ho rahi he. Aur jahan tak aap ne TV ke nuksaan ki baat ki to mein kuch clarification dena chahon ga.

                          Khana khana insaan ke sehat aur zindagi ke liye bohat zaroori he, ub bunda itna ziada kha le ke us ka pait phatnay lagay to us ka nuksaan he. Kisi bhi cheez mein aitdaal us cheez ki khoobiyon ko nikharay ga, jub ke inthaa pasandi us ke manfi asraat aap ke samnay laye gi. Buchon ke liye TV ka munasib aur khas waqt hona chahiye, aur ho sakay to saath mein us ki mom ya dad mein se koi un kay saath beth ker unhein guide bhi karein.

                          Mein yeh keh raha hoon ke buchay Q TV dekhnay ke liye TV ke aagay bethtay hein, aur na mein yeh kahon ga ke Buchon ko Zakir Hussain aur Dr. Asraar Ahmad se inspiration milti he. Buchay buchay hein, un ka aik apna mindset hota he aur khaas tarah ki priorities hoti hein. Buchay entertainment ke liye TV Set ke aagay bethtay hein, aur is entertainment mein un ke liye kahin na kahin information bhi chupi hoti he aur kahin. Buchay jub cartoons ko watch kerte hein to un ki wording pe bohat dehaan dete hein. Is se unhein vocabulary milti he, cartoons kis waqt lagtay hein, cartoons dekhnay walay buchay clock se time read kerna jaldi seeekh lete hein doosray buchon ki nisbat. achay moral walay cartoons se buchon ko achay kaam ke liye inspiration milti he, mazahiya cartoon dekhnay se buchon mein Aesthetic Sense peda hoti he,

                          Baby Loone Toon
                          Franklin
                          Dragon Tale
                          Andy Pandy
                          Boo
                          Koala Brother
                          Little Red Tractor
                          Shreik
                          The Jungle Book
                          Winx Club
                          My Little Pony
                          Bob The Builder
                          Scooby Do
                          Strawbery Short Cake
                          Ants
                          Barbie
                          Fairy Topia (mermedia)
                          Son of Allah Din
                          Harry Potter
                          Balto
                          Johny Bravo
                          The power puff girl
                          Richie Rich
                          Popeye the Sailor Man
                          Pink panther
                          Donald Duck
                          Bayblade

                          Yeh saaray cartoons kisi na kisi tarah buchon ke liye sabak amooz hein. Buchay aisay cartoons mein unity mein kaam kerna seekhtay hein, ithaad seekhtay hein, vocabulary seekhtay hein, observation power hasil kerte hein, mukhtalif cartoons charectors ko observe kertay hein aur un ke naam yaad kerte hein. aur aik baar phir kahon ga ke aisay buchay aam buchon se knowledge mein aur dimaagi toor per ziada tez hotay hein. Ager aap ko yakeen nahi to aaj ke baad yeh mushahida kerna bhi shuru ker dein.
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #28
                            Re: Debate...............................>

                            Originally posted by sweet_alveena View Post
                            Tv ka bachoo par bohat bora aasir parta hai....
                            bat kuch porahi nahen kuch maan ki hay. jab sadar sadam ko panci di gi thi...us ko tv pasr online dikhaya geya tha.
                            jis kay bat bohat say bachoon nay apnay app ko wesay hi pancii daydeen.aaj kal lal masjid ka shor haybachoo ko kuch pata naheen j
                            mari ik banji hay jo kay 9 saal ki hay us nay news may sona tha kay lal masjib par foj fairing kur rahi hay tu us nay kaha kay may masjid naheen jaoon gi kayoon kay foji wahan bhi aajaeen gay.us kay dil may bohat haf hay..
                            last year jab wo saven saal ki thi tv par zalzelay kay baray sonti thi tuu bohat khof zada hoti thi...
                            Yeh ghalti to baroon ki aur parents ki he jo buchon ko aisay channels dikhatay hein :donno: Ghar mein istamaal honay wali istri se aap kapray iron kerte ho, usay aap kisi ki kamar pe laga do to kia wo cheez ghalat ho jaye gi.

                            petrol se aap gaari chalatay ho, ager usay se kisi insaan ko aag laga do to is mein petrol ka kia kasoor...baba aap tasveer ka sirf aik rukh he na dekha karein
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #29
                              Re: Debate...............................>

                              Originally posted by champion_pakistani View Post
                              acha app hi batoo kon kon se chanals lock karoo ge?
                              jo dekhny k qabil nahi hain.or bachon k liye achy nahi hain.or aap ko itna to pata hi hoga k kon say achy hain or kon say nahi.:tasali:
                              Gham To Likha So Likha Taqdeer ny Meri Zindagi Main

                              Ye Raton Ko Der Tk Neend Na Ana Kis Gunaah Ki Saza Hai

                              Comment

                              • #30
                                Re: Debate...............................>

                                Originally posted by champion_pakistani View Post
                                QTV par 4 saal kay bachay kay liye kiya hoita hai?
                                :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba
                                aap ko smjh kion nahi aati?main pehly b bta chuki hoon k islamic channels pr bachy naaten seekhty hain.dekh dekh kr prty hain un main naaton ka shoq paida hota hai.or bachy sirf 4 saal k hi nahi hoty.10,12 saal k b bachy hi hoty hain.4 saal is liye kaha k tab bachy ka zehan bilkul khaali hota hai.hum jitna acha chahen un k zehan main daal skty hain jo kabhi b un k zehan say nahi nikal skta.or munasib channel sirf QTV hi nahi hai or b bohat say hain.:tauba
                                Gham To Likha So Likha Taqdeer ny Meri Zindagi Main

                                Ye Raton Ko Der Tk Neend Na Ana Kis Gunaah Ki Saza Hai

                                Comment

                                Working...
                                X