Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

khanay ki aadat

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • khanay ki aadat

    Salam murgi ke ando aur meri meri bakriyo

    is thread mein aap ko apnay khanay ki habit batani he...aap kum khatay hein, ziada khatay hein, kitna khatay hein, bohat kum khatay hein, bohat ziada khatay hein...kia ziada khana pasand kerte hein, aur kyoon ziada khana pasand kerte hein etc etc

    aur koi aisa waqeeya share karein jub aap ko khana khanay mein be-hud maza aaya ho :khi: Like choori ki murgi khai...bahir outing pe khud ja ke bana ke khaya...ya aap ko bohat ziada bhook lagi aur aap ko achanak koi favourite dish ki dawat mil gai ho :khi: etc.
    :thmbup:

  • #2
    Re: khanay ki aadat

    Originally posted by munda_sialkoty View Post

    kuch loog khaney k liya duniya main atey hain kuch jeeney k liya kahtey hainn..app kin main sey hainn:mm: ?

    Comment

    • #3
      Re: khanay ki aadat

      Originally posted by aquari View Post

      sawaal mein ne poocha he...aap jawaab dene ke baad he sawaal poochnay ka haq rakhti hein :tauba
      :thmbup:

      Comment

      • #4
        Re: khanay ki aadat

        Originally posted by munda_sialkoty View Post
        sawaal mein ne poocha he...aap jawaab dene ke baad he sawaal poochnay ka haq rakhti hein :tauba
        merey haqooq mujhey yaad na dilayeaa is waqtt..:eye:

        @topic
        honestly speaking khaney ki kafi shouqeen hoo or pakaney ki bhi..yahan baat horahi hia khaney ki kitni adat haii kunk ek practical life guzar rahi hoo tu apney app ko fit or fresh rakhney k liya sirf zaroorat k teht khati hoo bauht zayda nahi kabhiiii koi special occasion hoo tu phir bhi shouq poora krleti hoo pr us main bhi ahteyat hi krti hoon...bus meal proper hoti haii usualy meri routine main BF main 2slice leti ho lunch main salad ya slice ya fruit leti hoo or sham ko gher jatey hii tea k saath bhi kuch na kuch ammi bana kr rakhti haiin na bhi kuch hoo tu slice pr butter laga kr khaati hoon or raat ko dinner main bus 1/2rooti ya chawal hai tu bauht thorey sey chawal is k alwa aksar darmiyan main diet biscuit ya fruit khaa leti hoon....
        khaney k hawaley sey koi waqiyaa'aa...hmm :mm: jaisey hi yaad aya share karoongi :blush:

        Comment

        • #5
          Re: khanay ki aadat

          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          Salam murgi ke ando aur meri meri bakriyo

          is thread mein aap ko apnay khanay ki habit batani he...aap kum khatay hein, ziada khatay hein, kitna khatay hein, bohat kum khatay hein, bohat ziada khatay hein...kia ziada khana pasand kerte hein, aur kyoon ziada khana pasand kerte hein etc etc

          aur koi aisa waqeeya share karein jub aap ko khana khanay mein be-hud maza aaya ho :khi: Like choori ki murgi khai...bahir outing pe khud ja ke bana ke khaya...ya aap ko bohat ziada bhook lagi aur aap ko achanak koi favourite dish ki dawat mil gai ho :khi: etc.
          wa alikum aslam murgha sahib:khi:
          meri routine change hoti rehti hai:wk
          i mean
          jab khaati hoon to din main teen baar
          nahi khaati to do do din tak nahi khaati
          kam khaati hoon to ek time:wk
          ye main jaan boojh kr nahi krti khud ba khud changing aati rehti hai
          haan ek baar bohat bhook lagi thi
          to achanak biryaani pkany ka programe ban gya
          or ek dafa bohat bhook lagi thi
          to abu KFC lay aaye
          tab bohat maza aaya tha:lpop:
          ek baar apny father k saath long drive pr gaye to unon nay
          SFC ka burger khilaya
          bohat maza aaya:lpop:
          any thing else?
          Gham To Likha So Likha Taqdeer ny Meri Zindagi Main

          Ye Raton Ko Der Tk Neend Na Ana Kis Gunaah Ki Saza Hai

          Comment

          • #6
            Re: khanay ki aadat

            Yaar main hoon tu khanay ka shoqeen laikin mujh say kahya nahien jata jitni koshish kerta hooon itna hi kam khata hoon:blush: ...bas choti see tanki hai jaldi bhar jati hai:khi: ...waisay meri koee khas routine nahien hai khane ki bas jab jo samne aaya kha lia...waqfay waqfay say thora thora ker k khata rahta hoon:wk aik dafa ikatha nahien:na: kha sakta. ...

            Aik dafa jab ham Muree gay apne college k trip k saath tu ham 5 friends thay ... jab ham ko mal road per utara gya tu ham nay ooper jana shuroo ker diya kafi agay ja ker yaad aya k ham nay rotian nahien leee:tauba ....main aur mera aik friend wapis bhage aur baqi 3 agay chale gay ham nay tanoor say rotiyan leen aur wapis aaey tu wo oooooper Usmania k pass phonch chuke thay ... ab ham ne socha k aagay say ghooom ker aaney say yahan darmian say hi ooper chartay hain .... ab jab charna shurooo kia tu jab darmian main phonchay tu Half half:tauba ..(kamar tak) baraf main dhans chuke thay khair bari mushkilon say jab ooper phonchne k qareeb hooway tu mere haath say rotian chooot gaeee:tauba aur sari neechay aa gaien...phir ham ko wapis neechay utarna pera aur neechay se rotiyan lay ker seeday rastay say oooper phonche tu sara khana thanda ho chuka tha ... sath hi kuch girls college ki teachers aur kuch larkian baithi theen un say khana garam kerwaya gya ... aur jab kahan shuroo kia tu un larkiun nay ham say rotiyan mang leeen:tauba ...ab ham nay teen char rotian un ko saff saaf day daien aur ham logon ko miti wali rotion khani perien laikin wo bhi kam per gaeeen...phir dhhooond dhand k aik hotel talash kiya gya aur wahan say rotian hasil keen aur jab wapis aaey tu khana dobara thanda ho chuka tha...aur girls ja chuki theeenn....laikin mujhe wo khana hamaisha yaad rahe ga us din ham sab nay khilaf e mamoool kahya bhi bhot tha:khi:
            sigpic

            Comment

            • #7
              Re: khanay ki aadat

              yaar main to zinda hee hun khany k liy..................

              ager mujy khana time per mil jay to main dunia kia marikh fatah ker sakta hun...
              aur ager aisa ker loon to tujy main mareekh per chaor aonga...

              Comment

              • #8
                Re: khanay ki aadat

                Originally posted by aquari View Post
                merey haqooq mujhey yaad na dilayeaa is waqtt..:eye:

                @topic
                honestly speaking khaney ki kafi shouqeen hoo or pakaney ki bhi..yahan baat horahi hia khaney ki kitni adat haii kunk ek practical life guzar rahi hoo tu apney app ko fit or fresh rakhney k liya sirf zaroorat k teht khati hoo bauht zayda nahi kabhiiii koi special occasion hoo tu phir bhi shouq poora krleti hoo pr us main bhi ahteyat hi krti hoon...bus meal proper hoti haii usualy meri routine main BF main 2slice leti ho lunch main salad ya slice ya fruit leti hoo or sham ko gher jatey hii tea k saath bhi kuch na kuch ammi bana kr rakhti haiin na bhi kuch hoo tu slice pr butter laga kr khaati hoon or raat ko dinner main bus 1/2rooti ya chawal hai tu bauht thorey sey chawal is k alwa aksar darmiyan main diet biscuit ya fruit khaa leti hoon....
                khaney k hawaley sey koi waqiyaa'aa...hmm :mm: jaisey hi yaad aya share karoongi :blush:
                akser dekha gaya he ke jo loog kum khatay hein mootay hotay hein lekin jo loog ziada khatay hein wo meri tarah smart rehtay hein :kr:
                :thmbup:

                Comment

                • #9
                  Re: khanay ki aadat

                  Originally posted by lucky View Post
                  wa alikum aslam murgha sahib:khi:
                  meri routine change hoti rehti hai:wk
                  i mean
                  jab khaati hoon to din main teen baar
                  nahi khaati to do do din tak nahi khaati
                  kam khaati hoon to ek time:wk
                  ye main jaan boojh kr nahi krti khud ba khud changing aati rehti hai
                  haan ek baar bohat bhook lagi thi
                  to achanak biryaani pkany ka programe ban gya
                  or ek dafa bohat bhook lagi thi
                  to abu KFC lay aaye
                  tab bohat maza aaya tha:lpop:
                  ek baar apny father k saath long drive pr gaye to unon nay
                  SFC ka burger khilaya
                  bohat maza aaya:lpop:
                  any thing else?
                  tum to waqee bari luck ho :khi: aur 2, 2, din tak bhook hertaal kyoon...koi baat manwaani hoti he kia
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #10
                    Re: khanay ki aadat

                    Originally posted by sccorpion81 View Post
                    Yaar main hoon tu khanay ka shoqeen laikin mujh say kahya nahien jata jitni koshish kerta hooon itna hi kam khata hoon:blush: ...bas choti see tanki hai jaldi bhar jati hai:khi: ...waisay meri koee khas routine nahien hai khane ki bas jab jo samne aaya kha lia...waqfay waqfay say thora thora ker k khata rahta hoon:wk aik dafa ikatha nahien:na: kha sakta. ...

                    Aik dafa jab ham Muree gay apne college k trip k saath tu ham 5 friends thay ... jab ham ko mal road per utara gya tu ham nay ooper jana shuroo ker diya kafi agay ja ker yaad aya k ham nay rotian nahien leee:tauba ....main aur mera aik friend wapis bhage aur baqi 3 agay chale gay ham nay tanoor say rotiyan leen aur wapis aaey tu wo oooooper Usmania k pass phonch chuke thay ... ab ham ne socha k aagay say ghooom ker aaney say yahan darmian say hi ooper chartay hain .... ab jab charna shurooo kia tu jab darmian main phonchay tu Half half:tauba ..(kamar tak) baraf main dhans chuke thay khair bari mushkilon say jab ooper phonchne k qareeb hooway tu mere haath say rotian chooot gaeee:tauba aur sari neechay aa gaien...phir ham ko wapis neechay utarna pera aur neechay se rotiyan lay ker seeday rastay say oooper phonche tu sara khana thanda ho chuka tha ... sath hi kuch girls college ki teachers aur kuch larkian baithi theen un say khana garam kerwaya gya ... aur jab kahan shuroo kia tu un larkiun nay ham say rotiyan mang leeen:tauba ...ab ham nay teen char rotian un ko saff saaf day daien aur ham logon ko miti wali rotion khani perien laikin wo bhi kam per gaeeen...phir dhhooond dhand k aik hotel talash kiya gya aur wahan say rotian hasil keen aur jab wapis aaey tu khana dobara thanda ho chuka tha...aur girls ja chuki theeenn....laikin mujhe wo khana hamaisha yaad rahe ga us din ham sab nay khilaf e mamoool kahya bhi bhot tha:khi:
                    yaar tera kissa perh ke dil baag baag ho gaya...kia scene creat kerta he tu :khi:

                    waise teri sehat dekh ke lagta to aisa he hay ke tu chand aik chawal ke daanay kha ke guzara ker leta ho ga...lekin tu to puri puri rooti khanay ka risk le raha he :khi:
                    :thmbup:

                    Comment

                    • #11
                      Re: khanay ki aadat

                      Originally posted by Khalil View Post
                      yaar main to zinda hee hun khany k liy..................

                      ager mujy khana time per mil jay to main dunia kia marikh fatah ker sakta hun...
                      aur ager aisa ker loon to tujy main mareekh per chaor aonga...
                      Tera dukh sub se ziada bara he :comfort:
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #12
                        Re: khanay ki aadat

                        Originally posted by munda_sialkoty View Post
                        akser dekha gaya he ke jo loog kum khatay hein mootay hotay hein lekin jo loog ziada khatay hein wo meri tarah smart rehtay hein :kr:
                        ooaaa itny bary hoo kr jhoot bolty hoo:a stick:

                        Comment

                        • #13
                          Re: khanay ki aadat

                          Originally posted by jia View Post
                          ooaaa itny bary hoo kr jhoot bolty hoo:a stick:
                          kyoon jhoot sirf choota ho ke he boola jata he
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #14
                            Re: khanay ki aadat

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            kyoon jhoot sirf choota ho ke he boola jata he
                            nahi jhoot bolna achi bat nahi hay:na:
                            achy bachy or bary bary bachy jhoot nahi bolty:lpop:

                            Comment

                            • #15
                              Re: khanay ki aadat

                              Originally posted by jia View Post
                              nahi jhoot bolna achi bat nahi hay:na:
                              achy bachy or bary bary bachy jhoot nahi bolty:lpop:
                              phir to mein dermeyaana bucha hoon :blush:
                              :thmbup:

                              Comment

                              Working...
                              X