Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

*pocket money...............

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: *pocket money...............

    Originally posted by ummid View Post
    good... :thmbup: humari dosti baba se zyadah rahi hai.. aur paise khatam ho jayen tu baba se un ka wallet mang lete hai... aur wallet se jitni zarort utne paise le lete hain...:lpop:
    Aap bilkul sahi kerti hein...wallet jo itna acha doost he, to baba se khawa makhwa mein doosti kerne ka kia faida :lol :lol :lol
    :thmbup:

    Comment

    • #32
      Re: *pocket money...............

      Hmmm mujhe jo pocket mony milti theee ya tu cantin per kharch ho jati thee ya phir hamare ghar k qareeb aik Library hoowa kerti thee...whan say imran series aur Ishtiaq Ahmad k jasoosi novel milte thay rent per tu main sari pocket money un ko perhne per laga daita tha...
      sigpic

      Comment

      • #33
        Re: *pocket money...............

        Originally posted by sccorpion81 View Post

        yahi paisay tu ne apni sehat pe kharch kiye hotay to aaj tera yeh haal na hota :khi:
        :thmbup:

        Comment

        • #34
          Re: *pocket money...............

          Originally posted by sccorpion81 View Post
          Hmmm mujhe jo pocket mony milti theee ya tu cantin per kharch ho jati thee ya phir hamare ghar k qareeb aik Library hoowa kerti thee...whan say imran series aur Ishtiaq Ahmad k jasoosi novel milte thay rent per tu main sari pocket money un ko perhne per laga daita tha...
          ahan..
          jasoosi novels... awal tu hum ne novles bauaht hi kum perhe hain.... aur jasoosi novels...:tauba shuker woh tu kabhi perhe hi nahi.:na: ..banda pagal hi ho jaaye... ab hume pata chala aap ki sehat aisi kyun hai...:khi: yeh sub tajsoos ki wajah se howa hai...:D hai na???

          Comment

          • #35
            Re: *pocket money...............

            is ne to jasoos nawal perh perh ke apni sehat ko jasoosi pe laga diya tha...wo jasoosi kerne gai thi aur aaj tak wapis nahi aai :lol :lol
            :thmbup:

            Comment

            • #36
              Re: *pocket money...............

              Originally posted by ummid View Post
              ahan..
              jasoosi novels... awal tu hum ne novles bauaht hi kum perhe hain.... aur jasoosi novels...:tauba shuker woh tu kabhi perhe hi nahi.:na: ..banda pagal hi ho jaaye... ab hume pata chala aap ki sehat aisi kyun hai...:khi: yeh sub tajsoos ki wajah se howa hai...:D hai na???

              hahahahah...mujhe jasosi novel perhne ka bhot shoq tha chup chup ker perha kerta tha .... main nay apne Taya k ghar education hasil ki hai...aik din main bahir taris per baith ker apni book k andar aik novel perh raha tha k acha mere taya aaey aur unhon ne mujh say poocha kia ker rahe ho aur akele kiun baithe ho tu main nay kaha taya jee main apne test ki tayari ker raha hoon taya nay kaha achi baat hai perho shabash...aur wo jane lage k achanak wapis mure aur kaha k dikhaow kon sa test hai...aur jaisay hi meree book uthaee tu us main say Imran series nikli :khi: :khi: :khi: bas phir aage nahien btaooown ga:embarasse :embarasse k mere saath kia hooowa
              sigpic

              Comment

              • #37
                Re: *pocket money...............

                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                is ne to jasoos nawal perh perh ke apni sehat ko jasoosi pe laga diya tha...wo jasoosi kerne gai thi aur aaj tak wapis nahi aai :lol :lol

                oey main teri tarha nahien jis ko daikh ker log dar hi jaien .... ab daikh tujhe daikh ker pegham per logon nay aana hi chor diya hai
                sigpic

                Comment

                • #38
                  Re: *pocket money...............

                  Originally posted by sccorpion81 View Post
                  hahahahah...mujhe jasosi novel perhne ka bhot shoq tha chup chup ker perha kerta tha .... main nay apne Taya k ghar education hasil ki hai...aik din main bahir taris per baith ker apni book k andar aik novel perh raha tha k acha mere taya aaey aur unhon ne mujh say poocha kia ker rahe ho aur akele kiun baithe ho tu main nay kaha taya jee main apne test ki tayari ker raha hoon taya nay kaha achi baat hai perho shabash...aur wo jane lage k achanak wapis mure aur kaha k dikhaow kon sa test hai...aur jaisay hi meree book uthaee tu us main say Imran series nikli :khi: :khi: :khi: bas phir aage nahien btaooown ga:embarasse :embarasse k mere saath kia hooowa
                  ahan.. aage hum poochte bhi nahi...:khi:

                  Comment

                  • #39
                    Re: *pocket money...............

                    Originally posted by sccorpion81 View Post
                    oey main teri tarha nahien jis ko daikh ker log dar hi jaien .... ab daikh tujhe daikh ker pegham per logon nay aana hi chor diya hai
                    jo nahi aa rahay

                    wo ehtaramun nahi aa rahay :lpop:
                    :thmbup:

                    Comment

                    • #40
                      Re: *pocket money...............

                      Originally posted by sccorpion81 View Post
                      hahahahah...mujhe jasosi novel perhne ka bhot shoq tha chup chup ker perha kerta tha .... main nay apne Taya k ghar education hasil ki hai...aik din main bahir taris per baith ker apni book k andar aik novel perh raha tha k acha mere taya aaey aur unhon ne mujh say poocha kia ker rahe ho aur akele kiun baithe ho tu main nay kaha taya jee main apne test ki tayari ker raha hoon taya nay kaha achi baat hai perho shabash...aur wo jane lage k achanak wapis mure aur kaha k dikhaow kon sa test hai...aur jaisay hi meree book uthaee tu us main say Imran series nikli :khi: :khi: :khi: bas phir aage nahien btaooown ga:embarasse :embarasse k mere saath kia hooowa
                      :kr: :kr: :kr: mujay tum pe bohat pyaar aa raha he I LOVE YOU SO MUCH :kr: :kr: :kr: aagay ke scenes bohat mazay ke hoon ge, kaash tu wo bhi sunata
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #41
                        Re: *pocket money...............

                        Originally posted by munda_sialkoty View Post
                        :kr: :kr: :kr: mujay tum pe bohat pyaar aa raha he I LOVE YOU SO MUCH :kr: :kr: :kr: aagay ke scenes bohat mazay ke hoon ge, kaash tu wo bhi sunata
                        :na:
                        sigpic

                        Comment

                        • #42
                          Re: *pocket money...............

                          Originally posted by ummid View Post
                          Asalamaalaikum...

                          Ummid hai aap sub khairyat se honge.... hmmm.. hum jub chote hote hain tub hume pocket money milti hai... hai na? :blush: tu aap yeh bataiye ke aap apni pocket money kaise spend karte the ... ya karte hain:khi: ... Lolz... pocket money ka hi batana hai .. apni salary ki kahani nahi sunnani:na: .. sirf pocket money jo aap ko apne maa baba se milti thi ya ab bhi milti hai... Ok...
                          paihle hum batate hain... hume school time nana jaan pocket money dete the:rose ... jo 60 rupees hoti thi. .. hume rango se ishq tha un dinu.. hum colors lete the.. aur games bhi... so akser ball laani hoti.. ya shuttlecock wagairah..aur lastly story book..magical aur fairy tails:khi: ... humari pocket money zyadah tar inhi kaamo mein kharach ho jaati:tauba ... aur with in few days nanu ki di hoi pocket ka kahani khatam paisa hazam ho jata:donno: .. aur ager koi new color box shop mein ata ya koi story book tu hume bechaini hone lagti .. phir nanu ki goad mein sir rakha aur woh khud hi sumjh jaate aur pocket money dobarah mil jaati:D ... khair... humara kharacha bus new color box.. paint brushes, drawing books, story books, aur play tools .. aur last but not least baraf ke gole khane tak hota. .. inhi mein saari pocket money khatam ho jaati..:hb: balke jo double se milti woh bhi ... aur bus.. aaj bauaht pocket money milti hai.. infact kabhi kabhi tu over ho jaati hai tu amma ke pass rakhwa dete hain..lolz.. per nanu ke diye who 60 rupees mean lot to me.. hum 10th std tak nanu hi pocket money dete...aur itne hi paise milte the... bus... ab aap log bataiye jaldi jaldi..:bday7:.

                          Khush rahiye... :rose

                          ah han ... nice thread chanda ... amza aaya parh ker aur kuch yadein bhi ........

                          school college tak to maam s epocket money milti thi jo pata nahi kaha jani thi ......... i was very bad at savings :khi: ....... bhaion ek sath mastion mei pata nahi chalta tha kab hath mei paisey ayeh aur kaha gayeh :D
                          aur college khatam ekrtey hi job start ker di .. tab pocket money milney ke bajayeh dena shuroo ker di ..... mere bhai mum dad and me deeno ko emotional blackmail ker kai paisey nikalwaney mei mahir they ...... abhi itni age nahi thi ke pocket lene ki bajayeh dene ki aadat parh gayi abhi bhi ghar mei bari mei hi hoon to is liyeh choti sis ko koi tention nahi hoti .......... wo bhi dono jago se paisey nikalwaney mei mahir ho gayi hai .......... jahan mama papa ke aagey daal na galey ousey pata hota hai saima hai na :lol
                          sigpic

                          Comment

                          • #43
                            Re: *pocket money...............

                            Originally posted by 'Sweet & Sour' View Post

                            ahan... goodi good... :thmbup: aap ki sis lucky hai us hisaab se ke usey aap jaise bari beahn mili....:khi:
                            khush rahiye de... love you...:rose

                            Comment

                            • #44
                              Re: *pocket money...............

                              bohat choti si thi to pocket money milne lagi or mere dad bohat unique tarike se mujhe pocket money dia karte the pakistan currensy ka har note mujhe dia karte the to mere pas hamehsa khase pese raha karte the jo fazool kharch se chacha or bhai ko udhar bhi dia karti thi:khi: or ab dad ke chale jane ke bad zaher he pocket money bhi band:)

                              Comment

                              • #45
                                Re: *pocket money...............

                                bachapan mein achi khasi pocket money Moor Jan and Baba jan sy milti thi..... magar mein buht shareef bachoo ki tarha koi be fazool kharchi nahi karti ti..... sab paisy Bro ki bank account mein deposit karti ti.... :khi:jab paisoo ki zarorat hojati...tu har aik sy mangti...or ya keh kar jab paisy bank sy nikalooo tu qarz choka dogi...... magar ajj tak kisy ka be qarz nahi chokiaa..... :shh:

                                u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                                :pr:

                                Comment

                                Working...
                                X