Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

*pocket money...............

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: *pocket money...............

    Originally posted by Zindgi View Post
    Mujy nahi milti thee pocket mony:(
    Kiun k mera pocket nai tha:(

    khair mujy buhat ziyada milti thee...aur mera shoak bachpan sy hee books kee taraf tha aur main books khareed laiti thee....not fairy tale.......
    Historical and Heros...and i like tragic stories....
    lolz..
    good... books perhte the aap??? aise hi intrest ki wajah se ya kabhi kisi character ne aap ko inspired bhi kiya??? aur hostorical heros... hmmm... kaun pasnd tha aap ko??? bachapn mein perhi hoi koi aisi book yaad hai jis ke kirdar aap ke zaihan mein aaj bhi taza hai???:thmbup:

    Comment

    • #17
      Re: *pocket money...............

      Originally posted by desiprincess View Post
      hamein milti thi hum nan samosa aur chana chat he khate the....aur to kuch yaad nahi ke hum aur kia buy karte the...lekin hum gandi cheezein bilkul buy nahi karte the...haan yeh he buy karte the...abhi bhi hum high school jate hein...jo money milti hai pizza...fries...coke..aise cheezein...haan aur kuch khas nahi
      samosa aur chana chaat... ..
      aur gandi cheezein??? jaise??? :mm:
      good... aap bhi khane peene ke shooqeen maloom hote hain...:khi:
      khush rahiye..:rose

      Comment

      • #18
        Re: *pocket money...............

        Originally posted by sarfraz_qamar View Post
        Bachpan main hamain Games khalnayy kaa bohht shooq thaa lihazaa jitnee bhee pocket money miltee uss main see beshtar hisssaa game khanay main kharach hoo jataa aooor joo baqee bachhtaa uss see pakooray samoosay yanee chatkharay daar cheezain khattay thayyyy
        games... cool... kis tarah ke games khailte the aap??

        Comment

        • #19
          Re: *pocket money...............

          Originally posted by D@y W@lk3r View Post
          hummmmmmm hamay to koi bhi poket money nahi deta...balkay deni parti hain..
          :tasali:
          abhi nahi millti na bhai:tauba .... paihle ki baat bataiye.. aap kabhi chote tu honge na... tub tu aap ko milti hogi na.:khi:.. us waqt ki baat ker rahe hain...:comfort:

          Comment

          • #20
            Re: *pocket money...............

            Originally posted by ummid View Post
            Asalamaalaikum...

            Ummid hai aap sub khairyat se honge.... hmmm.. hum jub chote hote hain tub hume pocket money milti hai... hai na? :blush: tu aap yeh bataiye ke aap apni pocket money kaise spend karte the ... ya karte hain:khi: ... Lolz... pocket money ka hi batana hai .. apni salary ki kahani nahi sunnani:na: .. sirf pocket money jo aap ko apne maa baba se milti thi ya ab bhi milti hai... Ok...
            paihle hum batate hain... hume school time nana jaan pocket money dete the:rose ... jo 60 rupees hoti thi. .. hume rango se ishq tha un dinu.. hum colors lete the.. aur games bhi... so akser ball laani hoti.. ya shuttlecock wagairah..aur lastly story book..magical aur fairy tails:khi: ... humari pocket money zyadah tar inhi kaamo mein kharach ho jaati:tauba ... aur with in few days nanu ki di hoi pocket ka kahani khatam paisa hazam ho jata:donno: .. aur ager koi new color box shop mein ata ya koi story book tu hume bechaini hone lagti .. phir nanu ki goad mein sir rakha aur woh khud hi sumjh jaate aur pocket money dobarah mil jaati:D ... khair... humara kharacha bus new color box.. paint brushes, drawing books, story books, aur play tools .. aur last but not least baraf ke gole khane tak hota. .. inhi mein saari pocket money khatam ho jaati..:hb: balke jo double se milti woh bhi ... aur bus.. aaj bauaht pocket money milti hai.. infact kabhi kabhi tu over ho jaati hai tu amma ke pass rakhwa dete hain..lolz.. per nanu ke diye who 60 rupees mean lot to me.. hum 10th std tak nanu hi pocket money dete...aur itne hi paise milte the... bus... ab aap log bataiye jaldi jaldi..:bday7:.

            Khush rahiye... :rose
            60 Rupay aap ko maheenay ke miltay thay ya aik din ke?

            aur aap ko ub kitni pocket money milti he...sahi sahi jawaab dijiye ga
            :thmbup:

            Comment

            • #21
              Re: *pocket money...............

              Originally posted by rena_satyal View Post
              pocket money.....................sari ki saree apmaeen ik dost ko dayti thi qayoon ky wo apnee pocket money mujay deteen thiy......
              aap ke is serious reply pe mujay bohat hassi aa rahi he
              :thmbup:

              Comment

              • #22
                Re: *pocket money...............

                Originally posted by shahbaznk View Post
                Mai tou aaram sey canteeen per kahrch kar daitaa thaaaa jaaa k.
                very good :tasali:
                :thmbup:

                Comment

                • #23
                  Re: *pocket money...............

                  Originally posted by yellowsky View Post
                  walaikum salam ummid!

                  jab choti thi to mujhey piano leyney barha shuaq tha :khi: to kuch hissa us key liye jama kerti thi aur baki khaaney peeney mey :D .... phir aik zamaney mey stickers collect kerney ka shuaq hua to saari pocket money sticker collection mey chali jaati...............jab thorey barhey huye to jewelry jama kerney ka shauq hua :hehe:

                  ab kafi barhey ho gaye hein :D pocket money hi nahi milti hai :khi:
                  to aap ne piano khareeda? ager khareeda to kitnay mein khareeda?

                  aur ub aap kitnay baray ho gaye hein :mm:
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #24
                    Re: *pocket money...............

                    Originally posted by BUS U HE View Post
                    Main Apni Pocket Money Ko Miltay Saath Hee Hatam Ker Deta Tha:lpop: :lpop: BOHUT FAZOOL KHARACH THA MAY:embarasse
                    yaani tu money ka dushman tha :khi:
                    :thmbup:

                    Comment

                    • #25
                      Re: *pocket money...............

                      Originally posted by Zindgi View Post
                      Mujy nahi milti thee pocket mony:(
                      Kiun k mera pocket nai tha:(

                      khair mujy buhat ziyada milti thee...aur mera shoak bachpan sy hee books kee taraf tha aur main books khareed laiti thee....not fairy tale.......
                      Historical and Heros...and i like tragic stories....
                      very good...yaani aap achi buchi thein :thmbup:
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #26
                        Re: *pocket money...............

                        Originally posted by munda_sialkoty View Post
                        60 Rupay aap ko maheenay ke miltay thay ya aik din ke?

                        aur aap ko ub kitni pocket money milti he...sahi sahi jawaab dijiye ga
                        60 rupees per month... baqool nanu aik retire head master is se zyadah afford bhi nahi ker sakta... lolz...
                        aur ab.. ab tu bauaht milti hai:alhamd: ... baba ka sara pocket hi humara.. aur bhaiyon ka bhi.jitni marzi le lo.... aur jo woh khud se dete hain.. woh bhi :masha kaafi hoti hai...:)

                        Comment

                        • #27
                          Re: *pocket money...............

                          Originally posted by desiprincess View Post
                          hamein milti thi hum nan samosa aur chana chat he khate the....aur to kuch yaad nahi ke hum aur kia buy karte the...lekin hum gandi cheezein bilkul buy nahi karte the...haan yeh he buy karte the...abhi bhi hum high school jate hein...jo money milti hai pizza...fries...coke..aise cheezein...haan aur kuch khas nahi
                          smoosa chat chana, pizza, coke yeh achi cheezein hein kia :D

                          waise not bad, buchay aisi cheezein kha ke he khush hotay hein...good to know abt u
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #28
                            Re: *pocket money...............

                            Originally posted by sarfraz_qamar View Post
                            Bachpan main hamain Games khalnayy kaa bohht shooq thaa lihazaa jitnee bhee pocket money miltee uss main see beshtar hisssaa game khanay main kharach hoo jataa aooor joo baqee bachhtaa uss see pakooray samoosay yanee chatkharay daar cheezain khattay thayyyy
                            tu games kheelta tha ya games khata tha :kr:
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #29
                              Re: *pocket money...............

                              Originally posted by ummid View Post
                              60 rupees per month... baqool nanu aik retire head master is se zyadah afford bhi nahi ker sakta... lolz...
                              aur ab.. ab tu bauaht milti hai:alhamd: ... baba ka sara pocket hi humara.. aur bhaiyon ka bhi.jitni marzi le lo.... aur jo woh khud se dete hain.. woh bhi :masha kaafi hoti hai...:)
                              60 rupees P/M se mujay bhi dhundla dhundla yaad aa raha he ke mujay bhi 1, 2 month 60 RPM milay thay...lekin yeh jub bohat choota tha tub...kyon ke mujay currency collect kerne ka shook tha aur mere abu mujay aik maheenay ka 60 rs. dete thay yaani 2 rupees per day...lekin wo to mein apnay paas save rakhta tha aur saath mein ammi se paise leta rehta tha :bwink:

                              lekin us ke baad mujay pocket money bohat achi mili, mujay cricket kheelnay ka bohat shook tha aur meri team mein se sirf mere paas he bat hotay thay aur mein ne ghar mein 3, 4 bat aur 5-10 balls khareed ke rakhay hotay thay :D is ke saath aik buchon ka mag tha...Taleem-o-tarbiyat wo khareed leta tha, story books kaafi khareedta tha...aur bari cheez ke liye mein ne kabi paisay ikathay nahi kiye, abu UK mein hotay thay unhein bata deta tha, aur ager un ka koi doost pakistan aata to wo meri demand wali cheez mujay mil jati...

                              lekin jub high school aur phir college gaye to tub achi khasi milti thi, 2500 P/M jis mein bike ka petrol aur meri tuition bhi shamil hoti thi, lekin mein is ke bawajood apni mom se paisay einth leta tha
                              :thmbup:

                              Comment

                              • #30

                                good... :thmbup: humari dosti baba se zyadah rahi hai.. aur paise khatam ho jayen tu baba se un ka wallet mang lete hai... aur wallet se jitni zarort utne paise le lete hain...:lpop:
                                Last edited by ummid; 2 June 2007, 07:59.

                                Comment

                                Working...
                                X