Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

*chalte chalte...

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • *chalte chalte...

    Asalamaalaikum...

    humari life mein akser hi kuch aise logon se humari mulaqat hoti hai jo bauaht unconsciously hi apna naqsh humare zaihan per chor jaate hain... :donno: aise log jin se dobarah milne ke chances tu kum hi hote hain per woh aap ko humesha yaad reh jaate hain.. jaise aap safer mein ho aur koi intresting character mil jaye.. ya funny sa hi.. jis ki koi baat ya aadat aap ko yaad reh jaye... aisa hota hai na akser?? khair aap ne yahan unhi logon ka ziker karna hai... jo aap ko apni life journy mein yun hi mil gaye.. aur yaad bhi reh gaye.... un ki koi khas baat... koi khas andaz.. ya koi aadat... ya un ka koi humor.. ya koi aisi cheez jo aap ke liye naseehat ho...whatever...:thmbup:

    chaliye hum start karte hain..Ramazan ke dinu mein aik baar late hogaye the.. roza kholne ka waqt hogaya tha... aur still hum bus mein hi the... us waqt humare pass paani bhi nahi tha.. sirf khajor thi... trafic bauaht tha... us waqt azan hoi.. khajor tu kha liya.. per pyaas bhi bauaht lagi thi... shaid wahan lage thaile waalo mein se kisi ne daikh liya tha... pata nahi kaun Allah ka banda tha... woh sarak cross ker ke paani le aya.. hum ne paani piya... aur shaid thanxx bhi na kaih paaye bus satrt hogai... woh kaun tha.. pata nahi.. per jub bhi ramzaan aata hai... woh banda dhyaan zaror aata hai aur dil se duaa niklati hai.. coz us waqt waqai paani ki zarorat thi...:) Allah usey behtareen ajer de (Aameen.. sum aameen)

    Ab aap log bataiye....:thmbup:
    khush rahiye....:rose

  • #2
    Re: *chalte chalte...

    jesay k main?

    I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani


    Comment


    • #3
      Re: *chalte chalte...

      nice thread:thmbup:


      well mujhy aik dfaaa ka nahi bhoolta yaad to waisy or bhi bohat hain hain is baat ko main kabhi nahi bhool pai yaan bhool paoon ge
      aik df ahum log apni nani k saaath kisi khatk wgher pr gay thay whaan pr kafi rush tha kafi log ay hoay thay jin k ghr pr khatk tha woh kafi pohanchy hoay thay isliye rush ziyada tha
      mujhy whaan pr aik bohat hi khobsoorat lrki dekhai de
      app log yaqeen nahi karooo ge woh lrki itni khobsoorat the
      us ki ankhain like sea water chamak rahe theen us ka face aik dm clear tha koi dagh nahi tha koi kuch nahi tha or us ki personallity bhi bohat ziyada tha thi lakin mainy note kai k yeh to kuch keh hi nahi rahi
      mujhy baad main pta chall k yeh lrki na to kuch bool skti hay or nahi kuch sun skti hay
      mujhy itna afsoos hoa tha k bs pochain kuch mat
      khair aisy log bhi hoty hain duniya main
      jo Allah Talaa krty hain achy k liye hi krty hain

      Comment


      • #4
        Re: *chalte chalte...

        Originally posted by champion_pakistani View Post
        jesay k main?
        aasay haiy app

        :donno:BYE :donno:

        Comment


        • #5
          Re: *chalte chalte...

          Mujhay Tu Bus Yehi Kehna Hai Kkkk Chaltay Chaltay Meray Yeh Geet Yaad Rakhna Kabhi Alvida Na Kehna..kabhi Alvida Na Kehna:)

          Comment


          • #6
            Re: *chalte chalte...

            Originally posted by jia View Post
            nice thread:thmbup:


            well mujhy aik dfaaa ka nahi bhoolta yaad to waisy or bhi bohat hain hain is baat ko main kabhi nahi bhool pai yaan bhool paoon ge
            aik df ahum log apni nani k saaath kisi khatk wgher pr gay thay whaan pr kafi rush tha kafi log ay hoay thay jin k ghr pr khatk tha woh kafi pohanchy hoay thay isliye rush ziyada tha
            mujhy whaan pr aik bohat hi khobsoorat lrki dekhai de
            app log yaqeen nahi karooo ge woh lrki itni khobsoorat the
            us ki ankhain like sea water chamak rahe theen us ka face aik dm clear tha koi dagh nahi tha koi kuch nahi tha or us ki personallity bhi bohat ziyada tha thi lakin mainy note kai k yeh to kuch keh hi nahi rahi
            mujhy baad main pta chall k yeh lrki na to kuch bool skti hay or nahi kuch sun skti hay
            mujhy itna afsoos hoa tha k bs pochain kuch mat
            khair aisy log bhi hoty hain duniya main
            jo Allah Talaa krty hain achy k liye hi krty hain


            oh Allah Reham kare..(Aameen)... aur us klarki ke huq mein behter kare...(aameen)..
            thanxx jia... khush rahiye...:rose

            Comment


            • #7
              Re: *chalte chalte...

              Originally posted by BUS U HE View Post
              Mujhay Tu Bus Yehi Kehna Hai Kkkk Chaltay Chaltay Meray Yeh Geet Yaad Rakhna Kabhi Alvida Na Kehna..kabhi Alvida Na Kehna:)
              acha par abi mujay jana hay dear :wk

              :donno:BYE :donno:

              Comment


              • #8
                Re: *chalte chalte...

                Originally posted by alveena View Post
                acha par abi mujay jana hay dear :wk
                acha app ko eejazat hai!:phool:

                I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani


                Comment


                • #9
                  Re: *chalte chalte...

                  han kabhi mil jate hen ese log jo hamesha yad rehte hen chahe ham un ko jante bhi na hon ya zindagi me kabhi dobara na dekhen lekin un ka naksh hamesha yad rehta he

                  Comment


                  • #10
                    Re: *chalte chalte...

                    i have met an angel.......................................u cant belive it...meri mulakat aik farishta sy hui thee. its amazing..........main apni search k liy gojar khan k elaka main pahari silsila hay jisi wohan kee zuban main (pabbi)kehty hain ..to wohan k logon kee nafsiyat per search ker rahi thee wo loag etny masoom they k jaisy farishty...really amazing and beautifull...

                    Comment


                    • #11
                      Re: *chalte chalte...

                      Originally posted by hamzad View Post
                      han kabhi mil jate hen ese log jo hamesha yad rehte hen chahe ham un ko jante bhi na hon ya zindagi me kabhi dobara na dekhen lekin un ka naksh hamesha yad rehta he
                      wiasy ap ko koi mila?

                      Comment


                      • #12
                        Re: *chalte chalte...

                        Originally posted by hamzad View Post
                        han kabhi mil jate hen ese log jo hamesha yad rehte hen chahe ham un ko jante bhi na hon ya zindagi me kabhi dobara na dekhen lekin un ka naksh hamesha yad rehta he
                        yups... :thmbup: kya aap hum sub se aise kisi shakhs ak ziker kareinge jo aap ko yaad rah gaye...:rose

                        Comment


                        • #13
                          Re: *chalte chalte...

                          Originally posted by Zindgi View Post
                          i have met an angel.......................................u cant belive it...meri mulakat aik farishta sy hui thee. its amazing..........main apni search k liy gojar khan k elaka main pahari silsila hay jisi wohan kee zuban main (pabbi)kehty hain ..to wohan k logon kee nafsiyat per search ker rahi thee wo loag etny masoom they k jaisy farishty...really amazing and beautifull...
                          :thmbup: hote hain kuch log itne masoom... Allah un ki masoomiyat ko un ke huq mein behter kare.. aur un logon ko sada khush rakhe (Aameen)..

                          Comment


                          • #14
                            Re: *chalte chalte...

                            waaqiaa tho bohoth lamba hai,laikin phhir bhi short cut may bata deta hun,1994 ki baath hai, aruba k sheher may hum theen chaar dost raath ko ghoom phhir rahai thhey k main wahan apney doston sey bhichhard gaya aur mujeh ruston ka ilam nahi thah,doston ko dhoondthey dhoondthey main jungle ki taraf nikle gaya,wahan achanuk aik lardki ney merey kundhey pe haath rakkha tho meri jaan sey jaan nikle gai,aur lardki bilkul sufaid libaas may mulboos thih,jaise eesaai lardkian shaadi key waqth pehnthi hain,na woh kuchh keh rahi thih aur na main kuchh keh raha thah aur woh mujeh jungle sey nikaal kar aabaadi ki taraf lai jaati gai,main ney jaisey he aabaadi daikhhi meri jaan may jaan aagai,tub uss ney haath k ishaarey sey mujeh jaaney ko kaha,main taiz taiz qadam bardhata hua aagey gaya,jaisey he main ney apney doston ki aawaazen sunin,main abhi aawaazon ki taraf abhi qadam bardha he raha thah k gali ki nukard pe uss lardki ney phhir achanuk merey kundhey pe haath rakkha aur usi waqth main ney apney doston ko apni jaanib aatey daikhha,main ney yak dum jo peechhey daikhha woh lardki mujeh haath k ishaarey sey alwidaa kar rahi thih,laikin main kahan peechheh murdney wala thah,main ney jub apney doston ko yeh roodaad sunaai tho unhon ney kaha k chalo miltey hai uss sey laikin main ney sirf isliye inkaar kia k woh mujeh insaan nahi lagi,aur iss k ilaawah uss k achanuk jungle may 2 murtaba namoodar honey ney waaqai mujeh bhi khofzadah kar dia thah,merey woh dost aaj tuk mera mazaq urdatey hain,laikin jub main kabhi tanhaai main baithh kar yeh yaad kartha hun tho bohoth ajeeb aur naaqaabl-i-faramosh lagta hai.

                            Comment


                            • #15
                              Re: *chalte chalte...

                              interesting topic :thumbup:

                              Meri zindagi mein aisay bohat se waqeyaat hein, jub loog milay un se achi doosti hui...safar mein akser meri kisi na kisi se doosti ho jati he...mere aik doost jin ka naam Mujtaba he...un se doosti bhi safar mein hui thi. Safar mein doosti walay waqeeat to bohat se hein lekin ub aik different kism ka waqeya share karon ga.

                              3 saal pehlay mein apnay cousin ke saath train mein safar ker raha tha, hamein gujrat se hyderabad jana tha...rastay mein aik sahib aaye aur hamaray saath wali seat pe beth gaye...wo medical doctor tha aur hyderabad mein he kahin us ki duty thi...shuru mein to kuch achi baatein huein, lekin baad mein mujay laga ke yeh saath mein Jaali-Peer bhi he...wo apni sunanay laga lekin mein bore ho gaya, mera cousin usay bohat interest se sunta raha aur us se behas kerta raha...lekin us ne to hud ker di, mere cousin ko kehnay laga ke ager tum mujay kaho to mein falan cheez gaib ker sakta hoon, falaan kaam yahan bethay bethay ker sakta hoon aur pata nahi kia kia, aur wo bhi us ki baaton mein aa gaya. Is dooran mein seat pe late ke koi MAG perhnay laga...saath mein mujay us ki baaton se sakht kooft honay lagi...lekin wo itna pur-aitmaad tha ke samajnay laga ke hum is ke chakaron mein aa gaye hein...mein ne MAG phainka, aur usay ke haath joor ke usay kaha, bhai miyaan ub utho is seat se aur kahin aur chalay jao aur yeh dramay baazi bund karo...wo mere cousin ko kehnay laga ke tumhara doost nadaan he...mein ne kaha yaar tu jaye ga ya mein tujay baijon...chal baag yahan se...wo bhi garam ho gaya aur mein to pehlay se he tha, wahan pe moojood loog hamari taraf matwaja huay aur doctor miyan ne apna samaan uthaya aur kisi aur seat pe chala gaya...2 hrs. guzar gaye....phir aik station pe gaari rukki to wo bahir se meri khirki pe aaya aur kehnay laga ke bhai sahib ager ghusa thunda hua he to booliye aap ke liye kuch khanay ko, kuch peenay ko laaon...lolz...i was surprised from his statement...us ki itni bisti hui thi loogon ke samnay, mein ne to usay fraudiya aur jaali-peer tak kaha tha...lekin wo phir bhi...khair mein suddenly cool down ho gaya...mein ne kaha theek he jo dil he le aao, lekin paisay mein doon ga :bwink: phir wo bahir se khana laya, aur within 5 min hum loog aapis mein gupein maar rahay thay aur ounchi aawaz mein huns rahay thay, aur hamaray aas paas walay loog hamein heerangi se deekh rahay thay aur sooch rahay thay ke yeh wohi hein jo 2 hrs. pehlay laray thay :hehe:
                              :thmbup:

                              Comment

                              Working...
                              X