Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kia Waqt Apne aap ko Dohrata hai????

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Kia Waqt Apne aap ko Dohrata hai????

    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
    kia maiN itna zaheen hoon kay aap ko saray pg memberz ki madad leni parti
    :na: jhot nahi boltay buri baat hoti hay.or rahi baat aap kizahnat ki to janab jub baqi mem aap kay itny bongay jawab sunain gay to khud hi aap ko achi trhan samjha dain gay aqalmand insan 1 admi say hi sekh layta hay per aap jaysay ko samjhanay kay leay bohat saray bhi kum hain:zuban: :wk

    Comment


    • #32
      Re: Kia Waqt Apne aap ko Dohrata hai????

      ji waqat apnay aap ko duhrata hai lekan loog or maqaam vohi nahi hotay .....
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • #33
        Re: Kia Waqt Apne aap ko Dohrata hai????

        hmmmm maximam logon ki yehi raey hai k tiem repeats by its self
        sigpic

        Comment


        • #34
          Re: Kia Waqt Apne aap ko Dohrata hai????

          janab waqt apney aap ko nahi bulkeh aap ko baaqaaidah dohraata hai aur agar aap bach gae th aap key bachchon ko zaroor dohraaega,aur issey kehtey hain,makafaat-i-amal.
          Last edited by Mujahid Khan; 20 May 2007, 17:46.

          Comment


          • #35
            Re: Kia Waqt Apne aap ko Dohrata hai????

            Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
            w/salam,

            suna to hai kay waqt apnay aap ko dohrata hai, par mujhay to kabhi kabhar aisa lagta hai kay yeh manzar maiN pehlay bhi kaheen daikh chuka hoon, matlab kabhi kabhar mujhay yooN mehsoos honay lagta hai kay is waqt jo manzar meri aankhoN kay samnay hai yeh is say pehlay main wazeh tour par dekh chuka hoon par jab yaad karnay ki koshish karta hoon to foran he bhool jata hoon aur aisa lagta hai kay aisa kuch nahi tha, par aisa achanak hota hai aur un lamhat main bilkul yaqeen hota hai kay yeh manzar main pehlay daikh chuka hoon, par jab yaad karnay ki koshish karta hoon to sab bhool jata hoon :donno:
            Finding truth - Finding love
            These diamonds sparkle from lights above

            Lorraine Venner

            Comment


            • #36
              Re: Kia Waqt Apne aap ko Dohrata hai????

              yes waqt apne ap ko dohrata he

              Comment


              • #37
                Re: Kia Waqt Apne aap ko Dohrata hai????

                Nahien tum tu choooiya banane wali ho....:khi:
                sigpic

                Comment


                • #38
                  Re: Kia Waqt Apne aap ko Dohrata hai????

                  Haan kabhi kabhi aisa hota hai k waqt apne aap ko dohrata hai...halat o waqiat wo hi hote hain bas nam ya jagha ka farq hota hai..aur kabhi kabhi tu aisa bhihotaahi k naam aur jagha bhi wohi hoti hain

                  Comment


                  • #39
                    Re: Kia Waqt Apne aap ko Dohrata hai????

                    Originally posted by sccorpion81 View Post
                    Nahien tum tu choooiya banane wali ho....:khi:
                    akhar kaar maira khwab poora ho hee gaya
                    Finding truth - Finding love
                    These diamonds sparkle from lights above

                    Lorraine Venner

                    Comment


                    • #40
                      Re: Kia Waqt Apne aap ko Dohrata hai????

                      Originally posted by shahbaznk View Post
                      Dohrata hai jiii. mery saaaaaath tou har baar aisaaa hii hota hai, Last year mai nai aik larkii ko apnay dil ka haaaaal btaya tou usss nai daaant dia aur sorry kar dia, mai nai phr kuch din pehlay try kii tou wohiiiiiii hua jo aik saaaaaaaal pehlay hua thaaaa, its mean waqat apnay aaap ko dohrata hai,
                      :kr: :kr: :kr: is baar tai lagaye bagair try kerna...i am sure is baar waqt apnay aap ko nahi dohraye ga
                      :thmbup:

                      Comment


                      • #41
                        Re: Kia Waqt Apne aap ko Dohrata hai????

                        Originally posted by chalakie View Post
                        akhar kaar maira khwab poora ho hee gaya
                        yani k tum khwab main bhi chooohyia banti ho...:khi:
                        sigpic

                        Comment


                        • #42
                          Re: Kia Waqt Apne aap ko Dohrata hai????

                          Originally posted by sccorpion81 View Post
                          yani k tum khwab main bhi chooohyia banti ho...:khi:
                          nahi maindak

                          apko kyun bataaon main:lpop: ...ainwee
                          Finding truth - Finding love
                          These diamonds sparkle from lights above

                          Lorraine Venner

                          Comment


                          • #43
                            Re: Kia Waqt Apne aap ko Dohrata hai????

                            Originally posted by sccorpion81 View Post
                            Main aisa lagne ki baat nahien ker raha .... main tu yeh pooch raha hoon k kia aisa haqeeqat main bhi hota hai...main aap ko aik kahani sunata hooon phir shayad aap meri baat ko sahi samjh pain....aik Larka jis ki age around 20 Years aik train main safar ker raha tha train main us k saath aik family bhi aa gaiee jis main aik 5 ya 6 saal ki bachi bhi thee aik station per aa ker train rukti hai aur wo bachi kuch khane ki zid kerti hai aur us ki maan us ko dant daiti hai...laikin wo bachi itni cute hai k wo larka neeche utarta hai aur us k liey khane k liey lay aata hai aur is tarha wo bachi us ki god main aa jati hai aur us bachi ki us say dosti ho jati hai...aur hab wo apne station per utarte hain tu wahan say wo ilahda ho jate hain laikin jab wo apni manzil per pohnchta hai tu kia daikhta hai k wohi family us k perosi hote hain aur wahan new comer hain...so us bachi ki us k saath dosti ho jati hai aur taqreeban ziyada time us k saath bitati hai...waqt guzarta rahta hai aur wo bachi taizi say bari hoti ja rahi hai..aur us ki lagawat aur tualuqat us admi k saath ab bhi waise hi hai jaise k wo aik 6 saal ki bachi wo usay rozana college laine jata tha us k saath batain kerna wo us k liey kahan pakati aur like a brother and sister wo inter mediat pass ker laiti hai. ...ab us k ghar walon ko us ki shadi ki fikar hoti hai...un ki aik rishta milta hai tu wo us say jab poochte hain tu wo aik dhamaka kerti hai k wo us admi say shadi kere gee jis k saath wo hamesha say rahti aaee hai .... us k ghar wale nahien mante aur wo admi bhi k kaise wo us k saath shadi ker lay k us nay us ko khud pala hai .... aur aakhir kar wo larki khudkashi ker laiti hai....

                            phir wo admi wo shar chor daita hai .... aur aik dafa phir aik arse k baad us ko kuch arse baad aik safar darpaish aata hai wo usi shar say shuroo hota hai aur usi tarha aik family phir us k cabin main aati hai usi tarha phir wo bachi zid kerti hai aur wo kuch cheezain lay ker aata hai aur usi tarha phir wo us k peros main abad ho jate hain ... aur phir wo hi kahani shuroo ho jati hai laikin jab us admi ko yeh ahsas hota hai tu wo shar chor daita hai ... ab shayad aap yeh samajh gaee hoon gee


                            jee haan aap nay bilkul sahi lafz istamal kia aik naya imtihan...jaise k us admi ko aik naey imtihan say guzarna per raha tha
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment


                            • #44
                              Re: Kia Waqt Apne aap ko Dohrata hai????

                              Originally posted by yellowsky View Post
                              :thmbup:
                              right :thmbup:

                              Comment


                              • #45
                                Re: Kia Waqt Apne aap ko Dohrata hai????

                                wqt apnay aap ko dohraata hay yeh to tareekh say saabat hay

                                magar hamaari life mien bhi yaqeenan boht say aysay mawaqeh aaty hien jab aysa lagta hay k hum phir say ussi muqaam par aa gay hien jahan say chalay thay...etc etc....
                                waysay meray saath kai baar aysa hota hay k do ashkhaas k darmiyaan dialogue chal raha hay to mujhay lagta hay k ab yeh banda yeh baat karay ga aur woh wohi baat karta hay..with same words
                                aur phir yun hee dialogue chalta jaata hay magar meray zehn mien dono fareeq ki batien pehlay say hoti hien k ab yeh banda yeh baat kahay ga aur doosra banda yeh jawaab day ga......
                                mujhay lagta hay jaysay same place same loogoon k darmiyaan same dialogue pehlay bhi ho chuka hay magar aysa hoota nhi...

                                kahin iska yeh matlab to nhi k hamaray parents aur grand parents ya grand grand parents ki memory ka kuchh hissa hum mien muntaqil hoo jaata hay:khi: :khi:
                                soochaiy soochaiy aur mujhy bhi bataiay k aapka kya khyaal hay is baaray:embarasse

                                Comment

                                Working...
                                X