Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

aap apni kitaboun ki kitni hifazat kartay hain ?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: aap apni kitaboun ki kitni hifazat kartay hain ?

    Originally posted by Aanchal View Post
    dil ko sanbhlanay say kuch nahi hoo ga us friend ko achi khasi suna deeni chaye or book deenay say pehlay bhi yaaddeehani kara deeni chaye kay kahayal rekhna mere books ka kharab na hoo or koi nishan na lagana ...

    aik shairi ki book friend ko di the us kay bahi nay book pay hara jaga comments likh deye ashaar ki tashreeh kar di the us kay oper :fuming: ..woh book ab kisi ko day nahi sakti loog yehi samjhian gay yeh main nay likha hai ,or itni
    jaga pay comments hain kay mitanaay kay leye kafi time chaye ........
    waisay sunanay kay liye thori himmat darkaar hoti hai....warna laog bura maan jatay hain
    :hehe: aisa hum pehlay kartay thy ....urdu ki class mein...lakin pencil say aur aisay keh bura na lagay.....jab chahain mita dain....:)
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

    Comment

    • #17
      Re: aap apni kitaboun ki kitni hifazat kartay hain ?

      Originally posted by Aabgina View Post
      waisay sunanay kay liye thori himmat darkaar hoti hai....warna laog bura maan jatay hain
      :hehe: aisa hum pehlay kartay thy ....urdu ki class mein...lakin pencil say aur aisay keh bura na lagay.....jab chahain mita dain....:)
      aap peyaar say daant dia karain :khi: aisa kay unhay bas feel hoo jaye kay yeh ghalat kia hai unhoo nay :lpop:
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment

      • #18
        Re: aap apni kitaboun ki kitni hifazat kartay hain ?

        Originally posted by ummid View Post
        :D

        :tauba
        yeh kya sala pooch liya...:embarasse

        hum school mein the tu hume saari hi books do baar dilwani perti the.. coz term ke end tak humari books mein moojod her taswwer ka hashar nashar kiya hota tha hum ne... specially history book.. saare hi freedom fighter ki tasweerein ya kisi aur ki bhi ager woh book mein hoti tu lecture ke doraan ya jub hum study karne baith'te tub... un logon ker sir per singh, dhaari, monch, poonhc, bare bare eye brows, aur bhi bauaht kuch banate... us tasweer ka asal chup jata aur aik ajeeb tasweer samne hoti... ya qaynchi se kisi ke chahre ki tasweer kaat ker kisi aur ki body per laga dete... humari taqreeban her book ka yahi haal hota... Maths ki book mein tasweer tu nahi hoti hi.. tu us per teacher ke cartoon banate the baith ker per hota yahi ke end of the year.. ya midd mein hi hume new books dilani perti kyun ke pichli books parhne ke qabil hi nahi hoti..:embarasse
        humari yeh aadat khud b khud 13th std se chooti.... kaise yeh tu nahi pata.. per hairat angez tor per ab hum lect. mein koi drawing nahi karte kitabo'n per... aur apni books ko ab theek se rakhte hain...:D:

        Hahahahahaha

        Ummid aap ki kitabon ka haal perh ker meri kitabain meri ankhon k samne ghoom gaiee hain....meri school books ka bhi aisa hi kuch naqsha hota tha...aur un k saath aik zulm aur hota tha...main apni books k kinare hamaisha kha jata tha:khi: :khi: .... bas betha perh raha hoon tu tu un k kinare danton say katata rahta tha:khi:

        ab course ki kitabain tu nahien rahien laikin ab aap ki tarha meri books bhi sahi salamt hoti hain..aur meri yeh adat aisay hi achanak choot gaee...
        sigpic

        Comment

        • #19

          :tauba apni adatain kitni milti julti hai :clap:

          Comment

          • #20
            Re: aap apni kitaboun ki kitni hifazat kartay hain ?

            Originally posted by sccorpion81 View Post
            Hahahahahaha

            aur un k saath aik zulm aur hota tha...main apni books k kinare hamaisha kha jata tha:khi: :khi: .... bas betha perh raha hoon tu tu un k kinare danton say katata rahta tha:khi:

            ...

            :kr:
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment

            • #21
              Re: aap apni kitaboun ki kitni hifazat kartay hain ?

              Originally posted by sccorpion81 View Post
              Hahahahahaha

              Ummid aap ki kitabon ka haal perh ker meri kitabain meri ankhon k samne ghoom gaiee hain....meri school books ka bhi aisa hi kuch naqsha hota tha...aur un k saath aik zulm aur hota tha...main apni books k kinare hamaisha kha jata tha:khi: :khi: .... bas betha perh raha hoon tu tu un k kinare danton say katata rahta tha:khi:

              ab course ki kitabain tu nahien rahien laikin ab aap ki tarha meri books bhi sahi salamt hoti hain..aur meri yeh adat aisay hi achanak choot gaee...

              Comment

              • #22
                Re: aap apni kitaboun ki kitni hifazat kartay hain ?

                Originally posted by Aanchal View Post
                chaloo shukar hai adat to chooti na :khi:
                wesay agar koi friend tumhay books parhnay ko day to us ka bhi yehi haal karti the ? :D
                lolzz... hum kabhi kisi ki book lete hi nahi the.. .zarorat per jaati tu bahi ko sho pepr dora dete ke abhi ke abhi le aaiye... so sawal hi nahi ke kisi ki book per haath saaf karein...

                abhi graduation mein psychology ki moti moti kitbaein perhte hoye important points aik chit per likh ker book ke us page per pin ker dete the... jis ki badaloat saare hi text book mein pin chits nazar aati.. aur orignal text dikhne ke liye un chits ko opper karna perta... per yeh humare liye bauaht acchi tip hai.. hume is se foran hi answer yaad ho jate the.. aur baar baar note book nahi kholni perhti thi...:lpop:

                Comment

                • #23
                  Re: aap apni kitaboun ki kitni hifazat kartay hain ?

                  Originally posted by sccorpion81 View Post
                  Hahahahahaha

                  Ummid aap ki kitabon ka haal perh ker meri kitabain meri ankhon k samne ghoom gaiee hain....meri school books ka bhi aisa hi kuch naqsha hota tha...aur un k saath aik zulm aur hota tha...main apni books k kinare hamaisha kha jata tha:khi: :khi: .... bas betha perh raha hoon tu tu un k kinare danton say katata rahta tha:khi:

                  ab course ki kitabain tu nahien rahien laikin ab aap ki tarha meri books bhi sahi salamt hoti hain..aur meri yeh adat aisay hi achanak choot gaee...
                  :tauba
                  waise kya hi baat hai aap ki kitabein kha ker bhi aap ki sehat nahi bani...

                  Comment

                  • #24
                    Re: aap apni kitaboun ki kitni hifazat kartay hain ?

                    Originally posted by Shaheeen View Post
                    :tauba apni adatain kitni milti julti hai :clap:
                    lolzz... bus hum aise hi hain..

                    Comment

                    • #25
                      Re: aap apni kitaboun ki kitni hifazat kartay hain ?

                      Originally posted by ummid View Post
                      lolzz... bus hum aise hi hain..
                      :khi:

                      Comment

                      • #26
                        Re: aap apni kitaboun ki kitni hifazat kartay hain ?

                        Originally posted by Aanchal View Post
                        Assalamalikum
                        aap loog apni kitaboun ko kesa reakhtay hain ? un ki kitni hifazat kartay hain ?

                        aksar main nay deekha hai kay loog is taraha say kitbaoun ka hashar kar daytay hain kay cover us ka phata hota hai, books pay jaga jaga pen/pencil say nishaanat lagay hotay hain,or kai jaghoun say pic's kati hoti hain ....:tauba

                        aap loog apni books ko kesa reakhtay hian ?:)
                        mein hifazat nahi karta bus dua karein koi hifazat karnay waaali jald aa jai....

                        Comment

                        • #27
                          Re: aap apni kitaboun ki kitni hifazat kartay hain ?

                          Originally posted by Aanchal View Post
                          Assalamalikum
                          aap loog apni kitaboun ko kesa reakhtay hain ? un ki kitni hifazat kartay hain ?

                          aksar main nay deekha hai kay loog is taraha say kitbaoun ka hashar kar daytay hain kay cover us ka phata hota hai, books pay jaga jaga pen/pencil say nishaanat lagay hotay hain,or kai jaghoun say pic's kati hoti hain ....:tauba

                          aap loog apni books ko kesa reakhtay hian ?:)
                          ham tou kitabon ko hamesha se bhot hifazat se rakhne k aadi hain. han ye hai k course books hamain tab tak achhi lagti thein jab tak exams na ho jayen.her final paper k baad uss subject ki books ko samne dekh ker khafqan hone lagta tha so ussi din uss book ko kisi esi jaga rakh dete thay k dobara nazer na parrey :khi: saal shru hote he hamari new books ko binding k baad plastic sheets se cover ker k hamare hawale kiya jata tha aur uss k baad ham un ko ussi care se rakhte thay..han college aur university mein aadat ho gae thi k lecture k doran ya wese prrhte huwe koi new point zehan mein aa jaye to lead pencil se side per note ker dete thay ya aik slip per likh ker attach ker dete thay aur ye hamesha hamare liye helpful rehta tha...
                          hamare pass books ki kafi barri collection ho gae hai ab tou(other than course).. her nai book khareedne ya milne k baad ham uss ko pehle cover kerte hain transparent sheet se.. aur uss k baad apne book rack mein rakh dete hain..majal hai koi hamari books ko chherrne ki himat kare.course ki books per tou likhte thay lakin inn books per ham ne kabhi kuch nahi likha. ab jab ham Pak nahi hote tou apni sari books ko ba-hifazat pack ker k aate hain kyun k hamari cousins books le jayen tu wapis nahin kertein :(
                          "All I have learned from Life is that I know nothing."

                          Comment

                          • #28
                            Re: aap apni kitaboun ki kitni hifazat kartay hain ?

                            Originally posted by Aanchal View Post
                            Assalamalikum
                            aap loog apni kitaboun ko kesa reakhtay hain ? un ki kitni hifazat kartay hain ?

                            aksar main nay deekha hai kay loog is taraha say kitbaoun ka hashar kar daytay hain kay cover us ka phata hota hai, books pay jaga jaga pen/pencil say nishaanat lagay hotay hain,or kai jaghoun say pic's kati hoti hain ....:tauba

                            aap loog apni books ko kesa reakhtay hian ?:)
                            :khi: mai tu apni kitaboon ko achay achay cartoon sketches se sajati hon...........dosro kay liya ya kam kitabo ko ganda karna ha per meray liya ya kitbao ki khobsurti ma izafa karti ha!!!!!!:kr: :kr:

                            Comment

                            • #29
                              Re: aap apni kitaboun ki kitni hifazat kartay hain ?

                              Originally posted by Aanchal View Post
                              Assalamalikum
                              aap loog apni kitaboun ko kesa reakhtay hain ? un ki kitni hifazat kartay hain ?

                              aksar main nay deekha hai kay loog is taraha say kitbaoun ka hashar kar daytay hain kay cover us ka phata hota hai, books pay jaga jaga pen/pencil say nishaanat lagay hotay hain,or kai jaghoun say pic's kati hoti hain ....:tauba

                              aap loog apni books ko kesa reakhtay hian ?:)
                              Wa Alaikum Aslam

                              meri kitaabein gawaach gai hein :lpop:
                              :thmbup:

                              Comment

                              • #30
                                Re: aap apni kitaboun ki kitni hifazat kartay hain ?

                                haan yaad aaya jub school life mein tha to meri books bilkul saaf nahi hoti thein...mujay buchpan se he aik bohat buri aadat he, jub mere haath pencil pen aata to samnay jo bhi paper hota us pe likhna shuru ker deta...drawing / sketching ka buchpan se shook tha...to meri books per akser different kism ki pics bani hoti thein...kahin pe koi cartoon, kahin pe aankh ki pic, kahin pe koi tree ya skeleton etc...aur mazay ki baat mere abu ko meri yeh herkatein bohat pasand thein :hehe: mathematics ki book ka to koi haal nahi hota tha...aur waise bhi mere abu ko bohat shook tha, wo mujay her chuti walay din kehtay "bhai aao maths kheelein" aur hum subhu bethtay aur raat ko maths khatam ker ke uth'tay. khair inshorts meri books phat'ti nahi thein, haan un pe keeshikaariyaan bohat banata tha :hehe:
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X