Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bolay to URDU...!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Gul-e-Lala
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Problems bolay to theorms ki baat ker rahi hein na :lpop: haan inhein hal kerna waqei masla hota tha, lekin mujay maslon pe ziada masla nahi hota tha, kyon ke mein inhein apna masla samaj ke solve kerta tha doosron ka nahi :kr: you know doosron ka masla solve kerna ziada ookha hota he nisbatun apna masla solve kerne ke...aap samaj rahi hein na mein kia keh raha hoon :blush:
    dekha es se maloom hota hai ham kitne incompetent hain. mil gaya na saboot :khi:kyun nahi ham aap ki aap samjh rahe hain aur esi liye ham masaalon ko zyada tawaja nahi dete aur ye baat masaalon k liye khud aik masaala ban jati hai :lol

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by Gul-e-Lala View Post
    :lol nahi hamain waquii mushkil kaamon aur mushkil baaton se bhagte hain :)
    Algebra itna tou mushkil nahi hota aur ham ne hisab sirf school mein he perrha hai tab Abba bhayun ki rozana shamat laate thay unn se hisab kara kara ker tou hamain bhi aata gaya. han Problems (mas'ale) wala hisa hamain hamesha pareshan kerta tha k uss mein geometry aa jati thi :lol :lol

    Bole tou Urdu :na:
    Problems bolay to theorms ki baat ker rahi hein na :lpop: haan inhein hal kerna waqei masla hota tha, lekin mujay maslon pe ziada masla nahi hota tha, kyon ke mein inhein apna masla samaj ke solve kerta tha doosron ka nahi :kr: you know doosron ka masla solve kerna ziada ookha hota he nisbatun apna masla solve kerne ke...aap samaj rahi hein na mein kia keh raha hoon :blush:

    Leave a comment:


  • Gul-e-Lala
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
    Assalam o Alaikum,
    ba'd az salam yeh arz hai kay hum sab yahan khairiyat say haiN aur aap sab ki khairiyat Rab-e-Kareem say naik matloob hain :blush: .

    degar aihwal yeh hai kay humara net din maiN 23 ghantay 45 mints down rehnay laga hai isleay ab humara aana bhi kam kam hogaya hai , humaiN umeed hai kay aap yeh dukh bhari daastan sun kar apni khushi par qabi nahi rakh sakaiN gaiy
    bhot afsos hua aap k net ki nasazi e taba'a ka sun ker. Allah(SWT) reham kare aur aap ki ISP ko naik hadayat de(ager mas'ala unn ki waja se hai tou) aur aap k Net ko jaldi shafa-yab kare
    hamain lagta hai ab aap waquii shakht pareshan yama hun ge :khi:


    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
    in sab bakhair ka aik he elaaj hai Assalam o Alaikum :thmbup:, wesay is baat par aik buzrg urdu daan ka qis'sa yaad aagaya, mohtaram ko urdu say kafi lagao tha aur baaz auqat woh bhi aap ki terhaan english ki urdu banatay rehtay thay, unhooN nay PM aur AM ko urdu maiN "Qaaf ZoaiN" aur "Baiy ZoaiN" likhna shoro kardia matlab "Qabl-e-Zohar" aur "Baad-az-Zohar" :khi:
    achha hal nikala hai aap ne Xenya ki mushkil ka :lol :lol aur kitne takhleeqi zehan k maalik thay woh bazurg urdu-dan :) ham bhot mutaasir(impress :blush:) huwe :)



    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
    lughat say yaad aaya kay jab maiN bohot chota tha to humdard Nonehaal kay aakhri Safhay par Urdu Lughat likhi hoti thee jis ko maiN Urdu Laam Ain Noon Tay kay talaf'fuz say paRh jata thaa :blush:, jesay kuch bach'chay kitabchay ko doggy bach'cha paRh jatay hain :khi:
    :lol :lol :lol hota hai hota hai jese hamari aik dost aik arse tak Hawanaq ko HONAQ perrhti rahi thein :khi::khi:

    Leave a comment:


  • Gul-e-Lala
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    :salam:

    Aap ko mushkil ke matlab ka nahi pata...Hi Allah :blush: yeh to aisi baat hui ke Hitlor ko dictatorship ka nahi pata aur Einstein ko Science ka nahi pata :D Lekin ager aap chahti hein ke hum aap ki baat aankhein khool ke maan lein to hamaray paas aur koi chara nahi Aap ka Aljebra acha tha, lekin doosron ka Aljebra kabi acha nahi hua...yeh bhi aik lehaz se mathematics ka ghunda he :tauba aur is ka hal wohi ker saktay hein jo mushkil loog hotay hein, lekin aap to aisi larki he nahi hein...so me still in perplexed state of mind :embarasse

    :lol nahi hamain waquii mushkil kaamon aur mushkil baaton se bhagte hain :)
    Algebra itna tou mushkil nahi hota aur ham ne hisab sirf school mein he perrha hai tab Abba bhayun ki rozana shamat laate thay unn se hisab kara kara ker tou hamain bhi aata gaya. han Problems (mas'ale) wala hisa hamain hamesha pareshan kerta tha k uss mein geometry aa jati thi :lol :lol

    Bole tou Urdu :na:

    Leave a comment:


  • Gul-e-Lala
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by sumera View Post
    aur hamaray paas to pehlay hee urdu lugat mojood hay Gul-e-lala, scorpion rulzz aur yellowsky ki shakal mien:wk :blush: :blush:
    khush rahiay:rose
    sho shweet lakin ham waquii ab lughat ki talash mein hain :)

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
    Assalam o Alaikum,
    ba'd az salam yeh arz hai kay hum sab yahan khairiyat say haiN aur aap sab ki khairiyat Rab-e-Kareem say naik matloob hain :blush: .

    degar aihwal yeh hai kay humara net din maiN 23 ghantay 45 mints down rehnay laga hai isleay ab humara aana bhi kam kam hogaya hai , humaiN umeed hai kay aap yeh dukh bhari daastan sun kar apni khushi par qabi nahi rakh sakaiN gaiy
    Wa Alaikum Aslam Hukam kerta hon :lpop: moodbana ho ker kabool ker :na:
    Yeh sun ker dil ke phaphoolay jul uthay ke tu abi tak kheriyat se he halanke jis tarah ki tu mehmaan nawazi kerta he, tujay itni der kheriyat se rehnay ka koi haq nahi :lpop: khair honi ho ke rahay gi aur tu bhi kisi din apnay jese meezbaan ka mehmaan zaroor banay ga, phir tujay pata chalay ga ke apnay chacha ke saath ghalat salook kerne ka kia anjaam hota he...

    Einstein ne bhi apni ghazal mein kia khoob kaha tha :blush:

    Jo apnay chacha ko satata he
    Sada Rickshaw chalata he

    ub wo din door nahi jub tu gali gali, sarak sarak rickshaw chalaye ga :lpop:

    Leave a comment:


  • RulzZ
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by sumera View Post
    aur hamaray paas to pehlay hee urdu lugat mojood hay Gul-e-lala, scorpion rulzz aur yellowsky ki shakal mien:wk :blush: :blush:
    khush rahiay:rose
    lughat say yaad aaya kay jab maiN bohot chota tha to humdard Nonehaal kay aakhri Safhay par Urdu Lughat likhi hoti thee jis ko maiN Urdu Laam Ain Noon Tay kay talaf'fuz say paRh jata thaa :blush:, jesay kuch bach'chay kitabchay ko doggy bach'cha paRh jatay hain :khi:

    Leave a comment:


  • RulzZ
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by yellowsky View Post
    koi baat nahi .....koi baat nahi


    @ topic

    Urdu mey good morning ko subha bakhair kehtey hein aur good evening ko kya kehtey hein :mm:
    in sab bakhair ka aik he elaaj hai Assalam o Alaikum :thmbup:, wesay is baat par aik buzrg urdu daan ka qis'sa yaad aagaya, mohtaram ko urdu say kafi lagao tha aur baaz auqat woh bhi aap ki terhaan english ki urdu banatay rehtay thay, unhooN nay PM aur AM ko urdu maiN "Qaaf ZoaiN" aur "Baiy ZoaiN" likhna shoro kardia matlab "Qabl-e-Zohar" aur "Baad-az-Zohar" :khi:

    Leave a comment:


  • RulzZ
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Assalam o Alaikum,
    ba'd az salam yeh arz hai kay hum sab yahan khairiyat say haiN aur aap sab ki khairiyat Rab-e-Kareem say naik matloob hain :blush: .

    degar aihwal yeh hai kay humara net din maiN 23 ghantay 45 mints down rehnay laga hai isleay ab humara aana bhi kam kam hogaya hai , humaiN umeed hai kay aap yeh dukh bhari daastan sun kar apni khushi par qabi nahi rakh sakaiN gaiy

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by Gul-e-Lala View Post
    thankoo :)




    :lol nahi aap ko ghalat fehmi ho rahi hai hamain tou mushkil ka matlab bhi nahi maloom. wese aapas ki baat hai hamain Algebra kabhi bhi mushkil nahi laga sab sawal theek kerte thay ham. haan Geometry mein zara si maar kha jate thay:khi:
    :salam:

    Aap ko mushkil ke matlab ka nahi pata...Hi Allah :blush: yeh to aisi baat hui ke Hitlor ko dictatorship ka nahi pata aur Einstein ko Science ka nahi pata :D Lekin ager aap chahti hein ke hum aap ki baat aankhein khool ke maan lein to hamaray paas aur koi chara nahi Aap ka Aljebra acha tha, lekin doosron ka Aljebra kabi acha nahi hua...yeh bhi aik lehaz se mathematics ka ghunda he :tauba aur is ka hal wohi ker saktay hein jo mushkil loog hotay hein, lekin aap to aisi larki he nahi hein...so me still in perplexed state of mind :embarasse

    Leave a comment:


  • Shaheen
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by sumera View Post
    wa alaikum salam
    ji sab ka to pata nhi magar humachhay hien:blush:
    aur bolay to urdu mien khush aamdeed:)

    hamara istiqbal karna ka boht boht shukriya ... :phool:

    Leave a comment:


  • *Duaa*
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by شاھین View Post
    salam u alaikum janab kaise hai sub umeed hai sub theek thaak honga
    wa alaikum salam
    ji sab ka to pata nhi magar humachhay hien:blush:
    aur bolay to urdu mien khush aamdeed:)

    Leave a comment:


  • *Duaa*
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by Gul-e-Lala View Post
    aap ki lughat se hamain bhi ye khyal aya k Urdu lughat pass honi chahye. pehli he fursat mein es ka bando bast kerte hain :) aur hamara khyal hai Rulzz es Jal Thal k bate mein zayada behter bata saken ge k Shaair log es lafz ka khub estmaal kerte hain shaairy mein :)
    aur hamaray paas to pehlay hee urdu lugat mojood hay Gul-e-lala, scorpion rulzz aur yellowsky ki shakal mien:wk :blush: :blush:
    khush rahiay:rose

    Leave a comment:


  • Shaheen
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    salam u alaikum janab kaise hai sub umeed hai sub theek thaak honga

    Leave a comment:


  • *Duaa*
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by Gul-e-Lala View Post
    ummm hamara andaza hai k Jal kehte hain Pani ko aur jal thal kehte hain jab pani jee bher k berse.her shay ko bhigoo dey.
    hmm khoob
    jee haan ji jal ka matlab aap nay bataya to hamien jal pari yaad aa gai:blush: ....matlab k 'jal' pani ko hee kehtay hien:)

    chaloo Rullz ka intizaar karty hien wazahat k liay:embarasse
    waysay ik aur sawaal bhi hay jo abhizehn mien aaya
    yeh jaldarhaqeeqat kis zubaan ka lafz hay...?:cc:

    Leave a comment:

Working...
X