Main Bilal hon! Habsha k siya fam ghulam Rubah ka siya fam baita, ghulam ibne ghula! Ghulami mai ankh kholi, ghulami mai pala barha, ghulamon ki makhsoos sooch k saath jawan howa, ghulamon ki tarha bar bar baicha aur kharida giya.
Main Bilal, Umiya ka zar kharid ghula, aap ko un dinon ki batain sunana chahta hon ju shuru se aakhir tak hairat o istijab k din thay. 22 saal tak is ghulam ne us fiza mai sans liya jis mai Allah k aakhiri nabi, Muhammad(PBUH) k saanson ki mehak thi. Ju unhon ne kaha mai ne suna, ju unhon ne kiya mai ne dekha.
GHULAMI K DAGH.
Aaj mai apni zindagik 60 saal mai hon, 28 saal ghulami k, 22 saal shehenshai k aur 10 saal yadon k. Umiya aik raat ghulam khane mai aaya aur us ne mujh se barahe raast sawal kiya:
Maira jawab sunte hi is k tan badan mai jaise aag lag gai magar shaid who is jawab k liye tayyar tha. Kehne laga:
Banu jumah k saare muhalle ko ilm tha k Bilal ki islah ki ja rahi hai. Jab dhoop aur koron ki saza kargar na hoi tu Umiya ne mere gale mai rassi baandh kar mujhe banu jumah k larkon k hawale kar diya. Bachche saara din cheekhte cheelate, qehqahe lagate mujhe Makkah ki unchi neechi pathrili sarkon par khinche phirte. Un k qehqahon ki mai meri cheekh o pukar kisi ko sunai na daiti.Bachchon ko aik dilchasp mashghala haath aa giya tha. Who rassi se meri gardan ko jhatka daite tu mai gir parta aur phir sab mil kar mujhe ghaseetne lagte. Main uthne ki koshish karta thookren marte. Pehle zakham bharne bhi na paate k phir khul jate. Mera jism lahi lahan ho jata. Dopeher k baad jab saara Makkah tap uthta tu who mere kapre uterwa kar mujhe lohe ki zara pehna daite aur dhoop mai daal daite. Aik din unhon ne mujhe dehekte howe koilon par laita kar mere seene per aik bhaari pathar rakh diya, aaj bhi mere jism per un koilon k daagh hai. Soraj dhalte hi mere haath paaon bandh kar mujhe ghulam khane ki farsh pe phaink diya jata.
Roz Makkah wale mera yeh tamasha dekhte the. Tamasha kab tamashai ko daikhta hai magar aik zaif shakhs mujhe yaad hai aur main use kabhi nahi bholon ga Warqa bin Nofel. Aik din unhon ne Umiya ko mukhateb ho k kaha jab ke mai rozammara ki tarha chitanon tale daba howa tha k:
Magar Umiyah baaz na aaya. Aik din us ne qatai faisla kar liya k aaj ki raat Bilal ki aakhiri raat ho gi, Kal subha us ki aakhiri subha ho gi, Shadid tareen aziyaten aur phir maut!
Mujhe buhut aziyaten di gain agle roz aur jab mai behal ho giya tu wahan Hazrat Abu Bakar aye, unhon ne Umiyah se 2 soo mai mera soda kiya. Aur yun mai aazad huwa.
Kitab: BILAL
Musannif: Saleem Gillani.

Comment