Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Hazrat Bilal ki kahani, un ki zubani!!!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Hazrat Bilal ki kahani, un ki zubani!!!!!

    Main Bilal hon! Habsha k siya fam ghulam Rubah ka siya fam baita, ghulam ibne ghula! Ghulami mai ankh kholi, ghulami mai pala barha, ghulamon ki makhsoos sooch k saath jawan howa, ghulamon ki tarha bar bar baicha aur kharida giya.

    Main Bilal, Umiya ka zar kharid ghula, aap ko un dinon ki batain sunana chahta hon ju shuru se aakhir tak hairat o istijab k din thay. 22 saal tak is ghulam ne us fiza mai sans liya jis mai Allah k aakhiri nabi, Muhammad(PBUH) k saanson ki mehak thi. Ju unhon ne kaha mai ne suna, ju unhon ne kiya mai ne dekha.

    GHULAMI K DAGH.

    Aaj mai apni zindagik 60 saal mai hon, 28 saal ghulami k, 22 saal shehenshai k aur 10 saal yadon k. Umiya aik raat ghulam khane mai aaya aur us ne mujh se barahe raast sawal kiya:





    Maira jawab sunte hi is k tan badan mai jaise aag lag gai magar shaid who is jawab k liye tayyar tha. Kehne laga:





    Banu jumah k saare muhalle ko ilm tha k Bilal ki islah ki ja rahi hai. Jab dhoop aur koron ki saza kargar na hoi tu Umiya ne mere gale mai rassi baandh kar mujhe banu jumah k larkon k hawale kar diya. Bachche saara din cheekhte cheelate, qehqahe lagate mujhe Makkah ki unchi neechi pathrili sarkon par khinche phirte. Un k qehqahon ki mai meri cheekh o pukar kisi ko sunai na daiti.Bachchon ko aik dilchasp mashghala haath aa giya tha. Who rassi se meri gardan ko jhatka daite tu mai gir parta aur phir sab mil kar mujhe ghaseetne lagte. Main uthne ki koshish karta thookren marte. Pehle zakham bharne bhi na paate k phir khul jate. Mera jism lahi lahan ho jata. Dopeher k baad jab saara Makkah tap uthta tu who mere kapre uterwa kar mujhe lohe ki zara pehna daite aur dhoop mai daal daite. Aik din unhon ne mujhe dehekte howe koilon par laita kar mere seene per aik bhaari pathar rakh diya, aaj bhi mere jism per un koilon k daagh hai. Soraj dhalte hi mere haath paaon bandh kar mujhe ghulam khane ki farsh pe phaink diya jata.

    Roz Makkah wale mera yeh tamasha dekhte the. Tamasha kab tamashai ko daikhta hai magar aik zaif shakhs mujhe yaad hai aur main use kabhi nahi bholon ga Warqa bin Nofel. Aik din unhon ne Umiya ko mukhateb ho k kaha jab ke mai rozammara ki tarha chitanon tale daba howa tha k:



    Magar Umiyah baaz na aaya. Aik din us ne qatai faisla kar liya k aaj ki raat Bilal ki aakhiri raat ho gi, Kal subha us ki aakhiri subha ho gi, Shadid tareen aziyaten aur phir maut!

    Mujhe buhut aziyaten di gain agle roz aur jab mai behal ho giya tu wahan Hazrat Abu Bakar aye, unhon ne Umiyah se 2 soo mai mera soda kiya. Aur yun mai aazad huwa.

    Kitab: BILAL
    Musannif: Saleem Gillani.
    Last edited by KON?; 24 August 2005, 19:40.
    Mai ik ghareeb benawa, Main ik faqir besada

    Meri naza ki iltija ju pa saku tu saath do

  • #2
    Re: Hazrat Bilal ki kahani, un ki zubani!!!!!

    Aashiq-e-mustafa ki aazan mein Allah Allah kitna asr tha
    arsh waley bhi suntey they jisko kya azan thi azan-e-bilali

    Allah tala ney hazrat-e-Bilal ko phir woh rutbaa aata kiya jo kisi doosrey sahaba ko shiyd hi huwa hoga. Aik ghulam-ibn-e-ghulam phir taajdar-e-Aalam SAW key moazzan baney aur unki aazan mein woh taseer thi ji kabhi kisi moazzan ki azan mein nahin hui. Kehtey hain keh Nabi Kareem SAW key wafaat key baad aap kaheen chaley gaey. Jab wapis aaey to logon ney israr kiya keh aap azan dein, aap ney aisi pur-dard azan di keh madeenah key log jama ho ker aah-o-zari karney laggey.

    KON? itni khoobsurat aur eeman afroz article share karney per bohat bohat shukriyah. Mazeed ka intizaar rahey ga :)
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: Hazrat Bilal ki kahani, un ki zubani!!!!!

      Lafz nahin khuch kehnay ko :)


      Haan Share karney ka BUhat Shukriya :)

      Khush rahyeah :rose
      Zindagi Thak Gaye ..!!

      Comment


      • #4
        Re: Hazrat Bilal ki kahani, un ki zubani!!!!!

        ALLAH..!!

        Comment


        • #5
          Re: Hazrat Bilal ki kahani, un ki zubani!!!!!

          JazakAllah khair :rose
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #6
            Re: Hazrat Bilal ki kahani, un ki zubani!!!!!

            Buhut shukiriya.mai yeh sab yahan is liye share karti hon k ju log islamic section mai nahi jate woh bhi ghalati se yeh parh lain.Plz is ko move mat kijiye ga.
            Mai ik ghareeb benawa, Main ik faqir besada

            Meri naza ki iltija ju pa saku tu saath do

            Comment


            • #7
              Re: Hazrat Bilal ki kahani, un ki zubani!!!!!

              Originally posted by KON?
              Buhut shukiriya.mai yeh sab yahan is liye share karti hon k ju log islamic section mai nahi jate woh bhi ghalati se yeh parh lain.Plz is ko move mat kijiye ga.
              jin logon ney yahan perha hai wo wahan bhi perh leytey hein
              aur issey move nahi kiya gaya hai :rose
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • #8
                Re: Hazrat Bilal ki kahani, un ki zubani!!!!!

                Originally posted by barg.e.gul
                jin logon ney yahan perha hai wo wahan bhi perh leytey hein
                aur issey move nahi kiya gaya hai :rose
                :kood: thanks .
                Mai ik ghareeb benawa, Main ik faqir besada

                Meri naza ki iltija ju pa saku tu saath do

                Comment


                • #9
                  Re: Hazrat Bilal ki kahani, un ki zubani!!!!!

                  its really......amazing...mery pass elfaz nahi hay...shukeria k liy..

                  Comment


                  • #10
                    Re: Hazrat Bilal ki kahani, un ki zubani!!!!!

                    Assalaam-0-Alaikom:rose

                    i m speech less
                    ALLAH TAALAA say dua hai keh woh humaray diloon main bhi apni aur apnay Rosool HAZRAT MUHAMMAD peace b upon him ki Sachi Muhabbat paida karay ..AMEEN
                    JAZAKALLAH-U KHIARA
                    For New Designers
                    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                    Comment


                    • #11
                      Re: Hazrat Bilal ki kahani, un ki zubani!!!!!

                      great Great Post.......................
                      Life is more strict than a teacher
                      A teacher teaches a lesson
                      and takes an exam.
                      But life takes an exam
                      and then teaches a lesson

                      Comment

                      Working...
                      X