Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mujy yaad hay zara zara

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: Mujy yaad hay zara zara

    Originally posted by Khalil View Post
    PUKHAA:slap:
    Koi gul nai...fair v pehlay paisay de
    :thmbup:

    Comment

    • #47
      Re: Mujy yaad hay zara zara

      Originally posted by sccorpion81 View Post
      Haan mere bhaee dost kabhi nahien bhoolta aur khas ker k agar aisa piyara dost ho tu...mera bhi aik bacpan ka dost tha Azhar jab main march 2004 main Saudi arab aaya tu meri us say mulaqat nahein hooeee wo punjab university main pertha tha .... aur un dino us k kuch exams chal rhay thay aur mera visa bhi achanak hi laga...aur 2 months k baad us ko death ho gaee aik road eccident main...aur main us ka Akhri deedar bhi na ker saka...mujhay abhi bhi yaqeen nahien aata k Azhar is dunia main nahien hai...abhi tak tu main nay us ki Akhri aram gha bhi nahien daikhiii...

      aur mujhay yaad hai k us raat main us ka Yahoo per wait ker raha tha...aur us ka aik dost onilne tha tu main nay us ko kaha k Azhar ko call ker k kahay k online aaey us nay call kia tu pata chala k wo usi k ghar aa raha hai...aur yeh kah ker wo off line ho gya aur azhar nahien aya main bhot dair yak wait kerta raha mujhay bhot ghusaa aaya aur socha k subha phone keroon ga aur subha jab main office pohncha tu mere Dad ka phoen aaya k Azhar ki death ho gaee
      and i was Shocked and still i can not believe it that he is no more.......
      hum doono ka ghum aisa sa he mere doost :) Allah Azhar ko bhi jawar-e-rehmat mein jagah ata fermaye... aameen
      :thmbup:

      Comment

      • #48
        Re: Mujy yaad hay zara zara

        Originally posted by ummid View Post
        :na:
        humara bachpan hi huamre nana jaan se tha.... aur us ke illawah hume kuch yaad nahi waqai..... humari her her yaad nana jaan se shoro ho ker wahein khatam bhi ho jaati hai.. aaj woh hote tu hum GTG mein sub se paihle aate .... coz woh humare liye hi the... humari koi baat taali nahi unho ne.... aaj humare baba aur bhaiyon ke pass time nhai ke hume le ker jaayen... aur in dinu hum waqai nana jaan ko bauaht yaad ker rahe hain ... isi liye ab hum apne village jaa ker raheinge kuch maheene :insha: .....
        village mein rehnay se kia ho ga...yaadein tang karein gi...dil bechain ho ga...her lamhay unhein ka ehsaas ho ga...janay wala wapis kabi nahi aata :)
        :thmbup:

        Comment

        • #49
          Re: Mujy yaad hay zara zara

          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          Mein ne kul kia khaya, kia pehna yeh yaad nahi rehta, lekin puraani baatein achi tarah yaad hein

          I can still remember, mein apnay Dada ko apnay nunnay munnay haathon se dabaya kerta tha, jis se unhein faraq to kuch nahi perta tha :khi: aur wo mujay aik rupaya roozana dete thay

          Mujay yaad ye wo zamana bhi, jub mein bohat chota tha aur mere dad rickshaw chalatay thay...aik baar un ke saath ka safar bhi yaad he, jub unhoon ne mujay wrist watch aur aik tri cycle dilai.

          Phir mujay yeh bhi yaad he ke mere dad jub england gaye to unhon ne aik doost ke haathon mere liye BMX cycle baiji...jis se mujay intha ki khushi hui.

          Phir mujay yeh bhi yaad he ke jub mere abu UK se wapis aatay to mujay kehtay ke Bhai (wo mujay bhai kehtay thay) aao Math kheelein...matric ke exams se pehlay wo Pakistan aaye, to mere dad ne aik week pura mere saath guzaara aur is week mein hum ne teen baar matric ka maths complete kia...wo kehtay thay ke maths se aik number bhi nahi katna chahiye, lekin mere 2 number katay :tauba

          Mujay yaad ye abi tak mera doost shahid jo ke mera cousin bhi tha, her saturday night ko gujrat se sialkot aata tha...aur hum saturday night ko bike pe bahir nikaltay thay, road singing kerte, khatay peetay thay...phir wapis aa ke baki sabi cousins ko ikatha ker ke puri raat Cards kheeltay...5 saal tak hamari yahi routein rahi...phir us ka murder ho gaya :)

          lekin ub Na Dada jaan hein, na Dad, na Shahid...sabi Allah ko pyaaray ho gaye...lekin yaad to abi bhi sub kuch he :)
          :masha wowwww:)apnay kafi mazay kiyay hai'in:)
          Allah unn sab ko Jannat-e-Firdos main jaga day:dua
          Last edited by Almas; 3 February 2007, 16:28.
          Finding truth - Finding love
          These diamonds sparkle from lights above

          Lorraine Venner

          Comment

          • #50
            Re: Mujy yaad hay zara zara

            Allah apkay nanajan ko Jannat-e-Firdos main jagah day:dua Ameen.
            Finding truth - Finding love
            These diamonds sparkle from lights above

            Lorraine Venner

            Comment

            • #51
              Re: Mujy yaad hay zara zara

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              Allah aap ke nana jaan ko janat-ul-firdoos mein jagah ata fermaye :dua

              aap ko nana jaan ke ilawa aur bhi to kuch yaad hona chahiye...mein apnay nana jaan se bohat ziada attach kabi nahi raha...fooji aadmi thay...NAVY mein captain thay...haan itna jaanta hon ke wo dikhnay mein bilkul APPLE ki tarah ke thay :hehe: aur wo paidal bohat ziada chaltay thay...mujay apni samandari maarkon ke kissay sunatay thay jin se mein bohat impress hota tha :hehe:
              zabardasssst ...apkay nanajan forces mai'n thay:salam:
              Finding truth - Finding love
              These diamonds sparkle from lights above

              Lorraine Venner

              Comment

              • #52
                Re: Mujy yaad hay zara zara

                Originally posted by sccorpion81 View Post
                Haan mere bhaee dost kabhi nahien bhoolta aur khas ker k agar aisa piyara dost ho tu...mera bhi aik bacpan ka dost tha Azhar jab main march 2004 main Saudi arab aaya tu meri us say mulaqat nahein hooeee wo punjab university main pertha tha .... aur un dino us k kuch exams chal rhay thay aur mera visa bhi achanak hi laga...aur 2 months k baad us ko death ho gaee aik road eccident main...aur main us ka Akhri deedar bhi na ker saka...mujhay abhi bhi yaqeen nahien aata k Azhar is dunia main nahien hai...abhi tak tu main nay us ki Akhri aram gha bhi nahien daikhiii...

                aur mujhay yaad hai k us raat main us ka Yahoo per wait ker raha tha...aur us ka aik dost onilne tha tu main nay us ko kaha k Azhar ko call ker k kahay k online aaey us nay call kia tu pata chala k wo usi k ghar aa raha hai...aur yeh kah ker wo off line ho gya aur azhar nahien aya main bhot dair yak wait kerta raha mujhay bhot ghusaa aaya aur socha k subha phone keroon ga aur subha jab main office pohncha tu mere Dad ka phoen aaya k Azhar ki death ho gaee
                and i was Shocked and still i can not believe it that he is no more.......
                Allah Ta'laa apkay dost k saray gunah maaf karay:dua Ameen.
                yes, it's very hard to get over a shock of this type...
                Finding truth - Finding love
                These diamonds sparkle from lights above

                Lorraine Venner

                Comment

                • #53
                  Re: Mujy yaad hay zara zara

                  Originally posted by munda_sialkoty View Post
                  us per gooli us ke doost ne chalai...aur us ne mere haathon mein dum toora...us ne aakhri baar baatein bhi muj se he kein...is dooran mein ne us ka maatha bhi chooma...
                  to tumnay usay to nahi chora hoga..jisnay itnay payaray dost ko tum say alag kiya.....
                  ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                  Comment

                  • #54
                    Re: Mujy yaad hay zara zara

                    Originally posted by munda_sialkoty View Post
                    Mein khalil ke jawaab se itfaak kerta hon :kr: :kr: :kr: :kr: lekin ager tum zabardasti sunana chahti ho to suna do :kr: :kr: :kr:
                    u know naa .. wo Lizards, Leech, Earthworm, Cockroach, Frogs, Fish, aa jayen ge sab ikathey ho ke .. fir mufti mein . u log hans kion rahey ho abhi to main ne sunaya bhi nahen .. :lol
                    Visit My Early PS Work
                    You Are Welcome To Comment

                    Comment

                    • #55
                      Re: Mujy yaad hay zara zara

                      Mujhay yaad hai meri zindagey ka aik aur waqia...Jab main 1st class main tha tu main apnay mamoon k saath apnay gaon say school jata tha aur mera school Tehsil town main tha ... mere mamoon un dino High school main thay..subha mujhay school chor daitay aur chuti k time per wapis saath lay kr aatay...tu aik dinn chuti k time per wo late ho gay ... sab bachay chalay gay
                      aik main akaila rah gya gate per jab mamoon nahien aaey tu main ronay laga aur chowkidar nay daikha tu mujhay principle k pass lay gya unhon nay mujhay apnay office main bitha diya k tumharay mamoon aien gay tu tum chlay jana...aur wo bahir nikal gay un k kuch mahman aa gay thay... school ka mulazim un k office main aik plate bhar ker smosay lay aaya aur mere samnay rakh diey main samjha k mere liey laey gay hain..main nay kahana shuroo ker dia...ab mulazim wapis aaya tu main abhi pahla samosa kha raha tha us nay kaha k khao mujhay yaqeen ho gya k yeh saray mere liey hain aur un sab k aanay tak main saray samosay kha gya aur jab wo aaey tu main akhri samosa kha raha tha isi doran mere mamoon agay aur mere principle nay un ko kaha k is nay kafi saaray samosay kha liey hain ho sakta hai is ka pait khrab ho jaey is liey kal is ko chuti kerwa laina...main nay samosay bhi kha liey aur chuti bhi ker leee aur hoowa bhi kuch nahien....:
                      khi: :khi: :khi: :khi: :khi:
                      sigpic

                      Comment

                      • #56
                        Re: Mujy yaad hay zara zara

                        humain yaad hai k ham BRB nehar mein rang baragi kaghaz ki kashtiyan chorra kerte thay aur phir unn k sath sath chaltey jate thay k ye kahan tak jati hain aur lamhon mein poora nahi tou adha campus nehar k dono kinaron per hamare sath chal raha hota tha :)
                        "All I have learned from Life is that I know nothing."

                        Comment

                        • #57
                          Re: Mujy yaad hay zara zara

                          Originally posted by Gul-e-Lala View Post

                          achaaa ji ...?:cc: par mujhy to naheen yad ..:khi:
                          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                          Comment

                          • #58
                            Re: Mujy yaad hay zara zara

                            Originally posted by aabi2cool View Post
                            achaaa ji ...?:cc: par mujhy to naheen yad ..:khi:
                            yani memory lost??? kab hua ye hadsa? waise aap ko yaad ho bhi kese sakta hai kyunk BRB neher Kharyan mein tou hai na :khi:
                            "All I have learned from Life is that I know nothing."

                            Comment

                            • #59
                              Re: Mujy yaad hay zara zara

                              Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                              yani memory lost??? kab hua ye hadsa? waise aap ko yaad ho bhi kese sakta hai kyunk BRB neher Kharyan mein tou hai na :khi:
                              BRB U MEAN BAMBAN WALI RAWI:)
                              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                              Comment

                              • #60
                                Re: Mujy yaad hay zara zara

                                Originally posted by aabi2cool View Post
                                BRB U MEAN BAMBAN WALI RAWI:)
                                han na wohi Lahore wali neher
                                "All I have learned from Life is that I know nothing."

                                Comment

                                Working...