Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Agar aap ko aik choice di jayé

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Agar aap ko aik choice di jayé

    Agar aap ko aik choice di jaye key "Maazi" ya "Mustaqbil" mey aik daur jiyein to aap ki choice kya ho gi?

    kya aap apney haal sey mutmain hein?

    aap ki jo bhi choice hai aap ney us key liye reasons bhi deyni hein...
    Last edited by Z.; 17 December 2006, 15:11.
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Originally posted by Xenya View Post
    Agar aap ko aik choice di jaye key "Maazi" ya "Mustaqbil" mey aik daur jiyein to aap ki choice kya ho gi?

    kya aap apney haal sey mutmain hein?

    aap ki jo bhi choice hai aap ney us key liye reasons bhi deyni hein...
    I will choose future:) ... wajah yeh hai ke mustaqbil aage hota hai aur maazi peeche.. hum loat ker jana pasnd nahi karte.. aage ka safer karna hume pasnd hai.. cursity hi itni hai hume...daikh lijye.. hum yeh duniya daikh chuke hain per i have great curisity ke dosri duniya mein kya hota hoga.. I mean marne ka baad.. hum ne kuch books perhi hai.. life after death etc etc.. per personal experience ki tu baat hi kuch aur hai.. lakeen yeh aik aisi cheez hai jo daymi hai... wapsi ki koi gunjaish nahi... us mein sarkharo hone ke liye hume apna haal better karna hoga taa keh khud ko justify ker sake :insha: ... isi liye hum future choose kareinge.. kyun ke Woh aik aisi jagah hai jahan her kisi ke saath Insaaf hoga....Aur Allah nahi khilaaf akrta apne waade ke(beshak:rose ).. bus duaa yeh hai ke US future mein Woh Allah hume Apne khas bandu mein rakhe(aameen) aur humare sageera aur kabeera gunaho'n ko apne fazal se mauf kare(Aameen).. aur jub tak haal mein hain yaani Is duniya mein tub tak aik aisi Zindagi jiyen jis se humara future yaani aakherat sanwer sake(aameen)... Allah us waqt tak is haal(duniya) mein rakhe jub tak humare Us mein rehne mein behtari aur aafiyat ho(aameen)
    Last edited by ummid; 17 December 2006, 17:17.

    Comment

    • #3
      :thmbup:

      Comment

      • #4
        Originally posted by munda_sialkoty View Post
        Well...i would choose to go back....almost 10 years back...mein ne apne mazi mein kuch ghaltiyaan ki hein, (not in sense of sins) but apni practicle life mein...i would prefer to avoid repeating these mistakes to have a better future :)
        hmm... i think aamir peeche loat ker jana bewaqoofi hogi.. Aap aage barhiye aur past mein ki hoi un mistakes ko zaihan mein rakhte hoye her kaam kijye... taakeh aap apna future bright ker sakein(:insha: )... ho sakta hai past mein ki hoi aap ki woh mistakes aap ke haq mein behtar ho... ager aap mazzi mein jayenge aur unhe sudhaar ker aap jub tak loteinge tub tak kahein aage ke raaste gum na ho jaye.. so go ahead...:thmbup:
        best of luck for you future...:phool:
        khush rahiye..:rose
        Last edited by ummid; 18 December 2006, 12:16.

        Comment

        • #5
          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          Well...i would choose to go back....almost 10 years back...mein ne apne mazi mein kuch ghaltiyaan ki hein, (not in sense of sins) but apni practicle life mein...i would prefer to avoid repeating these mistakes to have a better future :)
          :slap: jaoo........ak dafa insaan bannay kee nakam khawahish kery ga:tasali:

          Comment

          • #6
            Originally posted by ummid View Post
            hmm... i think aamir peeche loat ker jana bewaqoofi hogi.. Aap aage barhiye aur past mein ki hoi un mistakes ko zaihan mein rakhte hoye her kaam kijye... taakeh aap apna future bright ker sakein(:insha: )... ho sakta hai past mein ki hoi aap ki woh mistakes aap ke haq mein behtar ho... ager aap mazzi mein jayenge aur unhe sudhaar ker aap jub tak loteinge tub tak kahein aage ke raaste gum na ho jaye.. so go ahead...:thmbup:
            best of luck for you future...
            khush rahiye..:rose
            :phool:kia baat hy really nice reply

            Comment

            • #7
              Originally posted by Xenya View Post
              Agar aap ko aik choice di jaye key "Maazi" ya "Mustaqbil" mey aik daur jiyein to aap ki choice kya ho gi?

              kya aap apney haal sey mutmain hein?

              aap ki jo bhi choice hai aap ney us key liye reasons bhi deyni hein...

              Hazrat Ali ka qool hai kay "aanay wala kal kisi nay daikha nahee, janay walay kal par rona fazool hai, jo hai woh AAJ hai, iski qadar karo...."

              is leay maiN apnay "Haal" main khush hoon, :lpop:
              That's Enough...!!

              Comment

              • #8
                Originally posted by ummid View Post
                hmm... i think aamir peeche loat ker jana bewaqoofi hogi.. Aap aage barhiye aur past mein ki hoi un mistakes ko zaihan mein rakhte hoye her kaam kijye... taakeh aap apna future bright ker sakein(:insha: )... ho sakta hai past mein ki hoi aap ki woh mistakes aap ke haq mein behtar ho... ager aap mazzi mein jayenge aur unhe sudhaar ker aap jub tak loteinge tub tak kahein aage ke raaste gum na ho jaye.. so go ahead...:thmbup:
                best of luck for you future...:phool:
                khush rahiye..:rose
                Bari khoobsurat baat ki aap ne...waise mein mazi ki taraf dekhta nahi hon aur yeh bhi janta hoon ke mazi mein jaya nahi ja sakta, yeh to merely aik thought se ziada kuch bhi nahi he...anyways aap ka reply bohat pasand aaya...khush rahiye :phool:
                :thmbup:

                Comment

                • #9
                  Originally posted by Khalil View Post
                  :slap: jaoo........ak dafa insaan bannay kee nakam khawahish kery ga:tasali:
                  Lekin tu to aik baar bhi insaan bananay ka nahi sooch saktay meri jaan murgi ke anday :tasali:
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #10
                    Originally posted by Khalil View Post
                    :phool:kia baat hy really nice reply
                    Tujay is se matlab :slap: ummid ne wo baat hum se kahi :blush: is liye comments dene ka haq bhi hamein he
                    :thmbup:

                    Comment

                    • #11
                      Originally posted by Xenya View Post
                      Agar aap ko aik choice di jaye key "Maazi" ya "Mustaqbil" mey aik daur jiyein to aap ki choice kya ho gi?

                      kya aap apney haal sey mutmain hein?

                      aap ki jo bhi choice hai aap ney us key liye reasons bhi deyni hein...

                      Mei apney haal se mutmain hoon .......... aur shuker adaa kerti hoon ke mei jis qabil hoon ous se barh ker kaam ker rahi hoon ........
                      Rahi baat past aur present mei se kisi ko choose kerne ki .... to yeh mumkin nahi and this is not a fair question as well ......... kiu ke humara past kya tha hum janteyhain future kya hai yaan ho ga no one knows ........ but i will still choose to go for future ........ kiu ke mera future blank hai past mei huwi glation se jo sabaq seekhey hain aur present ki mehnat se mei shayed issey mazeed behter bnaa sakti hoon............... :lpop:
                      sigpic

                      Comment

                      • #12
                        Originally posted by 'Sweet & Sour' View Post

                        Kesi baatein ker rahi hein...Allah Taalah aap ka future bohat achay karay yeh hamari dilli duaa he...be optimistic...think good, do good and have good...Allah Taalah aap ke, hamaray aur sub ke haq mein acha karay...aameen :dua
                        :thmbup:

                        Comment

                        • #13
                          Originally posted by munda_sialkoty View Post
                          Kesi baatein ker rahi hein...Allah Taalah aap ka future bohat achay karay yeh hamari dilli duaa he...be optimistic...think good, do good and have good...Allah Taalah aap ke, hamaray aur sub ke haq mein acha karay...aameen :dua

                          Agree ............... Suma Ameen ...........
                          but what I meant to say is ........ ke humara future humarey liyeh ek blank screen ki tarah hota hai we dont come to know what's gonna appear on display ... unless and until it really comes ........ so issi tarah humara future kya hai kaisey hai we know nothing ..........
                          sigpic

                          Comment

                          • #14
                            Originally posted by 'Sweet & Sour' View Post
                            Agree ............... Suma Ameen ...........
                            but what I meant to say is ........ ke humara future humarey liyeh ek blank screen ki tarah hota hai we dont come to know what's gonna appear on display ... unless and until it really comes ........ so issi tarah humara future kya hai kaisey hai we know nothing ..........

                            I think i misinterpreted ur last reply.....now i got u....anyways be positive kuriye, just like shairni
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #15
                              Originally posted by 'Sweet & Sour' View Post
                              Mei apney haal se mutmain hoon .......... aur shuker adaa kerti hoon ke mei jis qabil hoon ous se barh ker kaam ker rahi hoon ........
                              Rahi baat past aur present mei se kisi ko choose kerne ki .... to yeh mumkin nahi and this is not a fair question as well ......... kiu ke humara past kya tha hum janteyhain future kya hai yaan ho ga no one knows ........ but i will still choose to go for future ........ kiu ke mera future blank hai past mei huwi glation se jo sabaq seekhey hain aur present ki mehnat se mei shayed issey mazeed behter bnaa sakti hoon............... :lpop:
                              best of Luck for your future saiam de... Allah kare aap ka future bauaht bright sa ho "(aameen)... aur bauaht saari khushyaan aap ke future mein aap ke liye wait ker rahi ho(Aameen)... be happy shappy always...

                              Comment

                              Working...
                              X