Urdu ki kitab mey aik nazam thi ...ho sakta hai aap ko bhi yaad ho ..... :P
chalein nahi yaad to mey bata deyti hun
chalein nahi yaad to mey bata deyti hun
Insaano key dil mey bacho
ik payaar ka darya behta hai
jo aankh sey ojhal rehta hai
ik payaar ka darya behta hai
jo aankh sey ojhal rehta hai
leykin dunya mey kabhi kabhi
lagta hai kuch itna acha
wo chaand ki jhil mil kirnein hon
ya rim jhim paani barish ka
ya aeysa ho insaan koi
jo itna payaara hamein lagey
hum bol nahi kuch paatey hein
chup chaap kharey reh jaatey hein
lagta hai kuch itna acha
wo chaand ki jhil mil kirnein hon
ya rim jhim paani barish ka
ya aeysa ho insaan koi
jo itna payaara hamein lagey
hum bol nahi kuch paatey hein
chup chaap kharey reh jaatey hein
tab aik anokhey jadu sey
barish hoti hai lafzon ki
jo geet rasseela gaatey hein
aur hum shayar ban jaatey hein
barish hoti hai lafzon ki
jo geet rasseela gaatey hein
aur hum shayar ban jaatey hein
jab dil per chot lagey gehri
aur ansoo peena mushkil ho
asaan lagey bas mar jana
dukh seyh ker jeena mushkil ho
aur ansoo peena mushkil ho
asaan lagey bas mar jana
dukh seyh ker jeena mushkil ho
tab aik anokhey jadu sey
hoti hai barish lafzon ki
jo geet raseela gaatey hein
aur hum shayar ban jaatey hein
tha koi zamaana jab shayar
jadugar samjhey jatey they
kya sach much hein wo jadugar
ye bheyd kisi ney kab paya!
ik baat magar sab ney maani
jab dil sey nikley shayr koi
ker deyta hai hum per jaadu
wo sab ko acha lagta hai
aur bilkul sacha lagta hai
hoti hai barish lafzon ki
jo geet raseela gaatey hein
aur hum shayar ban jaatey hein
tha koi zamaana jab shayar
jadugar samjhey jatey they
kya sach much hein wo jadugar
ye bheyd kisi ney kab paya!
ik baat magar sab ney maani
jab dil sey nikley shayr koi
ker deyta hai hum per jaadu
wo sab ko acha lagta hai
aur bilkul sacha lagta hai
.....
Comment