Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Jab hum chotey they!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Jab hum chotey they!

    Urdu ki kitab mey aik nazam thi ...ho sakta hai aap ko bhi yaad ho ..... :P
    chalein nahi yaad to mey bata deyti hun

    Insaano key dil mey bacho
    ik payaar ka darya behta hai
    jo aankh sey ojhal rehta hai


    leykin dunya mey kabhi kabhi
    lagta hai kuch itna acha
    wo chaand ki jhil mil kirnein hon
    ya rim jhim paani barish ka
    ya aeysa ho insaan koi
    jo itna payaara hamein lagey
    hum bol nahi kuch paatey hein
    chup chaap kharey reh jaatey hein


    tab aik anokhey jadu sey
    barish hoti hai lafzon ki
    jo geet rasseela gaatey hein
    aur hum shayar ban jaatey hein


    jab dil per chot lagey gehri
    aur ansoo peena mushkil ho
    asaan lagey bas mar jana
    dukh seyh ker jeena mushkil ho


    tab aik anokhey jadu sey
    hoti hai barish lafzon ki
    jo geet raseela gaatey hein
    aur hum shayar ban jaatey hein

    tha koi zamaana jab shayar
    jadugar samjhey jatey they
    kya sach much hein wo jadugar
    ye bheyd kisi ney kab paya!


    ik baat magar sab ney maani
    jab dil sey nikley shayr koi
    ker deyta hai hum per jaadu
    wo sab ko acha lagta hai
    aur bilkul sacha lagta hai


    .....
    Last edited by Z.; 29 October 2006, 23:32.
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Jab hum chotey they!

    Buhut zabardast ..........
    wese yeh humarey syllabus mei to nahi thi, magar parh ker buhut achi lagi, thanks for sharing Gul :phool:
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Jab hum chotey they!

      Beautiful poem.:blush: ...Thanks for sharing:phool: barg-e-gul jee

      Comment


      • #4
        Re: Jab hum chotey they!

        @ Saima sis

        thanks .... where u have been disappeared??



        @fari

        you welcome :P
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #5
          Re: Jab hum chotey they!

          Wo din kitney achhey thay
          Jab ham chhotey thay

          Kabhi half, kabhi full pant pehna kartey thay
          Padosiyon ko satatey
          Ilahi chacha ka amrood churatey
          Kabhi cinema dekhney chaley jaatey
          Kabhi tairney nadi bhag jaatey

          Ghar aatey to Abbu se maar khatey

          Class ke baad 1 ka sikka haath mein miltay
          1 Rupee lekar Bashir ka chaat dukan jaatye
          50 ka khatey, 50 bachatey
          Badley mein Bashir ka tyre puncture kar aatey

          Kya dhoom kya dharka
          Kya mauj kya masti ke din thay
          Wo din kitney achhey thay
          Jab ham chhotey thay


          This is not poem...
          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

          Comment


          • #6
            Re: Jab hum chotey they!

            ni mujy nahi yaad..........

            Comment


            • #7
              Re: Jab hum chotey they!

              :D Ahan boht khoob gul ji.....:blush:
              lekin ye to hamaray syllabus mein bhi nahin thi :embarasse
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: Jab hum chotey they!

                acha app kabhi chotay bhi thay gud

                Comment


                • #9
                  Re: Jab hum chotey they!

                  Zabar10
                  sigpic

                  Comment


                  • #10
                    Re: Jab hum chotey they!

                    Originally posted by <> View Post
                    acha app kabhi chotay bhi thay gud


                    q aap nahin thay kia:hhh:
                    sigpic

                    Comment


                    • #11
                      Re: Jab hum chotey they!

                      Originally posted by barg.e.gul View Post
                      @ Saima sis

                      thanks .... where u have been disappeared??

                      mei ek ouran tashtari mei baith gayi thi yeh samajh ker ek nakli hai, magar wo mujhe lai ouri :p :hehe:
                      sigpic

                      Comment


                      • #12
                        Re: Jab hum chotey they!

                        Originally posted by Sweet & Sour View Post
                        mei ek ouran tashtari mei baith gayi thi yeh samajh ker ek nakli hai, magar wo mujhe lai ouri :p :hehe:
                        shuker hy os main ALiens nahi thy sab apny hee bandy thy:ghug:

                        Comment


                        • #13
                          Re: Jab hum chotey they!

                          Originally posted by Khalil View Post
                          shuker hy os main ALiens nahi thy sab apny hee bandy thy:ghug:

                          haan magar aliens dekhney ki meri khuwahish hasrat ban ker reh gayi :lol
                          sigpic

                          Comment


                          • #14
                            Re: Jab hum chotey they!

                            Originally posted by Sweet & Sour View Post
                            mei ek ouran tashtari mei baith gayi thi yeh samajh ker ek nakli hai, magar wo mujhe lai ouri :p :hehe:
                            ... phir tum ney itni batein ki hongi itna dimagh chata hoga un becharon ka keh unhon ney emergency meeting bulaii ho gi aur tumhein foran sey pehley chorr ker bhag gaey hon gey :khi: aur phir uskey baad duniya ka rukh nahin kiya ho ga :p
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #15
                              Re: Jab hum chotey they!

                              Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post


                              q aap nahin thay kia:hhh:

                              awain likh dia tha na :P

                              Comment

                              Working...
                              X