Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
'Express yourself'
Collapse
X
-
Re: Express yourself
Originally posted by Masood View PostLagta hai keh ab mood serious hai khala ka to serious hi jawab dena parrey ga ....
Dekho Shy, aisi nobat wahan aati hai jab insaan GHUSSEY mein ho. Ghussa aqal ko khaa jata hai aur jab aqal hi ma'oof ho jaey to insaan kya soch sakta hai keh kya kar raha hai? Aisey mein zaroorat is amar ki hai keh fil'waqt unhein unkey haal per chhorr diya jaey - ghussey ki halat mein koi kisi baat ko nahin smajh pata. Jab zara thandak ho aur dono fareeqain us masley ka hal chahtey hon to aik samajhdar ko munsif karein lein jo ghair'janibdar ho. Dono ki baat suney aur phir us ka hal nikaley...
Aisi soorat-e-haal hamarey muashrey mein aksar dekhney mein aati hai, kyunkeh ham logon ka khoon garam hai, aur baat baat per jhagrra karney per aa jatey hain to aisi soorat-e-haal aksar pedah ho jati hai...
Comment
-
Re: Express yourself
Originally posted by shy View Posthaal par chor dene se bhi masla hal nahi hota ho to??bazurg hi jab bache ban jaen or apas me dushmani bana lein to bache bechare kia karen??:pagal:tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Express yourself
Originally posted by Masood View PostTumhara ta'aluq kahin hathora group sey to nahin :pIf Allah brings you to it, He will bring you through it.
Happy moments, praise Allah.Difficult moments, seek Allah.Quiet moments, worship Allah.Painful moments, trust Allah.Every moment, thank Allah.
Comment
-
Re: Express yourself
Originally posted by Masood View PostBuzurgon ko samjhana aasan nahin hota - is koshish mein insaan nafarman bhi ho sakta hai, aur yeh bhi keh "tum ham sey ziyada jantey ho" waghera - lekin zahir hai buzurg bhi ghaltiyaan kartey hain. Zaroorat is baat ki hai keh un dono ko samjhaney ki koshish ki jaey nahin to kam sey kam aik ko hi samjhaya jaey keh yeh aap ko zaib nahin deta - aap sochein to ghalti per hain - aaram sey pyar sey unhein samjhana chahiye...
Comment
-
Re: Express yourself
Originally posted by shy View Postkia wo samjh jaen ge??uncle joote na par jaen kahin:blush:tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Express yourself
Originally posted by Masood View PostDekho Khala - baat yeh hai keh har insaan ghalti ka putla hai - kya buzurg kya bachey - har bandah ghalti karta hai. Jo apni ghalti ko maneney ki bjaey ulta ho jaey - ussey ghalban koi bhi hadayat nahin dey sakata - aap siraf unhein samjhaaney ki koshish kar sakti hain, samjhein na samjhein unka kaam hai. Aap un sey yun baat shuru kijiye: dekhiyey aik lamhey ko aap hamari jagah per aa jaein aur hamein apni jagah per samjhein - hamein larrta huwa dekhein gey to kya aap hamein samjhaney ko koshish karein gey keh nahin? agar woh kahein keh karein gey: to samjho baat baney gi aur sari kahani biyaan kar do :p
Comment
-
Re: Express yourself
Originally posted by shy View Postkash ye baat itni hi asaan hoti jitna asaani se aap ne kahi:) really its v depressing k ham jin ki izat karte hen jin se piyar karte hen un ke beech takseem ho kar reh jaen.do log opposite directions me chalte hon to un me se kon sahi he kon sahi nahi he is ka fesla karna tak mujhkil ho jata he
Hamein zaroorat is amar ki hai keh dono ki baat sunein aur unhein sari haqeeqat biyaan karney ki ijazat di jaey uskey baad apni soch apni bisarat key mutabiq faisla dein.....tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Express yourself
Originally posted by Masood View PostShy bohat puraney zamaney mein har sach aur jhoot ka faisla fori tor per ho jaya karta tha, is tarha keh jab jo fareeqain key darmiyan aisa faisla maqsood hota to uska tareeqa tha, maslan qurbani karna aur paharr per rakh dena agar qurbani jal jati to woh bandah sacha hota, Hazrat Nooh AS key zamaney mein kashti thi, sacha aur jhoota us per haath rakhtey agar kashti dolney lagti to woh bandah jhoota hota - isi tahra ... Magar Nabi Kareem SAW key baad Allah Tala ney farma diya keh yahan sey sachaii aur jhoot ka faisla siraf usi din ho ga jo yom-e-hashar hai. Aur kaun sacha hai kaun jhoota ussey Allah hi jantey hain.
Hamein zaroorat is amar ki hai keh dono ki baat sunein aur unhein sari haqeeqat biyaan karney ki ijazat di jaey uskey baad apni soch apni bisarat key mutabiq faisla dein.....
Comment
-
Re: Express yourself
Originally posted by Xenya View PostKehtey hein jismani chotein theek ho jati hein leykin agar Insaan ki rooh per koi chot lagey to ussey theek honey mey saddiyan lag jati hein ....waqai??
sahi kaha ............. tum akser aisi anokhi aur gehri batein kiu kerti ho .. khair hai na :mm:
sigpic
Comment
-
Re: Express yourself
Aaj saturday hai ... it was suppose to be off ..... magar humein aana para ............. we are just cursing our bosses :fuming: :fuming: :fuming:
8 din ki chutti ke baad aaj subah outh ker aana ................. kitna zulm haisigpic
Comment
-
Re: Express yourself
Originally posted by 'Sweet & Sour' View PostAaj saturday hai ... it was suppose to be off ..... magar humein aana para ............. we are just cursing our bosses :fuming: :fuming: :fuming:
8 din ki chutti ke baad aaj subah outh ker aana ................. kitna zulm hai:thmbup:
Comment
-
Re: Express yourself
Originally posted by munda_sialkoty View Postyeh zulm hona he chahiye aap per :na: hud hoti he bei, do din ki eid aur inni wari chutiyaan :fuming:
yeh baat ager kisi aur ne kahi hoti to shayed mei maan leti magar aap to ho hi mere sadabahaar dushman ........... aap ko kya khoon .........sigpic
Comment
Comment