Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

'Express yourself'

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: 'Express yourself'

    aaj bohat thakan ho gai:blush:

    Comment

    • Re: 'Express yourself'

      A zindagi tumhare roop bhi anokhay hain...kisi ko be panah khushiyan deti ho kisi se khushiyan aisay chhenti ho jaisay us ka koi haq nahi.........phir woh insaan is bhari duniya mein tanha reh jata hai........A zindagi kisi ko tu shahad ki tarah meethi lagti ho kisi k liye zehar kion ban jati ho............kabhi sochta hoon zindagi se bahoot door chala jaoon jahan zindagi ka saya bhi na pahonchay
      sigpic

      Comment

      • Re: 'Express yourself'

        Originally posted by WASI ANJUM View Post

        v soon sabhi ko wahin jana he is zindagi se door aik nai dunya aik nai zindagi me,lekin jab tak is dunya me hen to is zindagi ko face karna chaey:comfort:

        Comment

        • Re: 'Express yourself'

          aaj bohat kam ha
          samjh nahin a rahi kahan se start karon

          Comment

          • Re: 'Express yourself'

            kuch log kitaboon ki tareah hotay hain kuch diary ki tarah jin k saath her baat share ki ja sakti hai........kuch chehray bazahir to khoobsurat nahi hotay lekin un k ander kai khoobiyan hoti hain....kuch log dekhnay mein sakhat mizaj hotay hain lekin woh under se bahoot naram dil hotay hain kuch log her waqat muskrate rehtay hain lekin woh dil main kai toofan chhupai hotay hain kuch log aankhen nahi hotay huay bhi dekhnay ki salahiyet rakhte hain sab kuch mehsoos karte hain lekin kuch log aankhen hotay huay bhi andhe hain kisi k aansoo un ko nazar nahi aatay kuch log jaan kar bhi anjaan hotay hotay hain kuch log kuch janay bina he sab kuch jaan lete hain
            sigpic

            Comment

            • Re: 'Express yourself'

              aaj pata nahin kyoun aesa lag raha ha k jesay sar phat jaye ga.

              Comment

              • Re: 'Express yourself'

                Aansoo insaan ki aankhoon ka zewar hain kabhi kabhar hum bahoot dukh honay k bawajood ek aansoo nahi baha sakte aur kabhi kabhar ek chhoti si khushi milti hai to aankhoon se be ikhtiyar aansoo nikal aatay hain insaan k aansoo mein kisi ka intazzar , bebasi, khuloos, musarat, sachai, aur mohabbat jese ehsaas chhupay hain un aankhoon ka hansna ya rona he kiya jin mein aansoo na hoon aansoo ek haqiqat ka roop hain un mein dilkashi hoti hain ek aansoo woh kaam kar sakta hai jo hum nahi kar sakte

                  Aap larkay hein ya larki :lpop:
                  :thmbup:

                  Comment

                  • Re: 'Express yourself'

                    kal se americans ki pakistan me kha makha ki aniyaan jaaniyan dekh kar mera khoon khol raha he:fuming:akher ye log hamari jaan kion nahi chor dete,i hate americans

                    Comment

                    • Re: 'Express yourself'

                      aaj bohat thakawat ho rahi ha
                      pata nahin q kam bhi itna nahin kiya
                      shayed neend poori nahin

                      Comment

                      • Re: 'Express yourself'

                        Originally posted by hamzad View Post
                        kal se americans ki pakistan me kha makha ki aniyaan jaaniyan dekh kar mera khoon khol raha he:fuming:akher ye log hamari jaan kion nahi chor dete,i hate americans
                        :kr::kr::kr:yeh un ka pyaar he, tum un ke pyar ko kabi nahi samjo gi
                        :thmbup:

                        Comment

                        • Re: 'Express yourself'

                          Originally posted by baqarkashmiri View Post
                          aaj bohat thakawat ho rahi ha
                          pata nahin q kam bhi itna nahin kiya
                          shayed neend poori nahin
                          jo soota he, wo khota he

                          is liye tu jaldi se soo ja :kr::kr::kr::kr:
                          :thmbup:

                          Comment

                          • Re: 'Express yourself'

                            Mein kia bataon, aaj itna kaam tha, itna kaam tha, itna kaam tha, itna kaam tha, ke :blush:
                            :thmbup:

                            Comment

                            • Re: 'Express yourself'

                              Hum sab ko kisi na kisi ka intazzar hota hai kisi ko kisi k aanay ka aur kisi ko kisi k janay ka intazzar kisi bhi roop mein ho bahoot tarpata hai intazzar ka her lamha bedard hota hai intazzar k bahhot se marahil hotay hain jab sab marahil tai karne k baad bhi kuch nahi milta to ummid k diye bujhne lagte hain.......intazzar chahy kisi ka bhi ho bahoot buri cheez hai intazzar
                              sigpic

                              Comment

                              • Re: 'Express yourself'

                                Originally posted by WASI ANJUM View Post
                                Hum sab ko kisi na kisi ka intazzar hota hai kisi ko kisi k aanay ka aur kisi ko kisi k janay ka intazzar kisi bhi roop mein ho bahoot tarpata hai intazzar ka her lamha bedard hota hai intazzar k bahhot se marahil hotay hain jab sab marahil tai karne k baad bhi kuch nahi milta to ummid k diye bujhne lagte hain.......intazzar chahy kisi ka bhi ho bahoot buri cheez hai intazzar
                                Aap kabi khush bhi hotay hein ya :donno:
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X