Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~Ham Roshan Khyal Kese Banen?~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ~*~Ham Roshan Khyal Kese Banen?~*~

    Originally posted by Masood View Post
    Roshan khiyaal koi ghalat baat nahin!! Agar aap mazhabi hadood mein rah ker roshan khiyali ka mazahira kartey ho to yeh bohat achhi baat hai. Maslan. Aap apni naujawan beti ko aala taleem hasil kerney key akela Europe bhejein aur aap ko us per 100% yaqin ho keh woh khud per is tarha control rakhey gi keh mazhabi, ikhlaqi, samajhi aur shakhsi qadron ko majrooh nahin honey dey gi - aur har achha ilm hasil karey gi - yeh roshan khiyali hai.

    Apney aap ko waqt key saath badalna koi ghalat baat nahin, balkey kamyaab insaan wohi hai jo khud ko waqt key mutabiq dhaaley. Agar ham aaj sey 1400 saal pehley waley Islam ka ijraa karna chahtey hain to yeh mumkin nahin, waqt bohat badal chuka hai. Yahan per roshan khiyali ki zaroorat hai lekin is tarha keh Islam ki jo buniyaadi qadrein hain unhein majrooh na honey diya jaey - unhein hadon mein rah ker naey asool, naey zabtey apnaey jaein - magar is baat ki har giz ijazat nahin keh Aazan ho rahi ho aur aap full music sun rahey hon....
    Mein aap ki is baat se agree nahi kerta. Aap isay tang-nazri kahein ge, kahein ge na, janta hoon aap kahein ge. mere khyaal mein ager aik aurat mehram ke bagair ager Huj nahi ker sakti to yeh kese jaiz he ke wo akeeli kisi doosray mulk ja ke taleem hasil karay. Ager aap roshan khyaal hein to aap bhi apni behan, beti, bivi ke saath doosray mulk jaiye aur jub tak wo taleem hasil kerti hein un ke saath rahiye.

    Islam sirf baatniyat ka mazhab nahi, is mein zahriyat ke bhi kuch pehlu moojood hein. Hum loog kehtay hein ke aurat be-parda rahay is se koi farak nahi perta, perda to dil mein aur aankhon mein hota he, its all foolish. Aisi baatein ker ke hum apne dil ko tasali de saktay hein lekin apne mazhab ke saath justify nahi ker saktay. Hope you get me.
    :thmbup:

    Comment


    • #17
      Re: ~*~Ham Roshan Khyal Kese Banen?~*~

      Originally posted by Masood View Post
      to MOMIN kisey kehtey hain????
      Mein jaanta hoon ke jo mein ne rooshan khyaal honay ki wazahat ki, wohi wazahat aik mooman ki bhi he. Aap rooshan khyaali ko pehlay achi tarah se samaj lijiye, aur jub aap samaj lein ge to aap yeh jaan jaein ge ke Aik Mooman he rooshan khyaal hota he.

      Aur jis tarah ke so-called rooshan khyaali ka aaj kul tazkara he, mein usay be-gairti ka naam doon ga
      :thmbup:

      Comment


      • #18
        Re: ~*~Ham Roshan Khyal Kese Banen?~*~

        Originally posted by shy View Post
        bilkul yehi sab kuch me bhi sochti hun k asel roshan khiyali kia he.lekin bush jis tarah ka roshan khyal ham ko bnana chahata he wo to ghalazt ke garhe me girne wali baat he jis me sari qom ko girane ke leay ham ki hakoomat or seyasat daan sab shamil hen.afsos to is baat ka hota he k bush ke sath kandhe se kandha milaey hamare apne hi ye sab kuch kar rahe hen or kuch moamlat me shae ye us bhi age nikal jate hen.
        or music wali misal me ne bator tanz di thi:blush: wese me ne to sab kuch tanz tanz me hi likha tha par shaed aap ko nahi laga
        Mujay yeh samaj nahi aati ke hum loog bush ki baaton ko aik standard aik meyaar aik peemana kyoon samaj lete hein. Aap ne tanz mein likha, mazak mein likha, serious ho ke likha, mein to apna humble view point pesh ker raha hoon and still you don't need to agree from all my points. You must have your own assessment power and evaluation capability in order to sort the things out.
        :thmbup:

        Comment


        • #19
          Re: ~*~Ham Roshan Khyal Kese Banen?~*~

          Bohut hi Behas Talab topic le kar ayee hain aap ....... Insha ALLAH is par aab say tafseeli baat karun ga lekin abhi time kam hai lehaza aik do din baad reply karun ga. ......... Ah0o0
          :rose :rose Apna Khyal Rakhiye Ga aur Ager Ho Sake Tu Dosroun Ka bhi :rose :rose

          Comment


          • #20
            Re: ~*~Ham Roshan Khyal Kese Banen?~*~

            Originally posted by Masood View Post
            aap drust kehti hain, hamari aik buzurg aunty hain, pakistan mei hoti hai aik din kehney lagin keh main to tasbeeh per koi indian gana gaa ker aai hoon keh saath waley ghar mein itni oonchi aawaz sey gana laga huwa tha :D
            shuker he ham ke parosi esa nahi karte lekin functions me akser esa hota he:blush:

            Comment


            • #21
              Re: ~*~Ham Roshan Khyal Kese Banen?~*~

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              Mujay yeh samaj nahi aati ke hum loog bush ki baaton ko aik standard aik meyaar aik peemana kyoon samaj lete hein. Aap ne tanz mein likha, mazak mein likha, serious ho ke likha, mein to apna humble view point pesh ker raha hoon and still you don't need to agree from all my points. You must have your own assessment power and evaluation capability in order to sort the things out.
              ham kab banate hen bush devil ko standerd ye to ham ki govt n ham ke seyasat daan hen jo us ko sir charha rakha he warna mere samne aey tokuch lafz hen jin ko har waqt sun sun kar ab chir hone lagi he,roshan khiyali,dehshat gardi,inteha pasandi:pagal: or ye sab ke sab ham ke khilaf aik chaal he or andhe ko bhi nazer ata he k ye kia ho raha he par ager kisi ko nahi nazer ata to wo ham ke aqal se andhe idiot kisam ke hukmaran hen ya seyasat daan hen

              Comment


              • #22
                Re: ~*~Ham Roshan Khyal Kese Banen?~*~

                Originally posted by F-A-L-A-K View Post
                Bohut hi Behas Talab topic le kar ayee hain aap ....... Insha ALLAH is par aab say tafseeli baat karun ga lekin abhi time kam hai lehaza aik do din baad reply karun ga. ......... Ah0o0
                u ke tafsili reply ka intezar rahe ga :)

                Comment

                Working...
                X