Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~Ham Roshan Khyal Kese Banen?~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~Ham Roshan Khyal Kese Banen?~*~

    :blush:
    Attached Files

  • #2
    Re: ~*~Ham Roshan Khyal Kese Banen?~*~

    Khala baad mein reply karoon ga abhi yahan subah subah ka waqt hai aur abhi nashta bhi nahin kiya :p
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #3
      Re: ~*~Ham Roshan Khyal Kese Banen?~*~

      Bohat acha topic start kia he aap ne. Sub se pehlay hamein samajna ho ga ke Rooshan-Khyaali kia bala he aur Intha-pasandi ya fundamentalism kia cheez he, aur phir hum soochein ge ke hamein koon sa raasta apnana chahiye.

      Hamara sub se bara masla yeh he ke hum kisi lafz ki hakeekat janay bagair usay mehsoos rang de dete hein. Rooshan khyaali ke bazahir maani hein wo shakhs jis ke khyaalat rooshan hoon wo rooshan khyaal he. Dar-Hakeekat her wo shakhs rooshan khyaal he jis ka dil aur khyaalat islam ke noor se munawar he, jo kisi se daga nahi kerta, jo kisi ke paisay ko apna paisa nahi samajta, jo kisi ha haq nahi maarta, jo kisi ko takleef dene ke liye saazish nahi kerta, jo apne zoor-e-baazu aur us se berh ker apne Rub pe bharoosa kerta he, jo loogon ke hakook ka ehtaraam kerta he, jo kanoon ka ehtaraam kerta he aur yeh aik pakka musalmaan he ho sakta he. Lekin hum ne bazat-e-khud rooshan khyaali ki istalahaat badal ke rakh di hein. Hum rooshan khyaali ko ghalat maanon mein lete hein, auraton ka ser per dupata na lena, partiyon mein jaan chalkana, be-heyai aur uryaaniyat ka irtkaab kernay ko hum rooshan khyal kehtay hein. Jis society mein bhai apni behnon ko apne dooston se introduce kerwatay hein, hum loog aisay loogon ko bohat rooshan-khyaal gardaantay hein. Doosray lafzon mein angreezon ke culture ko follow kernay ko aur mazhab se hut ke moaasharay ke saath chalnay walay ko rooshan khyaali se mansoob kia jata he. Its all stupid. Pakeeza khyaalaat he rooshan khyaal ho saktay hein, ganday khyalat ko rooshan khyaali se mansoob kerna bilkul gair munasib he.

      Ub aatay hein intha-pasandi, extremism ya fundamentalism ki taraf. Yani jo musalman islaam ki bunyaadi taalemat per sakhti se amal kerta he usay fundamentalist kehtay hein. Koi bhi musalman jub tak fundamentalist nahi, aik hakeeki musalman nahi. Yeh baat yaad rakhiye, musalmanon per fundamentalist hona lazim he. Hum fundamentalism ko zaeeif-ul-aitkaadi (orthodox believes) aur terrorism se joornay ki kooshish kerte hein. Halanke aisa nahi he. Islam Aitdaal ka ders deta he, islam to gair-musalmaanon ke saath achay salook ka ders deta he, Islam auraton ke hakook pura kerne ka ders deta he. Allah taalah musalmanon ko Hakook-Allah to moaaf ker de ga lekin hakook-ul-abad nahi moaaf karay ga, aur yahi islaam ki rooshan khyaali he. Islam Auraton ki taleem ka ders deta he, yehi rooshan khyaali he, islam aurat ko warasat mein hisa deta he, yahi rooshan khyaali he. Islam na-inaafi pasand nahi kerta, yahi rooshan khyaali he.

      Hamein rooshan khyaali aur Fundamentalism per soochnay se pehlay apne nazriyaat pe nazar-saani kerne ke zaroorat he aur yeh baat jannaay ki zaroorat he ke rooshan khyaali der-hakeekat hay kia. Jub hum is ka sahi matlab samaj jaein ge to hum yeh paaein ge ke hum Musalmaan rooshan khyaal hein aur Hamaraz Mazhab islam rooshan khyaali ka mazhab he.

      Aap ne reference diya Mooseeqi aur aap ne isay rooh ki giza kaha, ghalat he yeh sub. Jo bhi music hamein acha lagay ya bura, us ki katei mamaneyat he islam mein. Her tarah ke musical instruments haram hein musalmaanon per siwaye one-sided duff ke. Hum loog, islam ke raastay se hutnay ko ager rooshan khyaali ka naam dena chahein to aisi rooshan khyaali pe laanat he.
      :thmbup:

      Comment

      • #4
        Re: ~*~Ham Roshan Khyal Kese Banen?~*~

        Originally posted by munda_sialkoty View Post

        :clap: good job Aamir..
        exellent..
        waqai aap per humare saath ka asar ho raha hai......lolzz..
        really great..:rose

        Comment

        • #5
          Re: ~*~Ham Roshan Khyal Kese Banen?~*~

          Originally posted by ummid View Post
          :clap: good job Aamir..
          exellent..
          waqai aap per humare saath ka asar ho raha hai......lolzz..
          really great..:rose
          thanx :blush:
          :thmbup:

          Comment

          • #6
            Re: ~*~Ham Roshan Khyal Kese Banen?~*~

            Ji Khala... bohat achha likhti ho jab bhi likhti ho.. (meri sohbat ka asar hai :p)

            Mazhabi intihaa pasandi koi aaj ki tarkeeb nahin balkey yeh bohat purani tarkeeb hai. Europe mein kaleesa (church) ney jab har jaiz-na'jaiz tareeqey sey apni bartari (zulm-o-istabdaad key saath) barqrar rakhni shuru kar di to kuchh ROSHAN KHIYAAL log (jaisey Martin Luther King) pedah huwey jinho ney kaleesa ki mukhalfat karna shuru kar di aur kaleesa ka zor torrna shuru kar diya. Kaleesa waley Martin Luther King aur uskey hamiyon ko roshan khiyal, baaghi aur patah nahin kin kin alqaab sey nawaztey aur Luther King key hami kaleesa ko fundamentalist aur zulm ka hami kehta....

            Maujoodah dor mein maghrib aur Islam ki jo jang shuru ho chuki hai, us mein yeh tarakeeb phir sey sar uthana shuru ho gaii hain. Jaisa Aamir ney kaha, koi musalmaan us waqt tak musalman nahin ho sakta jab tak woh fundamentalist na ho. Har woh insaan jo apney kisi kisam key aqeedey/asool mein jab intihaa ko pohanch jaey ussey fundamentalist kehtey hain.

            Bush bazaat-e-khud aik bohat bada fundamentalist hai, yahoodi jo apney bachon sey bombs per sign karwatey hain woh buri had tak fundamentalist hain.

            Islam key liye jo lafz fundamentalist istimaal kiya jata hai woh alfaz ka ghalat mafhoom hai ya yun kah lena chahiye keh issey lughat mein badal diya geya hai - magar jo log Bible ka matan badal saktey hain unkey liye aik lafz ka matlab badalna koi mushkil nahin hota. Isi liye har woh baat jo dehshat'gardi, tehreeb kari aur har ghalat harkat jo ahl-e-islam sey wabasta ki jaey ussey fundamentalism kaha jata hai.

            Hamari badqismati yeh hai keh hamari aqalein bhi muqillad hain. Hamari apni awwam sochey samjhey bghair aisey alfaaz istimaal kerti hai jaisi misaal aap ney di keh Aazan key waqt music band kar diya jaey aur jawab miley keh tum to maulvi ho gaey ho, ya intiha pasand ho gaey ho...

            Roshan khiyaal koi ghalat baat nahin!! Agar aap mazhabi hadood mein rah ker roshan khiyali ka mazahira kartey ho to yeh bohat achhi baat hai. Maslan. Aap apni naujawan beti ko aala taleem hasil kerney key akela Europe bhejein aur aap ko us per 100% yaqin ho keh woh khud per is tarha control rakhey gi keh mazhabi, ikhlaqi, samajhi aur shakhsi qadron ko majrooh nahin honey dey gi - aur har achha ilm hasil karey gi - yeh roshan khiyali hai.

            Apney aap ko waqt key saath badalna koi ghalat baat nahin, balkey kamyaab insaan wohi hai jo khud ko waqt key mutabiq dhaaley. Agar ham aaj sey 1400 saal pehley waley Islam ka ijraa karna chahtey hain to yeh mumkin nahin, waqt bohat badal chuka hai. Yahan per roshan khiyali ki zaroorat hai lekin is tarha keh Islam ki jo buniyaadi qadrein hain unhein majrooh na honey diya jaey - unhein hadon mein rah ker naey asool, naey zabtey apnaey jaein - magar is baat ki har giz ijazat nahin keh Aazan ho rahi ho aur aap full music sun rahey hon....
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • #7

              bilkul yehi sab kuch me bhi sochti hun k asel roshan khiyali kia he.lekin bush jis tarah ka roshan khyal ham ko bnana chahata he wo to ghalazt ke garhe me girne wali baat he jis me sari qom ko girane ke leay ham ki hakoomat or seyasat daan sab shamil hen.afsos to is baat ka hota he k bush ke sath kandhe se kandha milaey hamare apne hi ye sab kuch kar rahe hen or kuch moamlat me shae ye us bhi age nikal jate hen.
              or music wali misal me ne bator tanz di thi:blush: wese me ne to sab kuch tanz tanz me hi likha tha par shaed aap ko nahi laga

              Comment

              • #8
                Re: ~*~Ham Roshan Khyal Kese Banen?~*~

                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                Dar-Hakeekat her wo shakhs rooshan khyaal he jis ka dil aur khyaalat islam ke noor se munawar he, jo kisi se daga nahi kerta, jo kisi ke paisay ko apna paisa nahi samajta, jo kisi ha haq nahi maarta, jo kisi ko takleef dene ke liye saazish nahi kerta, jo apne zoor-e-baazu aur us se berh ker apne Rub pe bharoosa kerta he, jo loogon ke hakook ka ehtaraam kerta he, jo kanoon ka ehtaraam kerta he aur yeh aik pakka musalmaan he ho sakta he.
                to MOMIN kisey kehtey hain????
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • #9
                  Re: ~*~Ham Roshan Khyal Kese Banen?~*~

                  Originally posted by Masood View Post
                  Ji Khala... bohat achha likhti ho jab bhi likhti ho.. (meri sohbat ka asar hai :p)

                  Mazhabi intihaa pasandi koi aaj ki tarkeeb nahin balkey yeh bohat purani tarkeeb hai. Europe mein kaleesa (church) ney jab har jaiz-na'jaiz tareeqey sey apni bartari (zulm-o-istabdaad key saath) barqrar rakhni shuru kar di to kuchh ROSHAN KHIYAAL log (jaisey Martin Luther King) pedah huwey jinho ney kaleesa ki mukhalfat karna shuru kar di aur kaleesa ka zor torrna shuru kar diya. Kaleesa waley Martin Luther King aur uskey hamiyon ko roshan khiyal, baaghi aur patah nahin kin kin alqaab sey nawaztey aur Luther King key hami kaleesa ko fundamentalist aur zulm ka hami kehta....

                  Maujoodah dor mein maghrib aur Islam ki jo jang shuru ho chuki hai, us mein yeh tarakeeb phir sey sar uthana shuru ho gaii hain. Jaisa Aamir ney kaha, koi musalmaan us waqt tak musalman nahin ho sakta jab tak woh fundamentalist na ho. Har woh insaan jo apney kisi kisam key aqeedey/asool mein jab intihaa ko pohanch jaey ussey fundamentalist kehtey hain.

                  Bush bazaat-e-khud aik bohat bada fundamentalist hai, yahoodi jo apney bachon sey bombs per sign karwatey hain woh buri had tak fundamentalist hain.

                  Islam key liye jo lafz fundamentalist istimaal kiya jata hai woh alfaz ka ghalat mafhoom hai ya yun kah lena chahiye keh issey lughat mein badal diya geya hai - magar jo log Bible ka matan badal saktey hain unkey liye aik lafz ka matlab badalna koi mushkil nahin hota. Isi liye har woh baat jo dehshat'gardi, tehreeb kari aur har ghalat harkat jo ahl-e-islam sey wabasta ki jaey ussey fundamentalism kaha jata hai.

                  Hamari badqismati yeh hai keh hamari aqalein bhi muqillad hain. Hamari apni awwam sochey samjhey bghair aisey alfaaz istimaal kerti hai jaisi misaal aap ney di keh Aazan key waqt music band kar diya jaey aur jawab miley keh tum to maulvi ho gaey ho, ya intiha pasand ho gaey ho...

                  Roshan khiyaal koi ghalat baat nahin!! Agar aap mazhabi hadood mein rah ker roshan khiyali ka mazahira kartey ho to yeh bohat achhi baat hai. Maslan. Aap apni naujawan beti ko aala taleem hasil kerney key akela Europe bhejein aur aap ko us per 100% yaqin ho keh woh khud per is tarha control rakhey gi keh mazhabi, ikhlaqi, samajhi aur shakhsi qadron ko majrooh nahin honey dey gi - aur har achha ilm hasil karey gi - yeh roshan khiyali hai.

                  Apney aap ko waqt key saath badalna koi ghalat baat nahin, balkey kamyaab insaan wohi hai jo khud ko waqt key mutabiq dhaaley. Agar ham aaj sey 1400 saal pehley waley Islam ka ijraa karna chahtey hain to yeh mumkin nahin, waqt bohat badal chuka hai. Yahan per roshan khiyali ki zaroorat hai lekin is tarha keh Islam ki jo buniyaadi qadrein hain unhein majrooh na honey diya jaey - unhein hadon mein rah ker naey asool, naey zabtey apnaey jaein - magar is baat ki har giz ijazat nahin keh Aazan ho rahi ho aur aap full music sun rahey hon....
                  jee uncle aap ne sab kuch aik dam sahi kaha,or zaher he waqt bohat badal gya he ab ham purane dor ki tarah ghoron par ya talwar se nahi lar sakte lekin un ki jagah ham jahaz or jadeed hathyar istemal karen ge lekin ye taraki pasand log hamari qom ko hath me guitar de kar ghaflat ki neend sula dena chahte hen or aaj roshan khyali ka bara hi ghalat matlab lia ja raha he.or azan ke waqt full music ab koi esi baat nahi rahi esa hi ho raha he.

                  Comment

                  • #10
                    Re: ~*~Ham Roshan Khyal Kese Banen?~*~

                    Originally posted by shy View Post

                    Dekho shy ham hamesha SULANEY waley ko ilzam detey hain aur kabhi SONEY waley per ilzam nahin dhartey. Maghrib ka koi dosh nahin!! Ghaflat siraf aur siraf hamari hai! Taqleed ham kartey hain aur unhon ney hamarey ander kamzoriyon ko pakar liya hai aur is per woh zarb lagatey hain aur ham ghaflat mein itna khoey huwey hain keh ham chot peh chot khaey jaa rahey hain. Roshan Khiyaal hona koi ghalat baat nahin, magar roshan khiyali ka mafhoom samajh lena chahiye....
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment

                    • #11

                      wohi to uncle:pagal: ab dekhen na shetan ka kaam he ham ko warghalana to wo warghalaey ga na,wo kabhi ham ko seedhe raste par nahi chalne de ga,or ham ka kaam he us se bachna,ab shetan to bara mukhlis he apna kaam keay ja raha he lekin ham apna kaam nahi kar rahe.isi tarah ham ko nuksan pohanchane wale or ham ke mukhalif apna kaam kar rahe hen or bare hi ache or pur zor tareeke se kar rahe hen ab hamara kaam he un ki sazishon ka mukabla karen, apne ko organize karen un ke muakble me taqatwar banen par ham ye sab nahi kar rahe:blush: ulta hamare hukmaran dushmanon ke sath mil kar apne hi logon ka bera gharak kar rahe hen

                      Comment

                      • #12

                        Bilkul theek kehti han. Hamein khud apney gird hisaar bnana hai keh hamein fundamentalis bhi banena hai aur roshan khiyal bhi hona hai - magar us tarha nahin jaisey maghrib chahta hai, balkeh us tarha jaisey Islam chahta hai... yehi hamari nijaat hai... aap apni naseehat kabhi mat chhorna keh Aazan key waqt music band kar diya jaey.. agar aap ney aisa kehna chhorr diya, aap ney jehad karna chhorr diya :)
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment

                        • #13

                          me ne to bohat dafa fast music par namaz tak parhi he uncle:blush: Allah moaf kare ab koi band na kare to banda kia kare

                          Comment

                          • #14
                            Re: ~*~Ham Roshan Khyal Kese Banen?~*~

                            Originally posted by shy View Post
                            me ne to bohat dafa fast music par namaz tak parhi he uncle:blush: Allah moaf kare ab koi band na kare to banda kia kare
                            aap drust kehti hain, hamari aik buzurg aunty hain, pakistan mei hoti hai aik din kehney lagin keh main to tasbeeh per koi indian gana gaa ker aai hoon keh saath waley ghar mein itni oonchi aawaz sey gana laga huwa tha :D
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment

                            • #15
                              Re: ~*~Ham Roshan Khyal Kese Banen?~*~

                              Originally posted by shy View Post
                              :blush:
                              kia keh saktey haen jee

                              Comment

                              Working...
                              X