Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Adopted Children

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Adopted Children

    Originally posted by Sweet & Sour View Post
    Bacho ke ehsasat intihayi hassas hotey hain, oun ka Dil aur demagh pani kitarah shafaf hota hai ab yeh ap per depend kerta hai ke aap ounhein kis sanchey mei dhaltey ho ..........wahi ban ker kal ko wo aap ke samney aayein gai ab chahey wo aap ka apna khoon ho yaan koi adopted bacha.
    Again agree - kehtey hain keh bachey woh sada kaghiz hotey hain jin per aap jaisey naqoosh bnana chaho bnaa saktey ho. Aur bacha wohi baney ga jaisa naqoosh aap ney us key dil-o-dimagh per chhorra hai. Yeh to baat hai un bachon ki jo abhi bohat kam umer mein hotey hain, let's say 0-5 years...

    Agar aap aik aisa bacha adopt karein jo is umer sey zara ooper to to? Kis umer ka bacha adopt karna chahiye? woh jo baat ko samajh sakey sun sakey ya woh jo abhi bolna bhi na seekha ho????
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #17
      Re: Adopted Children

      Originally posted by Masood View Post

      Agar aap aik aisa bacha adopt karein jo is umer sey zara ooper to to? Kis umer ka bacha adopt karna chahiye? woh jo baat ko samajh sakey sun sakey ya woh jo abhi bolna bhi na seekha ho????

      Again is baat se koi farq nahi perta ..... chota bacha ho yaan bara ... sab depend kerta hai aap per, aap ek janwar (pet) ghar latey ahin ousey tawajah detey hain to wo aap ka wafa daar ban jata hai to phir insan kiu nahi ho sakta ????? jo bol nahi sakta hum oun ki zuban ban skatey hain, jo bol skata hai aur ager galat bolta hai to hum ousey sun ker samajh ker ousey saheeh rasta bhi dikha saktey hain. sab hum per depend kerta hai ...
      sigpic

      Comment


      • #18
        Re: Adopted Children

        Originally posted by Sweet & Sour View Post
        jo bol nahi sakta hum oun ki zuban ban skatey hain, jo bol skata hai aur ager galat bolta hai to hum ousey sun ker samajh ker ousey saheeh rasta bhi dikha saktey hain. sab hum per depend kerta hai ...
        No more to say - aap ney bohat hi umdah andaaz mein sari baat ko suljhaa diya hai - sab kuchh HAM per depend karta hai, aur yeh baat to haqeeqat hai keh jab insaan koi kaam kerney ka iradah rakhta ho to koi mushkil uskey raastey mein nahin aati - saima well said :)
        Last edited by Masood; 17 August 2006, 12:36.
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #19
          Re: Adopted Children

          Mein ne jo kehna tha wo Aanchal aur Saima keh chukein.

          In addition yeh kahon ga ke buchay ko ager yeh bata diya jaye ke wo adopted he to is mein koi harj nahi, bulke yeh bohat zaroori he. What a child need is love and care...yeh cheezein ager aap kisi janwar ke buchay ko bhi dein ge to wo bhi aap ka wafadaar ho ga...insaan to insaan he
          :thmbup:

          Comment


          • #20
            Re: Adopted Children

            Originally posted by munda_sialkoty View Post
            Mein ne jo kehna tha wo Aanchal aur Saima keh chukein.

            In addition yeh kahon ga ke buchay ko ager yeh bata diya jaye ke wo adopted he to is mein koi harj nahi, bulke yeh bohat zaroori he. What a child need is love and care...yeh cheezein ager aap kisi janwar ke buchay ko bhi dein ge to wo bhi aap ka wafadaar ho ga...insaan to insaan he

            :thmbup: that's the main point...
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #21
              Re: Adopted Children

              Originally posted by Masood View Post
              Bohat khoob kaha eshaa - kahan sey parha hai :p :rose
              usee book se jis mein se aap parhtay hain :wk :zuban:
              sigpic

              Comment


              • #22
                Re: Adopted Children

                do families ko dekha he me ne un ka experience kuch acha nahi raha kiun ke ye serf fard-e-wahid ka fesla ya kaam nahi he is me poori family ka shamil hona zaruri hota he or sab tawun karen esa bhi mumkin nahi hota sometime is leay ye aik bohat bara fesla hota he bohat soch samjh kar hi karna parta he,me shaed na kar sakun.

                Comment


                • #23
                  Re: Adopted Children

                  Originally posted by munda_sialkoty View Post
                  Mein ne jo kehna tha wo Aanchal aur Saima keh chukein.

                  In addition yeh kahon ga ke buchay ko ager yeh bata diya jaye ke wo adopted he to is mein koi harj nahi, bulke yeh bohat zaroori he. What a child need is love and care...yeh cheezein ager aap kisi janwar ke buchay ko bhi dein ge to wo bhi aap ka wafadaar ho ga...insaan to insaan he

                  naqal chor ......... apna sabaq yaad ker kai aaya kero meri copy matt kiya kero :lpop:
                  sigpic

                  Comment


                  • #24
                    Re: Adopted Children

                    Is adoption allowed in Islam?

                    Ager adoption sey app ki morad hay key aik chotey bachey , poor child ko lena , us ko saz o saman mohaya kerna , kaprey etc , aur usey apney gher lay ana , hay , to app ko maloom hona chayeh key islam ney hamesha is per zoor dia hay
                    that you should help the poor people, help the needy people - You can even get a child to your house, and give him your fatherly love.

                    Islam jahan iteraz kerta hay , wo yeh hay kay app us ko legally adopt naeen ker saktey , yani key app us ko apna name naeen dey saktey , keeon key ager koi person bachey ko adopt kerta hay to kai complications peda ho jati haan

                    1. Child whether it is a girl or boy it will loose its identity
                    2. child adoption key baad app key apney bachey bi ho saktey haan , aur ager esa ho to app apney bachon ki taraf zeada biased hon gay rather then adopted ones
                    3. Ager app key haan bacha peda ho and wo opposite sex ho app key adopted child ka , they cannot freely stay in the same house. keeon key wo khoni behan bahi naeen hoon gay
                    IHijab with the so called father, because he is not his original father



                    rights.

                    isi tarah jab insan foot hota hay , us ki jo bi property hoti hay , to wo according to Quran takseem hoti hay , ager us key bachey hoon , and isi tarah ager us ney bacha adopt bi kia hoa hay , to wo us ko dey ker apney asli bachey ka haq marey ga etc etc

                    . So to prevent these complications, legal adoption is prohibited in Islam.
                    People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                    Comment


                    • #25
                      Re: Adopted Children

                      Originally posted by Masood View Post
                      Assalamo allaikum

                      Pakistan mein zalzeley key baad bohat sarey bachon ko adopt kiya geya hai, Hadiqa Kiyani ki misaal hai keh unhon ney apney nikah per aik bachi ko adopt kiya tha.

                      Bachon ko adopt karna bohat purana amal hai. Khatey peetey bazameer log ghareebon ki ghurbat per tars khaa ker, ya be'sahara bachon ko jaan ker, ya baanjh waldein apni waldein honey ki shafqat ko tasali deney key liye bachey adopt kartey rahey hain.

                      Aap yeh btaiyey agar aap ko moqa miley to kya aap bachey ko adopt karein gey? Agar karein gey to kyun? Aur kya aap us bachey ko zindagi mein kabhi btaein gey keh yeh bacha unka apna nahin balkey adopt shudah hai???

                      ager moqa mila to un bachoon ki help zaroor karoon ga just like father but legall adopt naeen karoon ga keeon key legal adoption of children is not allowed in islam
                      People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                      Comment


                      • #26
                        Re: Adopted Children

                        Originally posted by Sweet & Sour View Post
                        jo log aisa kertey hai bilashuba wo ek buhut bari naiki kertey hain, yeh bhi buhut acha kaam hai.

                        Rahi baat zati zindagi ki .......... to bachon ko adopt kerna shayed aasan hai magar palna nahi ......... sirf roti kapra faraham ker deney se maan baap ka haq adaa nahi ho jata. Bacho ki achi parwarish aur naik terbiyat buhut bari zimedari hai, ager insan ousey nibha na sakey to maan baap kehlaney ka koi haq nahi. Rahi baat bacho ko yeh btana ke wo oun ki aulad hai yaan nahi, mere khayal se koi farq nahi perta.
                        bohat farq perta hay
                        islam is baat ki hergiz ijazat naeen deta key kisi parey bachey ko apna name dia jaey
                        islam main bachey sirf woi hotey haan jo key asli khoni bachey hoon
                        People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                        Comment


                        • #27
                          Re: Adopted Children

                          Originally posted by shehroz_khatri View Post
                          Inshallah agar Allah ney kabhi aesa mouqa diya to zaroor karein gey lekin kabhi us ko batayein gey nahi ke woh hamara apna nahi hai
                          us ko na bataney wali baat ghalat hay , second papers main us key asal parents ka name hi likhay ga , apna naeen , keeon key islam main yeh jaiz naeen hay. baki kisi ko palana , us ki acchi perwarish karna bohat neeki ka kam hay
                          People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                          Comment


                          • #28
                            Re: Adopted Children

                            kiyun nahi... zaror.....
                            ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                            Comment

                            Working...
                            X