Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Adopted Children

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Adopted Children

    Assalamo allaikum

    Pakistan mein zalzeley key baad bohat sarey bachon ko adopt kiya geya hai, Hadiqa Kiyani ki misaal hai keh unhon ney apney nikah per aik bachi ko adopt kiya tha.

    Bachon ko adopt karna bohat purana amal hai. Khatey peetey bazameer log ghareebon ki ghurbat per tars khaa ker, ya be'sahara bachon ko jaan ker, ya baanjh waldein apni waldein honey ki shafqat ko tasali deney key liye bachey adopt kartey rahey hain.

    Aap yeh btaiyey agar aap ko moqa miley to kya aap bachey ko adopt karein gey? Agar karein gey to kyun? Aur kya aap us bachey ko zindagi mein kabhi btaein gey keh yeh bacha unka apna nahin balkey adopt shudah hai???
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Adopted Children

    jo log aisa kertey hai bilashuba wo ek buhut bari naiki kertey hain, yeh bhi buhut acha kaam hai.

    Rahi baat zati zindagi ki .......... to bachon ko adopt kerna shayed aasan hai magar palna nahi ......... sirf roti kapra faraham ker deney se maan baap ka haq adaa nahi ho jata. Bacho ki achi parwarish aur naik terbiyat buhut bari zimedari hai, ager insan ousey nibha na sakey to maan baap kehlaney ka koi haq nahi. Rahi baat bacho ko yeh btana ke wo oun ki aulad hai yaan nahi, mere khayal se koi farq nahi perta.
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Adopted Children

      haan je Zarror ager Allah in is qabil kia to zaroor.. or rahe bat os ko batany ke to mera khial hay ke bata dena chahiya.. lakin ap k PiYAR or tawju main koe kame nahe hone chahiya , or yahe cheez os ko phir is cheez ka ihsaas nahe hony day ge..:)
      Life is more strict than a teacher
      A teacher teaches a lesson
      and takes an exam.
      But life takes an exam
      and then teaches a lesson

      Comment


      • #4
        Re: Adopted Children

        agar aap un ki sahi tarbeyat kar saktay hoo to adopt karnay main koi haraj nahi ...kisi yateem bachay ko palna to aik neeki ka kaam howa na .....lekan asia na hoo kay kisi kay bachay nahi hain to bacha adopt kar lia or jab apnay bachay hovey to choor dia ..........jab koi yeh zimmadari lay to poori taraha nibhaye ....
        ji bachay ko bata deena chaye kay woh adopt keye hovey hain aap kay apnay bachay nahi hian ...jab chotay houn gay to us waaqat to unhay samjah nahi hoo gee in cheezoo ki lekan ahesta ahesta jab baray hotay jaian gay to unhhay bata deena chaye .......
        agar baray hoo kar kisi or say unhoo nay yeh sun lia kay woh aap ki aulad nahi adopted hain to un kay dil-o-deemagh pay is ka kia asar paray ga ? aisay bachoo ki shakseyat toot kay reh jati hai ....
        aik tv programme main deekha tha aik bachay ko us kay chacha nay gooud lia or jab woh bacha bara hoo gia usay tab pata chala woh un ka asli beeta nahi hai is say us ki shakseyat toot phoot gai woh ehsas-e-kamtri main mubtla hoo gia kay us main kia kami the jo us kay parents nay usay kisi ko gooud day dia ....us kay sagay behan bahi jo they woh sab parhai main or har lehaz say theek they ........or yeh peachay reh gia .....

        aik larki ko main janti houn aik shadi main un say mulaqat hovi the doo maa beeti the ....donoo main aisi doosti th jesay friends houn :) ..mujhay bad main kisi nay bataya yeh adopted larki hai ...in kay kisi rishtadar ki beeti hai ..or larki ko bhi pata hai :) ...woh yaha zaida kush the balkay buhat kush ...woh larki kafi pur itamad the ......................agar usay koi or yeh baat batata to woh aisi na hoti jesi aaj hai ....

        aap nay kisi bachay ko goud lia kisi bhi rishatadr say usay bataya nahi baray hoo kar usay apni koi behan/bahi pasand a gia ,halakanay unhay pataa na hoo kay ham to sagay behan bahi hian koi cousin ya doost nahi pher? jab bad main unhay yeh baat pata chali to kitni sharmindagi hoo gee unhay ?
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment


        • #5
          Re: Adopted Children

          Originally posted by Aanchal View Post
          aap nay kisi bachay ko goud lia kisi bhi rishatadr say usay bataya nahi baray hoo kar usay apni koi behan/bahi pasand a gia ,halakanay unhay pataa na hoo kay ham to sagay behan bahi hian koi cousin ya doost nahi pher? jab bad main unhay yeh baat pata chali to kitni sharmindagi hoo gee unhay ?
          Agreed :thmbup:
          bachay ko adopt kiya jaey ager to phir usey us k shaa'ur aanay tak bata diya jaey is haqeeqat ka ..kion k dunya sukh se kisi ko jeenay nahin dety ....bachay ko laazmi koi na koi bataey ga aur kuch us mein kan bharnay waalay type rishtay daar bhi hon gay ..jis se us bachay mein apnay un parents k liey jinhon ney adopt kiya hai negative sochein bhi aa saktee hain .........
          So sab se behter aur munasib ye hee hay k usey munasib alfaaz mein bata diya jaey........

          Aur bachay ko adopt kernay k liey bhi hum yehee kahein gay k is k lieey bohat vara dil chahieey hota hai humnay khud dekha hay ek family ko , k pehlay unhon ney adopt kiya baby jab apnay bachay huey to phir us masoom ko pyaar denay, khiyal rakhnay ka time tak na tha kisi k pss ,
          bachay ko adopt kerna bilashuba ek bohat baree neki hay , lekin ager is niyyat se kiya jaey k hewr kisam k halat mein us bachay ki ehmiyat , us ka pyr kamm nahin hoga
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: Adopted Children

            kisi ka baby adopt karna ek bari zmadari hey or kon achi trah un ko pal sakta hey ye time hi bta sakta hey

            Comment


            • #7
              Re: Adopted Children

              Originally posted by Sweet & Sour View Post
              jo log aisa kertey hai bilashuba wo ek buhut bari naiki kertey hain, yeh bhi buhut acha kaam hai.

              Rahi baat zati zindagi ki .......... to bachon ko adopt kerna shayed aasan hai magar palna nahi ......... sirf roti kapra faraham ker deney se maan baap ka haq adaa nahi ho jata. Bacho ki achi parwarish aur naik terbiyat buhut bari zimedari hai, ager insan ousey nibha na sakey to maan baap kehlaney ka koi haq nahi. Rahi baat bacho ko yeh btana ke wo oun ki aulad hai yaan nahi, mere khayal se koi farq nahi perta.
              Agree with most of it. Agar aik adopted bachey ko yeh btaa diya jaey keh woh unka haqeeqi bacha nahin to kya aisa nahin ho ga keh bachey key dil mein apney asal waldein ko dekhney milney janeney ka ishtiyaaq ho ga?? Kya is tarha bachey ki personality per asar nahin parrey ga??
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #8
                Re: Adopted Children

                Originally posted by ASAD View Post
                haan je Zarror ager Allah in is qabil kia to zaroor.. or rahe bat os ko batany ke to mera khial hay ke bata dena chahiya.. lakin ap k PiYAR or tawju main koe kame nahe hone chahiya , or yahe cheez os ko phir is cheez ka ihsaas nahe hony day ge..:)
                Nice reply :rose
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • #9
                  Re: Adopted Children

                  Originally posted by Aanchal View Post
                  agar aap un ki sahi tarbeyat kar saktay hoo to adopt karnay main koi haraj nahi ...kisi yateem bachay ko palna to aik neeki ka kaam howa na .....lekan asia na hoo kay kisi kay bachay nahi hain to bacha adopt kar lia or jab apnay bachay hovey to choor dia ..........jab koi yeh zimmadari lay to poori taraha nibhaye ....
                  ji bachay ko bata deena chaye kay woh adopt keye hovey hain aap kay apnay bachay nahi hian ...jab chotay houn gay to us waaqat to unhay samjah nahi hoo gee in cheezoo ki lekan ahesta ahesta jab baray hotay jaian gay to unhhay bata deena chaye .......
                  agar baray hoo kar kisi or say unhoo nay yeh sun lia kay woh aap ki aulad nahi adopted hain to un kay dil-o-deemagh pay is ka kia asar paray ga ? aisay bachoo ki shakseyat toot kay reh jati hai ....
                  aik tv programme main deekha tha aik bachay ko us kay chacha nay gooud lia or jab woh bacha bara hoo gia usay tab pata chala woh un ka asli beeta nahi hai is say us ki shakseyat toot phoot gai woh ehsas-e-kamtri main mubtla hoo gia kay us main kia kami the jo us kay parents nay usay kisi ko gooud day dia ....us kay sagay behan bahi jo they woh sab parhai main or har lehaz say theek they ........or yeh peachay reh gia .....

                  aik larki ko main janti houn aik shadi main un say mulaqat hovi the doo maa beeti the ....donoo main aisi doosti th jesay friends houn :) ..mujhay bad main kisi nay bataya yeh adopted larki hai ...in kay kisi rishtadar ki beeti hai ..or larki ko bhi pata hai :) ...woh yaha zaida kush the balkay buhat kush ...woh larki kafi pur itamad the ......................agar usay koi or yeh baat batata to woh aisi na hoti jesi aaj hai ....

                  aap nay kisi bachay ko goud lia kisi bhi rishatadr say usay bataya nahi baray hoo kar usay apni koi behan/bahi pasand a gia ,halakanay unhay pataa na hoo kay ham to sagay behan bahi hian koi cousin ya doost nahi pher? jab bad main unhay yeh baat pata chali to kitni sharmindagi hoo gee unhay ?
                  yeh baat to haqeeqat hai keh pedah karney waley sey paalney waley ka haq ziyada hota hai aur isi liye agar aik adopted bachey ko yeh btaa diya jaey keh woh us key haqeeqi waldein nahin magar woh unki aulad ki tarha hain to perwarish mein aasani ho jaey... is mozu per beshumar filmein bhi mojood hain aur dramey bhi...
                  Last edited by Masood; 17 August 2006, 12:05.
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • #10
                    Re: Adopted Children

                    Originally posted by Eshaa_wellwisher View Post
                    Agreed :thmbup:
                    bachay ko adopt kiya jaey ager to phir usey us k shaa'ur aanay tak bata diya jaey is haqeeqat ka ..kion k dunya sukh se kisi ko jeenay nahin dety ....bachay ko laazmi koi na koi bataey ga aur kuch us mein kan bharnay waalay type rishtay daar bhi hon gay ..jis se us bachay mein apnay un parents k liey jinhon ney adopt kiya hai negative sochein bhi aa saktee hain .........
                    So sab se behter aur munasib ye hee hay k usey munasib alfaaz mein bata diya jaey........

                    Aur bachay ko adopt kernay k liey bhi hum yehee kahein gay k is k lieey bohat vara dil chahieey hota hai humnay khud dekha hay ek family ko , k pehlay unhon ney adopt kiya baby jab apnay bachay huey to phir us masoom ko pyaar denay, khiyal rakhnay ka time tak na tha kisi k pss ,
                    bachay ko adopt kerna bilashuba ek bohat baree neki hay , lekin ager is niyyat se kiya jaey k hewr kisam k halat mein us bachay ki ehmiyat , us ka pyr kamm nahin hoga

                    Bohat khoob kaha eshaa - kahan sey parha hai :p :rose
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #11
                      Re: Adopted Children

                      Originally posted by TARZAN View Post
                      kisi ka baby adopt karna ek bari zmadari hey or kon achi trah un ko pal sakta hey ye time hi bta sakta hey
                      Ji yeh baat to bilkul theek hai keh waqt aaney per hi patah chalta hai, magar mera zaati khiyaal hai keh jo is baat ka faisla kartey hain keh bachey ko adopt kiya jaey, woh bohat soch samajh ker failsa kartey hain, aur apney faisley sey phir hat'tey nahin. Yahan Denmark mein bachey ko adopt karney key liye bohat sari kaaghzi karwaii aur ehad-o-paimaan hotey hain, unkey bghair bachey ki adoption ki ijazat nahin hoti...
                      Last edited by Masood; 17 August 2006, 12:10.
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • #12
                        Re: Adopted Children

                        Inshallah agar Allah ney kabhi aesa mouqa diya to zaroor karein gey lekin kabhi us ko batayein gey nahi ke woh hamara apna nahi hai

                        Comment


                        • #13
                          Re: Adopted Children

                          Originally posted by shehroz_khatri View Post
                          Inshallah agar Allah ney kabhi aesa mouqa diya to zaroor karein gey lekin kabhi us ko batayein gey nahi ke woh hamara apna nahi hai

                          Ji yeh zaroor aap ki apni soch hai, magar ham Pegham per yeh samajhtey hain keh aisey bachon ki behtar zehni nasho-numa key liye zaroori hai keh unhein btaa diya jaey takeh unhein bashart yeh keh ilm ho to takleef na ho ...
                          Last edited by Masood; 17 August 2006, 12:17.
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • #14
                            Re: Adopted Children

                            Originally posted by Masood View Post
                            Agree with most of it. Agar aik adopted bachey ko yeh btaa diya jaey keh woh unka haqeeqi bacha nahin to kya aisa nahin ho ga keh bachey key dil mein apney asal waldein ko dekhney milney janeney ka ishtiyaaq ho ga?? Kya is tarha bachey ki personality per asar nahin parrey ga??

                            Again it all depends ........ ager aap ne bachey ki tarbiyat achi ki hai, ou ski perwarish mei koi kami nahi chori, aap ke pyar ne ousey kabhi yeh mehsos hi nahi honey diya ho ke wo aap ki aulad nahi to phir aisa kabhi nahi ho ga .... yeh ho sakta hai ke ousey jab is baat ka pata chaley to ous mei yeh jan'ney ka tajasus zaror paida ho ke ous ke haqeeqi maan baap kon hain ... magar sirf jan'ney ki hadth tak, ager aap se ousey humesha pyar mila hai to wo janey ke barey mei kabhi nahi sochey ga .... akser halat mei is aisa bhi hota hai ke jab aisey bacho ko is baat ka pata chaley to oun ka pyar aur dedication aap ki taraf mazeed barh jati hai ke aulad na hotey huwey bhi aap ne ounhein aulad se barh ker pyar diya. Haan albat'ta ager aap hi ke rawaiyeh shuroo se ous ke sath sahi na raha ho to yaqeenan haqeeqat jan ker wahi ho ga jo aap keh rahey ho.

                            Bacho ke ehsasat intihayi hassas hotey hain, oun ka Dil aur demagh pani kitarah shafaf hota hai ab yeh ap per depend kerta hai ke aap ounhein kis sanchey mei dhaltey ho ..........wahi ban ker kal ko wo aap ke samney aayein gai ab chahey wo aap ka apna khoon ho yaan koi adopted bacha.
                            sigpic

                            Comment


                            • #15
                              Re: Adopted Children

                              Originally posted by Sweet & Sour View Post
                              jo log aisa kertey hai bilashuba wo ek buhut bari naiki kertey hain, yeh bhi buhut acha kaam hai.

                              Rahi baat zati zindagi ki .......... to bachon ko adopt kerna shayed aasan hai magar palna nahi ......... sirf roti kapra faraham ker deney se maan baap ka haq adaa nahi ho jata. Bacho ki achi parwarish aur naik terbiyat buhut bari zimedari hai, ager insan ousey nibha na sakey to maan baap kehlaney ka koi haq nahi. Rahi baat bacho ko yeh btana ke wo oun ki aulad hai yaan nahi, mere khayal se koi farq nahi perta.
                              i totly agreed with saima sister:rose
                              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                              Comment

                              Working...
                              X