Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~Pegham Darama Episode 1~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: ~*~Pegham Darama Episode 1~*~

    Originally posted by F-A-L-A-K View Post
    (Col. Sarfaraz Zair e Lab muskuratay howay chai ka cup side table pay rakhty hein.. aur haath kay isharay say ilham ko sofa pay baithnay ko kehtay hein.. Ilham paoon patakhtay howay aati hai.. kitaboon ka bag dharaam say zameen pay batakhtee hai aur tangain bisaar kay dada kay zanoon pay sar rakh kay dub'dabai ankhoon say dada ke taraf jawab talab nazroon say daikhti hai.)

    Col. Sarfaraz: Ilham kay mathay pay ubharti paseenay ke bondoon ko ungliyoon ke poroon say ponchtay howay kehtay hein.... daikhoo baita..

    Maa baap kabhi bhi olaad kay dushman nahi hootay.. haan aisa zaroor hota hai.. kabhi kabhi bachoon ko waldain kay kiyeah howay faislay pasand nahi aatay.. woh samajhtay hein.. un kay saath zulam kiya jaa raha hai.. bhala koi apni olaad kay saath zulam kar sakta hai ... ?

    (Ilham mathay pay taywariyaan charhatay hwoay dada kay zanoon say sar utha kay seedha hoo kar baith jaati hai.. aur kehti hai... magar dada "iss mein bhala Farva ka koun sa bhala hai..." Col. Sarfaraz side table say chai ka cup utha kay akhri ghoont laytay hain.. aur kehtay hein)

    Col. Sarfaraz: Baita.. mein aab tum ko lecture dainay say tu raha.. haan magar aik baat tu tay hai na keh waldain olaad ko tab say jantay hein jab olaad ko khud apna kuch hoosh nahi hota.. aur phir aaj kal kay larkay larkiyaan ankhain band kiyeah hawa kay ghooray pay sawar asmaan ko zameen lanay kay khawboon daikhtay hein.. iss umar mein sab sach jo lagta hai.. magar sab waisa hota nahi jaisa hum samajhtay hein.. kabhi kabhi hum kissi shai ko apnay liyeah behtar tasavar kar laytay hein.. magar waqat sabit karta hai humara faisla kis kadar ghalat tha.. !!
    Col Sarfaraz: Acha yeah bataoo.. woh shakhas manzil pay asaani say pochancta hai.. jo rah e manzil pay pehli baar challay aur koi rahnumai karnay walla na hoo.. ya woh jis ko manzil ko jatay rastoon pay rahnumai karnay walla koi mill jai.. ? Aur youn bhi jaisay har rasta safar kay liyeah mozoon nahi hoota.. bilkul waisay hee.. har manzil bhi sharat e safar nahi hooti.. magar shaid tum mairee in batoon ko nahi samjhoo gi.. kuch battain aisee hoti hain.. jinhein humain sirf tajarbay say hee seekhna hoota hai.. kissi kitab mein parhnay say.. kissi say sun laynay say.. kissi kay bata dainay say.. hum ussay chahain bhi tu samajh nahi saktay.. !!

    ager ilham ki jaga waqaiyee mei hoti to mera reaction kuch aisa hota .......

    Ilham apney dada ki baton ko samajhney ko koshish bhi kerti hai to her baat ous ke zehan mei ek naya sawal paida ker deti hai ....... wo ghutno ke bal baith ker dada ki taraf dekhti hai aur se kehti hai .....

    Dadooo ....... aap sahi keh rahey ho ke maan baap ka tajurba hum se zada hota hai , yeh bhi sach hai wo humari bhalayi chahtey hai, mei yeh bhi manti hoon ke ager koi rehnumayi kerne wala na ho to insan ke liyeh manzil tak pohanchna dushwar ho jayeh aur shayed wo bhatak bhi jayeh ....... magar ab aap ek baat btaiyeh, zindagi mei akser aisey halat aa jatey hain jahan insan tanha reh jata hai aur ousey apni manzil khudh mat'yeh kerna hoti hai , to aisi soorat mei kon kamyab ho ga ???? wo bacha jo humesha kisi ki rahnumayi ke baghari koi kaam nahi kerta ek qadam bhi nahi chal skaey ga .... jabkey wo bacha jisey apney faisley kerna ka ikhtiyar diya gaya ho ous mei khudh aitemadi aur hosla ho ga, jis se wo aagey barhey ga .......... to is tarah se ager humein bhi aisey chtey chotey faisley kerne ka haq nahi diya jayeh ga to hum zindagi mei aagey kabhi nahi barh payein gai ......... maan baap ko humein faisla kerna ka ikhtiyar dena chahiyeh aur sath rahnumaiyee bhi kerni chahiye .........

    yeh sun ker dada per kya beeti pata nahi :khi:
    sigpic

    Comment

    • #32
      Re: ~*~Pegham Darama Episode 1~*~

      Originally posted by Masood View Post
      Chalein shuker hai keh aap khafa nahin hain warna ham to samjhey keh ab manana parrey ga :p
      khush rahiye...:rose

      Comment

      • #33
        Re: ~*~Pegham Darama Episode 1~*~

        Originally posted by Sweet & Sour View Post

        kitna dimagh kaam karta hai aap ka :masha kisi dushman ki nazar na lagey :dua
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #34
          Re: ~*~Pegham Darama Episode 1~*~

          Originally posted by Masood View Post
          kitna dimagh kaam karta hai aap ka :masha kisi dushman ki nazar na lagey :dua

          matlab aap ki nazar na lagey :lol
          sigpic

          Comment

          • #35
            Re: ~*~Pegham Darama Episode 1~*~

            Originally posted by Sweet & Sour View Post
            matlab aap ki nazar na lagey :lol

            :blush: mujhey patah tha tum yehi kaho gi - meri nazar nahin lagti tumhein kyun keh main tumhein duaein deta hoon - agar nazar lagani hi hoti to najaaaaney kab ki laga chuka hota - magar woh kya hai keh mujhey elhaam huwa tha keh mashhhhhoooom logon ki nazar nahin lagti :p
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • #36
              Re: ~*~Pegham Darama Episode 1~*~

              Originally posted by Masood View Post
              :blush: mujhey patah tha tum yehi kaho gi - meri nazar nahin lagti tumhein kyun keh main tumhein duaein deta hoon - agar nazar lagani hi hoti to najaaaaney kab ki laga chuka hota - magar woh kya hai keh mujhey elhaam huwa tha keh mashhhhhoooom logon ki nazar nahin lagti :p

              aap ne shayed galat likh diya ... aap ko likhna tha mashoooom logo ko nazar nahi lagti :zuban:
              sigpic

              Comment

              • #37
                Re: ~*~Pegham Darama Episode 1~*~

                Originally posted by Sweet & Sour View Post
                aap ne shayed galat likh diya ... aap ko likhna tha mashoooom logo ko nazar nahi lagti :zuban:
                ji nahin main ney bilkul drust likha hai - aur iska aap ko bhi maloom hai keh masoom aur masood mein siraf m aur d ka farq hai :p to mashooooooooooom main hi hoon - u ko nazar nahin lagti :p
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • #38
                  Re: ~*~Pegham Darama Episode 1~*~

                  Originally posted by Masood View Post
                  ji nahin main ney bilkul drust likha hai - aur iska aap ko bhi maloom hai keh masoom aur masood mein siraf m aur d ka farq hai :p to mashooooooooooom main hi hoon - u ko nazar nahin lagti :p

                  ek harf ka farq bhi buhut bara farq hota hai ....... aap harf ki baat kertey hain akser nuqtey aur zabar se itna farq parta hai .......... misal doon yaan samajh aa gayi :comfort:
                  sigpic

                  Comment

                  • #39
                    Re: ~*~Pegham Darama Episode 1~*~

                    Originally posted by Masood View Post
                    yeh drama kahan tak pohancha - kya director sahib khud bhaag gaey hain :lol
                    janab choonke 2 din ki chutiyaan theen is liye main nahi a saka in 2 dino main ............. Ah0o0 now me back ok :zuban:
                    :rose :rose Apna Khyal Rakhiye Ga aur Ager Ho Sake Tu Dosroun Ka bhi :rose :rose

                    Comment

                    • #40
                      Re: ~*~Pegham Darama Episode 1~*~

                      Originally posted by Sweet & Sour View Post
                      ek harf ka farq bhi buhut bara farq hota hai ....... aap harf ki baat kertey hain akser nuqtey aur zabar se itna farq parta hai .......... misal doon yaan samajh aa gayi :comfort:
                      ik nuqtey ney hamein mehram sey mujrim kar diya
                      ham dua likhtey rahey woh dagha parrtey rahey :)
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment

                      • #41
                        Re: ~*~Pegham Darama Episode 1~*~

                        Originally posted by ummid View Post
                        director shaib Quiz ke gift nahi de paa rahe drama ka cheq kya deinge.:tauba ...isi liye yeh saare players is drame ko mukamal nahi ker rahe hain....:khi:
                        janab ab aap QUIZ wali post ko check kar lijiye main ne GIFTS de diye hain SiLani sahiba ko .......... Ah0o0

                        aur Gifts ki baat nahi hai quiz wali post say pehlay bhi koyi reply nahi kar raha tha in do dino main pata nahi kaise sab ko aik dam say yaad a gaya ................ :mm:
                        :rose :rose Apna Khyal Rakhiye Ga aur Ager Ho Sake Tu Dosroun Ka bhi :rose :rose

                        Comment

                        • #42
                          Re: ~*~Pegham Darama Episode 1~*~

                          Originally posted by Masood View Post
                          ik nuqtey ney hamein mehram sey mujrim kar diya
                          ham dua likhtey rahey woh dagha parrtey rahey :)
                          good ........... to ab baar baar masoom honey ka dhindora matt peetiyeh :a stick:
                          sigpic

                          Comment

                          • #43
                            Re: ~*~Pegham Darama Episode 1~*~

                            Originally posted by Sweet & Sour View Post
                            Ilham apney dada ki baton ko samajhney ko koshish bhi kerti hai to her baat ous ke zehan mei ek naya sawal paida ker deti hai ....... wo ghutno ke bal baith ker dada ki taraf dekhti hai aur un se kehti hai .....

                            Dadooo ....... aap sahi keh rahey hain ke maan baap ka tajurba hum se zada hota hai , yeh bhi sach hai wo humari bhalayi chahtey hai, mei yeh bhi manti hoon ke ager koi rehnumayi kerne wala na ho to insan ke liyeh manzil tak pohanchna dushwar ho jayeh aur shayed wo bhatak bhi jayeh ....... magar ab aap ek baat btaiyeh, zindagi mei akser aisey halat aa jatey hain jahan insan tanha reh jata hai aur ousey apni manzil khudh mat'yeh kerna hoti hai , to aisi soorat mei kon kamyab ho ga ???? wo bacha jo humesha kisi ki rahnumayi ke baghari koi kaam nahi kerta ek qadam bhi nahi chal skaey ga .... jabkey wo bacha jisey apney faisley kerna ka ikhtiyar diya gaya ho ous mei khudh aitemadi aur hosla ho ga, jis se wo aagey barhey ga .......... to is tarah se ager humein bhi aisey chtey chotey faisley kerne ka haq nahi diya jayeh ga to hum zindagi mei aagey kabhi nahi barh payein gai ......... maan baap ko humein faisla kerna ka ikhtiyar dena chahiyeh aur sath rahnumaiyee bhi kerni chahiye .........
                            Col. Sarfaraz: Biatta faisla har koi kar sakta hai.. magar masla sahi Faisla karnay ka hai.. fasila karnay ka ikhtiyaar hona aur SAHI faisla karnay ke salahiyat honay mein bara farak hota hai.. faisla tu har koi kar layta hai.. haan sahi faisla karnay kay liyeah bohat see cheezoon ka hona zaroori hota hai.. aur aaj kal ke nojawan nasal ko tu ganay bajanay kay illawa kuch soojhta hi nahi hai.. un ki soch ki parwaz aaj say aab say agay tuk daikh he nahi sakti.. sahi faisla karna woh bhi mustaqbil kay baray mein tu bohat door ki baat hai na.. sahi faisloon ka daroomidar iss baat pay tu nahi hota kay aap ko kaya pasand hai kaya nahi.. kaya acha lagta hai kaya bura.. sahi faisla tu woh hota hai jo aap kay haq mein behtar hoo.. sirf aaj aur abhi kay liyeah nahi.. balkay aap kay mustaqbil kay liyeah bhi..aur rahi aap ki yeh baat ke chotay chotay faisle tu karne chahiye kyoon ke ager kabhi aisa moqa aye ke insaan tanha ho tu wo kiya kare ga .... tu Bitya janu ager usne apne Maa Baap ki sohbet main rehte hoye unke faislay sunay hoon gay aur un par amal kiya ho ga aur unhain faisle karte hoye paya ho ga tu yaqeen jano us main Az'khud acha aur behtar faisla karne ki salahiyet paida ho jaye gi .... aur mujhay nahi lagta aaj kal ke nasal iss qabil hai kay woh kissi aur kay lyeah tu kuja apnay liyeah bhi koi sahi faisla kar sakkain.. !!

                            (Ilham dada ke battoon ko kuch samajhti hai kuch nahi.. zehan kuch batoon say ittefaq karta hai tu dil kehta hai bahala yeah kaya baat hoi.. zindagi humari tu fasila koi aur kiyon karay... woh koi jawab dainay kay liyeah ilfaaz ko tarteeb dai rahi hooti hai kay ghari pay nazar parti hai aur uss ko yaad aata hai uss ko tu Library jaana hai.. Ilham dada ko kehti.. dada iss pay raat mein baat karoon gi.. mujhay abhi Library jana hai.. Ammi pochain tu bata dijiyeah ga.. aur yeah keh key woh kitaboon kay bag ko aik baar phir baghal mein dabati hai aur kamray say nikal jaati hai... Col. Sarfaraz.. zair e lab aaj ki nasal kay wohi barsoon puranay masail hein kehtay howay uthtay hein aur chai ka khali cup utha kay kitchen ke taraf chal partay hein).
                            Last edited by F-A-L-A-K; 15 August 2006, 14:12.
                            :rose :rose Apna Khyal Rakhiye Ga aur Ager Ho Sake Tu Dosroun Ka bhi :rose :rose

                            Comment

                            • #44
                              Re: ~*~Pegham Darama Episode 1~*~

                              Originally posted by Sweet & Sour View Post
                              good ........... to ab baar baar masoom honey ka dhindora matt peetiyeh :a stick:
                              dekho yaar - main ney kabhi is baat ka dhidhora nahin peeta - lekin yeh baat to ooper waley ko patah hai keh kaun kitna mashhhhhhhooom hai aur kis sey kya khata ho jati hai aur kaisey ... lekin mashoooooooom to aakhir.... :zuban:
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              • #45
                                Re: ~*~Pegham Darama Episode 1~*~

                                Janab ILHAM sahiba ab aap LIBRARY jayeen gi jahaan aap ka Takrao HAZIQ sahib say ho ga ............ ok

                                tu ab aap wo situation create kijiye ok jee ....... main Dua-go hoon :dua
                                :rose :rose Apna Khyal Rakhiye Ga aur Ager Ho Sake Tu Dosroun Ka bhi :rose :rose

                                Comment

                                Working...
                                X