Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Is Duniya Key Gham

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Is Duniya Key Gham

    Fateh Alikhan ka aik geet hai:

    is duniya key gham, janey kab hongey kam
    jeeney walon peh sada, be'jurm khata
    hotey jarahey hain sitam

    Jis taraf dekho aik aah hai, aik fughaan hai... har koi gham mein mandah hai, jaisa keh chacha Ghalib ney kaha tha:


    aag sey paani mein bujhtey waqt uthti hai sada
    har koi darmandgi mein nala sey nachar hai

    Agar chacha Ghalib yeh haqeeqat bhi biyaan kartey keh woh jo sada uthti hai uskey baad hi to sakoon milta hai, dard key baad hi sakoon milta hai, beemari key baad hi shifa milti hai...

    Ham jab bhi dekhtey hain, jab bhi sochtey hain, negative hi sochtey hain, manifyaat hi sochtey hain. Kabhi ham yeh kyun nahin sochtey keh agar burai hai/hui hai to achhai bhi hai - magar ham achhai ki umeed kyun nahin hoti? Agar ham sab rotey hi rahein gey to aik doosrey key aansu kaun poonchhey ga??? Aik doosrey ko tasali kaun dey ga???? yeh Gham kab hongey kam??????????
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Is Duniya Key Gham

    Originally posted by Masood
    Agar ham sab rotey hi rahein gey to aik doosrey key aansu kaun poonchhey ga??? Aik doosrey ko tasali kaun dey ga???? yeh Gham kab hongey kam??????????
    aiy tussi keh rhay ho paa jee
    That's Enough...!!

    Comment


    • #3
      Re: Is Duniya Key Gham

      Originally posted by ScorpioN_RulzZ
      aiy tussi keh rhay ho paa jee
      Nahin twada BILLA kah raha hai :zuban:
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: Is Duniya Key Gham

        Originally posted by Masood
        yeh Gham kab hongey kam??????????

        aap ko pata chal jayeh to humein bhi btaa dena :hehe:
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Is Duniya Key Gham

          wesay maiN yeh samajhta hoon kay gham usi waqat kam hongaiy jab ronay dhonay walay kam hongaiy, gham zati shay hai aur inna sasta nahee kay har kisi kay samnay paish kardia jaiy :wk
          That's Enough...!!

          Comment


          • #6
            Re: Is Duniya Key Gham

            Originally posted by Sweet & Sour
            aap ko pata chal jayeh to humein bhi btaa dena :hehe:
            Chalein hamein patah chala to ham inshaAllah zaroor btaein gey.. waisey mujhey patah hai keh aisa kaisey mumkin hai, magar koi suneney wala hi nahin :(
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #7
              Re: Is Duniya Key Gham

              Originally posted by ScorpioN_RulzZ
              wesay maiN yeh samajhta hoon kay gham usi waqat kam hongaiy jab ronay dhonay walay kam hongaiy, gham zati shay hai aur inna sasta nahee kay har kisi kay samnay paish kardia jaiy :wk
              Theek kaha hai - aaj kal to log apney ban ker woh dukh detey hain keh biyaan sey bahir hai :(
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #8
                Re: Is Duniya Key Gham

                Originally posted by Masood
                Theek kaha hai - aaj kal to log apney ban ker woh dukh detey hain keh biyaan sey bahir hai :(
                jaisay maiN
                That's Enough...!!

                Comment


                • #9
                  Re: Is Duniya Key Gham

                  Masood bhai ager is duniya k gham kam ho gaye tu jeena ka maza nahi ayega :wk

                  Comment


                  • #10
                    Re: Is Duniya Key Gham

                    buhat hi achhi aur dil ko chhoo leeny walii tereer hy
                    aap itnii gehraaii main jaa kar soochty hain key bas.....

                    Comment


                    • #11
                      Re: Is Duniya Key Gham

                      jab insan mar jata he to us ke sare gham or dukh dard door ho jate hen:lpop: fatah ali khan ke bhi ab tak door ho gaey hon ge:D

                      Comment


                      • #12
                        Re: Is Duniya Key Gham

                        Gham to zindgee ka hissa hain :) jab tak hum zinadh hain to yeh bhi zinda rahein ge :)
                        Marne ke sath hi sab kuch khatam :)
                        Allah

                        Comment

                        Working...
                        X