Fateh Alikhan ka aik geet hai:
is duniya key gham, janey kab hongey kam
jeeney walon peh sada, be'jurm khata
hotey jarahey hain sitam
Jis taraf dekho aik aah hai, aik fughaan hai... har koi gham mein mandah hai, jaisa keh chacha Ghalib ney kaha tha:
aag sey paani mein bujhtey waqt uthti hai sada
har koi darmandgi mein nala sey nachar hai
Agar chacha Ghalib yeh haqeeqat bhi biyaan kartey keh woh jo sada uthti hai uskey baad hi to sakoon milta hai, dard key baad hi sakoon milta hai, beemari key baad hi shifa milti hai...
Ham jab bhi dekhtey hain, jab bhi sochtey hain, negative hi sochtey hain, manifyaat hi sochtey hain. Kabhi ham yeh kyun nahin sochtey keh agar burai hai/hui hai to achhai bhi hai - magar ham achhai ki umeed kyun nahin hoti? Agar ham sab rotey hi rahein gey to aik doosrey key aansu kaun poonchhey ga??? Aik doosrey ko tasali kaun dey ga???? yeh Gham kab hongey kam??????????

Comment