Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Sach Sach bataye...

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Sach Sach bataye...

    Originally posted by Unsa Rana
    Ye Tou Secret Hy :d Kyun Butaoun :d

    iska matlab :kr:
    koi bat nahi aisa hoota hai:lpop: :tasali:

    Comment


    • #32
      Re: Sach Sach bataye...

      hmmmm sab sach bataen kia ...

      khair school mein kabhi studies ki waja se maar nahin paree Alhamdolillah bht brilliant record raha.....haan ji sharat karnay pe teacher se maar paree thi jab class k 40 students ki books aur copies sab mix kar den ek k bag ka saman dusray k bag mein dusray ka teesray k bag mein ..yun sab ki mixup kar dya aur ye sharat pooree hueey bhi na thi meray class mate ney mashwar diya k paper se paper banatay hin recycle ker k us k aapi ney banaya tha na aisay to bas main grade 2 mein thi us waqt bas phr 2, 3 bachon ki copies le leen ur pani mein daal aaey k ghar jatay waqt nikal lein gay phr tajarba karein gay ...masoomiyat dekhieey k ye sochay baythhay thay hum dono k kisi ko khbar bhi na ho gee.....aur wo copies un ki homework ki theen bs phr na poochieey k kia huaa....bachat yun hueey k hamara over all record achha tha werna to

      Aur ghar mein bhi bht kamm bulkey na honay k barabar maar paree ...shararti to bht rahay hain hum . ab tak hain lekin ye advantage tha na k Maternals, Paternals ki first Grand daughter thi....Hum se pehlay MashaAllah family mein bas boys hee thay dono taraf .........Is lieey dheron sharartein karnaay per bhi hum masoom hee rehtay thay ......:lpop: :lpop: :lpop: :lpop: Bulkey hamaree jagah hamaray Big b ko maar per jaati thi ......:D
      sigpic

      Comment


      • #33
        Re: Sach Sach bataye...

        Originally posted by Masood
        Sachi sachi baat to yeh hai aania keh Alhamdo lillah jitna kam arsa Pakistan mein parha hai, kabhi usatza sey maar nahin khai, siraf aik thappar key - woh bhi apni aik ghalti per :embarasse warna taleem key muamley mein to kabhi maar nahin khai. Balkey us mein bright students mein tha :blush:

        Ghar mein albeta apney badey bhai sey khai hai parhney key muamley mein aur yahan tak keh aik baar unhon ney kaha school ka kaam karna hai, main aur mera cusion aur aik dost ham Cantt chaley gaey, wapis aaey to bhai ney dhoop mein kharra kar diya
        punishment hi acchi lagti hai ......Maar nahi:na: .................hum bauhat punish hoye:wk..harkatein hi aisi thi.........aaj bhi yaad aata hai tu hansi aati hai........:lpop: waise aap ko dhoop mein khada kiya gaya tha isi liye aap itne dark hain?????:D

        Comment


        • #34
          Re: Sach Sach bataye...

          never.. kabhi nahi ..ha hosakta hain jab main chota sa hoon to maa yah pappa nay lagai hoon....wesay idher yah mar pith allow nahi hain...police ko na bilwa leta....hummmmmmmmmmmmm kisi ko haq nahi kisi ko marnay ka...galati sab kartay hain pyaar say samjhana chahay......so keep away danda
          ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

          Comment

          Working...
          X