Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

    :hhh:
    Attached Files
    sigpic

  • #2
    Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

    :comfort:
    Attached Files
    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

      hmmm sochtey hain - nice topic
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment

      • #4
        Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

        :salam: Bohat acha thread shrou kiya ha app nay Saima jeee
        :clap: :clap: :clap:
        Iss tarhana ka mamlaat discuss honay chaiya !!!Great post:rose

        Comment

        • #5
          Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

          Originally posted by fari
          Iss tarhana ka mamlaat discuss honay chaiya !!!Great post:rose
          shuker hai aap bhi kuchh seekhein gi :lol
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #6
            Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

            Originally posted by Masood
            shuker hai aap bhi kuchh seekhein gi :lol

            Kiya matlaab :donno: App yahana mota honay ka tariqa sikha rahay hain
            Wasay kon sa sharbat pie kar ap ka ya haal howwa

            Comment

            • #7
              Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

              Originally posted by fari
              :salam: Bohat acha thread shrou kiya ha app nay Saima jeee

              :clap: :clap: :clap:

              Iss tarhana ka mamlaat discuss honay chaiya !!!Great post:rose
              thnx dear , aur aap sab ke jawabat ka intezar rahey ga
              sigpic

              Comment

              • #8
                Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

                Originally posted by Masood
                hmmm sochtey hain - nice topic
                shukriya :rose

                Originally posted by Masood
                shuker hai aap bhi kuchh seekhein gi :lol

                yeh sab is post mei allow nahi hai :na:

                yahan sandeeja jawabat darkar hai takey ke masley ka haal talash kiya ja sakey :rose
                sigpic

                Comment

                • #9
                  Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

                  :salam:

                  saima jii aap ney achha silsalaa shuroo kia hey, :)

                  merey khyaa mein aisey moqey par chup ho jana zeaada munaasib hota hey, keoonkey hamaarey badoon kii izzat hamaari izzat sey zeaada keemtii hotii hey, aur yeh waqtii pareeshaanii to door ho jaatii hey magar be-izzatii key zakham bhulaaey nahi bhiilty, :rose
                  iss liey merii haqeer raaey mein aisy muqey par khaas toor par jab doosry log bhii mojood hoon, to jawaab deney sey ijtanaab karna chaahiey :na:

                  Comment

                  • #10
                    Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

                    Originally posted by baad-e-saba

                    Saba sis app na bilkul sahi kaha per app apni baat per gor farmaiya kah humaray baro ki izat humari izat se zayda hoti ha..............per ya baat bhi tu ha kah baro ki izat humari izat hoti ha aur humari izat unki ......Aur agar humari bayzati logo ka samnay hogi tu ya bhi tu unki bayizati hogi.........
                    Kahtay hain kah khandan kay aik shakhs ki bayizati poray khandan ki bayizati ha..........ghar ka andar kay logg hon tu phir tu jawab denay se ijtanab karna chaiya per agar bahir kahin app ki izat per anch ati ha tu app kay baro ki izaat per bhi asar hota ha........Iss liya mera khiyal ha asay moqay per hoslay tahmul se aur aik khas tarqay ka sath apnay baroo ko apni suchai se aagha kar daina chiaya .......unko asa na lagay kah ap jawab day rahay ho unko ...balkay un se apnay app ko justify karnay ka aik moqa lain aur apnay app ko sahi prove karen ya phir missunderstanding door karen........................

                    Comment

                    • #11
                      Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

                      Very nice topic Saima je.....:) Well apny bardoon ka adab or ihtraam ham per farz hay.. or jo situation ap ney likhe hay ager os per ham khamosh rahyn to i think its better.. haan baad main on ko bataya ja sakta hay k actull bat kia hay.. kion key i think jahan dosry loog be mujood hon, to baaz dafa jazbaat per kaboo be nae rehta is tara insult ap ke be or ap key bardoon ke be ho ge..... or ager baad mey aram ke sath baat ho to is tara baat be clear ho jay ge or i think ap ke bardoon ke nazar main ap ki izzat be ho ge or wo ap key is behavear ko apreciad be karyn gey.. or asa hota hay. kion ke bardoo ko baaz dafa gusaa aa jata hay kisee baat per.. or asay mery sath howa be hay.. or mare aik adat hay ke main ( chahy mare ghalte na be ho) bardoo ke samny bilkul khamosh rehta hun......... lakin belive me baad main mare is cheez ko wo bohat passand be karty hain..

                      yeh mare adna sey raya hay.. may be kisee jaga per main ghalt hon..:)
                      Life is more strict than a teacher
                      A teacher teaches a lesson
                      and takes an exam.
                      But life takes an exam
                      and then teaches a lesson

                      Comment

                      • #12
                        Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

                        acha silsila he saima or ese moke par khamosh rehna hi behter he baad me bataya ja sakta he

                        Comment

                        • #13
                          Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

                          Originally posted by Masood
                          hmmm sochtey hain - nice topic
                          Kaheen sochty hee na rehna.....

                          Comment

                          • #14
                            Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

                            Jis tarha waldein per yeh farz kiya geya hai keh woh apni aulad ki behtar tarbiyat karein jis mein sach bolney ki targheeb dilana bhi shamil hai, isi tarha sach sunena bhi tarbiyat ka aik hissah hota hai. Bilkul usi tarha buzurgon per bhi lazam hai keh woh bhi sach ko sunein aur ussey tasleem karein. Jo situation aap ney btai hai, us mein pehley to khamoshi behtar hai, kyun keh jab koi buzurg ghussey mein ho to woh sach nahin sun saktey ya sach'goi ko be'addabi tasawur karein gey. Aur chhoton ko zuban'draz kahein gey, lehaza behtar hai keh kahmoshi ikhtiyaar ki jaey.

                            Phir jab unka ghussa zara thand ho aur aas paas ko bhi na ho to aap apni sachai unkey sammney khol ker rakh do. Ashfaq Ahmen likhtey hain keh insaan key dil ko thes nahin pohanchani chahiye, dil'aazari sey bachna chahiye aur agar aap khud kisi ki dil'aazari kar dein to us sey sachey dil sey moafi maang lein aur sabit karein keh aap sey woh ghalti aap sey woh baat dobara nahin ho gi. Isi liye kisi bhi doosrey insaan ki mojoodgi mein kisi ko aisi baat nahin kehni chahiye jis mein kisi ki dilaazari ho. Buzurgo ka dil bohat chhota hota hai aur bohat jald ghusa kar jatey hain. Unhein kisi munasib moqa per hi btana chahiye.
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment

                            • #15
                              Re: ~@~ Is Soorat-E-Haal mei kya kiya jayeh ~@~

                              hmmm.......... aap sab ke replies ka shukriya :)

                              aap sab ne yahi kaha ke humein bar'on ke samney khamosh rehna chaiyeh, matlab ous waqt chup rehna chahiyeh takey oun ki izzat barqarar rahey....
                              magar ager aisa ho ke wo kisi galat fehmi ke tehat aap ko sab ke smaney dant rahey ho, aap bhi insult feel kero, ke bilawaja bina qasoor aap ko sab ke samney ba'izzat kiya ja raha hai, aur yeh jantey huwey ke aap ki galati nahi aap jawab dena chaho to aisi soort mei bhi khamosh rehna chahiye, yan koi tareeqa hai ke moqay per hi ounhein aagah ker diya jayeh :hhh:
                              sigpic

                              Comment

                              Working...
                              X