Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shadi ke baad kisi aur sey Muhbbat ho tu..

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Shadi ke baad kisi aur sey Muhbbat ho tu..

    Originally posted by TheMask
    App nay Darust kaha yeh Logic nahe yeh Haqeqat hai
    Lekin mere khyaal se aap ne drust nahi kaha :lpop:
    :thmbup:

    Comment

    • Re: Shadi ke baad kisi aur sey Muhbbat ho tu..

      Originally posted by ummid
      jub log burai se nahi rukte tu aap acchai se kyun ruk gaye..
      Hmm Sahi kaha Sochtey hain :)

      Comment

      • Re: Shadi ke baad kisi aur sey Muhbbat ho tu..

        :lpop: mujhay abhi tk ya logic samjh nahi ayi ya MARDON KI BATHAK ma har waqt shadi ka topic per bahasss kiun hoti ha
        kiya dunia ma aur koi kam nahi ha app logo ko is ka illawa:khi: :cc:

        Comment

        • Re: Shadi ke baad kisi aur sey Muhbbat ho tu..

          Originally posted by fari
          :lpop: mujhay abhi tk ya logic samjh nahi ayi ya MARDON KI BATHAK ma har waqt shadi ka topic per bahasss kiun hoti ha
          kiya dunia ma aur koi kam nahi ha app logo ko is ka illawa:khi: :cc:
          koi aur kamm .......:cc: :cc: :cc: :cc:

          not realy... :kr: :kr:

          koi aur kaam kerin tu 4 shadion kon kery gaa..:donno: ..:kr:
          Zaid Hammid on Sawat War..
          A must Watch..

          Comment

          • Re: Shadi ke baad kisi aur sey Muhbbat ho tu..

            Originally posted by tauseeftariq
            koi aur kamm .......:cc: :cc: :cc: :cc:

            not realy... :kr: :kr:

            koi aur kaam kerin tu 4 shadion kon kery gaa..:donno: ..:kr:
            bus!! mazaq na banaye tausef bhai...aap(PBUH) se jodi baatein hain yeh.....:na:

            Comment

            • Re: Shadi ke baad kisi aur sey Muhbbat ho tu..

              4 : 3 Surah Nisa Para # 4 Aayat # 3

              My Dear Brother es Hawala Jat ko mein nay " Tafser -ib-e-Kaseer May Mutalia kia or Yahan per too " Yatemoon " ka Zikar kia giya hai

              {kay Ager Tum Yateem Girls say Nikah ker kay Insaf na Rakh sako gay to or Aurton may say jo be Passand Hoon 2,2. 3,3 . 4,4 say Lakin ager tumhain Barabri na ker sakney ka Kuf ho to Aik he Kafi hai }

              Abb jis Passand ki App bat ker rahay ho us may or Quran ki es Passand may Farq Kafi Hai so kam az kam App Half Aayat ka Tarjuma na laya kerian Tarjuma Peash kerna hai to Mukamal Aayat ka peash kerian or yeh be Dhekain kay yeh Aayat kis Muzo per hai.......
              .................................................. .......................

              4 : 3 Surah Nisa Para 5th Aayat 129th

              { Tum say yeh to Kabi na Ho sakey ga k Apne Tamam Wifes may her Terhan Aadal kero Goo Tum es ki Kitni he Kawaish wo kosish ker lo, es liye bilkul he aik Taraf mahil ho per dosri ko udar Latakta mat choro or ager tum eslah kero to be-shak Allah Bari Magfirat awr Rehmat wala hai.}
              .................................................. .......................

              Abb kahan lika hai k Banda Kawahishat per Control nahe ker sakta hai Yahaan lika hai kay Wifes may Her terhan ka Aadal kerna Mushkil hai Lakin un kay sath Na-Insafi be Nahe kerooo.......

              Insani Kawaish ka Ziker tak nahe or App Dalil k tor per peash kertay hain.. My Dear Brother App Dr.Naik k sath sath Aasal ko be Mtalia ker lia keroo Half Half Aayat per ker Galt Meaning mat nikalain es per sakt Pakar hai... Allah Bheter Janta Hai.......

              Allah Hafiz
              Last edited by *Roomi*; 13 May 2006, 10:46.

              Comment

              • Re: Shadi ke baad kisi aur sey Muhbbat ho tu..

                Women 2nd Marrige:

                Aik waqt may 2 Shadiyan nahe ker sakti Aik Aurat.

                Ager App 2nd Shadi ker lain or App ki wife App say kula lay to kia App deyna Passand kerian gay ?

                Kula kay bad Aurat Edat kay bad Shadi kernay ka haq Rakhti hai.

                  mein kafi din baad aj PG per aya hoon so app ko wait kerna padaa.. sorry for that........ but..
                  here are the answers.........

                  1.app nein mery kafi question ka jawab nahin diya
                  please un ka jawab arz ker din..
                  maslan.. Sahbey Akraam nain 4 shadiyan kiyon kein?
                  Mashliat hona ke zaroort quran and hadit sey?
                  etc ..as tarh ke degar sawalat

                  2.App nain jo ayat ke tafseer padhi hai woh kafi ahci tafseer ke book hai....

                  per app nien yeh wrong khaa hai ke mein nein adhi ayat paish ke hai.. mujhy as tarah ke kaam kernin waloon sey nafart hai..

                  ab meri baat samjhin..

                  yeh ayat ek khaas mozoo (topic) ke zikar mein nazal howi hai yani yateemon ke haqooq ke baat chal rahi hai
                  as sey qabal aur phir khaa giya ker agher yateem ladkiyon sey insaaf na kar sakoo tu degar khwateen main sey nikah ker leo 2.3ya 4 sey..

                  tu as ayat ka "hukum" "aam" hai... yeh dono fiqhai
                  istilahat hain... it mean ke as ayat ke theat 4 shadiyon ke ijazat hai pasand sey..

                  agher app degar kafi tafseer dekh lein tu app ko yahi baat mili gi.. app kisi alem deen sey bhi confrom ker lein
                  key as ayat ka tehat kiya "hukum" samnain ataa hai..
                  ya kiya as ayat ke that 4 shaidan kerna jaiz hai ya nahin
                  tu app ko as cheez ke aur bhi wazat hoo jay gi

                  and app nain khud jo tafseer lekhi hai us min bhi yeh baat wazah hey key yateem key ailwa bhi 4 shaidyon ke ijazat di gi hai...

                  i hope app samjh gay hon gey

                  3.Insaaf?????

                  insaaf wali ayt mein nin pehly bhi lekhi thi aur us ke tafseer bhi........... app as ke tafseer ko kai jagaa dekhin tu baat app samj jain gey

                  yahan muraad yeh hai ke Dili taaur per app ka jhokaa sub ke taraf ek jaisy nahin ho saktaa yeh fitri baat hai
                  kay app kisi ko ziyda muhbbat kerin gey... as liye yaan yeh tanbhih ke gi hai key us ke taraaf bhut ziyda na jhuk jo key insaaf ka damn chot jay
                  please app as ke tafseer mazeed books mein dekhin tu clear ho jay gaa

                  agher insaaf ho na saktaa hotaa tu quran mein dosri ayat mein 4 shadiyon ke ijaazat key saath insaaf ka hukum kiyon hai.... ?
                  kiya ek aisi baat ka hukum hai jo koi nahin ker saktaa?

                  as liye yaahn as sey muraad Dili taur per kisi ek sey ziyda muhbat kernaa hai............

                  i hope key app key sub question ka jawab mein nin
                  dey diya hai..
                  aur umeed kertaa hoon app mery sub previous question
                  ka jawab hi jald dein gey..
                  Zaid Hammid on Sawat War..
                  A must Watch..

                  Comment

                  • Re: Shadi ke baad kisi aur sey Muhbbat ho tu..

                    Originally posted by TheMask
                    Women 2nd Marrige:

                    Aik waqt may 2 Shadiyan nahe ker sakti Aik Aurat.

                    Ager App 2nd Shadi ker lain or App ki wife App say kula lay to kia App deyna Passand kerian gay ?

                    Kula kay bad Aurat Edat kay bad Shadi kernay ka haq Rakhti hai.
                    agher meri biwi mery saath na rehna chahy tu mein us per zaberdasti nahin
                    karoon ga... mujhy us ke life ko zaberdesti apni pasand ke mutabik kerna ka koi haq nahin..

                    YES .. mein us ko ijazat dey don gaa..........

                    Khulaa aur ley sakti hai.. no problem.....
                    yani yeh problem ab clear oks.........
                    Zaid Hammid on Sawat War..
                    A must Watch..

                    Comment

                    • Re: Shadi ke baad kisi aur sey Muhbbat ho tu..

                      Originally posted by ummid
                      bus!! mazaq na banaye tausef bhai...aap(PBUH) se jodi baatein hain yeh.....:na:
                      arry sis.. fari nein ko long disscu'n nahin ke just for fun ek baat ke thi
                      jis ka jawab mazak mein de diya

                      per if u still think that is not ok
                      then sorry sis
                      ab khus?
                      Zaid Hammid on Sawat War..
                      A must Watch..

                      Comment

                      • Re: Shadi ke baad kisi aur sey Muhbbat ho tu..

                        The Mask bhai mery most fav8 and ideal Alem deen
                        "Alamaa Mulaana AL-shah Imaam Ahmed raza Fazil-e-Barailwi (R..T.A.)
                        hain...
                        un ka fatwa mery nazdeek bhut ihaam hotaa hai any topic per

                        zakir naik ko sirf comparitive relgions ke hawaly sey padhaa hai...
                        Zaid Hammid on Sawat War..
                        A must Watch..

                        Comment

                        • Re: Shadi ke baad kisi aur sey Muhbbat ho tu..

                          Originally posted by tauseeftariq
                          arry sis.. fari nein ko long disscu'n nahin ke just for fun ek baat ke thi
                          jis ka jawab mazak mein de diya

                          per if u still think that is not ok
                          then sorry sis
                          ab khus?
                          aisi baat nhai hai tauseef bhai..............aap ke sorry se hume bhala kya khushi hogi............sirf ehsas dilana humara maqsad tha...........:embarasse

                          Comment

                          • Re: Shadi ke baad kisi aur sey Muhbbat ho tu..

                            1) 4 Shadiain Kerna mana nahe es say mein agree hoon...

                            2) 4 ki Ijazat Quran nay de es say be Agree Hoon

                            3) Insaf rakho to aik sath 4 kero marzi Ap ki :)

                            4) Baqi mukamal Bhes may koi bat buri lagi to Maufi chata hin :)

                            Allah hafiz

                              Ary naih ..the mask bhai naraazgi ke koi baat nahin .. agher bhas kisi cheez
                              ko samjhnian ke liye ho tu achaa hai

                              app ke apni soch thi... per app nien jo drust samjha woh final comments mein lekha hai.. thanks..

                              shkar hai app nein bhas ko sahi andaz sey samit liyea..

                              khush rahiya............ ALLAH sub ko apni amaan mein rakhy

                              ALLAH HAFIZ
                              Zaid Hammid on Sawat War..
                              A must Watch..

                              Comment

                              • Re: Shadi ke baad kisi aur sey Muhbbat ho tu..

                                Originally posted by TheMask
                                1) 4 Shadiain Kerna mana nahe es say mein agree hoon...

                                2) 4 ki Ijazat Quran nay de es say be Agree Hoon

                                3) Insaf rakho to aik sath 4 kero marzi Ap ki :)

                                4) Baqi mukamal Bhes may koi bat buri lagi to Maufi chata hin :)

                                Allah hafiz
                                Thats like a good boy :lpop:
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X