Salaam Dosto
ham ney aksar bohat ajeeb ajeeb waqeyat suney hain. Maslan meri walidah hamein apney walid sahib ka aik waqeya sunati hain:
"Hamarey zamaney mein gadiyaan, wagonein, buses nahin huwa karti thin. Hamein kaee kaee mil pedal safar kar key kaam per jana parta tha. Kaee baar ham raat der sey ghar laut'tey. Kaee baar ham ney pul (bridge) sey dekha key aik sookhey huwey darya mein bohat door jinnon ki shadi ho rahi hoti, saaz aur dhunein baj rahi hoti magar nazar kya aata siraf aag"
Yaqinan kuchh log hans rahey hon gey like ham jab han ney pehli baar suna :khi: lekin aagey chaltey hain...
Yahan per meri aik dost hai ya thi. Woh btati hain keh unki walidah per aik jinn aashaq ho geya
jab woh ghair shadi shudah thin. Jinn rozana unkey ghar ka chakar lagata. Phir jab unki shadi ho gaee aur woh Denmark chali aain to jinn bechain ho geya. :pagal: phir aik din jinn ko yeh khabar suneney mein mili keh us aurat ki shadi ho gaee hai aur woh denmark chali gaee hai to jinn uskey peechey denmark aaya aur us aurat sey mil ker geya
- (main aisey hi to apni us dost ko jinn ki bachi nahin kaha karta tha :lol :lol ) - chalein aap is per bhi :lol - aagey chaltey hain.
Mera aik dost hai. Uskey susar ki zubani aik waqeya suna:
"merey khaloo india mein before partition, kala jadoo kiya kartey they. Aik dino unka ilm ghalat ho geya aur jinnon ney unhein bohat tabah kiya".. :cc: - ab merey usi dost ki sachi aur aap beeti jo yahan Denmark mein year 2005 mein uskey saath aur uski bivi aur bachon key saath pesh aai: Unhon ney aik ghar khareedah jo aik bohat hi budhi mai ka tha, jab woh mari to uska ghar unhon ney khareedah. Apney ghar mein unhein us aurat key chalney phirney, batein karney, kano mein sargoshiyan karney ki aawaz aati rahi. Phir bhabi kehney lagi keh ham ney aik din socha keh ya to ham nahin ya yeh budhi nahin, ham ney taqreeban sara din surat Yasin parhi to uskey aisi aawazein na aai... :masha - agey chaltey hain ---
Mera bhai University of Copenhagen mein kaam karta hai. Wahan per unhon ney apney samney bad'roohon ko dekha hai aur to aur yahan per aik night club mein badrooh nazar aai hai...
ab aap ney yeh karna hai keh is thread mein aisey waqeyat share karney hain jo aap ney suney ho, parhey hon ya aap per beetey hon ..... aap likho main :bhago:
ham ney aksar bohat ajeeb ajeeb waqeyat suney hain. Maslan meri walidah hamein apney walid sahib ka aik waqeya sunati hain:
"Hamarey zamaney mein gadiyaan, wagonein, buses nahin huwa karti thin. Hamein kaee kaee mil pedal safar kar key kaam per jana parta tha. Kaee baar ham raat der sey ghar laut'tey. Kaee baar ham ney pul (bridge) sey dekha key aik sookhey huwey darya mein bohat door jinnon ki shadi ho rahi hoti, saaz aur dhunein baj rahi hoti magar nazar kya aata siraf aag"
Yaqinan kuchh log hans rahey hon gey like ham jab han ney pehli baar suna :khi: lekin aagey chaltey hain...
Yahan per meri aik dost hai ya thi. Woh btati hain keh unki walidah per aik jinn aashaq ho geya
![Drama](https://pgians.pegham.net/core/images/smilies/drama.gif)
![Dancing](https://pgians.pegham.net/core/images/smilies/dancing.gif)

Comment